GHAUS LAQAB KE MAANE: , , Har Ghaus ke 2 wazeer hote hain, GHAUS KA LAQAB "ABDULLAH" Hota hai, Aur wazeer dast raast AbdulRab aur Wazeer dast chup AbdulMalik. Is saltanat me Wazeer dast chup, Wazeer raast se A'ala hota hai, Ba-khilaf-e-Sal tanat dunya isliye ki ye Saltanat Qalb hai aur Dil Janib chup.. . Ghause Akbar wa Ghaus, Har Ghaus Huzur Syed Aalam Sallallaho alaihe wasallam hain. Siddiq-e-Akbar Huzur ke wazeer dast chup the, Aur Faruq Azam r.a Wazeer dast raast, Fir Ummat me sabse pehle Darja-e-Ghausiy at par H.Siddiq-e-Akba r r.a Mumtaz hue, aur wazarat H.Faruq Azam wa H.Usman Ghani r.a ko ata hui. Iske baad Faruq Azam ko Ghausiyat marhamat hui aur H.Usman Ghani aur H. Maula Ali wazeer hue, Fir H.Usman Ghani ko Ghausiyat inayat hui aur Maula Ali r.a aur H.Imam Hasan r.a wazeer hue fir H.Imam Hasan r.a se darja ba darja Imam Hasan Askari ke baad Huzur Ghause Azam r.a tak jitne Hazraat hue, sab inke naaeb hue, Unke baad Syeduna Ghause Azam mustaqil Ghaus, Huzur tanha GhausiyatKubra ke darje par faaiz hue, Huzur Ghausul Azam bhi hain aur Syedul Afrad bhi hain. Huzur ke baad jitne hue aur jitne ab honge H.Imam Mehndi tak sab Naaeb-e-Huzur Ghause Azam r.a honge. Fir H.Imam Mehndi r.a ko Ghausiyat-e-Kub ra ata hogi.

1 Comments

Previous Post Next Post