-:NABI KA MA'ANA (Meaning):-

-:NABI KA MA'ANA (Meaning):-
,
,
1.Arabi Lugat "AL-MUNJID" (Dictionary) me NABI Ka Ma'ana;
"NABUWWAT ka Ma'ana hai ALLAH ki Taraf se Ilhaam pa kar Gaib ya Mustaqbil ki khabar dena ALLAH TA'ALA aur Uske Muta'alliqaat ki khabar dena"
("AL-MUNJID" Safha:784)
,
2.Imam Suyuti Shafai (911 Hijri Mutawaffa) Likhte hai;
"NABI use kehte hai Jo ALLAH TA'ALA ki Gaibi Khabrein Batata hai"
("AR-RIYAAZ-UL- ANEEQA FI SHARAH ASMA KHAIR-UL-KHALEE QA" Safha:261 Musannif:Imam Suyuti Shafai 911 Hijri Mutawaffa)
,
3.ALLAMA QUAZI Ayaaz Maaliki () Farmaate hai;
"NABUWWAT ka Ma'ana hai Gaib Par Muttala hona,Aur Gaib ki khabrein Bataana khusoosiyat-e-N ABUWWAT me se hai"
("ASH-SHIFA" JILD:1 SAFHA:347 Musannif:ALLAMA QUAZI Ayaaz Maaliki)
,
4.Imam Qastalaani (923 Hijri Mutawaffa) Farmate hai;
"NABUWWAT Naba se Makhooz hai Ba-Ma'ana khabar Yani ALLAH TA'ALA ne AAP ko Gaib par Ittila di"
("AL-MAWAHIB-UL -LADUNNIYYA" Al-maqsad-us-sa ni,Al-fasl-ul-A wwal JILD:1 SAFHA:383 Musannif:Imam Qastalaani 923 Hijri Mutawaffa)

1 Comments

Previous Post Next Post