Jashn-e-Eid Miladun Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam






Eid Miladun Nabi Sallallaho alaihe wasallam
.

Sabse pehle to
aap logon ko ye bata den ki MILAD ka root word MAWLID hai, iska matlab paidaish
hoti hai. Aur sabhi log jante hain ki


JO PAIDA HOTA
HAI WO KHUDA NAHI HOTA,


AUR JO KHUDA
HOTA HAI WO PAIDA NAHI HOTA.


.

Isiliye hum
apne Pyare Aaqa alaihis salam ki paidaish, yani unki Milad manate hain,


.

To aaj jo kuch
Jaahil log Milad manane ko bhi maazALLAH shirk kehte hain,


wo khud hi
mushrik ho gaye,


kyunki Shirk
ka matlab hota hai ALLAH ki zaat ya sifat me sharik, ya barabar
 samajhna.

Yani ye Wahabi
log PAIDAISH ke lafz ko ALLAH ki sifat samajhte hain yani ALLAH ko paidaa hone
wala mante hain isiliye to shirk ka fatwa de rahe hain?


.

Fir jo ALLAH
ke liye paida hona manta ho wo yaqinan mushrik ho gaya,


.

Hum inshaALLAH
Miladun Nabi ke talluq se aap logon tak kuch Hadeesen aur Quran ki ayaten pesh
kar rahe hain .


.

1: Quran ki roshni me


Sureh Wad Doha
me ALLAH ne farmaya:
Ayat#1: وَاَمَّا
بِنِعْمَةِ رَبِّكَ فَحَدِّثْ   11۝
ۧ

(Quran, Sureh
Wad Doha ayat 11 )


.

Tarjuma: Aur
ALLAH ki nematon ka khub charcha karo.


.

Ye to pta chal
gaya ki ALLAH ki nematon ka charcha karna hai.


Ab sawal ye
uthta hai ki akhir kaunsi nemat ka charcha karna hai?


Momineen pr
ALLAH ki sabse badi nemat kaunsi hai??


.

ALLAH ne hume
2 ankh diya, isse hum sari duniya dekh skte hain, agar ye na hoti to hum mohtaj
ho jate., kuch na dekh pate,


to pata chala
ankhe ALLAH ki bahot badi nemat hain,


magar fir b
ALLAH ne itni badi nemat dekar hume ye nai kaha ki humne tumhe ankhe dekar
tumpe ehsan kia hai.


.

ALLAH ne hume
2 hath diye. Isse hum mehnat krte hain kamate hain, aur apni zarurate puri krte
hain


agar ye na
hote to b hum mohtaj ho jate aur kuch na kar pate.


To Pata chala
ki hath bahot badi nemat hai fir b ALLAH ne itni badi nemat dekar ye nai kaha
ki humne tumhe hath dekar tumpe ehsan kiya,


.

Pair na hote
to hum chal hi nai sakte, pair bahot badi nemat hain,


iske bagaer b
hum la-chaar ho jate,


fir b ALLAH ne
pair dekar hume ehsan nahi jataya.


.

ALLAH ne saans
lene ko hawa di, hum saans na le to mar jayenge, fir b itni badi nemat dekar
ALLAH ne ehsan nahi jataya,


.

Hume khane ko
rizq diya, Peene ko pani dia,


goya ki har ek
nemat be-misal hai


fir b ALLAH ne
in sab nematon par ehsan nahi jataya,


magar ek nemat
aisi hai jise dekar ALLAH ne fauran ehsan jataya.


.
Wo kaunsi
nemat hai ?


Aaiye ye sawal
bhi Quran se puchte hain,
Ayat#2: لَقَدْ
مَنَّ اللّٰهُ عَلَي الْمُؤْمِنِيْنَ اِذْ بَعَثَ فِيْھِمْ رَسُوْلًا


(Sureh
Al-Imran 164)


.

Tarjuma: Humne
momineen par ehsan kiya hai jab unme apne Rasool ko bhej diya.,


.

To pata chala
ki hamari Jaan, Maal, Zindagi aur dono Aalam ki nematon me sabse badi nemat
hamare pyare Aaqa sallallaho alaihe wasallam hain.


.

Isiliye ALLAH
ne is nemat par ehsan jataya hai.


.

To fir hume is
nemat ka khub khub charcha karna hai.


Ayat#3: قُلْ
بِفَضْلِ اللّٰهِ وَبِرَحْمَتِهٖ فَبِذٰلِكَ فَلْيَفْرَحُوْا  ۭ ھُوَ خَيْرٌ مِّمَّا يَجْمَعُوْنَ     58؀

(Sureh Yunus ayat 58)

Tarjama: Aap keh dijiye ki ALLAH ke fazl aur
uski rehmat pe khub khushiyan manaao, ye behtar hai usse jo kuch wo kama kar
rahe hain.
.
Yahan ALLAH ne apni rehmat aur fazl par khud
hi khushi manane ka hukm diya hai.

Aur dusri tarafALLAH farmata hai:

Ayat#4:
وَمَآ اَرْسَلْنٰكَ اِلَّا رَحْمَةً
لِّلْعٰلَمِيْنَ   ١٠٧؁
 

(Sureh
Ambiya ayat 107)
Tarjama:
Hamne
aapko sare jahan walo ke liye rehmat banakar bheja.

.
Yani
ALLAH ke mehbub sallallaho alaihe wasallam hamare liye rehmat hain, aur pichli
ayat me ALLAH ne hukm diya ki ALLAH ki rehmat pe khushiyan maano, bas sabit hua
ki ALLAH ke Mehbub sallallaho alaihe wasallam ki wiladat ke din ham Khushiyan
manayen.
.
Imam
Ibn Jawzi likhte hain:

Tafsir#1: “Zahak ne Ib
Abbas radiAllaho ta'ala anhu se riwayat kiya ki ALLAH ke fazl se murad Ilm hai
aur Rehmat se
murad Nabi sallallaho alaihe wasallam hain.” (Tafsir Zaadul Maseer fi Ilme
Tafseer )
.
Imam
Abu Hayyan Andalusi bhi likhte hain:
Tafsir#2:
Fazl
Ilm hai aur rehmat Muhammad sallallaho alaihe wasallam hain. (Tafsir Bahrul
Muheet J-5 Pg.171)
.
Imam
Jalaluddi Suyuti likhte hain:
Tafsir#3:
Abu
Sheikh ne Ibn Abbbas radiAllaho ta'ala anhu se riwayat kiya ki ALLAH ke Fazl se
muraad Ilm hai aur uski reehmat se murad Muhammad sallallaho alaihe wasallam
hain kyunki ALLAH ne farmaya “Hamne apko sare jahan waloke liyye rehmat banakar
bheja” (Durre Mansur jild 4 Pg.330)
.
Allama
Alusi likhte hain:
Khatib
aur Ibbn Asakir ne fazl se murad Nabi sallallaho alaihe wasallam bataya hai.
(Tafsir
Roohul Ma’ani jild 11 Pg.141
)

Ayat#5:ذٰلِكَ
فَضْلُ اللّٰهِ يُؤْتِيْهِ مَنْ يَّشَاۗءُ 
ۭ وَاللّٰهُ ذُو الْفَضْلِ الْعَظِيْمِ  
Ć۝
 (Sureh Juma ayat 4)

Tarjama:
Wo
ALLAH ka fazl hai jispar wo chahta hai deta hai, auur ALLAH bade fazl wala
azmat wala hai.
.
Ibn
Abbas

radiAllaho ta'ala anhu fazl ke bare me farmate hain:
“Islam
aur Nabi sallallaho alaihe wasallam dekar ALLAH ne fazl farmaya; aur yye
bhi  kaha gaya hai ki eiman walo ko islam
dekar fazl farmaya; aur ye bhi kaha hai ki apnin Makhluq ko Nabi sallallaho
alaihe wasallam bhejklar fazl farmaya.” (Tafsir Ibn Abbbas Sureh Juma ayat 4)
.
Quran
me bhi Ambiya ki paidaish ke dino ka zikr khususiyat ke sath kiya gaya hai.

Allah
Taala Quran me Yahya alaihis saalam ke bare me Farmata hai,

Ayat#6:
وَسَلَامٌ عَلَيْهِ يَوْمَ وُلِدَ وَيَوْمَ يَمُوتُ
وَيَوْمَ يُبْعَثُ حَيًّا
"


(Sureh Maryam,Ayat 15)

Tarjuma: Aur Salam ho
un par, Jis din Ye paida hue aur Jis din wo wafat payenge"

.
Ek
jagah Eisa alaihis salam ne farmaya:

Ayat#7:
  وَٱلسَّلاَمُ عَلَيَّ يَوْمَوُلِدْتُّ وَيَوْمَ أَمُوتُ
وَيَوْمَ أُبْعَثُ حَيّاً
.

Tarjuma: Aur mujhper Salamti ho us din, Jis din mai Paida hua, aur jis din
mujhe maut ayegi.

(Sureh Maryam, Ayat 33)

.

Is Ayat se pehle Allah ne H.Maryam r.a ka pura waqeya bayan kiya, aur jis tarah
H.Eisa alaihe salam ki wiladat hui, ye sab kuch bayan kiya, fir Eisa alaihe
salam ki wiladat par unpar salam ka zikr kiya.

.

Ab zara bataiye, Hum AhleSunnat Wal Jamaat bhi to Nabi alaihe salam ki wiladat
aur bachpan ke waqeye aur Mojizaat bayan karte hain, aur ye sab kuch upar Quran
ki Aayato se sabit hai,

To
pata chala ki Ambiya ki Milad ke din to Khud Allah Taala bhi salam bhejne ka
tazkira kar raha hai. Jabki Allah Taala ne ye bhi farma diya ki


إِنَّ ٱللَّهَ وَمَلاَئِكَـتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى
ٱلنَّبِيِّ يٰأَيُّهَا ٱلَّذِينَ آمَنُواْ صَلُّواْ عَلَيْهِ وَسَلِّمُواْ
تَسْلِيماً


Tarjuma: "Allah aur Uske Farishte Nabi alaihe salam par Darud bhejte
hain"

(Sureh Ahzab, Ayat56)

.

Yani Allah aur uske Farishte bhi Nabi alaihe salam par roz salam bhejte hain,
Lekin fir bhi Paidaish ke din salam bhejne ka zikr Allah ne khas taur par kiya
hai, to pata chala ki roz salam bhejte raho, aur Ambiya ki wiladat ke din salam
bhejna aur bhi Khas hai.

.

Fir agar hum Apne Nabi alaihe salam ki wiladat ke din salam padhe, to Kaise bidat
ho jata hai??

.
Ayat#8:
وَلَقَدْ اَرْسَلْنَا مُوْسٰى
بِاٰيٰتِنَآاَنْ اَخْرِجْ قَوْمَكَ مِنَ الظُّلُمٰتِ اِلَى النُّوْرِ
وَذَكِّرْهُمْ  ڏ بِاَيّٰىمِ اللّٰهِ  ۭ اِنَّ فِيْ ذٰلِكَ لَاٰيٰتٍ لِّكُلِّ صَبَّارٍ
شَكُوْرٍ  
Ĉ۝
Tarjama: Aur
humne Musa ko bheja apni Nishaniyon ke sath taki wo apni Qaum ko andhere se
Roshni ki taraf nikalen aur unhe ALLAH ke dino ki yaad dilayen.
 (Sureh Ibraheem verse 5)

Ye ALLAH ke
din kaunse hain?
Shuabul Iman
me Imam Baihaqi naqal karte han ki Nabi sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:
ALLAH ke din wo hain jinme ALLAH ki erhhmat aur nishaniyan nazil hui.
(Tafseer
Roohul Ma’ani, Sureh Ibraheem Ayat 5)

Beshak ALLAH
ke din wo hain jinme ALLAH ki koi khas nishani ya nemat nazil ho.  To beshak ALLAH momineen ke liye ALLAH ki
sabse badi nishani aur sabse badi nemat ALLAH ke pyare Mehbub Sallallaho alaihe
wasallam hain. Aur jis din Pyare Aaqa Sallallaho alaihe wasallam tashrif laaye
wo din bhi ALLAH ke dino me hai. to yani is din ki bhi yaad dilaya jaye, yani
logon me iski charcha kiya jaye. Isiliye hum log is din khas taur pe ALLAH ke
pyare Mehbub Sallallaho alaihe wasallam ki charcha karte hai aur is din ko khas
karte hain.









2:
Hadeeson
ki roshni me



Ham AhleSunnat wal Jamat bhi
Miladun Nabi Sallallaho alaihe wasallam me apki paidaish ka charcha karte hain,
apke Mojizaat, apke Kamalaat aur apke Awsaaf ka tazkira karte hain, aur ye Khud
Nabi Sallallaho alaihe wasallam aur apke Sahaba ki sunnat hai.
Nabi sallallaho alaihe wasallam khud apni wiladat ki khushi maante
hain:



Hadees#1: Hazrat Qatada
Ansari radiAllaho ta'ala anhu se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe wasallam
se jab peer ke roz roza rakhne ke bare me sawal kiya gaya to aap Sallallaho
alaihe wasallam ne farmaya ki Is din mai paida hua tha aur is din mujh par wahi
nazil hui thi.
(Sahih Muslim, Kitabus Siyam H.no.2606)
.
Nabi alaihis salam ne apni wiladat ka zikr farmate hue farmaya


Hadees#2:
H. Ibn Abbas
radiAllaho ta'ala anhu ka bayan hai ki jab Abu Lahab mar gaya to ek saal ke
baad maine khwab me Abu Lahab ko bure haal me dekha. Usne kaha ki maine
tumharee baad koi rahat nahi paaya, siwae iske ki peer ke din mujhpar azab
halka kar diya jata hai,  ye isliye ki
Peer ke din Nabi sallallaho alaihe wasallam paida hue aur Sobiya ne apko
wiladat ki khabar di to ispar Sobiyia ko azad kar diya.
(Bukhari )
.
Iski Sharah me Ibn Hajar farmate hain:
Ye Qubul karte hue ye ehtimal hai ki (azab kam ho jaye, kafir ka
mamla nahi) balki Nabi sallallaho alaihe wasallam ke sath mutalliq hone ki
wajah se apke sath khas hai, jispar Abu Talib ka qissa dalil hai jo pehle guzar
gaya (ki apki khidmat ki wajah se) usse bhi azab kam ho gaya. To aise hi apki
Milad ki khushi ki wajah se Abu Lahab par bhi kam ho gaya, Main kehtaa hun k
iska Tatma ue hai ke Ye fazl


Mazkoraa uss Zaat e Mubaraka (ﺻﻠﻰ اﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ

 ki Tazim kee
Wajeh sey hai Jis ke liye Kafir se ye Nek Amal Sadir huwaaa


 (Fathul Bari
Sharah Bukhari)
Scan Page:






Uss hadees kee Takrij Jissey Ye Sabit hai ke Ye
Mazkora Khwab Hazrat Abbas ne hee Dekha Thaa




Is Hadees ko Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi ne bhi riwayat kiya aur
fazilat bayan farmayi hai:
(Madarijun nabuwwat pg. 35)
Scan
Page:





Is Hadees ke mazeed hawale:


Musanaf Abdur Razzaq Vol 7 Page 478

Shoib Ul Iman lil behqi Vol 1 Page 261

Dalil Un Nabuwah Vol 1 page 150

Allama Abul Qasim Suhaili ne Al Rauz ul Unf Vol 192

Hafiz Ibne Kathir Ne Serat Nabwiya Vol 1 Page 224

Al Bidaya Wan nihaya Vol 2 page 332

Imam Bagwi Ne Sharah Sunnah Vol 9 page 95

Madari jun Nabuwah Vol 2 page 19

Muwahibul Laduniya Vol 1 Page 27



Hafiz Nasiruddin Damishqi Ne

Maurd ul Sawdi Fee Mauldul Hadi Al Hadi Vol 1 Page
197




Deobandiyoun ke Peshwaa Anwar Shah Kashmiri ne
Faizul Bari Vol 4 Page 278




Gair Muqalid aur Deobandiyoun ke peshwa Abdullah
Bin Muhammed bin Abdul Wahab Najdi


Ne

Muqtasar Seerat e Rasul Page 13 par Bhee Darj Kiyaa
hai


Aur Dounou ke Peshwa Ibne Qayim ne



Tahfatul Maulood Ba hukaamul Maulood Page 19



Ibrahim Sialkotvi Ne Seerat e Mustafa page 153
(Hashiya)



Hadith #3:

ورأت أمي حين حملت كأنه خرج منها نور أضاءت له بصرى من أرض الشام

jab meri
walida ne mujhe jana to ek aisa noor roshan hua ki uski roshni me meri walidah
ne mulk-e-sham ke qile dekh liye.


(Imam al-Bayhaqi
ne Dala’il an-Nubuwwa Volume No.1, Page No. 83 me, aur Imam al-Haythami ne
Majma az Zawa’id 8:221, Hadith No. 13842 me isey Naqal kiya.)


.

aur Imam
Haythami iski Sanad ko hasan likhte hain.


Iske aage
mazeed likhte hain ki.


Is Hadees ki
qawi sanad ke liye beshumar shawahid hain:


وقد كانت أم قتال رقيقة بنت نوفل أخت ورقة بن نوفل
توسمت ما كان بين عيني عبدالله قبل ان يجامع آمنة من النور فودت أن يكون ذلك متصلا
بها لما كانت تسمع من اخيها من البشارات بوجود محمد صلى الله عليه وسلم وأنه قد
أزف زمانه فعرضت نفسها عليه قال بعضهم ليتزوجها وهو أظهر والله أعلم فامتنع عليها
فلما انتقل ذلك النور الباهر إلى آمنة بمواقع


Tarjuma:
H.Waraqa Bin Nawfal ki behen, Umm Qatal ne H.Abdullah r.a ki ankho ke
darmiyan ek Noor dekha tha unki zauja H.Amina r.a ke qarib jane se pehle. Aur
unhone apne bhai se iska izhar bhi kiya.


Warqa bin Nawfal radiAllaho ta'ala anhu ne kaha, ki ek taqatwar Nabi
unse paida hoga. To Umm Qatal ki ye khwahish thi ki unke zariye Nabi ki wiladat
ho. Tab Nabi sallallaho alaihe wasallam ka Noor
Hazrat Amina radiAllaho ta'ala anha me muntaqil ho gaya.


[Ibn Kathir ne Al Bidayah Wal Nihayah Volume 3, Page No. 35 par naqal
kiya ]


Scan Page:






Hadees#4: عن عثمان بن
أبي العاص حدثتني أمي أنها شهدت ولادة آمنة بنت وهب رسول الله صلى الله عليه وسلم
ليلة ولدته قالت فما شيء أنظره في البيت إلا نور وإني أنظر إلى النجوم تدنو حتى
إني لأقول ليقعن علي


Tarjuma: Abu
Bakr Bin Baihaqi H.Usman Bin Abi al Aas r.a ki walida se riwayat karte hain(ki
wo Hazrat Amina radiAllaho ta'ala anha ke haml ki gawah thi)


unhone dekha
ki Noor ke siva kuch nazar nahi aa raha, sara ghar roshan hai aur asman ke
sitare zameen ke qarib ho gaye hain.


[Al Bidayah
Wal Nihayah, Volume 3, Page No. 38]
Scan Page:













is tarah hum bbhi apne Aaqa sallallaho alaihe wasallam ki wiladat ka
zikr-e-khair karte hain to sahaba ki sunnat ada karte hain.

SubhanALLAH

yani
Ahlehadeeson ke Motabar Imam Ibn Kaseer bhi hamare Aaqa alaihis salam ko Noor
tasleem karte hain.

Nabi Sallallaho
alaihe wasallam ne bhi apni wiladat aur Awsaaf ko bayan armaya:

Hadees# 5: 
 رقم الحديث3623

(
حديث مرفوع) حَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ صَالِحِ بْنِ
هَانِئٍ
،
ثنا
أَبُو سَهْلٍ بِشْرُ بْنُ
سَهْلٍ اللَّبَّادُ
، ثنا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ
صَالِحٍ الْمِصْرِيُّ
، حَدَّثَنِي مُعَاوِيَةُ بْنُ صَالِحٍ
، عَنْ سَعِيدِ بْنِ سُوَيْدٍ ، عَنْ عَبْدِ الأَعْلَى بْنِ
هِلالٍ
،
عَنْ
عِرْبَاضِ بْنِ سَارِيَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، صَاحِبِ رَسُولِ
اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : سَمِعْتُ رَسُولَ
اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ، يَقُولُ
: "
إِنِّي عَبْدُ اللَّهِ ، وَخَاتَمُ
النَّبِيِّينَ ، وَأَبِي مُنْجَدِلٌ فِي طِينَتِهِ وَسَأُخْبِرُكُمْ عَنْ ذَلِكَ
أَنَا دَعْوَةُ أَبِي إِبْرَاهِيمَ ، وَبِشَارَةُ عِيسَى ، وَرُؤْيَا أُمِّي
آمِنَةَ الَّتِي رَأَتْ ، وَكَذَلِكَ أُمَّهَاتُ النَّبِيِّينَ يَرَيْنَ ، وَأَنَّ
أُمَّ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ رَأَتْ حِينَ
وَضَعَتْهُ لَهُ نُورًا أَضَاءَتْ لَهَا قُصُورُ الشَّامِ ، ثُمَّ تَلا
:
يَأَيُّهَا النَّبِيُّ إِنَّا
أَرْسَلْنَاكَ شَاهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذِيرًا { 45 } وَدَاعِيًا إِلَى اللَّهِ
بِإِذْنِهِ وَسِرَاجًا مُنِيرًا { 46 } سورة الأحزاب آية 45-46
" ,
هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحُ الإِسْنَادِ وَلَمْ
يُخْرِجَاهُ




H. Arbaz bin Sariya r.a se riwayat hy ki
Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne irshad farmaya:


"Mai apne Jadde Aala Ibraheem alaihis salam ki
dua hu, H. Eisa alaihis salam ki basharat hu aur wo khwab hu jo meri walida ne
zamana-e-hamal me dekha ki unse ek NOOR ne tulu farmaya hai jisse Ilaqa e Sham
Munawwar ho gaya. Aur fir aapne ye ayat tilawat farmayi


يَأَيُّهَا النَّبِيُّ إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ
شَاهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذِيرًا { 45
}
وَدَاعِيًا إِلَى اللَّهِ بِإِذْنِهِ
وَسِرَاجًا مُنِيرًا { 46 } سورة الأحزاب آية 45-46


(Mustadrak Al-Hakim Kitabut Tafseer, Sureh Ahzab
45-46 Jild 3, Pg.492)


.
Scan Page:



Iske aage Imam Hakim farmate hain

Ye Hadees sahi hai.

.

Is Hadees ki 100 shawahid hamare paas hain
ALHAMDULILLAH.  
Click
Here




Ye Hadees Imam Jalaluddin Suyuti ne bhi Khasaisul
Kubra ki Jild 1 Pg.119 pe naqal kiya hai.






H.Ayesha Siddiqa radiAllaho ta'ala anha bhi apke Awsaaf bayan karti
hain:

Hadees#6:
رقم
الحديث: 1
15427
حديث مرفوع)

 أَخْبَرَنَا أَبُو حَازِمٍ الْحَافِظُ ، أنا
أَبُو الْحَسَنِ عَلِيُّ بْنُ أَحْمَدَ عَبْدُ الْعَزِيزِ الْمُحْتَسِبُ , نا
دَاوُدُ بْنُ سُلَيْمَانَ بْنِ خُزَيْمَةَ الْبُخَارِيُّ , نا مُحَمَّدُ بْنُ
إِسْمَاعِيلَ الْبُخَارِيُّ , نا عَمْرُو بْنُ مُحَمَّدٍ , نا أَبُو عُبَيْدَةَ
مَعْمَر
ُ بْنُ الْمُثَنَّى التَّيْمِيُّ , نا هِشَامُ
بْنُ عُرْوَةَ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا ، قَالَتْ
: " كُنْتُ قَاعِدَةً أَغْزِلُ وَالنَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ
وَسَلَّمَ يَخْصِفُ نَعْلَهُ فَجَعَلَ جَبِينُهُ يَعْرَقُ وَجَعَلَ عَرَقُهُ
يَتَوَلَّدُ نُورًا فَبُهِتُّ ، فَنَظَرَ إِلِيَّ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ
عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، فَقَالَ : مَالَكِ يَا عَائِشَةُ بُهِتِّ ؟ قُلْتُ : جَعَلَ
جَبِينُكَ يَعْرَقُ وَجَعَلَ عَرَقُكَ يَتَوَلَّدُ نُورًا وَلَوْ رَآكَ أَبُو
كَبِيرٍ الْهُذَلِيُّ لَعَلِمَ أَنَّكَ أَحَقُّ بِشِعْرِهِ ، قَالَ
: وَمَا يَقُولُ أَبُو كَبِيرٍ ؟ قَالَتْ : قُلْتُ
يَقُولُ : وَمُبَرَّأٌ مِنْ كُلِّ غَيْرِ حَيْضَةٍ وَفَسَادِ مُرْضِعَةٍ وَدَاءٍ
مَغِيلِ فَإِذَا نَظَرْتَ إِلَى أَسِرَّةِ وَجْهِهِ بَرَقَتْ كَبَرْقِ الْعَارِضِ
الْمُتَهَلِّلِ قَالَتْ : فَقَامَ إِلِيَّ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ
وَسَلَّمَ وَقَبَّلَ بَيْنَ عَيْنِيَّ ، وَقَالَ : جَزَاكِ اللَّهُ يَا عَائِشَةُ
عَنِّي خَيْرًا مَا سُرِرْتِ مِنِّي كَسُرُورِي مِنْكِ " ، فَفِي هَذَا دَلالَةٌ
عَلَى أَنَّ ابْتِدَاءَ الْحَمْلِ قَدْ يَكُونُ فِي حَالِ الْحَيْضِ وَالنَّبِيُّ
صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَمْ يُنْكِرْ




Imam Bukhari se riwayat hai
ki H.Ayesha Siddiqa r.a ne farmaya mai soot kaat rahi thi. Aur Huzur Joota ko
see rahe the. Apki peshani par pasina aa gaya. Usse aisa Noor paida hua ki mai
hairan ho gayi. Huzur ne mere Bashrah se andaza karke hairani ki waja puchi. To
maine pasina aur Noor ki kaifiyat ka zikr karte hue kaha


"Abu Kabeer Hazli ka ye sher aap par sadiq hai


وَمُبَرَّأٌ مِنْ كُلِّ غَيْرِ حَيْضَةٍ

وَفَسَادِ مُرْضِعَةٍ وَدَاءٍ مَغِيلِ

فَإِذَا نَظَرْتَ إِلَى أَسِرَّةِ وَجْهِهِ

بَرَقَتْ كَبَرْقِ الْعَارِضِ الْمُتَهَلِّلِ


Wo har bache hue Haiz aur doodh pilane wali ke fasad aur Jald halaak karne wale
marz se paak hai.


Aur jab tum iske chehre ki shikano ko dekhoge to wo
yun chamkengi jaise barasne wale badal ki bijli chamakti hai.


.

Phir RasoolALLAH apne dast mubarak se joota rakh
kar khade hue aur mere paas aakar meri dono ankho ke darmiyan bosa diya aur
famaya:


ALLAH tumhara bhala kare.

Mujhe yaad nahi ki mujhe kabhi aisi khushi hui ho
jaisi is waqt hui hai.


(Sunan al Kubra H. 15427)

Scan Page:




SubhanALLAH.

.

Isse ye bhi pata chala ki RasoolALLAH Sallallahu
Alaihe Wasallam ki tareef karne se aap Khush hote hain.


.

Is riwayat ko kayi Muhaddiseen ne likha hai.

.

2: رقم الحديث: 1501

(
حديث مرفوع) حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ
أَحْمَدَ الْهَمْدَانِيُّ ، حَدَّثَنِي أَوْسُ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ أَوْسٍ ، ثنا
دَاوُدُ بْنُ سُلَيْمَانَ بْنِ خُزَيْمَةَ ، ثنا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ الْبُخَارِيُّ
، ثنا عَمْرُو بْنُ مُحَمَّدٍ الزَّيْبَقِيُّ ، ثنا أَبُو عُبَيْدَةَ مَعْمَرُ
بْنُ الْمُثَنَّى مِنْ تَيْمِ قُرَيْشٍ ، حَدَّثَنِي هِشَامُ بْنُ عُرْوَةَ ، عَنْ
أَبِيهِ ، عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا ، قَالَتْ : كَانَ رَسُولُ
اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَخْصِفُ نَعْلَهُ وَكُنْتُ أَغْزِلُ ،
قَالَتْ : فَنَظَرْتُ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ،
فَجَعَلَ جَبِينُهُ يَعْرَقُ ، وَجَعَلَ عَرَقُهُ يَتَوَقَّدُ نُورًا ، قَالَتْ
: فَبُهِتُّ ، قَالَتْ : فَنَظَرَ إِلَيَّ
، فَقَالَ : " مَا لَكِ بُهِتِّ ؟
" فَقُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، نَظَرْتُ
إِلَيْكِ فَجَعَلَ جَبِينُكَ يَعْرَقُ وَجَعَلَ عَرَقُكَ يَتَوَلَّدُ نُورًا ،
فَلَوْ رَآكَ أَبُو كَبِيرٍ الْهُذَلِيُّ ، لَعَلِمَ أَنَّكَ أَحَقُّ بِشِعْرِهِ ،
قَالَ
:
"
وَمَا يَقُولُ يَا عَائِشَةُ أَبُو كَبِيرٍ
الْهُذَلِيُّ ؟ " فَقَالَتْ
: يَقُولُ : وَمُبَرَّأٍ مِنْ كُلِّ غُبَّرِ
حَيْضَةٍ وَفَسَادِ مُرْضِعَةٍ وَدَاءٍ مُغْيَلِ وَإِذَا نَظَرْتَ إِلَى أَسِرَّةِ
وَجْهِهِ بَرَقَتْ كَبَرْقِ الْعَارِضِ الْمُتَهَلِّلِ قَالَتْ : فَوَضَعَ رَسُولُ
اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَا كَانَ فِي يَدِهِ ، وَقَامَ
إِلَيَّ فَقَبَّلَ مَا بَيْنَ عَيْنَيَّ ، وَقَالَ : " جَزَاكِ اللَّهُ يَا
عَائِشَةُ خَيْرًا ، مَا سُرِرْتِ مِنِّي كَسُرُورِي مِنْكِ
" .

(Hilyatul Awliya 1501)

.

3:
رقم الحديث: 4487

(
حديث مرفوع) أَخْبَرَنَا أَبُو حَازِمٍ عُمَرُ
بْنُ أَحْمَدَ بْنِ إِبْرَاهِيمَ الْعَبْدَوِيُّ ، بِنَيْسَابُورَ ، قَالَ :
أَخْبَرَنِي عَلِيُّ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ عَبْدِ الْعَزِيزِ الْجُرْجَانِيُّ ،
قَالَ
: حَدَّثَنِي دَاوُدُ بْنُ سُلَيْمَانَ
بْنِ خُزَيْمَةَ الْبُخَارِيُّ ، قَالَ : حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ
الْبُخَارِيُّ ، قَالَ
: حَدَّثَنَا عَمْرُو بْنُ مُحَمَّدٍ ، قَالَ :
حَدَّثَنَا أَبُو عُبَيْدَةَ مَعْمَرُ بْنُ الْمُثَنَّى التَّيْمِيُّ ، قَالَ :
حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عُرْوَةَ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ عَائِشَةَ ، قَالَتْ :
" كُنْتُ قَاعِدَةً أَغْزِلُ وَالنَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
يَخْصِفُ نَعْلَهُ ، فَجَعَلَ جَبِينُهُ يَعْرَقُ وَجَعَل عَرَقُهُ يَتَوَلَّدُ
نُورًا ، فَبُهِتُّ ، فَنَظَرَ إِلَيَّ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ
وَسَلَّمَ ، فَقَالَ : مَا لَكِ يَا عَائِشَةُ بُهِتِّ ؟ قُلْتُ
: جَعَلَ جَبِينُكَ يَعْرَقُ ، وَجَعَلَ
عَرَقُكَ يَتَوَلَّدُ نُورًا ، وَلَوْ رَآكَ أَبُو كَبِيرٍ الْهُذَلِيُّ لَعَلِمَ
أَنَّكَ أَحَقُّ بِشِعْرِهِ ، قَالَ : وَمَا يَقُولُ أَبُو كَبِيرٍ ؟ قَالَتْ :
قُلْتُ
: يَقُولُ : وَمُبَرَّأٌ مِنْ كُلِّ
غُبَّرِ حَيْضَةٍ وَفَسَادِ مُرْضِعَةٍ وَدَاءٍ مُغْيَلِ فَإِذَا نَظَرْتَ إِلَى
أَسِرَّةِ وَجْهِهِ بَرَقَتْ كَبَرْقِ الْعَارِضِ الْمُتَهَلِّلِ قَالَتْ :
فَقَامَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، وَقَبَّلَ بَيْنَ
عَيْنَيَّ ، وَقَالَ
: جَزَاكِ اللَّهُ يَا عَائِشَةُ عَنِّي خَيْرًا
مَا سُرِرْتِ مِنِّي كَسُرُورِي مِنْكِ
" .

(Tareekh e Baghdad 4487)

.

4:
رقم الحديث: 1891

(
حديث مرفوع) أَخْبَرَنَا أَبُو الْفَتْحِ
نَصْرُ اللَّهِ بْنُ مَحْمُودِ بْنِ عَبْدِ الْقَوِيِّ الْفَقِيهُ ، أَنْبَأَنَا
أَبُو نَصْرٍ أَحْمَدُ بْنُ عَلِيٍّ ، أَنْبَأَنَا أَبُو نُعَيْمٍ أَحْمَدُ بْنُ
عَبْدِ اللَّهِ الْحَافِظُ ، أَنْبَأَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ أَحْمَدَ
الْهَمَذَانِيُّ ، أَنْبَأَنَا أَوْسُ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ أَوْسٍ ، نَا دَاوُدُ
بْنُ سُلَيْمَانَ بْنِ خُزَيْمَةَ ، أَنْبَأَنَا أَبُو عُبَيْدَةَ مَعْمَرُ بْنُ
الْمُثَنَّى مِنْ تَيْمِ قُرَيْشٍ ، أَنْبَأَنَا هِشَامُ بْنُ عُرْوَةَ ، عَنْ
أَبِيهِ ، عَنْ عَائِشَةَ ، قَالَتْ : كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ
عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَخْصِفُ نَعْلَهُ ، وَكُنْتُ أَغْزِلُ ، فَنَظَرْتُ إِلَى
رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، فَجَعَلَ جَبِينُهُ يَعْرَقُ
، وَجَعَلَ عَرَقُهُ يَتَوَلَّدُ نُورًا ، قَالَتْ : فَبُهِتُّ فِيهِ ، فَنَظَرْتُ
إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، فَقَالَ : " مَا
لَكِ بُهِتِّ ؟ " ، فَقُلْتُ
: يَا رَسُولَ اللَّهِ ، نَظَرْتُ إِلَيْكَ
فَجَعَلَ جَبِينُكَ يَعْرَقُ ، وَجَعَلَ عَرَقُكَ يَتَوَلَّدُ نُورًا ، فَلَوْ
رَآكَ أَبُو كَبِيرٍ الْهُذَلِيُّ لَعَلِمَ أَنَّكَ أَحَقُّ بِشِعْرِهِ ، قَالَ :
" وَمَا يَقُولُ يَا عَائِشَةُ أَبُو كَبِيرٍ الْهُذَلِيُّ ؟ " ،
فَقَالَتْ
: يَقُولُ : وَمُيِّزَا مِنْ كُلِ عَيَرِ
حَيْضَةٍ وَفَسَادِ مُرْضِعَةٍ وَدَاءٍ مُغْيَلِ فَإِذَا نَظَرْتَ إِلَى أَسِرَّةِ
وَجْهِهِ بَرَقَتْ كَبَرْقِ الْعَارِضِ الْمُتَهَلِّلِ . كَذَا قَالَ ، وَقَدْ
أَسْقَطَ الْبُخَارِيَّ وَشَيْخَهُ مِنْ إِسْنَادِهِ


(Tareekh e Damishq 1891)

.

5:
رقم الحديث: 1892

(
حديث مرفوع) أَخْبَرَنَاهُ أَبُو مَنْصُورٍ
مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الْمَلِكِ بْنِ الْحَسَنِ بْنِ خَيْرُونَ ، وَأَبُو
الْحَسَنِ عَلِيُّ بْنُ الْحَسَنِ ، قَالَ : أَنْبَأَنَا أَبُو بَكْرٍ الْخَطِيبُ
، أَنْبَأَنَا أَبُو حَازِمٍ عُمَرُ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ إِبْرَاهِيمَ
الْعَبْدَوِيُّ بِنَيْسَابُورَ ، أَخْبَرَنِي أَحْمَدُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ عَبْدِ
الْعَزِيزِ الْجُرْجَانِيُّ ، حَدَّثَنِي دَاوُدُ بْنُ سُلَيْمَانَ بْنِ
خُزَيْمَةَ الْبُخَارِيُّ ، أَنْبَأَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ
الْبُخَارِيُّ ، أَنْبَأَنَا عَمْرُو بْنُ مُحَمَّدٍ ، أَنْبَأَنَا أَبُو
عُبَيْدَةَ مَعْمَرُ بْنُ الْمُثَنَّى التَّيْمِيُّ ، أَنْبَأَنَا هِشَامُ بْنُ
عُرْوَةَ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ عَائِشَةَ ، قَالَتْ : كُنْتُ قَاعِدَةً أَغْزِلُ
، وَالنَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يَخْصِفُ نَعْلَهُ ، فَجَعَلَ جَبِينُهُ
يَعْرَقُ ، وَجَعَلَ عَرَقُهُ يَتَوَلَّدُ نُورًا ، فَبُهِتُّ ، فَنَظَرَ إِلَيَّ
رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، فَقَالَ : " مَا لَكِ
يَا عَائِشَةُ بُهِتِّ ؟ " ، قُلْتُ
: جَعَلَ جَبِينُكَ يَعْرَقُ ، وَجَعَلَ عَرَقُكَ
يَتَوَلَّدُ نُورًا ، وَلَوْ رَآكَ أَبُو كَبِيرٍ الْهُذَلِيُّ لَعَلِمَ أَنَّكَ
أَحَقُّ بِشِعْرِهِ ، قَالَ : " وَمَا يَقُولُ أَبُو كَبِيرٍ الْهُذَلِيُّ ؟
" ، قَالَتْ : قُلْتُ : يَقُولُ : وَمُبَرَّأ
مِنْ كُلِّ غُبَّرِ حَيْضَةٍ وَفَسَادِ مُرْضِعَةٍ وَدَاءٍ مُغْيَلِ فَإِذَا
نَظَرْتَ إِلَى أَسِرَّةِ وَجْهِهِ بَرَقَتْ كَبَرْقِ الْعَارِضِ الْمُتَهَلِّلِ
قَالَتْ : فَقَامَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، وَقَبَّلَ
بَيْنَ عَيْنَيَّ ، وَقَالَ : " جَزَاكِ اللَّهُ يَا عَائِشَةُ عَنِّي
خَيْرًا ، مَا سَرَرْتِ مِنِّي كَسُرُورِي مِنْكِ " ، الصَّوَابُ : لِشَيْءٍ
. وَقَدْ رُوِيَ عَنِ الْبُخَارِيِّ مِنْ وَجْهٍ آخَرَ
.

(Tareekh e Damishq 1892)

.

6:
رقم الحديث: 1893

(
حديث مرفوع) أَخْبَرَنَاهُ أَبُو مُحَمَّدٍ
إِسْمَاعِيلُ بْنُ أَبِي الْقَاسِمِ بْنِ أَبِي بَكْرٍ الْقَارِئُ ، أَنْبَأَنَا
أَبُو حَفْصٍ عُمَرُ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ مُحَمَّدِ بْنِ مَسْرُورٍ الزَّاهِدُ
. وَأَخْبَرَنَا أَبُو الْقَاسِمِ
الشَّحَّامِيُّ ، وَأَبُو الْحَسَنِ عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ
أَحْمَدَ البيهقي ، قالا
: أَنْبَأَنَا أَبُو يَعْلَى الصَّابُونِيُّ ،
قالا : أَنْبَأَنَا الْعَبَّاسِ أَحْمَدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ أَحْمَدَ
الْبَالَوِيُّ ، أَنْبَأَنَا أَبُو ذَرٍّ مُحَمَّدُ بْنُ يُوسُفَ الْقَاضِي ،
حَدَّثَنَا أَبِي ، أَنْبَأَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّهِ مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ
، أَنْبَأَنَا عَمْرُو بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ جَعْفَرٍ ، أَنْبَأَنَا أَبُو
عُبَيْدَةَ مَعْمَرُ بْنُ الْمُثَنَّى ، حَدَّثَنِي هِشَامُ بْنُ عُرْوَةَ ،
حَدَّثَنِي أَبِي ، حَدَّثَتْنِي عَائِشَةُ ، قَالَتْ : دَخَلَ عَلَيَّ رَسُولُ
اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَوْمًا ، فَقَعَدَ يَخْصِفُ نَعْلا ،
وَأَنَا قَاعِدَةٌ أَغْزِلُ ، فَرَفَعْتُ بَصَرِي إِلَيْهِ ، فَإِذَا سَالِفَتُهُ
ذَاتُ عَرَقٍ ، وَهُوَ يَتَوَلَّدُ فِي عَيْنِي نُورًا ، فَبُهِتُّ . فَرَفَعَ
رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ رَأْسَهُ ، فَقَالَ : "
إِلَى مَا تَنْظُرِينَ يَا عَائِشَةُ ؟ قَدْ بُهِتِّ " ، فَقُلْتُ :
وَاللَّهِ مَا أَنْظُرُ إِلَى شَيْءٍ مِنْ وَجْهِكَ إِلا تَوَلَّدَ فِي عَيْنِي
نُورًا ، وَقَالَتْ
: أَمَا وَاللَّهِ لَوْ رَآكَ أَبُو كَبِيرٍ
الْهُذَلِيُّ لَعَلِمَ أَنَّكَ أَحَقُّ بِشِعْرِهِ مِنْ غَيْرِكَ ، فَقَالَ
النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " وَمَا قَالَ أَبُو كَبِيرٍ
؟ " فَقُلْتُ : قَالَ
: وَمُبَرَّأ مِنْ كُلِّ غُبَّرِ حَيْضَةٍ
وَفَسَادِ مُرْضِعَةٍ وَدَاءٍ مُغْيَلِ وَإِذَا نَظَرْتَ إِلَى أَسِرَّةِ وَجْهِهِ
بَرَقَتْ كَبَرْقِ الْعَارِضِ الْمُتَهَلِّلِ قَالَتْ : فَوَضَعَ رَسُولُ اللَّهِ
صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَا كَانَ فِي يَدِهِ ، وَقَامَ إِلَيَّ ،
وَقَبَّلَ مَا بَيْنَ عَيْنَيَّ ، وَقَالَ : " جَزَاكِ اللَّهُ خَيْرًا يَا
عَائِشَةُ ، فَمَا أَعْلَمُ أَنِّي سُرِرْتُ بِشَيْءٍ كَسُرُورِي بِكَلامِكِ
" . قَال أَبُو العباس : قَال أَبُو ذر : سألني أَبُو علي صالح بن مُحَمَّد
البغدادي ، عن حديث أَبِي عبيدة معمر بن المثنى هذا ، فحدثته ، وَقَالَ الصابوني :
الذي مضى أن أحدثه به ، وقالا : فحدثته به ، فقَال
: لو سمعت هذا ، وَقَالَ الصابوني : بهذا
، عن غير أَبِيك ، عن مُحَمَّد ، زاد ابن مسرور : بن إسماعيل البخاري ، وقالا :
لأنكرنه أشد الإنكار لأني لم أعلم قط أن أَبَا عبيدة حدث عن هشام بن عروة شيئا ،
لكنه حسن عندي خيرا صار مخرجه عن مُحَمَّد بن إسماعيل


(Tareekh e Damishq 1893)

.

7:
رقم الحديث: 64638

(
حديث مرفوع) أَخْبَرَنَا أَبُو الْفَتْحِ
نَصْرُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدٍ الْفَقِيهُ ، أَنَا أَبُو مَنْصُورِ بْنُ
شُكْرَوَيْهِ ، نَا أَبُو نُعَيْمٍ أَحْمَد بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الْحَافِظ ، نَا
إِبْرَاهِيمُ بْنُ أَحْمَد الْهَمْدَانِيُّ ، نَا أَوْسُ بْنُ أَحْمَد بْنِ أَوْسٍ
، نَا دَاوُد بْنُ سُلَيْمَانَ بْنِ خُزَيْمَةَ . ح وَأَخْبَرَنَاهُ أَبُو
مَنْصُورِ بْنُ خَيْرُونٍ ، أَنَا أَبُو بَكْرٍ الْخَطِيبُ ، أَنَا أَبُو حَازِمٍ
الْعَبْدَوِيُّ ، أَخْبَرَنِي عَلِيُّ بْنُ أَحْمَد الْجُرْجَانِيُّ ، حَدَّثَنِي
دَاوُد بْنُ سُلَيْمَانَ بْنِ خُزَيْمَةَ الْبُخَارِيُّ ، نَا مُحَمَّدُ بْنُ
إِسْمَاعِيلَ الْبُخَارِيُّ ، نَا عَمْرُو بْنُ مُحَمَّدٍ ، نَا أَبُو عُبَيْدَةَ
مَعْمَرُ بْنُ الْمُثَنَّى التَّيْمِيُّ ، زَادَ نَصْرُ اللَّهِ : مِنْ تَيْمِ
قُرَيْشٍ ، نَا هِشَامُ بْنُ عُرْوَةَ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ عَائِشَةَ ، قَالَتْ
: كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَخْصِفُ نَعْلَيْهِ ،
وَكُنْتُ أَغْزِلُ ، فَنَظَرْتُ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ
وَسَلَّمَ فَجَعَلَ جَبِينُهُ يَعْرَقُ ، وَجَعَلَ عَرَقُهُ يَتَوَلَّدُ نُورًا ،
قَالَتْ : فَبُهِتُّ فِيهِ ، فَنَظَرَ إِلَيَّ ، زَادَ الْخَطِيبُ : صلى الله عليه
وسلم وَقَالا : فَقَالَ : " مَا لَكِ بُهِتِّ ؟ " ، فَقُلْتُ : يَا
رَسُولَ اللَّهِ نَظَرْتُ إِلَيْكَ ، فَجَعَلَ جَبِينُكَ يَعْرَقُ ، وَجَعَلَ عَرَقُكَ
يَتَوَلَّدُ نُورًا ، فَلَوْ رَآكَ أَبُو كَبِيرٍ الْهُذَلِيُّ لَعَلِمَ أَنَّكَ
أَحَقُّ بِشِعْرِهِ ، قَالَ : " وَمَا يَقُولُ يَا عَائِشَةُ أَبُو كَبِيرٍ
الْهُذَلِيُّ ؟ " ، فَقَالَتْ : يَقُولُ : وَمُبَرَّأٌ مِنْ كُلِّ غُبَّرِ
حَيْضَةٍ وَفَسَادِ مُرْضِعَةٍ وَدَاءٍ مُغْيِلِ وَإِذَا نَظَرْتَ إِلَى أَسِرَّةِ
وَجْهِهِ بَرَقَتْ كَبَرْقِ الْعَارِضِ الْمُتَهَلِّلِ سِيَاقُ الْحَدِيثِ
لِنَصْرِ اللَّهِ ، وَسَقَطَ مِنْ رِوَايَتِهِ ذِكْرُ مُحَمَّدِ بْنِ إِسْمَاعِيلَ
، وَعمْرِو بْنِ مُحَمَّدٍ ، وَزَادَ فِي آخِرِهِ
: قَالَتْ : فَقَامَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ
عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، وَقَبَّلَ بَيْنَ عَيْنَيَّ ، وَقَالَ : " جَزَاكِ
اللَّهُ يَا عَائِشَةُ عَنِّي خَيْرًا ، مَا سُرِرْتِ مِنِّي كَسُرُورِي مِنْكِ
"

(Tareekh e Damishq 64638)

.

8:
رقم الحديث: 3266

(
حديث مرفوع) أخبرنا به يُوسُفُ بْنُ يَعْقُوبَ
الشَّيْبَانِيُّ ، قال
: أخبرنا زَيْدُ بْنُ الْحَسَنِ الْكِنْدِيُّ ،
قال : أخبرنا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ مُحَمَّدٍ الْقَزَّازُ ، قال : أخبرنا
الحافظ أبو بكر أَحْمَدُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ ثَابِتٍ الْخَطِيبُ ، قال : أخبرنا
أَبُو حَازِمٍ عُمَرُ بْنُ أَحْمَدَ الْعَبْدَوِيُّ ، بِنَيْسَابُورَ ، قال
: حدثنا عَلِيُّ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ
عَبْدِ الْعَزِيزِ الْجُرْجَانِيُّ ، قال
: حدثنا دَاوُدُ بْنُ سُلَيْمَانَ بْنِ
خُزَيْمَةَ الْبُخَارِيُّ ، قال
: حدثنا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ الْبُخَارِيُّ
، قال : حدثنا عَمْرُو بْنُ مُحَمَّدٍ ، قال : حدثنا أَبُو عُبَيْدَةَ مَعْمَرُ
بْنُ الْمُثَنَّى التَّيْمِيُّ ، قال : حدثنا هِشَامُ بْنُ عُرْوَةَ ، عَنْ
أَبِيهِ ، عَنْ عَائِشَةَ ، قَالَتْ : كُنْتُ قَاعِدَةً أَغْزِلُ ، والنَّبِيُّ
صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وسَلَّمَ يَخْصِفُ نَعْلَهُ ، فَجَعَلَ جَبِينَهُ
يَعْرَقُ ، وجَعَلَ عَرَقُهُ يَتَوَلَّدُ نُورًا فَبُهِتَ ، فَنَظَرَ إِلَيَّ
رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وسَلَّمَ ، فَقَالَ
: " مَالَكِ يَا عَائِشَةُ بُهِتِّ "
، قُلْتُ : جَعَلَ جَبِينُكَ يَعْرَقُ ، وجَعَلَ عَرَقُكَ يَتَوَلَّدُ نُورًا ،
ولَوْ رَآكَ أَبُو كَبِيرٍ الْهُذَلِيُّ لَعَلِمَ أَنَّكَ أَحَقُّ بِشِعْرِهِ .
قال : " ومَا يَقُولُ أَبُو كَبِيرٍ ؟ " قَالَت : قُلْتُ : يَقُولُ
ومُبَرَّأٌ مِنْ كُلِّ غُبَّرِ َحَيْضَةٍ وفَسَادِ مُرْضِعَةٍ ودَاءِ مُغِيلِ
فَإِذَا نَظَرْتُ إِلَى أَسِرَّةِ وجْهِهِ بَرَقَتْ كَبَرْقِ الْعَارِضِ
الْمُتَهَلِّلِ قَالَتْ : فَقَامَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وسَلَّمَ ،
وقَبَّلَ بَيْنَ عَيْنَيَّ ، وقال : " جَزَاكِ اللَّهُ يَا عَائِشَةُ عَنِّي
خَيْرًا مَا سُرِرْتُ مِنِّي كَسُرُورِي مِنْكِ " . وبه قال : أخبرنا أَبُو
بَكْرٍ الْخَطِيبُ ، قال : أخبرنا إِبْرَاهِيمُ بْنُ عُمَرَ الْبَرْمَكِيُّ ، قال
: حدثنا إِسْحَاقُ بْنُ سَعْدِ بْنِ الْحَسَنِ بْنِ سُفْيَانَ النَّسَوِيُّ ، قال
: حدثنا أَبُو ذَرٍّ مُحَمَّدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ الْقَاضِي ، إِمْلاءً
، قال : حدثنا أَبِي ، قال
: حدثنا أَبُو عَبْدِ اللَّهِ مُحَمَّدُ بْنُ
إِسْمَاعِيلَ ، قال : حدثنا عَمْرُو بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ جَعْفَرٍ ، قال : حدثنا
أَبُو عُبَيْدَةَ مَعْمَرُ بْنُ الْمُثَنَّى ، قال : حَدَّثَنِي هِشَامُ بْنُ عُرْوَةَ
، قال
: حَدَّثَنِي أَبِي ، قال : حَدَّثَتْنِي
عَائِشَةُ ، بِنَحْوِهِ
.

(Tehzibul Kamal 3266)

.

.


Is riwayat ko Imam Suyuti ne bhi Khasaisul Kubra
J-1 Pg. 167 pe naqal kiya hai.
.

Sabse zyada maze ki baat ye hai ki is riwayat ko
Imam Bukhari ne bhi bayan kiya hai


SubhanALLAH
.
Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ke
Noori sifat hone pe Sahaba ka aqeeda
:
Hadees#7:
 رقم الحديث: 5384

(
حديث مرفوع) حَدَّثَنَا أَبُو الْعَبَّاسِ مُحَمَّدُ
بْنُ يَعْقُوبَ
، ثَنَا أَبُو الْبَخْتَرِيُّ
عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ شَاكِرٍ
، ثَنَا زَكَرِيَّا بْنُ يَحْيَى
الْخَزَّازُ
،
ثَنَا
عَمُّ أَبِي زَحْرِ بْنِ
حُصَيْنٍ
،
عَنْ جَدِّهِ
حُمَيْدِ بْنِ مُنْهِبٍ ، قَالَ : سَمِعْتُ جَدِّي خُرَيْمَ بْنَ أَوْسِ بْنِ
حَارِثَةَ بْنِ لامٍ
رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، يَقُولُ : هَاجَرْتُ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ
صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ مُنْصَرَفَهُ مِنْ تَبُوكَ ،
فَأَسْلَمْتُ ، فَسَمِعْتُ الْعَبَّاسَ بْنَ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ ، يَقُولُ : يَا
رَسُولَ اللَّهِ ، إِنِّي أُرِيدُ أَنْ أَمْتَدِحَكَ ،
فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ : " قُلْ
لا يُفَضْفِضُ اللَّهُ فَاكَ " ، قَالَ
:
فَقَالَ الْعَبَّاسُ : مِنْ قَبْلِهَا طِبْتَ فِي
الظِّلالِ وَفِي مُسْتَوْدَعٍ حَيْثُ يَخْصِفُ الْوَرِقُ ثُمَّ هَبَطَتَ الْبِلادُ
لا بَشَرٌ أَنْتَ وَلا مُضْغَةٌ وَلا عَلَقُ بَلْ نُطْفَةٌ تَرْكَبُ السَّفِينَ
وَقَدْ أَلْجَمَ نَسْرًا وَأَهْلَهُ الْغَرَقُ تُنْقَلُ مِنْ صَالبٍ إِلَى رَحِمٍ
إِذَا مَضَى عَالَمٌ بَدَا طَبَقُ حَتَّى احْتَوَى بَيْتَكَ الْمُهَيْمِنُ مِنْ
خِنْدِفَ عَلْيَاءَ تَحْتَهَا النُّطُقُ وَأَنْتَ لَمَّا وُلِدْتَ أَشْرَقَتِ
الأَرْضُ وَضَاءَتْ بِنُورِكَ الأُفُقُ فَنَحْنُ فِي ذَلِكَ الضِّيَاءِ وَفِي
النُّورِ وَسُبِلِ الرَّشَادِ نَخْتَرِقُ
.
هَذَا حَدِيثٌ تَفَرَّدَ بِهِ
رُوَاتُهُ الأَعْرَابُ عَنْ آبَائِهِمْ ، وَأَمْثَالُهُمْ مِنَ الرُّوَاةِ لا
يَضَعُونَ
.



Ibn Abbas r.a farmate hain:

Jab Aap (Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam) paida hue
to zameen roshan ho gayi apke Shoaa-e-Noor se. Ufuq asman munawwar ho gaya.


Ab hum us Roshni, Is Noor aur hidayat ke raste me
rawa dawaan hain.


(Hakim al Mustadrak H.no 5384 )
(»وَمنْ مَنَاقِبِ أَهْلِ
بَيْتِ رَسُولِ اللَّهِ
 كِتَابُ
مَعْرِفَةِ الصَّحَابَةِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ
...
» المستدرك على الصحيحين)



Ye Hadees Bukhari wa Muslim ki shart pe saheeh hai.



Iski bahot sari shawahid bhi maujud hain  Click
Here
.

Imam Jalaluddin Suyuti ne bhi isko Khasaisul
Kubra me naqal kiya hai Jild 1 Pg 100 par maujud hai.






 






 

3: Aimma wa Muhaddiseen ke
nazdik


1: Imam Nawawi  rehmatullahe
ta'ala alaihe  ke Sheikh Imam Abu Shama  ne apni Kitab Al ba’ith ala Inkar Al bida`wal
hadis me Kaha:

.


Sabse achhi Biddat ye hai ki har saal Miladun Nabi manayi jaye, Gharibo ko
khairat diya jaye, achhe kapde pehne jayen, aur jo log ye mana rahe hain, Unke
dilo me Khushi aur Mohabbat ka izhar ho, aur Allah ka shukr ada karen ki jisne
tamam Aalam ke liye Rehmat bheja.
(Kitab Al ba’ith ala Inkar Al bida`wal hadis  P.23)

2: Ibn Hajar Asqalani apni Al-Durar al-kamina fi `ayn al-Mi’at
al-samina, me likhte hain:

.


Imam Ibne Kaseer ne apni akhir zindagi ke qarib ek kitab likhi Mawlid Rasool
Allah, jo duniya me padhi jati hai, aur isme Milad Sharifka Jawaz aur iski Madubaat
sabit kiye hain.

.
Ibn Hajar Asqalani ka dusra qaul:
.

Ibn Hajar Asqalani se Milad manane ke talluq se sawal
kiya gaya to Ibn Hajar farmate hain ki Milad mana ek aisa amal hai jiska subut
shuru ki 3 sadi se nai milta. Isme dono tarah ke amal shamil ho jate hain jo
tarif ke qabil bhi hai aur jo nahi hai.


Agar koi is baat ka khayal rakhe ki isme sirf achhi chizon ko shamil kare aur Milad manaye to ye tarif ke
qabil hai, warna hai hai.


.

Ek sahi Hadees jisse hume iska subut milta hai wo
Bukhari aur Muslim ke majmue me hai. Ki jab Nabi Sallallaho alaihe wasallam
Madina Sharif tashrif laye aur Yahudiyon aur Nasraaniyon ko Muharram ke Ashura
ka roza rakhte dekha.


.

To unse iske bare me pucha to unhone jawab diya ki
ALLAH ne is din Firaun ko ghark kiya aur Musa alaihis salam ko najaat di. To
hum ALLAH ka shukr ada karne ke liye is din roza rakhte hain isse ALLAH ki
shukrguzari zahir hoti hai jo kuch ALLAH ne nematen at kiya is khas din par.
Aur musibaton se najaat di.


Shukrguzari ke liye har saal us din ko manana, roza
rakhna, tarah tarah se ibadaten karna aur sajde karna aur Quran padhna
wagairah.


To fir ALLAH ke Mehbub Sallallaho alaihe wasallam
ki wiladat se badi kya nemat hogi?


Ki is din Rehmatul Lil Aalameen tashrif laye.
Is wajah se zaruri hai
ki is muaiyyan di ko manaya jaye taki Yaume Ashurake hawale se Hazrat Musa
alaihis salam ke waqeye ki mutabiqat ho jaye. Aur agar koi is chiz ko malhuz na
rakhe to Milad-e-Musatafa Sallallaho alaihe wasallam ko maah ke kisi bhi din
manane me harj nahi balki baaz ne ot isey yahan tak wasee kiya hai ki saal me
koi bhi din mana liya jaye, bas yehi hai jo ki Mawlid ki asal se mutalliq hai.


[Husn al-Maqsad fi Amal al-Mawlid Page No. 63
-64]




Aap Sabke samne bahot hi Motabar Aimm-e-Mujtehdin ke Aqwaal maujud
hain, ki ye sab Milad un Nabi alaihe salam ko jaez mante hain. Kya aaj ke Najdi
Wahabi, in sabse Zyada qabil ho gaye hain? Jo Milad ko Na-Jaez kehte hain??



3: Imam Shamsuddin Damishqi :


 

Imam Suyuti Imam Shamsuddin Damishqi ke hawale se likhte hain :

قد صح أن أبا لهب يخفف عنه عذاب النار في مثل يوم
الاثنين لإعتاقه ثويبة سرورا بميلاد النبي صلى الله عليه وسلم ثم أنشد
:


إذا كان هذا كافرا جاء ذمه * وتبت يداه في الجحيم
مخلدا


أتى أنه في يوم الاثنين دائما * يخفف عنه للسرور
بأحمدا


فما الظن بالعبد الذي طول عمره * بأحمد مسرورا
ومات موحدا


.

Ye sabit ho chuka hai ki Abu Lahab ke aag ke
azab me Peer ke roz takhfeef hui ki usne Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki
wiladat par khushi manai thi aur apni ghulam Suwaiba ko azad kiya tha.


Jab Abu Lahab jaise kafir jiska sara jism aag me ho uske talluq se ek
puri Sureh Tabbat Yada nazil hui,


uske bhi azab me Peer ke roz takhfeef hui to fir us Momin ka tasawwur
kijiye.


Jisne apni sari zindagi Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki wiladat par
khushi manata hai aur Wisal par sabr karta hai..


[ Mawrid as Sadi Fi Mawlid al Hadi by Imam al-Dimishqi and Imam Suyuti
in Hassan al Maqsad fi Amal al Mawlid, Page No. 66]













4: Imam Zarqani wa Imam Jazri ki nazar me:



Imam Ibn Jazri r.a
farmate hain:

Jab ek Kafir(Abu Lahab) jiske khilaf quran me puri ek sureh nazil hui, usey
Nabi alaihis salam ki paidaish par khushi manane ke sabab jahannam ki aag me
takhfeef ho jati hai.

To us Ummat ka maqam kya hoga jo Nabi alaihis salam ke liye khushiyan manate
hain aur unki Muhabbat me kharch karte hain.

ALLAH unhe jaza-e-Khair dega aur apni Jannat me dakhil farmayega.

[Sharh al-Zarqani, Volume No.1, Page No. 261].

Scan Page:







5: Bukhari ki Mash’hur sharah
Irshadus Saari likhne wale Imam Qastalani ki nazar me:
Allama Imam
Qastalani (851-923 Hijri) Ka Bada Pyara Qaul.




Sahib E 'Irshadussari Shrah Sahih Al Bukhari' Imam
Shabuddin Abualabbas Ahmab Bin Abi Bakr Qastalani(923hijri) Milaad Manane Ke
Mutalik Likhte Hai:-




ولا زال أهل الإسلام يحتفلون بشهر مولده عليه السلام، ويعملون الولائم،
ويتصدقون في لياليه بأنواع الصدقات، ويظهرون السرور ويزيدون في المبرات. ويعتنون
بقراء ة مولده الکريم، ويظهر عليهم من برکاته کل فضل عظيم
.




ومما جُرّب من خواصه أنه أمان في ذالک العام، وبشري عاجلة بنيل البغية
والمرام، فرحم اﷲ امرءًا اتّخذ ليالي شهر مولده المبارک أعيادًا، ليکون أشد علة
علي من في قلبه مرض وأعيا داء
.

"Hamesha Se Ahle Islam
Huzoor Nabi E Akram(Sallallahualehiwasallam) Ki Wiladat Wa Saadat Ke Mahine Mai
Mahfile Milaad Munaqqid Karte Aaye Hai,


Wo Dawato Ka Ahtemam Karte Hai Aur Is
Mahe(Rabiulawwal) Ki Rato Mai Sadqat Wa Khairat Ki Tamam Mumkina Surte Baraye
Kar Late Hai,


Izhare Masarrat Aur Nekiyo Mai Kasrat Karte Hai Aur
Milaad Sharif Ke Charche Kiye Jate Hai,


Har Musalman Milaad Sharif Ki Barkat Se Baher Taur
Faizyab Hote Hai."




"Mahfile Milaad Sharif Ke Muzarbaat Mai Se Ek
Ye Bhi Hai Ke Jis Saal Milaad Manaya Jaye Us Saal Aman Qaim Rahta Hai,


Neez Ye Amal Nek Maqsad Aur Dili Khawisat Ki Fauri
Takmeel Mai Basarat Hai,


Pas ALLAH TALA Us Shaks Per Rahm Farmaye Jis Ne
Mahe Milaadunnabi(Sallallahualehiwasallam) Ki Rato Ko Bhi Wataur Eid Mana Kar
Is Ki Siddat Marz Mai Izafa Kiya Jis Ke Dil Mai Bugz Risalat
Ma'ab(Sallallahualehiwasallam) Ke Sabab Pahle Hi Khatar nak Bimari Hai"


[Al Mawahib Ul Laduniya Jild.1 Safa.148]

Scan Page:



6: IMAM JALALUDDIN SUYUTI, MILAD KE BARE ME FARMATE HAIN:


أن أصل عمل المولد الذي هو اجتماع الناس وقراءة ما تيسر
من القرآن ورواية الأخبار الواردة في مبدأ أمر النبي صلى الله عليه وسلم وما وقع
في مولده من الآيات ثم يمد لهم سماط يأكلونه وينصرفون من غير زيادة على ذلك هو من
البدع الحسنة التي يثاب عليها صاحبها لما فيه من تعظيم قدر النبي صلى اللهعليه
وسلم وإظهار الفرح والاستبشار بمولده الشريف


Eid
Miladun Nabi ki Haqiqat ye hai ki is din log Jama ho, Quran padhen, jis taah
asani ho, aur Nabi sallallaho alaihe wasallam ke bare me bayan karen, aur un
Waqeyat ka jo Nabi alaihe salam ki Wiladat ke din guzre, aur inke Liye Khane ka
Intezam kiya jaye, aur fir ye log wapasapne Gharo ko jayen, Is Bidat-e-Hasnah
me kisi aur chiz ka izafa na karen.

"Jo ise manata hai, wo Nabi sallallaho alaihe wasallam kI Tazim ki waja se
sawab paata hai, aur inki wiladat par Khushi ka izhar karta hai"

[As-Suyuti – Rahimuhullah in Al Hawi lil Fatawi, Volume 1, Page No. 292,
Published by Maktaba al Asriya, Beirut, Lebanon]
Scan
Page:





(Husnul Maqsad fi Amalil Mawlid Pg.41 )
Scan
Page:





Milad-e-Mustafa
Sallallaho alaihe wasallam par Sheikh Tajuddin Umar bin Ali al_khami
Sikandari
, jo Fakehani ki nisbat se mash’hur hai. Usne daawa kiya ki Milad
Sharif Bidat-e-Mazmuma hai. unhone is silsile me ek mazmun likha hai jiska
unwan hai “Al-Mawrid fi-Kalaam Alal Mawlid”.
.
Imam Suyuti
ne uska jawab dete hue jo likha usey apke samne pesh karta hu..
.
“Uska ye
kehna ki Kitab-o-Sunnat me mujhe Milad ka Asal ilm nahi ho saka. To us silsile
me arz hai ki kisi chiz ke ilm ki nafi uske wajud ki nafi ko multazim nahi (yani
zaruri nahi ki jis chiz ka ilm na ho wo chiz maujud hi na ho). Imamul Huffaz
Abul Fazl Ahmad Ibn Hajar Asqalani ne Milad sharif ki asal sunnat se nikali
hai. ek aur Asl maine bhi nikali hai jiska zikr aage ayega.
.
Aur Fakehani
ka ye kehna ki ye bidat hai. jaise fizul aur behudah logon aur pet ke un bandon
ne ijad kiya jinpar shehwat-e-nafs ka ghalba
hai. aur fir bidat ki mukhtalif qismen bayan karke ye kehna ki ye na to
wajib hai na mandub, isliye kin a to sara hai na iska mutalba kiya hai aur na
sahaba wa tabaeen aur na hi motaqid me Ulama ne isey Munaqid kiya hai.
Is silsile
me mai kehta hu jaisa ki pehle guzar chukka hai isey ek Sultan Aadil wa Aalim
bahot zoron se manata tha jisne iska maqsad taqarrub Ila-ALLAH ka husul tha.
Iske paas bahot se Ulama wa Sulaha maujud the magar kisi ne ispar nakeer nahi
ki. Balki Ibn Wahiya (aise Yagana rozgar Aalim-e- Deen ne) ise pasnd
kiya is mauzu par is ke liye ek kitab likhi jiska naam “Al-Tanwir
fi-Mawlidil Basheerun Nazeer
” hai. ye 625 Hijri me likhi gayi.  Ye sab motaqid me Ulama hi the. Jinhone Milad
Sharif ko pasnd kiya. Iski taeed wa Tausiq ki aur mazammat ya tardeed nahi ki
(jo Is baat ka muh bolta subut hai ki Fakehani ne jo kuch bayan kiya wo Galat
hai) raha iska ye kehna ki ye mandub bhi nahi. Isliye Mandub haqiqat me wo amal
hota hai jijska Shara ne Mutalba kiya ho. Is silsile me guzarish hai ki mandub
ke bare me shara ka mutalba kabhi to nass ke zariye se malum hota hai aur
kabhi  qiyas ke zariye. Milad Sharif ke
bare me garche nass warid nahi hui, taaaham un 2 Aslon se jinka zikr aage
ayega, Qiyas zarur hota hai yani un 2 aslon par Qiyas karke iske nadab ka andazah
kiya ja sakta hai.”
(Husnul Maqsad fi Amalil Mawlid Pg.50-51)

                                                                                   
Scan Page:








,
Imam Suyuti
Milad ke bare me mazeed likhte hain:
.
Min Jumla un
Bid’aat ke jo un logon ne Ijad kar rakhi hain aur iske sath hi wo ye etqad bhi
rakhte hain ki ye bahot badi ibadat aur izhar-e-sha’aaer (Kisi amr-e-azeem ki
yaadgar manana) hai. ye hai ki wo rabiul Awwal ke mahine me milad manate hain.
Jo bahot si bid’aat aur moharrimaat par mushtamil hoti hai. unme chand ye ki
shirkaa-e-Naghme aur ghazlen gaate hain. Aur uske sath Aalat-e-mausiqi,
dholakiyan, baansuriyan aur Saarangiyan wagairah istemal karte hain. Aur is
Silsile me kayi aur buri harkaten karte hain jo aksar rasmi taur par un awqat
me karte hain jinhe ALLAH ne fazilat wa azmat se nawaza hai.  (Maslan Eid wagairah ke mauqe) aur jo sarasar
Bidat-e-Moharrimaat hain. Isme koi shak nahi ki is tarah ka samaa, agar iske
alawa dusri raaton me bhi kiya jye to bhi Ne-jaez hai.
.
Agarche isi
maah-e-muqaddas me jise Khuda Buzurg wa bartar ne fazilat wa barkat bakhshi hai
ki apne Mehbub Sallallaho alaihe wasallam ko isme paida kiya, aisa samaa kiya
jaaye jisme Aalaat-e-Trab ka istemal kiya jaye. Aise Samaa ko is maahe muqaddas
ki Azmat se kya nisbat ho sakti hai. jisme ALLAH Jalle Jalaaluhu ne hum par
Huzur Syedul Awwaleen wal Aakhireen Sallallaho alaihe wasallam ki wiladat ba
sa’aadat ka ehsan-e-Azeem farmaya hai. lehaza wajib hai ki is mahine me khas
taur par ALLAH TA’ALA ka shukr baja laaya jaaye aur zyada se zyada Ibadat aur
khairaat ki jaaye ki usne hume is nemat-e-kubra se sarfaraz farmaya (Ki Huzur
Sallallaho alaihe wasallam ko isme paida farmaya).
.
Agarche Nabi
Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne is mahine me dusre mahino ki nisbat zyada
ibadat nahi farmayi (aur na hi iska hukm diya hai) Magar huzur Sallallaho
alaihe wasallam ka aisa karna dar-asal apni Ummat par rehmat wa shafqat ke
baais tha aur unke liye narmi aur asani paida karne ke liye tha. Isliye Huzur
Sallallaho alaihe wasallam koi amal chhod dete the ki kahin ye amal meri ummat
pe farz na ho jaye. Aur ye Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki rehmat ka natija
hai.
(Husnul
Maqsad fi Amalil Mawlid Pg.56-57)
Scan Page:




Miladun Nabi sallallaho alaihe wasallam ki Asl to Khud Nabi
sallallaho alaihe wasallam aur Sahaba se sabit hai, albatta iska jo tariqa zor
shor se shuru hua wo 6th sadi ke baad hua hai isliye is tariqe ko
bidat-e-Hasna kehte hain.



Iske aage Imam Jalaluddin
Suyuti likhte hain:
Tarawih ke liye liye Jama hona Sunnat aur Qurba hai, isi tarah
Milad manane ke liye Jama hona bhi mandub aur Qurba hai. Aur ise manane ki
niyat beshak mustahsana hai.

Mai Milad manane ka jawaz Ibn Hajar Asqalani ke baad ek aur jaga se lekar aaya
hu, ji unhone Ashura ke roze se sabit kiya tha,



Baihaqi me ek Hadees hai ki H.Anaz r.a se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe
wasallam ne apni Elan-e-Nabuwwat ke baad Aqiqa kiya, aur ye bhi likha hai ki
apke Dada H.Abdul Muttalib r.a ne apki wiladat ke 7ve din apka aqiqa kiya tha,
Jabki Aqiqa dohraya nahi ja sakta, isse ye sabit hota hai ki Nabi alaihe salam
ka ye amal faqat ALLAH ke shukr ke liye tha ki ALLAH ne sare jahan walo ke liye
rehmat ko bhej diya, aur Ummat ko izzat bakhshi. Isse ye pata chalta hai ki Nabi
alaihe salam khud apni khushi manate the, aur bas ye hamare liye mandub hai, ki
hum bhi is din Apne Nabi alaihe salam ki paidaish par apne momin bhaiyo se
milkar khushi ka izhar karen, logo ko Khana khilayen, aur achhe kaam karen,

(Husn al-maqsid fi `amal al-mawlid 64-65)
Scan
page:







7: Ibn Jawzi farmate hain (510-579 Hijri)


Allama Ibn E Jauzi Alehirrahma (579 Hijri)
Apni Kitab 'Maulood Ul Uroos" Jo Ki Puri Kitab
Milaadunnabi Ke Topic Per Hai Mai Farmate Hai:-


وجعل لمن فرح بمولده حجابًا

من النار وسترًا، ومن أنفق في مولده
درهمًا کان المصطفيٰ صلي الله عليه وآله وسلم له شافعًا ومشفعًا، وأخلف اﷲ عليه
بکل درهم عشرًا
فيا بشري لکم أمة محمد لقد نلتم خيرًا
کثيرًا في الدنيا وفي الأخري. فيا سعد من يعمل لأحمد مولدًا فيلقي الهناء والعز
والخير والفخر، ويدخل جنات عدن بتيجان درّ تحتها خلع خضرًا
.

"Aur Har Wo Shaks Jo Aap (Sallallahualehiwasallam)
Ke Milaad Ke Ba'is Khus Hua,


ALLAH TALA Ne Ye Khushi Is Ke Liye Aag Se Mahfooz
Rahne Ke Liye Hizaab Aur Dhaal Banadi,


Aur Jis Ne Maulood E Mustafa(Sallallahualehiwasallam)
Ke Liye ek Dirham Kharch Kiya To Aap(Sallallahualehiwasallam) Us Ke Liye
Shafe'n Wa Musafe'n Ho'nge,


Aur ALLAH TALA Har Dhiram Ke Badle Mai Us Das Dirham
Aata Farmayega..




Ye Ummat E Muhammadia! Tujhe Basarat Ke Tone Dunia
Wa Aakhirat Mai Khair E Kaseer Hasil Ki,


Pas Jo Koi Ahmad E Mujtaba(Sallallahualehiwasallam)
Ke Milaad Ke Liye Koi Amal Karta Hai To Khus Bakht Hai Aur Wo
Khusi,Izzat,Bhalai,Aur Fakhr Ko Pa Le Ga,


Aur Wo Jannat Ke Bago Mai Motio Se Marsa'n Taaj Aur
Sabz Libaas Pahne Dakhil Hoga."


[Maulood Al Uroos Safa.11]
Scan Page:




Ye Mawlid al Uroos ka Qalmi
Nuskha hai

.
8: Ibn Hajar Haismi (909-973 Hijri)
farmate hain:



Imam Ahmad Bin Muhammad Bin Ali Bin Hajar Haitmi
Makki Alehhirrahma (973 hijri)


Se Pucha Gaya Ke Fi Zamana Munaqqid Hone Wali Mahfile
Milaad Aur Mahfile Azkar Sunnat Hai Ya Biddat To Unhone Jawab Diya:-


الموالد والأذکار التي تفعل عندنا أکثرها مشتمل علي خير، کصدقة، وذکر،
وصلاة وسلام علي رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم ومدحه


Hamare Yanha Milaad Wa
Azkaar Ki Jo Mahfile Munaqqid Hoti Hai Wo Jyadatar Nek Kamo Par Mustamil Hoti
Hai Mislan Un Mai Sadqat Diye Jate Hai(Yani Gurba Ki Imdad Ki Jati Hai) Zikr
Kiya Jata Hai Huzoor(Sallallahualehiwasallam) Par Darood O Salam Padha Jata Hai
Aur Aap(Sallallahualehiwasallam) Ki Mad'ah Ki Jati Hai."


[Fatawa Hadeesiya Safa.202]

Scan Page:











9: Allama Ibn E Hajar Makki Ka Fatwa Tamam Makatibe
Fikr Nazdeek Musallam Hai,




*Imam Ibn E Hajar 973 Ke Hai Yani Aaj Se 463 Saal
Pahle Ke To Pata Milaad Tab Milaad Ki Mahfile Sajti Thi Ye Wahabio Ke Muh Par
Zabrdast Thapper Hai Jo Ye Kahte Hai Ke Milaad Ki Mahfil Alahazrat Ke Daur Mai
Izaad Hui Balke Ye To Ummat Ka Tasalsul Raha Hai.

10: Imam Shamsuddin Muhammb Bin Abdur
Rahman Sakhawi (902hijri)
Apne Fatwe Me
Milaadunnabi(Sallallahualehiwasallam) Manane Ke Bare Mai Farmate Hai:-


وإنما حدث بعدها بالمقاصد الحسنة،
والنية التي للإخلاص شاملة، ثم لا زال أهل الإسلام في سائر الأقطار والمدن العظام
يحتفلون في شهر مولده صلي الله عليه وآله وسلم وشرف وکرم بعمل الولائم البديعة،
والمطاعم المشتملة
علي الأمور البهية والبديعة، ويتصدقون في
لياليه بأنواع الصدقات، ويظهرون المسرات ويزيدون في المبرات، بل يعتنون بقرابة
مولده الکريم، ويظهر عليهم من برکاته کل فضل عظيم عميم، بحيث کان مما جرب کما قال
الإمام شمس الدين بن الجزري المقري، أنه أمان تام في ذالک العام وبشري تعجل بنيل
ما ينبغي ويرام


"Mahfile
Milaadunnabi(Sallallahualehiwasallam)Quroon E Salasa Ke Baad Sirf Nek Maksad Ke
Liye Suru Huyi Aur Jahan Tak Is Ke Ineqad Mai Niyat Ka Talluq Hai To Wo Ikhlas
Par Mabni Thi Fhir Hamesa Se Jumla Ahleislam Tamam Mumalik Aur Bade Bade Sahro
Mai Aap(Sallallahualehiwasallam) Ki Wiladat Wa Sadat Ke Mahine Mai Tha Mahfil E
Milaad Munaqkid Karte Chale Aa Rahe Hai Aur Is Ke Miyar Aur Izzat Wa Sharf Ko
Umda Jiyafato Aur Khoobsurat Taamgaho Dastarkhawn Ke Zariye Barqarar Rakha Ab
Bhi Maahe Milaad Ki Rato Mai Tarah Tarah Ki Sadqat Wa Khairat Dete Hai Aur
Khusiyon Ka Izhar Karte Hai Aur Jyada Se Jyada Nekiyan Karte Hai Balke Jobhi
Mahe Milaadunnabi(Sallallahualehiwasallam) Qareeb Aata Hai Khususi Ahtemam Shuru
Kar Dete Hai Aur Is Mahe Muqaddas Ki Barkat ALLAH TALA Ke Badhe Fazl E Azeem Ki
Surat Mai In Par Zahir Hoti Hai Ye Baat Tazurbati Amal Se Sabit Hai Jaisa Ki
Imam Shamsuddin Bin Jazri Maqri Ne Bayan Kiya Hai Mahe Milaad Ke Is Saal
Mukammal Taur Par Hifz Wa Aman Aur Salamti Rahti Hai Aur Bahut Jald Tamnnaye
Puri Hone Ke Basarat Milti Hai."




[Subulul Huda war Rashaad  Fi Sirate Khairul Ibad Jild.1 Safa-367]

Scan Page:












Juloos-e-Milad


11: Imam Qutubuddin Hanfi Makki
Alehhirrahma (990hijri)
Jo Ke Makka Mukarrama Mai Uloom E
Deenia Ke Ustaad The Ahle Makka Mukarrama Ke Muamlat Bayan Karte Huye Likhte
Hai:-


يزار
مولد النبي صلي الله عليه وآله وسلم المکاني في الليلة الثانية عشر من شهر ربيع
الأول في کل عام، فيجتمع الفقهاء والأعيان علي نظام المسجد الحرام والقضاة الأربعة
بمکة المشرفة ب
عد صلاة المغرب بالشموع الکثيرة والمفرغات
والفوانيس والمشاغل وجميع المشائخ مع طوائفهم بالأعلام الکثيرة ويخرجون من المسجد
إلي سوق الليل ويمشون فيه إلي محل المولد الشريف بازدحام ويخطب فيه شخص ويدعو
للسلطنة الشريفة، ثم يعودون إلي المسجد الحرام ويجلسون صفوفًا في وسط المسجد من
جهة الباب الشريف خلف مقام الشافعية ويقف رئيس زمزم بين يدي ناظر الحرم الشريف
والقضاة ويدعو للسلطان ويلبسه الناظر خلعة ويلبس شيخ الفراشين خلعة. ثم يؤذن
للعشاء ويصلي الناس علي عادتهم، ثم يمشي الفقهاء مع ناظر الحرم إلي الباب الذي
يخرج منه من المسجد، ثم يتفرقون. وهذه من أعظم مواکب ناظر الحرم الشريف بمکة
المشرفة ويأتي الناس من البدو والحضر وأهل جدة، وسکان الأودية في تلک الليلة
ويفرحون بها
.


12 Rabiulawwal Ki Raat Harsal Ba Qaida Masjid E
Haram Mai Ijtema Ka Elaan Ho Jata Tha Tamam Ilaqo Ke Ulmaa,Fuqaha,Gowernar Or
Charo Mazhab Ke Qazi Magrib Ke Namaz Ke Baad Masjidulharam Mai Ikhatte Ho Jate
Tamam Masaikh Aur Mashoor Muajaz Logo Ke Taife(Zatthe) Adaegi Namaz Ke Baad
Suyookullail Se Guzarte Hoye Mauloodunnabi(Sallallahualehiwasallam) Ki Ziyarat
Ke Liye Jate Un Ke Hato Mai Kaseer Tadad Mai Samae Fanoos Aur Masalain Hoti
Wanha Logo Ko Itna Kaseer Ijtema Hota Ke Jagah Na Milti Fhir Ek Aalim E Deen
Bahan Khitab Karte Tamam Musalmano Ke Liye Duae Hoti Phir Tamam Log Dobara
Masjid E Haram Mai Aajate Wapsi Per Masjid E Haram Mai Badshah Waqt Dastarbandi
Karta Phir Ishaa Ki Azaan Aur Jamat Hoti Us Ke Baad Log Apne Apne Gharo Ko
Chale Jate Ye Itna Bada Ijtema Hota Ke Doordaraz Dihato Sahro Hatta Ke Jiddah
Ke Log Bhi Is Mahfil Mai Sareek Hote Aur Aap(Sallallahualehiwasallam) Ki
Wiladat Par Khusi Ka Izhaar Karte The.




[Al A’laam wa Alam Baytul haram Safa.439]
Scan Page:










SubhanALLAH SubhanALLAH,



*Munkeerin E Milaad Se Sawal Hai Ke Jab Tak Harmain
Sharifain Par Wahabia Ka Qabza Nahi Hua Tha, Wahan Ulmaa Mashaikh Aur Awaam
Mahfile Milaad Ki Majlis Munaqqid Karte The Tab Tum Kanha The Aitraz Un Ulma
Mashaikh Per Kyu Nahi Kiye Haqikat To Ye Tab Ye Firke Paida Bhi Nahi Huye The.




Harmain Sharifain me bhi Milad hoti thi:

12: Mulla Ali Qari Alehhirrahma Apni
Kitab ALMAULOOD UR RAWI Jo Puri Miladunnabi Ke Unwan Per Hai Usme Imam Sakhawi
Ka Qaul Likhte Hai-


اِمام سخاوی:وأما أهل مکة معدن الخير والبرکة
فيتوجهون إلي المکان المتواتر بين الناس أنه محل مولده، وهو في ’’سوق الليل‘‘ رجاء
بلوغ کل منهم بذالک المقصد، ويزيد اهتمامهم به علي يوم العيد


Tarzuma:-Imam Shamsuddin Sakhawi(Rahmatullahaleh) Farmate Hai:Ahle Makka Muqarrama
Aap(Sallallahualehiwasallam) Ke Maulood Paak Jo Tawatur Ke Sath Sabit Hai
سوق الليل Mai Waqe Hai Ziyarat Ke Liye Is Umeed Per Jate Hai Ke Un Ke
Maqsad Ko Pa Sake Aur Wo Eid Ke Din Se Badh Kar Yaum E
Milaadunnabi(Sallallahualehiwasallam) Ka Ahtemam Karte Hai Aur Is Din Maulood
Sharif Ki Ziyarat Ke Liye Her Koi Aata Hai Kha'nwa Wo Saleh Hai Ya Bad Kha'nwa
Wo Saeed Hai Ya Saqi.



[Mulla Ali Qari: Al Mauloodurrawi Matbua Lahore
Shafa.30]
Scan Page:




13: Shah Abdul Haq Muhaddish E Dehlwi Alehhirrahma
(958-1052 hijri) Milaad Manane Ke Mutallik Likhte Hai:


قال ابن الجوزي : فإذا کان أبولهب الکافر الذي نزل القران بذمّه
جُوزيَ في النار بفرحه ليلة مولد النبي صلي الله عليه وآله وسلم ، فما حال المسلم
من أمته يسر بمولده، ويبذل ما تَصل إليه قدرته في محبته صلي الله عليه وآله وسلم ؟
لعمري! إنما کان
جزاؤه من اﷲ الکريم أن يدخله بفضله
جنات النعيم
.



ولا يزال أهل الاسلام يحتفلون بشهر مولده صلي
الله عليه وآله وسلم ويعملون الولايم ويتصدقون في لياليه بأنواع الصدقات ويظهرون
السرور ويزيدون في المبرّات ويعتنون بقراءة مولده الکريم ويظهر عليهم من مکانه کل
فضل عميم
.



ومما جرّب من خواصه أنه أمان في ذلک العام
وبشري عاجل بنيل البغية والمرام، فرحم اﷲ امرأ اتخذ ليالي شهر مولده المبارک
أعياداً ليکون أشد غلبة علي من في قلبه مرض وعناد
.



Ibn E Jawzi Kahte Hai Huzoor Nabi E
Akram (Sallallahualehiwasallam) Ki Wiladat Wa Sadat Ke Mauqe Par Khusi Manane
Ke Ajr Me Abu Lahab Ke Azaab Me Bhi Takhfeef Kar Di Jati Hai Jis Ki Mazammat
Mai Qurane Hakeem Mai Ek Mukammal Soorat Nazil Huyi Hai To Ummate Muhammadiya
Ke Us Musalman Ko Milne Wale Ajr Wa Sawab Ka Kya Aalam Hoga Jo Aap (Sallallahu alaehi
wasallam) Ke Milaad Ki Khusi Manata Hai Aur Aap (Sallallahu alaehi wasallam) Ki
Muhabbat Wa Ishq Mai Hasbe Istetaat Kharch Karta Hai?


Khuda Ki Qasam Mere Nazdeek ALLAH TALA Aese
Musalman Ko Apne Mahboob (Sallallahualehiwasallam) Ki Khusi Manane Ke Tufail
Apne Fazl Ke Sath Apni Neamato Bhari Jannat Ataa Farmayega.




Aur Hamesha Se Musalmano Ka Ye Dastoor Raha Hai Ke
Rabiulawwal Ke Mahine Mai Milaad Ki Mahfile Munaqqid Karte Hai Dawate Karte Hai
Is Ki Raato Mai Sadqat Wa Khairat Aur Khusi Ke Izhaar Ka Ahtemam Karte Hai Un
Ki Koshis Ye Hoti Hai Ke In Dino Mai Jyada Se Jyada Nek Kaam Kare Is Mauqe Par
Wo Wiladat Wa Saadat Ke Waqiaat Bhi Bayan Karte Hai,




Milaad Sharif Manane Ke Khususi Tazurbat Mai
Mahfile Milad Munaqqid Karne Wale Sal Bhar Aman Wa Aafiyat Mai Rahte Hai Aur Ye
Mubarak Amal Har Ne Maksad Mai Jald Qamyabi Ki Basarat Ka Sabab Banta Hai ALLAH
TALA Us Par Rahmate Nazil Farmat Hai Jo Milaadunnabi(Sallallahualehiwasallam)
Ki Sab Bataur Eid Manata Hai Aur Jis(Badbakht) Ke Dil Mai Qina Aur Dushmani Ki
Bimari Hai Wo Apni Dushmani Mai Aur Jyada Shakt Ho Jata Hai.


[Ma Sabt Minnasunnat Fi Ayam E Sunnat Safa.79]
Scan Page:










14: Imame Rabbani Mujaddid Alif Saani :

 Mujaddid Alfe Saani Shaikh Ahmed Sirhindi, AhleSunnat wal Jamaat me mash'hur Buzurg
maane jate hain, jinka wisal 1034 Hijri me hua, aur ye NaqshBandi silsile ke
mash'hur Sufi guzre hain.

.

Imam Rabbani Mujaddid Alif Saani Milad ke bare me ek Khat ka jawab dete hue
likhte hain:

.

''Tum Milad ke bare me sawal karte ho''

.

Isme Kya harj hai agar koi Quran ko behtarin qirat me padhta hai, Nabi alaihe
salam ki Naat-o-Manqabat padhta hai, Hamd karta hai.??

Haan, jo mana hai wo ye ki Quran ke alfazo ko badalkar padha jaye, ya ise koi
Gaane ke andaz me padha jaye, ya is Dauran taaliyan bajai jayen,''

''Agar is Sahi tariqe par Milad manai jaye, to Quran ke padhne me bhi koi Galti
na hogi, aur Qasida padhne me bhi koi Galti na hogi, to ise manane me kya harj
hai??

.

Zara Gaur kijiye, Imam-e-Rabbani farma rahe hain hain ki ''Isme Kya harj
hai??''

Yani Imam Rabbani bhi Milad ko Jaez mante hain.

Jaisa ki aap sab log Scan Pages me dekh sakte hai.

[ Persian Daftar som, Hissah Hashtam, Urdu, volume 3 letter 72, which is
addressed to Mirza Husamuddeen Ahmed]
















15: Imam Nawawi ke Ustad farmate hain.


Mosil Sheher me Sabse pehle ye
kaam (Milad manana) ﺍﻟﺸﻴﺦ ﻋﻤﺮ ﺑﻦﻣﺤﻤﺪ ﺍﻟﻤﻼ ﺃﺣﺪ ne kiya. Jo ki mash'hur ek
logon me se the.

Sahib Irbil aur deegar logon ne isme unhi ki pairwi ki hai.

)
Al-Baais Ala Inkarul Bidah wal Hawadis Pg.61(
Scan Page:










Note: Ye Sahib e Irbil wohi hain
jinhe hum Malik Muzafferuddin ke naamse jante hain, aksar kutub me inkar
tazkira hai ki Milad ko ye badi zorshor se manaya karte the. Aur ispar
Muhaddiseen ne inki tareef bhi kiyahai. Baaz log ye kehte hain ki Muzafferuddin
ne hi Milad manana shurukiya, to aisa nahi hai balki unhone Ek Bada Jashn
manana shuru kiya hai.

.

16: SALAFIYON KE
GREAT IMAM IBN KASEER, INHI SAHIB-E-IRBIL KE MUTALLIQ FARMATE HAIN:


.

Shaikh Malik
Al-Muzaffar ke bare me, Inke bare me Salafiyo ne galat afwah mash'hur ki hai ki
Imam Ibn Kaseer ne inhe Fasiq aur Fajir kaha hai,


jabki inke
talluq se haqiqat me IMAM IBN KASEER FARMATE HAIN:


.

أحد الاجواد
والسادات الكبراء والملوك الامجاد له آثار حسنة وقد عمر الجامع المظفري بسفح
قاسيون وكان قدهم بسياقه الماء إليه من ماء بذيرة فمنعه المعظم من ذلك واعتل بأنه
قد يمر على مقابر المسلمين بالسفوح وكان يعمل المولد الشريف في ربيع الاول ويحتفل
به احتفالا هائلا وكان مع ذلك شهما شجاعا فاتكا بطلا عاقلا عالما عادلا رحمه الله
وأكرم مثواه وقد صنف الشيخ أبو الخطاب ابن دحية له مجلدا في المولد النبوي سماه
التنوير في مولد البشير النذير فأجازهعلى ذلك بألف دينار وقد طالت مدته في الملك
في زمان الدولة الصلاحية وقد كان محاصر عكا وإلى هذه السنة محمودالسيرة والسريرة
قال السبط حكى بعض من حضر سماط المظفر في بعض الموالد كان يمد في ذلك السماط خمسة
آلاف راس مشوى وعشرة آلاف دجاجة ومائة ألف زبدية وثلاثين ألف صحن حلوى


Tarjuma: Wo ek
Shandar aur Rehem dil Hukmaraan tha, uska kaam bahot behtarin tha, aur usne
Qasiyun ke qarib Jamia-Al-Muzaff ari madarsa banwaya tha. Milad ke dino me wo
bahot shandar jashn ki tarah Eid Milad manata tha المولد
الشريف في ربيع الاول
) aur wo
logo per ehsan karne wala, Bahadur aur aqalmand Ulama me se tha, aur aisa shaks
tha ki uspar ALLAH ki rehmat aur karam ho.


Sheikh Abdul
Khattab ne uske liye Milad par ek kitab likhi Mawlid an Nabwi aur ise At-Tanwir
fi Mawlid al Bashir al Nazeer ka Naam diya, iske liye use 1000 dinar diye.


aur uski
hukumat Salahiya ki hukumat tak rahi, aur usne Aaka ko pakad liya, aur wo ek
Izzatdar ba-waqar insan tha,


.

Al-Sabt
farmate hain ki ek shaks jo Muzaffar ki munaqqid ki gayi Mehfil-e-Milad me
hazir hota tha,


usne kaha ki
Muzaffar 5000 bakriyo ke pake hue gosht se mez bhar deta tha, aur 10,000 Murgh,
aur 100,000 doodh ke pyale, 30,000 Mithaiyo ke bartan bhar deta tha.


(Al Bidayah
wan Nihayah, Volume No. 13, Page No. 174)


.

.

Sub'hanALLAH,

.

Eid Milad par
khushiyan manane wale, aur isper Kharch karne wale ki Kitni tarife karte hain
Salafiyo ke aur hamare bhi Imam Ibn Kaseer.


.

Salafiyo, ab
kya Imam Ibn Kaseer per bhi fatwa lagaoge??




SHEIKH SALAHUDDIN AYYUBI rehmatullah
Ta'aala alaihe  ke BEHNOI
, Ki Taudseeq  Mashoor Mohaddis aur Asmaur Rijal ke
Mahir  Imam Zahbi
 (matufi 748) se
ﺻَﺎﺣِﺐُ ﺇِﺭْﺑِﻞَ ﻛُﻮْﻛْﺒُﺮِﻱ ﺑﻦُ ﻋَﻠِﻲٍّ

ﺍﻟﺘُّﺮُﻛْﻤَﺎﻧِﻲُّ

ﺍﻟﺴُّﻠْﻄَﺎﻥُ ﺍﻟﺪَّﻳِّﻦُ، ﺍﻟﻤَﻠِﻚ ﺍﻟﻤُﻌَﻈَّﻢُ،

ﻣُﻈَﻔَّﺮ ﺍﻟﺪِّﻳْﻦِ، ﺃَﺑُﻮ ﺳَﻌِﻴْﺪٍ
ﻛُﻮْﻛْﺒُﺮِﻱ


ﺑﻦ ﻋَﻠِﻲِّ ﺑﻦ ﺑﻜﺘﻜﻴﻦ ﺑﻦ ﻣُﺤَﻤَّﺪٍ

ﺍﻟﺘُّﺮُﻛْﻤَﺎﻧِﻲ،ّ ﺻَﺎﺣِﺐ ﺇِﺭْﺑِﻞ,
ﻭَﺍﺑْﻦ


ﺻَﺎﺣِﺒﻬَﺎ ﻭَﻣُﻤَﺼِّﺮِﻫَﺎ ﺍﻟﻤَﻠِﻚِ
ﺯَﻳْﻦِ


ﺍﻟﺪِّﻳْﻦِ ﻋَﻠِﻲٍّ ﻛُﻮﺟَﻚَ .

.
(Tarikhe Islam, Pg.402-403)




Scan Page no. 405-406:




Imam Zahbi ka Dusra Hawala:
Scan Page:



Ek aur jagah bayan farmate hain:
Seerat-e-Malak Muzaffer Imam Zahbi ki
Nazar mein




1) Hanfi aur Shafayee ke liye madarase banaye
(Shayad isliy Gair Muqalid un se itnee khaar khatey hai)


2) Kisi bhee buraye ko sher Dakhil nahee houney
detey aur usko khatam kar dete.


3) Hajj ke pull banaya.

4) Ibne Dehiya ko 1000 dinaar diye.

5) Mutawazeh, Achey. Sunni,Fukhaa wa muhadiseen se
mohabat karne wale they,Sher o Shayri mein utnee ragbat nahee rakhtey they.
(Siyar Alam Nubla pg. pg.336)
Scan Page:








To Pata chala ki ye Shah Irbil
ko ki Miladun Nabi ko Jashn ke andaz me manate the, inka ye tariqaa Muhaddiseen
ke nazdik bahot pasandidah hai. isse Milad ka jashn manana bhi Muhaddiseen ke
nazdik jaez hai.

Imam Zahbi apni dusri Tasneef
Al-Ibr me bhi inke bare likhte hain:
(Al-Ibr fi Khabar J-3 Pg.208)
Scan Page:









Imam Abul Falaah Abdul Hayi bin Amaad
bhi Shah Irbil ki tareefen bayan karte hain.
Scan Page:








Sheikh Ibn Khalkan bhi inki Tareefen bayan
karte hain
:
(Wafiyatul Eyan pg.120)
Scan Page:









Imam Zakariyya bin Mohammad
bin Mehmood Qarzooni bhi Shah Iribil ki tareefen bayan karte hain:

(Asarul BIlad wa Akhbarul
Ibaad Pg.290)
Scan Page:



 

 

4: Mukhalifeen ke
akabireen  ki
nazar me :


Deobandi
Akaabireen ki nazar me Miladun Nabi :
NADWA KE BAANI MAULANA SHIBLI AUR EID-E-MILAD UN NABI Sallallaho alaihe
wasallam,


.

Mawlana Shibli Nomani ( Died 1332 AH )( 1857-1914) Darul Uloom Nadwa ke
baani hain,


Tulba aur Isetzah ke darmiyan kuch tifirka ho jane ki waja se wahan ke
Tulba ne strike kar diya tha.


Is masle ko discuss karne ke baad Maulana Shibli likhte hain:

.

Is hadtaal  ke dauran ye Mawlid
Sharif ka waqt tha aur TULBA MILAD MANANA CHAHTE THE JAISA KI HAMESHA KA MAMOOL
THA.


lekin Mukhalifeen ki taraf se is baat ka darr tha ki mai ispar taqreer
karunga to wo ruk gaye the aur ye 3 din chala.


In logon se kaha gaya tha ki agar Milad Sharif roka gaya to issey sheher
ke logo ke darmiyan gussa-narazgi hogi,


fir kuch pabandiyon ke sath Milad ki ijazat di gayi.

( Maqalate Shibli , VoL 6, Page  131 , Old Printed edition, Azamgarh)




Deoband
ke Mufti Mohammad Shafi sahab Ashraf ali Thanvi k bayan naqal karte hue likhte
hain:
Farmaya ki
iske mutalliq pehle mera ye khayal tha ki is mehfil ka asal kaam zikr-e-Rasool
Sallallaho alaihe wasallam to sabke nazdik khair-o-sa’aadat aur mustahab hi hai
albatta isme jo munkiraat aur galat rasmen shamil kar di gayin hain, unke
izaala ki koshish karni chahiye.  Asal
Amr-e-Mehfil ko tark nahi karna chahiye aur ye dar-asal hamare Hazrat Haji
Imdadullah Muhajir Makki quddisa sirruhu sahab ka maslak tha. Hazrat ki ghayat
shafqat wa Inayat aur Mohabbat ke sabab mera bhi zoq yehi tha aur yehi aam taur
par sufiya-e-kiram ka maslak hai. Hazrat Maulana Roomi bhi isi ke qayel hain.
(Majalis
Hakimul Ummat Pg.160)
Scan
Page:






RASHEED AHMED GANGOHI AUR ASHRAF
ALI THANVI KE PEER MURSHID HAJI IMDADULLAH MUHAJIR MAKKI R.A on EID-E-MILAD:


.

Haji
Imdadullah Muhajir Makki yahan Khatm Masnavi Sharif karte hain, aur irshad hua
ki ispar Maulana-e-Room ki niyaz bhi ki jayegi,


jabki Deobandi
Quran khwani pr bhi aitraz karte hain


.

Mazeed farmate
hain:


Zikr-e-Milad
ke waqt jab log khade hote hain to log aitraz kyu karte hain jabki Nabi alaihis
salam ka naam mubarak bhi aa jaye. To isme kya kharabi hai?


Jab koi aata
hai to log iski tazeem ke waste khade ho jate hain to is Sardar-e-Alam
sallallaho alaihe wasallam ke Ism-e-Girami ki tazeem ki gayi to kya gunah kiya?


(Shamaim
Imdadiya Pg.50)
Scan Page:




Dusra hawala mulahiza ho:
ASHRAF ALI THANVI DEOBANDI SCHOLAR KE PEER-O-MURSHID "HAJI
IMDADULLAH MUHAJIR MAKKI" r.a bhi Miladun NABI sallallaho alaihe wasallam
ki Tazim ke liye Khade hote hain. Aur MAULA-E-RUM r.a ki NIYAZ( Fatiha) karte
hain.

Khud Unki hi Kitab me dekhiye.

(Shamaim Imdadia, Pg. 68)
Scan
Page:

Rasheed Ahmad Gangohi ke shagird Allama Hamzah
Dehelvi likhte hai:

.

Jab ye majlis(Milad) umoor-e-hasna se murattib hui to iski hayyat kazaayi
"Maa Laisa Minhu" ke qabeel se na hui balki misl-e-tadween-e-kutub-o-ahadees
wa banaaye Madaris wa ijad Uloom-e-Ilaahiya ke hui.

.

Aur ye majlis Mutahhar fe'l-e-Khair(Paak karne wali
aur achhe kaam wali) . Jab biryani ka tabaq samne aata hai to hum log uski
hayyat kazaayi par aitraz nahi karte balki jhat-pat asteen chadha kar
"Kuliya Kulu minat Tayyebaate" (Khaao paak chizo me se) me dakhil kar
lete hain. Pas munasib malum hota hai ki is Majmua-e-Hasnaat (Achhi chizo ka
majmua) ko bhi "Wa A'malu saalehan" (Achhe kaam karna) me dakhil
karen.


(Al Dur Al-Munazzam pg. 149)

.

Scan
page:







.





SubhanALLAH,

Yahan Milad ko sirf jaez hi nai kaha balki Yahan to sare Deobandi biryani hi
khane ko taiyar baithe hain.

aasteen upar chadha ke bas "Kulu Minat Tayyebaate" Dono hath se lage
raho Deobandiyo. Hamr malum tha tum Biryani nahi chhodoge

.

Note: "Kulu Minat Tayyebaate" Jabki ayat kisi ek waqt ke khane ke
liye nahi hai balki Mutlaq hai.





Fir bhi In Wahabiyon ne "Kulu Minat Tayyebaate" ayat ko, Milad ki
Biryani ke liye istemal kiya hai. Taaki inke liye wo Biryani jaez ho jaye.





To ab yaad rahe, isi ayat ke tehet hum kehte hain ki Teeja ho ya Chaliswan,
uska bhi Khana isi ayat ke tehet jaez hai.

.

Inpar bhi kuch fatwa lagao Deobandiyon.






AHLEHADEES AKABIREEN
KI NAZAR ME:

Ahlehadeeso ke
peshwa, Ibn Taymiya on Mawlid un Nabi *

Sallallahu alaihi wasallam.

.

Ibn Taymiyya likhte hain :


ﻓﺘﻌﻈﻴﻢ ﺍﻟﻤﻮﻟﺪ ، ﻭﺍﺗﺨﺎﺫﻩ ﻣﻮﺳﻤًﺎ ، ﻗﺪ ﻳﻔﻌﻠﻪ ﺑﻌﺾ

ﺍﻟﻨﺎﺱ، ﻭﻳﻜﻮﻥ ﻟﻪ ﻓﻴﻪ ﺃﺟﺮ ﻋﻈﻴﻢ ﻟﺤﺴﻦ ﻗﺼﺪﻩ ،

ﻭﺗﻌﻈﻴﻤﻪ ﻟﺮﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ



Aur is arah un umoor par sawab diya jata hai jo
baaaz log ijad kar lete hain, Milad-e-Eisa alaihis salammenasarase mushabehat
ke liye ya Huzur Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki Mohabbat tazeem k liye, aur
ALLAH unhe is mohabbat aur ijtihad par sawab ata farmata hai, na ki bidat par,
un logo ko jinhone Yaum-e-Milad Nabi Sallallaho alaihe wasallam ko ba
taur-e-Eid manaya.
(Iqtida Siratal Mustaqeem Pg.619)
Scan
Page:





Is Kitab me aage likhte hain:
Milad Sharif ki tazeem aur isey se’aar bana lena
baaz logon ka amal hai, aur iske liye isme ajr-e-Azeem bhi hai kyonki uski
niyat nek hai aur Rasool-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ki tazeem bhi hai,
jaisa ki maine pehle bayan kiya hai ki baaz logon ke nazdik ye amal accha hota
hai aur baaz isey qabeeh kehte hain.
[ Ibn Taymiyya ,
Iqtidah as Sirat al Mustaqeem ,

Volume : 02 , Page : 621,622 ]
Scan Page:







Ibn Kaseer ke nazdik :


"Nabi alaihe salam ki wiladat ki shab azmat wa sharafat wali wa momineen
ke liye barkat wa sa’aadat wali shab thi, paak wa tahir shaab thi. Jiske anwar
zahir bayan the aur jo badi buzurgi wali aur qadr-o-manzilat wali shab thi "

(Ibn Kathir, Mawlid Rasul Allah, Pg.29 ed. Salah al-DinMunajjad (Beirut: dar
al-kitab al-jadid, 1961).









WAHABIYO
KA SIPA SALAAR, ABDUL WAHAB NAJDI, EID MILADUN NABI KI FAZILAT BAYAN KARTA HAI:


.

Abu
Lahab ki ek Ghulam thi, Jiska Naam Suaiba tha, Jab Nabi sallallaho alaihe
wasallam ki Paidaish hui, tab Suaiba ne jaakar Abu Lahab ko ye Khush Khabri
sunai ki Apke ghar apka bhateeja paida hua hai,

Ye Khabar sunkar Abu Lahab Khushi se jhum utha, aur Khushi me hi apni is Ghulam
Suaiba ko apni Ungli se ishara karke kaha

'Jaa, aaj se tu azad hai'.

Jab Abu Lahab mar gaya, tab kisi ne use Khwab me dekha to pucha, kya haal hai
tumhara??

Abu Lahab ne kaha, mai bahot hi zyada azab me Giraftar hu,

Haan lekin har Peer(monday) ke din mujhe apni Is Ungli se kuch peene ko mil
jata hai, jisse ki Mohammad sallallaho alaihe wasallam ki Paidaish ki khushi me
maine isi Ungli se ishara karke apni Gulam Suaiba ko azad kiya tha. Isliye is
Ungli se mujhe har Peer ke din kuch peene ko milta hai, Jab mai use peeta hu to
mere azab me kami ho jati hai, aur mujhe rahat milti hai.'' 



.

Ibn Jawzi farmate hain, Abu Lahab ek aisa Kafir tha ki uske bare me Quran me
bhi zikr hai, to jab aise Kafir ko Nabi ki paidaish per Khush hone se uske Azab
me kami ho gayi, to Alhamdulillah, hum to Musalman hain, agar hum bhi Nabi
alaihe salam ki paidaish par khushi manayenge to kis qadar sawab milega.

[Mukhtassar Sirat-ur-rasool, “Milaad-un-nabi”,by Ibn Muhammad bin Abdul wahab
Najdi pg. 32].
















5: Tareekh-e-Wiladat




 EID-E-MILADUN NABI Sallallaho alaihe wasallam
Ki TARIKH 12 RABIUL AWWAL HI ZYADA SAHEEH HAI:


.

Aaj kuch log
ye daawa karte hain ki Milad-e-Rasool Sallallaho alaihe wasallam ki sahi
tarikhon me ikhtilaf hai, isliye 12 Rabiul Awwal ko manana jaez na hua. Kyunki
8 tarikh bhi mash'hur hai.


.

Awwal baat to
hum un logon se kahenge ki agar tumhare nazdeek 12 tarikh sahi nai hai, aur 8
sahi ya jo bhi sahi
hai.

To tum usi
tarikh ko mere Aaqa Sallallaho alaihe wasallam ka Milad mana liya karo.


Magar kam se
kam manaao to. Usey bidat to mat kaho.


.

Ab hum yahan
aap logon ke samne Mash'hur Tarikhi Kitabon ke hawale se apko Milad-e-Mustafa
Sallallaho alaihe wasallam ki tarikh 12 Rabiul Awwal ki kuch dalail pesh karte
hain.


.
Tarikh ke
shehenshah Imam Zahbi ne wiladat ki tarikh 12 Rabiul Awwal likha hai:
(Tarikhe Islam
Pg.25)
Scan Page:






Ek aur jajgah udsri sanad ke sath likha hai:
(Tarikhe Islam pg.27)
Scan
Page:






Inke alawa mazeed hawale pesh hain:


1. Imam
Ibn-e-Ishaq (85-151 H):
ALLAH ke
Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) 12 Rabi-ul-Awal ko Aam-ul-Feel me Peer ke din paida hue.


(Ibn-e-Jawzi
in Al-Wafa, Page 87)


.

2. Allama
Ibn-e-Hasham (213 H):


ALLAH ke
Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) Peer ke din 12 Rabi-ul-Awalin Aam-ul-Feel me paida hue.


(Ibn-e-Hasham
in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1, Page 158)


.

3. Imam
Ibn-e-Jareer Tabari (224-310 H):
ALLAH ke
Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) Peer ke roz 12 Rabi-ul-Awalin Aam-ul-Feel me paida hue.


(Tarikh-ul-Umam-wal-Muluk,
Vol. 2, Page 125)


.

4. Allama
Abu-ul-Hasan Ali Bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H):


ALLAH ke
Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) Ashab-ul-Feel ke waqeye ke 50 din ke baad aur apne Walid ke
wisal ke baad Peer ke din 12 Rabi-ul-Awal ko paida hue.


(Ailam-un-Nabuwa,
Page 192)


.

5. Imam
Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi (671-734 H):


Hamare Aaqa wa
Maula Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم), ALLAH ke Rasool Peer ke din 12
Rabi-ul-Awalin Aam-ul-Feel me paida hue.


(Aayun-al-Asr,
Vol.1, Page 33)


.

6. Allama
Ibn-e-Khaldun (732-808 H):


ALLAH ke
Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم) 12 Rabi-ul-Awal ko Aam-ul-Feel me paida hue. Ye 40wa saal tha
Badshah Kasra Noshairwan ka.


(Ibn-e-Khaldun
in At-Tarikh Vol. 2, Page 394)


.

7. Muhammad
As-Sadiq Ibrahim Arjoon:


Mukhtalif turq
se ye sabit hai ki Nabi (صلى الله عليه وآله وسلم) ki paidaisd 12 Rabi-ul-Awalin Aam-ul-Feel
me Kasara Noshairwan ki riyasat ke waqt hui.


(Muhammad
Rasool Ullah, Vol. 1, Page 102)


.

8. Sheikh
Abdul-Haq Muhadath Dehlvi (950-1052 H):


Ye achhi tarah
jaan lo ki Sayar aur tarikhon ke muhaqqiqeen ka yehi khayal hai ki (i.e.
biographers and historians)


An-Hazrat
(i.e. the prophet صلى الله عليه وآله وسلم) ki paidaish Aam-ul-Feel me hui … ye achhi
tarah jana jata hai ki maah-e-Rabiul Awwal aur tarikh 12 thi.


Kaseer Ulama
ka isi par ittefaq hai


(Madarij-un-Nabuwa,
Vol. 2, Page 14)


.

9. Nawab
Muhammad Sadiq Hasan Khan Bohapalvi: Nabi صلى الله
عليه وآله وسلم
) ki paidaish
Makkah me Fajr ke waqt Peer ke roz 12 Rabi-ul-Awal ko Aam-ul-Feel me paida hue.
Ulama ki aksariyat ki tehqeeq yehi hai. Ibn-e-Jozi ne kaha ki isi par Ulama ka
ijma hai.


(Ash-Shumama-tul-Anbariya
Fi Mowlid Khair-al-Bariya, Page 7)


.



AalaHazrat per Ilzam lagane
wale Wahabi, Kehte hain ki AalaHazrat ne Fatawae Razviya me Nabi alaihe salam
ki wiladat 8 Rabiul Awwal hi likhi hai,

.

Ye ek Jhuta Ilzam hai,. Aur Wahabiyo ki Makkari hai.

.

Upar Fatawae Razviya ka page aap logo ke samne pesh kiya hai,

AalaHazrat ne tamam aqwal ko shumar kiya, ki Wiladat par 2, 8, 10, 12, 17, 22
tarikh ke aqwal bhi maujud hain,

fir iske baad Mawahibul Laduniya ke Hawale se 12 Rabiul Awwal ko hi mash'hur
aur sahi qarar diya hai,

(Fatawae Razviya, J-26, Pg.411)






Aap log dekh sakte hain ki Pehli, Dusri aur Teesri Hijri ke tamam Ulama Wiladat
ki yehi tarikh shumar karte hain, Jaise ki Aaj ke Ulama bhi ise mante hain.

Aur Salafis, ke Imam Nawab Sadiq Hasan Bhopalvi bhi yehi mante hain.

.

.

Fir bhi mai kehna chahunga ki jo log 12 Tarikh ko wiladat nahi mante, balki 8
ko mante hain, to 8 ko hi sahi, magar kam se kam Milad to manayen. Shaitan ki
tarah Udas to na ho.

.
.


Sabhi Islamic
mulkon me isi tarikh ko Milad manaya jata hai.


Bas ek Iran ke
alawa.


Un mulko ke kuch
naam pesh karte han jinme ye 12 Rabiul Awwal ko hi manaya jata hai.


.

اردن

امارات

بحرین

الجزائر

سوڈان

عراق

کویت

مرا کش

یمن

تونس

شام

عمان

لبنان

لیبیا

مصر

مورطانیہ

.

Ab hum ek Aise
Scholar se sabit krenge jinhe Salafi bhi Top Mufassir aur Muhaqqiq mante hain
hain.


.



ورواه ابن أبى شيبة في

مصنفه عن عفان ، عن سعيد بن ميناء ، عن جابر
وابن عباس أنهما قالا : ولد رسول الله


صلى الله عليه وسلم عام الفيل يوم الاثنين
الثانى عشر من شهر ربيع الاول


Tarjuma: Ibn
Abi Shaiba apni Musannaf me Affan se riwayat karte hain:


Unhone Saeed
se, unhone Jabir se unhone Ibn Abbas r.a se.


Wo farmate
hain:


Rasoolullah
Sallallaho alaihe wasallam hathi wale saalme Peer ke roz 12 Rabiul Awwal ko
paida hue.


[Ibn Kaseer in
Seerat un Nabi, Volume 1, Page No. 199]


.

Aur unhone
kaha


وهذا هو المشهور عند الجمهور

والله أعلم
.

Yehi Jamhoor
Ulama ke nazdeek mash'hur hai. Aur ALLAH behtar janne wala hai.


.

Imam Qastalani
farmate hain:


Nabi
Sallallaho alaihe wasallam 12 Rabiul Awwal ko Makkah Sharif me paida hue aur
isi din Makkah ke log apki wiladat ki jaga ki ziyarat karne aaye.


Ye mash'hur
hai ki aap ki Wiladat 12 Rabiul Awwal me Peer ke roz hui.


Ibn Ishaq
(rah) aur Deegar Ulama ne isey riwayat kiya.


[Al Muwahib al
Laduniya, Volume 1, Page No. 88]




Tareekh-e-Wisaal
Imam Zahbi ne Wisaal
ki tarikh 2 Rabiul Awwal likha hai
:
(Tarikhe Islam Pg.568)
Scan Page:











6: Milad  me Tazeeman khade hona kaisa



Shah Waliullah Dehelvi ki ka
Amal Qiyam-e-Mawlid:
Shah Waliullah Muhaddis E Dehlvi (1174
Hijri) Apne Walid Girami Aur Aashiqeen Ki Raah Par Chalte Huye
Milaadunnabi(Sallallahualehiwasallam) Ki Mahfil Mai Sareek Hote The Aap Makka
Mukarrama Mai Apne Qayam Ki Tafseelat Bayan Karte Huye Farmate Hai:-




وکنت
قبل ذلک بمکة المعظمة


في
مولد النبي صلي الله عليه وآله وسلم في يوم ولادته، والناس يصلون علي النبي صلي
الله عليه وآله وسلم ويذکرون إرهاصاته التي ظهرت في ولادته ومشاهدة قبل بعثته،
فرأيت أنواراً سطعت دفعة وحداة لا أقول إني أدرکتها ببصر الجسد، ولا أقول أدرکتها
ببصر الروح فقط، واﷲ أعلم کيف کان الأمر بين هذا وذلک، فتأملت تلک الأنوار فوجدتها
من قبل الملائکة المؤکلين بأمثال هذه المشاهد وبأمثال هذه المجالس، ورأيت يخالطه
أنوار الملائکة أنوار الرحمة


"Is Se Pahle Mai Makka
Mukarrama Mai Huzoor(Sallallahualehiwasallam) Ki Wiladat Wa Sadat Ke Din Ek
Aisi Milaad Ki Mahfil Mai Shareek Hua Jis Mai Log Aap(Sallallahu
alaihiwasallam) Ki Bargahe Aqdas Mai Hadiya E Darood O Salam Arz Kar Rahe The
Aur Wo Waqiaat Bayan Karrahe The Jo Aap(Sallallahualehiwasallam) Ki Wiladat Ke
Mauke Par Zahir Huye Aur Jin Ka Musahida Aap(Sallallahualehiwasallam) Ki Waisat
Se Pahle Hua Achanak Maine Dekha Ke Us Mahfil Par Anwar Wa Tajalliyat Ki Barsat
Shuru Ho Gai Mai Nahi Kahta Ke Maine Ye Manzar Shirf Jism Ki Aankh Se Dekha Tha
Na Ye Kahta Hu Ke Faqat Ruhani Nazar Se Dekha Tha ALLAH Hi Bahtar Janta Hai Ke
Un Do Mai Sa Kon Sa Muamla Bahrhal Mai Ne Un Anwar Mai Gor Wa Khos Kiya To Mujh
Par Ye Haqikat Munkasif Huyi Ke Ye Anwar Un Malaika Ke Hai Esi Majlis Aur
Musahida Mai Shirkat Par Mamoor Wa Muqarrar Hote Hai Maine Dekha Ke Anwar E
Malaika Ke Sath Sath Anwar E Rahmat Ka Nuzool Bhi Ho Raha Tha.


[Fuyooz Ul Harmain Safa.80-81]

Scan Page:



















Isse Pata Chala Janha Milaad Ki Mehfil Sajti Hai
Wanha Anwar Wa Tajalliyat Rahmat Barsti





QIYAM-E-MILAD UN
NABI sallallaho alaihe wasallam ke bare me SHEIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHELVI ka
Qaul.
.

Sheikh Abdul Had Muhaddis Dehelvi AhleSunnat ke bahot bade Mujtehdeen me se
hain. Aur Ahlehadees aur Deobandi Hazraat bhi inhe mante hain kyunki inse sabhi
Hadeeson ki sanad lete hain.

.

Likhte hain:

'Ya ALLAH! mera koi amal is qabil nahi ki teri bargah me pesh kar saku, mere
har amal me kharabi hai aur usme meri niyat bhi shamil hai, lekin mera ek amal
Kaamil aur bahot achha hai wo ye ki Qiyam-e-Milad-un-Nabi karta hu

MAI KHADA HOTA HU AUR PURE KHULUS-O-MOHABBAT KE SATH TERE MEHBUB SALLALLAHO
ALAIHE WASALLAM PAR DUROOD-O-SALAM BHEJTA HU'



( Akhbarul akhyar , page 264)
Scan Page: 













7: Aitrazaat ke jawabaat

Kya  Miladun NABI sallallaho alaihe wasallam
manaana Hunud(Ghair Muslim) ki mushabehat ho jayegi?
Baz log kkehte
hain ki Milad

Jawab: Nahi, balki jis chiz
pehle se Islam ka
Haq maujud hai, usko kisi ki mushabehat se
tabeer nahi kiya jayega, albatta unse kuch laga karke imtiyaz kiya jayega. 
Jawab me ek
Hadees pesh hai mulahiza ho.


Hadees:
حَدَّثَنَا يَحْيَی بْنُ يَحْيَی
أَخْبَرَنَا هُشَيْمٌ عَنْ أَبِي بِشْرٍ عَنْ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ عَنْ ابْنِ
عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا قَالَ قَدِمَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّی اللَّهُ
عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْمَدِينَةَ فَوَجَدَ الْيَهُودَ يَصُومُونَ يَوْمَ
عَاشُورَائَ فَسُئِلُوا عَنْ ذَلِکَ فَقَالُوا هَذَا الْيَوْمُ الَّذِي أَظْهَرَ
اللَّهُ فِيهِ مُوسَی وَبَنِي إِسْرَائِيلَ عَلَی فِرْعَوْنَ فَنَحْنُ نَصُومُهُ
تَعْظِيمًا لَهُ فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّی اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ نَحْنُ
أَوْلَی بِمُوسَی مِنْکُمْ فَأَمَرَ بِصَوْمِهِ


صحیح
مسلم:جلد دوم:حدیث نمبر 162 حدیث متواتر حدیث مرفوع مکررات 26 متفق علیہ 13

یحیی بن یحیی، ہشیم، ابی بشر، سعید بن جبیر، حضرت ابن عباس رضی اللہ تعالیٰ عنہما
سے روایت ہے فرمایا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم مدینہ تشریف لائے تو آپ
صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے یہودیوں کو عاشورہ کے دن روزہ رکھتے ہوئے پایا تو لوگوں نے ان
سے اس روزے کے بارے میں پوچھا تو وہ کہنے لگے کہ یہ وہ دن ہے کہ جس میں اللہ
تعالیٰ نے حضرت موسیٰ علیہ السلام کو اور بنی اسرائیل کو فرعون پر غلبہ عطا فرمایا
تھا تو ہم اس دن کی عظمت کی وجہ سے روزہ رکھتے ہیں تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ
وآلہ وسلم نے فرمایا کہ ہم تم سے زیادہ حضرت موسیٰ علیہ السلام کے قریب ہیں تو آپ
صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے اس روزے کا حکم فرمایا۔

Tarjama: Hazrat Ibn
Abbas radiAllaho ta'ala anhu se riwayat hai farmaya  ki Nabi sallallaho alaihe wasallam Madina
tashrif laye to aap sallallaho alaihe wasallam ye Yahudiyon ko ashurah ke din
roza rakhte hue paaya to logon ne unse is roze ke bare me pucha to wo kehne
lage ki ye wo din hai ki jisme ALLAH ne Hazrat Moosa alaihis salam ko aur Bani
Israeel ko firaun par ghalba ata farmaya tha to hum is din ki azmat ki waja se
roza rakhte hain to RasoolALLAH sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki hum
tumse zyada Moosa alaihis salam ke qarib hain to aap Sallallaho alaihe wasallam
ne is roze ka hukm diya
(Sahih
Muslim, Kitabus Siyam, H.no.1130)

To
pata chala ki jis chiz par pahle se Islam ka Haq ho usko muushabehat kehkar
chhodna durust nahi balki usparr amal karna chahiye aur sath kuch imtiyaz yani
farq kar lena chahiye, jaisa ki jab Sahaba ne kahaki Ya RasoolALLAH sallallaho
alaihe wasallam yahood bhi Ashhure ka roza rakhte hain aur hum bhi rakhe hain,
is tarah mushabehat hogi. To aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki In
sha ALLAH agle saal agar mai raha to 9vi ka roza bhi rakhunga. Jab Yahudi Musa
alaihis salam ki fateh ki khushi me roza rakh sakte hain to ham apne Nabi
sallallaho alaihe wasallam ki wiladat ki khushi me kyu roza nahi rakh sakte?


1: Kya Saal me sirf do
eiden hain ?

Aitraz#1: : Saal
me sirf 2 Eid (Eid-ul-Fitr, Eid-ul-Azha) hi Eid hoti hain, Sunniyon ne ye
teesri eid kahan se bana liya?

Is aitraz se
lagta hai ki mukhalifeen ko Eid ka matlab hi nahi malum.,
Aaiye pahle
ham Lughat se Eid ka matlab sabit karte hain.
.
Arbi ki
mashhur Lughat Al-MAwrid me Eid ke 4 maane likhe hain,
Dawat, Dawat
ka din, Tyohar, Chhutti ka din.
(Al-Mawrid
Pg.788)
Scan Page:









 Urdu ki mashhur Dictionary, Firozul Lughat me
eid ke teen maane likhe hain,
1: Jo bar bar
aaye, 2: Musalmano ke jashn ka roz, 3: Nihayat khushi. 
(firozul
Lughat Pg.488)
Scan Page:




Sabit hua Eid
ke maane to bas Khushi ke hote hain, aur har khushi ke din ko Eid kehte hain.
To kya Mukhalifeeen saal me bas 2 din hi khush rehte hain, baaqi din kya maatam
karte hain ?


Ab Quran se
jawab dete hain, .


Al-Jawab Minal
Quran: Eisa alaihis salam ne farmaya:

قَالَ
عِيْسَى ابْنُ مَرْيَمَ اللّٰهُمَّ رَبَّنَآ اَنْزِلْ عَلَيْنَا مَاۗىِٕدَةً
مِّنَ السَّمَاۗءِ تَكُوْنُ لَنَا عِيْدًا لِّاَوَّلِنَا وَاٰخِرِنَا وَاٰيَةً
مِّنْكَ ۚ وَارْزُقْنَا وَاَنْتَ خَيْرُ الرّٰزِقِيْنَ    ١١٤؁

(Sureh Maidah
114)


.

Tarjuma: Aye
ALLAH hamare liye Asman se ek Khwan nazil farma taki hamare pichle aur hamae
agle is din ko apni Eid mana len aur isme nishaaniyan paayen aur hume rizq de
aur tu behtarin rizq dene wala hai.


.

.

SubhanALLAH

pata chala ki
jis din bhi ALLAH ki koi khas nemat nazil ho, us din ko Eid kehte hain, aur
sath me ye b likha hai ki HAMARE AGLE AUR PICHLE IS DIN KO EID KAR LEN,


to ab koi
Wahabi ye nai keh sakta ki jis din nazil hua bas us din eid thi ab nahi ho
sakti. Balki Agle aur Pichle sare logon ke liye eid hai.


.

Jab ek khwan
nazil hone ka din Eid kehlaya, to fir sabse badi nemat,


Mehbub-e-Khuda
sallallaho alaihe wasallam jis din tashrif laaye, usse badi koi Eid kya hogi?

2: Kya har Eid ka roza
haram hai ?

Aitraz#2: Agar
Ye din Eid hai to fir is Din roza kyun rakhte ho? Kyunki Eid ke din roza rakhna
Nabi sallallaho alaihe wasallam ne haram farmaya hai.




Ilzami Jawab:
Jab Hadees me likha hai ki Juma bhi eid hai to kya Ramzan me jab Juma aata hai
to tum eid samajhke roza chhod dete ho?
.
Nahi. Aur aisa
kisi Hadees me likha hi nahi hai ki sab Eidon ka roza haram hai bas ye likha
hai ki “Eidain” ka roza mana hai. Aur Arbi me jab “Ain” ka lafz aata hai to
usse muraf joda/pair yani sirf 2 hota hai. Isliye Eidain ka matlab sirf 2 Eidon
ka roza rakhna mana hai. Har eid ka nahi. Warna kya har Juma ko Roza chhod diya
jayega?

Hadees mulahiza ho,.
HADEES: Abu Ubaid r.a se riwayat hai ki maine H.Umar r.a ke sath
Eid ki namaz padhi to aap ne kaha ki "YE 2 DIN HAIN JISME ROZA RAKHNE SE
RASOOLALLAH Sallallaho alaihe wasallam NE MANA FARMAYA HAI, EK TO EID-UL-FITR
HAI JISME TUM APNE ROZON KI IFTARI KARTE HO AUR DUSRA JISME TUM APNI QURBANIYON
KA GOSHT KHATE HO"
(Bukhari, jild 1, Kitabus Som, H.no.1990).
.
Scan
Page:






SubhanALLAH.
to pata chala ki sirf Eid-ul-Fitr aur  Eid-ul-Azha ke din ka roza mana hai, baaqi
eidon ka nahi, aur momineen ke liye to Har Juma bhi Eid hota hai.
.


Ilmi
Jawab:  


رقم الحديث: 1088
(حديث مرفوع) حَدَّثَنَا عَمَّارُ بْنُ خَالِدٍ الْوَاسِطِيُّ ، حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ غُرَابٍ ، عَنْ صَالِحِ بْنِ أَبِي الْأَخْضَرِ ، عَنْ الزُّهْرِيِّ ، عَنْ عُبَيْدِ بْنِ السَّبَّاقِ ، عَنْابْنِ عَبَّاسٍ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " إِنَّ هَذَا يَوْمُ عِيدٍ جَعَلَهُ اللَّهُ لِلْمُسْلِمِينَ ، فَمَنْ جَاءَ إِلَى الْجُمُعَةِ فَلْيَغْتَسِلْ ، وَإِنْ كَانَ طِيبٌ فَلْيَمَسَّ مِنْهُ ، وَعَلَيْكُمْ بِالسِّوَاكِ "

Hazrat Ibn Abbas radiAllaho
ta'ala anhu se riwayat hai ki  Nabi
sallallaho alaihe wasallam ke farman ke mutabiq Juma ka din bhi Musalmano ki
eid hai.
(Ibn Maja
H.no. 1088)
Scan Page:






Is Riwayat ke mazeed shawahid mulahiz hon:


Ek aur riwayat pesh hai:
الكتب » مسند أحمد » مسند العشرة المبشرين بالجنة » مسند الخلفاء الراشدين » أول مسند عمر بن الخطاب رضي الله عنه


حدثنا جعفر بن عون أنبأنا أبو عميس عن قيس بن مسلم عن طارق بن شهاب قال جاء رجل من اليهود إلى عمر رضي الله عنه 
فقال يا أمير المؤمنين إنكم تقرءون آية في كتابكم لو علينا معشر اليهود نزلت لاتخذنا ذلك اليوم عيدا قال وأي آية هي قال قوله عز وجل اليوم أكملت لكم دينكم وأتممت عليكم نعمتي قال فقال عمر رضي الله عنه والله إنني لأعلم اليوم الذي نزلت فيه على رسول الله صلى الله عليه وسلم والساعة التي نزلت فيها على رسول الله صلى الله عليه وسلم عشية عرفة في يوم الجمعة
Umar radiALLAHO ANHU se jab is Aayat  اليوم أكملت لكم دينكم وأتممت عليكم نعمتي  ke bare me Yahudiyon ne kaha ki agar ye ayat hamare hamare paas hoti to ham is din ko Eid manate, ispar Umar radiALLAHO Anhu ne farmaya, mujhe Ilm hai ye aayat kab nazil hui hai, ye Arfa aur Juma ka din tha.
(Musnad Imam AHmad H.no.189)

Iske bhi Mazeed shawahid In Kutub me pesh hain. 
كتاب السنن الكبرى
الجمعة
الحج
الحج
سنن الترمذي
 - تفسير القرآن
سنن النسائي
الإيمان وشرائعه
صحيح البخاري
الإيمان
صحيح مسلم
التفسير
فتح الباري شرح صحيح البخاري
الإيمان
مسند الإمام أحمد
مسند العشرة المبشرين بالجنة
المصنف
الزهد

Lo Yani ab to
saal me har hafte hi Eid hai, fir sirf 2 Eidon ka masla hi nahi raha.
To sabit hua
ki jis din ALLAH ki koi khas nemat nazil hoti hai har wo din Momineen ke liye
Eid ka din hai. Aur Eid ke laghvi mane bhi sirf khushi ke hote hain. yani
Khushi ke din ko hi Arbi me eid kehte hain.
.
Jab ye sabit
ho gaya ki Har Juma bhi eid hai to batao, Juma to har ramzan me bhi 4 bar aata
hai. To kya Wahabi isey Eid samajhkar 4 Juma Roza chhod dete hain??

3: Agar Miladun Nabi
Sallallaho alaihe wasallam Eid hai to is Eid ki kitni rakat namaz hai ?

Aitraz#3: Agar
ye Eid ka din hai to batao har eid me ek namaz hoti hai fir is Eid me kitni
rakat namaz hoti hai? Aur kis waqt hoti hai?

Jawab: Ye sawal
sirf wohi puchega jo Ilm se bahot door ho. Kabhi Hadeesen hi na padha ho. Khair
fir bhi Hadees me hi iska jawab mulahiza farmaiye:
.

Jawab: H. Ibn Abbas r.a farmate hain ki Juma bhi Eid hai aur Yaum-e-Arfa
bhi Eid hai.


(Tirmizi, Abwaabut Tafseer, H.no.965)

.

Scan page:





sabit hua yani
Arfa ka din bhi Eid hai, jo Hujjaj na hon, Unke liye Arfa ka roza rakhna bhi
Mustahab hai, to is Eid ke din roza rakhna bhi sabit hua.


.

Ab koi Wahabi
bataye, kya Arfa ki koi khas namaz hoti hai???


Ye bhi to Eid
ka din hai na??


To sabit hua
kisi din ko eid kehne ke liye uski Khas namaz hona zaruri nahi.


















4: Lailatul Qadr se bhi
Afzal Miladun Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki raat hai.

LAILATUL-E-QADR
AFZAL HAI YA MILAD-E-MUSTAFA Sallallaho alaihe wasallam KI RAAT?


:

Imam
Shahabuddin Abul Abbas Qastalani, jinhone Seerat par ek mash'hur kitab,
Mawahibul Laduniya likhi, aur Bukhari Sharif ki sharah Irshaadus Saari bhi
likhi, farmate hain:


.

Jab ye kaha
jata hai ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam raat ke waqt tashrif laye to ye
sawal uthta hai ki dono raato me se kaunsi raat afzal
hai, Milad ki
raat ya Lailatul Qadr?


.

Milad-e-Mustafa
Sallallaho alaihe wasallam ki raat Lailatul Qadr se afzal hai uski 3 waja hain.


.

1: Isme Nabi
Sallallaho alaihe wasallam tashrif laye jabki Lailatul qadr apko baad me ata ki
gayi. To Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki tashrif aawri zyada afzal hui isse
jo kuch apko ata kiya gaya.


Is tarah
Mawlid-e-Mustafa Sallallaho alaihe wasallam ki raat zyada afzal hui.


.

2: Agar
Lailatul Qadr afzal hai ki is raat me farishte nazil hote hain to
Milad-e-Mustafa Sallallaho alaihe wasallam ki raat kahin zyada afzal hai ki
isme Sare Aalam ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam nazil hue.


Aur Rasool
Sallallaho alaihe wasallam farishton se afzal hain isliye ye raat bhi Lailatul
Qadr se afzal hai.


.

3: Lailatul
Qadr  se is Ummat ko fazilat mili jabki
Milad-e-Mustafa Sallallaho alaihe wasallam ki raat se tamam jahano ko fazilat
mili jaisa ki ALLAH ne farmaya ki Humne apko tamam aalam ke liye rehmat banakar
bheja. (Quran 21:107)


Is tarah ye
raat sabke liye Mubarak aur afzal hai.


(Imam
Qastallani – Rahimuhuillah in Al Muwahib al Laduniya Volume 1, Page No. 145,
Also Imam Zarqani – Rahimuhullah in his Sharah of Al-Muwahib, Volume 1, Page
Nos 255-256)


.

Iske aage Imam
Qastalani farmate hain:


ALLAH un sab
par rehmat farmaye jo Milad-e-Mustafa Sallallaho alaihe wasallam ki raat ko
jashn manate hain un logo ke dard ko kam karne ke liye jinke dil bimar hain.


[Al-Muwahib-
Volume 1, Page No. 145 Arabic]
Scan page:
  
Scan  Page Urdu 
 




: Imam Ibn E Aabideen
As-Shami(1252hijri) Likhte Hai:


أن أفضل الليالي ليلة مولده صلي الله عليه وآله
وسلم ، ثم ليلة القدر، ثم ليلة الإسراء والمعراج، ثم ليلة عرفة، ثم ليلة الجمعة،
ثم ليلة النصف من شعبان، ثم ليلة العيد
.


"Rato Mai Se Afzal Tareen Shab E Milaad E
Rasool(Sallallahualehiwasallam) Hai Fhir Shab E Qadr Fir Shab E Asra Wa Meraj
Fir Shab E Arfa Fir Shab E
Juma Fhir
Sabaan Ki Pandarahawi Shab Aur Fir Shab E Eid Hai,




[Fatawa Shami Al Maroof Raddul Muhtar Jild.3
Safa.528-529 Kitabul Hajj]


[Allama Nabhani-Jawhir Ul Bihar Sharif Jild.3
Safa.426]
Scan Page:


























 7: Miladun Nabi ki khushi manani chahiye wisal ka
gham nahi.


Eid-Milad Nabi
Sallallaho alaihe wasallam ke din sirf Khushi manana chahiye, wisaal par Gham
nahi:


.

Imam Suyuti
farmate hain:
أن ولادته صلى الله عليه وسلم أعظم النعم علينا ووفاته أعظم المصائب
لنا والشريعة حثت على إظهار شكر النعم والصبر والسلوان والكتم عند المصائب وقد أمر
الشرع بالعقيقةعند الولادة وهي إظهار شكر وفرح بالمولود و لم يأمر عند الموت بذبح
ولا غيره بل نهى عن النياحة وإظهار الجزع فدلت قواعد الشريعة على أنه يحسن في هذا
الشهر إظهار الفرح بولادته صلى الله عليه وسلم دون إظهار الحزن فيه بوفاته


Nabi
Sallallaho alaihe wasallam ki wiladat hamare liye bahot badi nemat hai aur apka
wisaal hume udas karne wala bhi hai. Aur Shariat ne hume nematon par khushi
manane ka hukm diya hai par Gham aur musibat ko chhupane aur sabr ka hukm diya
hai.


Isiliye
shariat ne Paidaish
par Aqiqa karne ka hukm diya jo ki ALLAH ki
shukr guzari ka tariqa hai.


jabki kisi ki
maut par janwar zibah karna ya matam ka hukm nahi hai.


Isliye shariat
ki roshni me Nabi Sallallaho alaihe wasallam ki Milad par khushi manani
chahiye.


[Husn
al-Maqsad fi Amal al-Mawlid Page No. 54-55]
Scan Page no.54:
Scan Page NO.55




8: Eid MIladun Nabi
Sallallaho alaihe wasallam ke din kaun rota hai?










 Imam Abu Qasim Sahli
Alehhirrahma(581hijri) Farmate Hai:-



أن إبليس رن أربع رنات حين لعن وحين
أهبط وحين ولد رسول الله صلى الله عليه وسلم وحين أنزلت الفاتحة




"Iblees Char Martaba Roya Pahli Baar Us
Waqt Jab Us Per Lanat Ki Gai Aur Phir Jab Randahe Dargah Kiya Gaya Aur Phir Jab
"RasoolALLAH Sallallaho Alaihe Wasallam ki Wiladat ba-Sa'aadat  Huyi" Aur
Jab Sureh Fatiha Utaari Gai
[Hafiz Ibn E Kaseer(776hijri) Al Bidaya Wan Nihaya
Matbua Kahira Jild.2 Pg..166]


Scan Page:













Ek aur
hawala Mulahiza ho
:
ﺍﻟﻜﺘﺎﺏ: ﺣﻠﻴﺔ ﺍﻷﻭﻟﻴﺎﺀ ﻭﻃﺒﻘﺎﺕ

ﺍﻷﺻﻔﻴﺎﺀ

ﺍﻟﻤﺆﻟﻒ: ﺃﺑﻮ ﻧﻌﻴﻢ ﺃﺣﻤﺪ ﺑﻦ ﻋﺒﺪ

ﺍﻟﻠﻪ ﺑﻦ ﺃﺣﻤﺪ ﺑﻦ ﺇﺳﺤﺎﻕ ﺑﻦ

ﻣﻮﺳﻰ ﺑﻦ ﻣﻬﺮﺍﻥ ﺍﻷﺻﺒﻬﺎﻧﻲ

‏( ﺍﻟﻤﺘﻮﻓﻰ430 :
ﻫـ ‏
)

ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﻣُﺤَﻤَّﺪُ ﺑْﻦُ ﻣَﻌْﻤَﺮٍ، ﺛﻨﺎ
ﻳُﻮﺳُﻒُ


ﺍﻟْﻘَﺎﺿِﻲ، ﺛﻨﺎ ﺃَﺑُﻮ ﺍﻟﺮَّﺑِﻴﻊِ، ﺛﻨﺎ ﺟَﺮِﻳﺮُ
ﺑْﻦُ


ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟْﺤَﻤِﻴﺪِ، ﻋَﻦْ ﻣَﻨْﺼُﻮﺭٍ، ﻋَﻦْ

ﻣُﺠَﺎﻫِﺪٍ، ﻗَﺎﻝَ: " ﺭَﻥَّ ﺇِﺑْﻠِﻴﺲُ
ﺃَﺭْﺑَﻌًﺎ
:

ﺣِﻴﻦَ ﻟُﻌِﻦَ، ﻭَﺣِﻴﻦَ ﺃُﻫْﺒِﻂَ، ﻭَﺣِﻴﻦَ
ﺑُﻌِﺚَ


ﺍﻟﻨَّﺒِﻲُّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ،

ﻭَﻗَﺪْ ﺑُﻌِﺚَ ﻋَﻠَﻰ ﻓَﺘْﺮَﺓٍ ﻣِﻦَ ﺍﻟﺮُّﺳُﻞِ،

ﻭَﺣِﻴﻦَ ﺃُﻧْﺰِﻟَﺖِ ﺍﻟْﺤَﻤْﺪُ ﻟِﻠَّﻪِ ﺭَﺏِّ

ﺍﻟْﻌَﺎﻟَﻤِﻴﻦَ ﻭَﺃُﻧْﺰِﻟَﺖْ ﺑِﺎﻟْﻤَﺪِﻳﻨَﺔِ،
ﻭَﻛَﺎﻥَ


ﻳُﻘَﺎﻝُ: ﺍﻟﺮَّﻧَّﺔُ ﻭَﺍﻟﻨَّﺨْﺮَﺓُ ﻣِﻦَ
ﺍﻟﺸَّﻴْﻄَﺎﻥِ،


ﻓَﻠُﻌِﻦَ ﻣَﻦْ ﺭَﻥَّ ﺃَﻭْ ﻧَﺨَﺮَ



Iblees 4
martaba roya hai.


.

1: Jab wo
mardood hua


2: Jab wo
duniya me bheja gaya.


3: Jab mere
Nabi sallallaho alaihe wasallam ki wiladat hui.


4: Jab sureh
Fatiha Nazil hui.


(Hilyatul
Auliya Pg:299)
Scan page: 

.

Isnaadihi Sahi wa Rijaal Kullohum Siqaat 


ﺃَﺑُﻮ ﺍﻟﺮَّﺑِﻴﻊِ
 
Par Baaz Jaahlo ke Aitraz ka Jawab  


ﺍﻻﺳﻢ : ﺳﻠﻴﻤﺎﻥ ﺑﻦ ﺩﺍﻭﺩ

ﺍﻟﻌﺘﻜﻰ ، ﺃﺑﻮ ﺍﻟﺮﺑﻴﻊ ﺍﻟﺰﻫﺮﺍﻧﻰ

ﺍﻟﺒﺼﺮﻯ ‏( ﺳﻜﻦ ﺑﻐﺪﺍﺩ ‏)

ﺍﻟﻄﺒﻘﺔ 10 : : ﻛﺒﺎﺭ ﺍﻵﺧﺬﻳﻦ ﻋﻦ

ﺗﺒﻊ ﺍﻷﺗﺒﺎﻉ

ﺍﻟﻮﻓﺎﺓ 234 : ﻫـ

ﺭﻭﻯ ﻟﻪ : ﺥ ﻡ ﺩ ﺱ ‏( ﺍﻟﺒﺨﺎﺭﻱ -

ﻣﺴﻠﻢ - ﺃﺑﻮ ﺩﺍﻭﺩ - ﺍﻟﻨﺴﺎﺋﻲ ‏)

ﺭﺗﺒﺘﻪ ﻋﻨﺪ ﺍﺑﻦ ﺣﺠﺮ : ﺛﻘﺔ

ﺭﺗﺒﺘﻪ ﻋﻨﺪ ﺍﻟﺬﻫﺒﻲ : ﺍﻟﺤﺎﻓﻆ

Ye Bukhari wa Muslim ke Markazi Raavi hain aur BIL- ITTIFAAQ
 SIQA , HAFIZ, O SUDUQ hain
Iblees to 4
bar roya, unme se ek din Miladun Nabi ka hai,


lekin aaj Aaj
ye Wahabi bhi uski pairwi kar rahe hain, aur ye to Har saal rote hain,


inhone to
Iblees ko bhi piche chhod diya.


.
.
ALLAH Haq
saamajhne ki sabko taufiq de.
Aameen.

5 Comments

  1. Sub'haanallah...

    Allah ta'al aapke ilm,amal,aur umar me ma sehat o tandurusti barkat ata farmaye.
    Aameen summa Aamee.

    Mohammad Irfan Ashrafi

    Baani (Founder)

    Naazim e aala wa mohtamim

    JAMIA FATIMA niswa
    Khureji New Delhi
    India

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalamo Alaikum
      Janab Irfan Ashrafi sahab,
      kya main apse email ya whatsapp ya Facebook pe personally kuch baat kat sakta hu? upar blog ke side me mera Facebook link hy. uspar clik karke aap meri facebook Id par pahuch jayenge.


      jawab ka muntazir....

      Delete
  2. Masha Allah.....
    Allah apke ilm o amal me khoob barkat ata frmaye tki ap Sunniyat ki khoob khidmat kr sken
    jazak Allah

    ReplyDelete
  3. माशा अल्लाह बहुत जबरदस्त दलाइल की रौशनी में लिखा है,,👌👌

    ReplyDelete
Previous Post Next Post