HUM LOG KHADE HOKAR SALAT-O-SALAM KYUN PADHTE HAIN?

HUZUR NE FARMAYA, APNE SARDAR KE LIYE KHADE HO JAO.
,
HADEES: H. Abu Umama bin Sohel bin Haneefne H. Abu Saeed Khudri r.a se riwayat ki hai,
Ahle Qareeza jab H.Saad bin Maae ke hukm par utar aaye to Nabi sallallaho alaihe wasallam ne unhe bulwaya, jab wo aaye to aapne farmaya ki apne Sardar ya farmaya kiapne se behtar admi ki tazim ke liye khade ho jaao,
pas wo Nabi alaihesalam ke paas aakar baithe,
aapne farmaya ye log (Yahoodi) tumhare faisle ke liye utre hain,
unhone kaha ki main ye faisla karta hu, ki inke jo afraad ladne ke qabil hain, unhe Qatlkar diya jaye, aur unki aulad ko qaid kar liyajaye,
Pas Huzur ne famaya ki tumne wohi faisla kiya jo ALLAH TA'ALA ne farishte ko hukm farmaya,
(Bukhari, J-1, S-433, Kitabul Istezan, Baab-710.Qaulan Nabi)
,
,

jab apne sardaro ke liye khade hone ka hukm hai to fir,
Nabiyo ke sardar
Rasoolo ke Sarda,
sari qainat ke sardar ke liye hum kyu na khade hokar salam padhen?
,
aur ye bhi sabit ho gaya ki Adab me khade hona Sunnat hai,

Post a Comment

Previous Post Next Post