Momineen ki roohen duniya me wapas bhi aa sakti hain




1: Mayyat ke duniya se jane ke baad 7 din tak uski taraf dse sadqa karna mustahab hai. Mayyat ki taraf se sadqa ske liye nafa bakhsh hota hai.isme Ahle-Ilm ka koi ikhtilaf nahi. Is bare me saheeh hadeesen warid hain. Khususn pani sadqa karne ke bare me. Aur baaz Ulama ka qaul hai ki mayyat ko sirf sadqa aur dua ka sawab pahuchta hai. Aur baaz riwaayaat me aaya hai ki Rooh shabe Juma apne ghar wapas aati hain aur intezar karti hain ki uski tarafa se sadqa karte hain ya nahi . Wallaaho Ta’aala a’lam
(Sharah Mishkaat Baab Ziyaratul Quboor Jild 1 pg.716-717)
Scan Page:

2: Fasl-e-Hashtam me farmate hain:
 Gharaib aur Khazanatur Riwaya me manqool hai ki momineen ki roohen har shabe Juma, roz-e-Eid, roz-e-Ashura aur Shab-e-Barat ko apne ghar aakar bahar khadi rehti hain. Aur har rooh ghamnaak buland awaz se nida karti hai ki Aye mere Ghar walon, Aye Meri Aulad, Aye mere Qurabat daaron, Sadqa karke hum pe meherbani karo.
(Kashaful Ghata, FazleEhkaam-o-Dua pg.66)

3:
Sharahus Sudoor me Sheikh Suyuti r.a ne inme se aksar auqat ke bare me mukhtalif Hadeesen naqal ki hain agarche aksar zoaf se khali nahi hain.
(Kashaful Ghata, FazleEhkaam-o-Dua pg.66)

Note: Aksar ka lafz saaf zaahir kar raha hai ki baaz bilkul zoaf se khali hain. To sahib-e-maatah masail ka mutlaqan iski taraf nisbat karna ki “ein riwaayaat ra taz’eef ham farmodah and” kizb-o-iftira hai.


4: Imam Ajal Abdullah  Bin Mubarak wa Abu Bakr bin Abi Shaiba Ustaz Bukhari wa Muslim H.Abdullah bin Amru bin Aas r.a se mauqufan aur Imam Ahmed Musnad aur Tabrani Moajjam al-Kabeer aur Hakim Saheeh Mustadrak aur Abu Naeem Hilya me ba-sanad-e-Saheeh Huzur Purnoor Sallallaho alaihe wasallam se marfuan raawi-
(aur ye Abdullah Ibn Mubarak ke alfaz hain)
Beshak duiya kafir ki behshat  aur momin ka qaid kahna hai. Jab Musalman ki Jaan nikalti hai to iski missal aisi hai jaise koi shaks zinadaan me tha ab aza kar diya gaya to zameen me gasht karne aur ba-faraghat chalne phire laga.
(Kitabuz Zohad al-Ibn Mubarak, Baab Fi Talabul Haal, H.no.597. Pg.211)

5: Abu Bakr ki riwayat yu hai:
Jab musalman marta hai iski raah khol di kjati hain ki jahan chahe jaaye.
(Musannaf Ibn Abi Shaiba, Kitabuz Zohad, H.no.16571)
                        

6: Ibn Abi Duniya wa Baihaqi Saeed bin Musayyib r.a se raawi H.Salman Farsi wa Abdullah bin Salaam r.a Ba-ham mile. Ek ne dusre se kaha ki agar mujhse pehle inteqal karo to mujhe khabar dena ki wahan ya pesh aaya, kaha kya zinda aur murde bhi milte hain? Kaha :
Haan Musalmano ki roohen to Jannat me hoti hain unhe ikhtiyar hota hai jahan chahen jaayen.
  (Shoabul Eiman Baab-Tawakkul wa Tasleem H.no.1355 Jild 2 pg.121)


7: Ibn Mubarak Kitabuz Zohad wa Abu Bakr ibn Abi Duniya wa Ibn Mundah Salman r.a se raawei:
Beshak Musalmano ki roohen zameen ke barzakh me hain, jahan chahti hain jati hain. Aur kafir ki roohn sijjen me qaid hain:
(Kitabuz Zohad al-Ibn Mubarak Baab-Maa Jaa’a fi Tawakkul H.no.429 Pg.144)


8: Ibn Abi Dunya Malik bin Anas r.a se raawi:
Farmaya: mujhe Hadees pahunchi hai ki Musalmano ki roohen azad hain jahan chahti hain jati hain.
(Sharaus Sudur ba Hawal Ibn Abi Dunya Baab-Muqral Arwah Pg.98)


9: Imam Jalaluddin Suyuti Sharahus Sudoor me farmate hain:
 Imam Abu Amr ibn Abdul Bar ne farmaya raajeh ye hai ki Shaheedon ki roohen jannat me hain aur musalmano ki fana-e-qubur par, jahqan chahen aati jati hain.
(Sharaus Sudur ba Hawal Ibn Abi Dunya Baab-Muqral Arwah Pg.105)

10: Allama Manawi Taiseer Sharah Jaameus Sagheer me farmate hain:
Beshak jab rooh is qalib se juda aur maut ke baais qaidon se riha hoti hai. Jolaan karti hai.
(Taiseer Sharah Jaameus Sagheer, Tehet-e-Hadees Innar roohil Mumineen, Jild 1 Pg.320)


11: Qaazi Sanaullah Paani pati bhi Tazkiraul mota me likhte hain:
Auliya Qudsit Israr ham ki roohen zameen-o-asman behesht me jahan chahti hain jati hain
(Tazkiratul Mauta al Qubur, Baab-Roohn ke theherne ki jaga, Pg.76)

12: Khazaanatur Riwaayaat me hai:
Baaz Ulama Muhaqqiqeen se marwi hai ki roohen shab-e-Juma chhuti paati aur phailti jati hain. Pehle apni Qabron par aati hain phir apne gharon me.
(Khazaanatur Riwayat)

13: Dastoorul Qazaah Mustanad Saaheb-e-maaeta masail me fatawa Imam Nasafi se hai:
Beshak Musalmano ki roohen har roz-e-Shab-e-juma apne ghar aati aur darwaze ke paas khadi hokar dard naak awaz se pukarti hain ki Aye mere ghar walo, Aye mere bacchon, Aye mere Azeezon ham par sadqa se meher karo. Hume yaad karo bhul na jaao. Hamari ghareebi me ham par taras khaao.
(Dasturul Qazah)

14: Neez Khazaanatur Riwaayaat Mustanad Saaheb-e-maaeta masail me hai:
 Ibn Abbas r.a se riwayat hai jab Eid ya Juma ya Ashoore ka din ya Shab-e-Barat hoti hai amwaat ki roohen aakar apne gharon ke darwazo par khadi hoti aur kehti hain:
Hai koi ki hume yaad kare, hai koi ki hum par taras khaaye, hai koi ki hamari ghurbat ki yaad dilaye.
(Khazanatu Riwayat)

Is tarah Kanzulo Ibaad me bhi Kitabur Roza Imam Zindleesi se manqool hai ye masla kin a aqaid ka hia na fiqah ke halal-o-haram ka. Aisi jaga ek do sanaden bhi bas hoti hain, na ki is qadar kaseer-o-wafir

Imam Jalaluddin Suyuti Manaahil tasafa fi takhreejul Ahaadeesush Shifa zer Saaye Ameerul Mumineen Umar Farooq-e-Azam r.a se riwayat faarmate hian:
Yani maine ye Hadees kisi Kitab-e-hadees me na payi magar sahib-e-iqtebasul anwar aur Ibn al-Haaj ne Madkhal me isey ek Hadees Taweel me be-sanad zikr kiya. Aisi Hadees ko itni hi sanad kaafi hai ki wo kuch ehkaam se mutalliq nahi.
(Manaahil Safa fi Takhreej Ahadees-e-Shifa)
Baaqi raha Dalaalan Haal ke Sheikhud Dalaal Gangohi ka Baraahin-e-Qatiya me za’am-e-Baatil ki Arwaah ka apne ghar aana ye masla Aqaid ka hai isme Mash’hur wa Mutawatir Sihaah ki haajat hai, Qatiyyaat ka etebar hai, na zanniyaat sihaah ka. Yani agar  Saheeh Bukhari wa Muslim ki bhi Saheeh wa Sareeh Hadeeson me ho ki roohen aati hain to wo Hadeesen bhi unke dharm (mazhab) me mardood hongi. Ki in riwaayaat me amal nahi balki Ilm hai. Aur tasleem bhi kar liye to faqat amal hai na ki fazl-e-amal.(ALLAH ne jis chiz ko milane ka hukm diya usey qatay karne wali kitab Baraahin-e-Qatiya)  me 4 waraq se zyada par yehi ajuba azhu ki tarah tarah ki maz khuraafaat se aaludah andudah liya hai, sakht jihalat-e-faahisha hai.
Halanki Ulama Tasreeh farmate hain ki in Uloom me Sihaah dar kinaar zoaaf bhi maqbul thehrengi. Seerat-e-Insanul Uyoon me hai:
Makhfi nahi ki kutub-e-sair me mauzu chhodkar Saheeh, Saqeem, Zaeef, Balaagh, Mursal, Munqata, Ma’zal har qism ki riwayaten hoti hain. Imam Ahmed wagairah Aimma ne farmaya hai jab hum Halal aur haram yani Baab-e-ehkaam me riwayat karte hain to shiddat baratte hain aur jab baab-e-fazail wagairah me riwayat karte hain to narmi rakhte hain.
(Insanul Uyoon, Khutabtul Kitab, Jild 1, Pg.3-4)

Lehaza Wahabiyon ko chahiye ki ab Hadeeso me khayanat karna band karen aur seedhi raah chalen.
Posted by: Irfanbarkaati Powerof AshiqeRasool Sallallahualihiwasallam



                                                          

16 Comments

  1. assalamualaikum
    app say kuch madad chahiye thi

    ReplyDelete
  2. irfan barkaati sahab kuch madad karenge app

    ReplyDelete
  3. Assalsmualykum mujhe Abdullah ibne abbas raziallahu anhu ki riwayat hai ke roohen apne gharon Mr aati hain mujhe uska hawala chshiye plz kisi.. Bad mazhab ko dikhana hai... Ye riwayat maine aala hazrat alyhir rehmat o Ridwan ke hawale se padhi thi lekin bhool gya kaafi waqt pehle padi thi. Agar Mil jaye to plz send kar dijiye mera Watsapp number hai +919359942713 jazakallah khair

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai mazirat chahta hu main kafi masrufiyat ki wajah se sare comments check nahi kar paya tha apni blog par
      Aaj sare commente dekhe hain

      Ji in sha ALLAH mai dekhkar send kar dunga

      Delete
  4. Assalsmualykum mujhe Abdullah ibne abbas raziallahu anhu ki riwayat hai ke roohen apne gharon Mr aati hain mujhe uska hawala chshiye plz kisi.. Bad mazhab ko dikhana hai... Ye riwayat maine aala hazrat alyhir rehmat o Ridwan ke hawale se padhi thi lekin bhool gya kaafi waqt pehle padi thi. Agar Mil jaye to plz send kar dijiye mera Watsapp number hai +919359942713 jazakallah khair

    ReplyDelete
  5. Aslam o alikum pyaray bahi jan .mari abu ke recent death hoi ha .plz khuda ka ley mjay koi acha say wazifa bta dain maray abu ke roh say ma mil skon ..plz plz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Apne Abbuke liye khub duayen kijiye aur unki tarafse jitna ho sake sadqa khairat kijiye.
      ALLAHne chaha to apko khwab me mulaqat ho jayegi

      Delete
  6. assalamoalaikum. bhai aap jo koi bhi allah aapke eemaan ki hifazat farmaye kya zaberdast likha hai! aap kahan rehte ho?

    ReplyDelete
  7. salam bhai aap se guzarish hai k Scna pages dobara lagao mujhe Video main dalne hain

    ReplyDelete
  8. Assalamu Alykum bhai scan page dikhte nahi hai
    Barahe karam mehrbani scan page ki bahot zarurat hai

    ReplyDelete
  9. Assalamu Alykum bhai scan page dikhte nahi hai
    Barahe karam mehrbani scan page ki bahot zarurat hai

    ReplyDelete
  10. https://sunnialmuttahida.blogspot.com/2020/07/rooh-ka-bayan.html?m=1

    ReplyDelete
  11. Darame baz Sahih hadees se tumne ek bhi sabit nhi kia

    ReplyDelete
Previous Post Next Post