SAHABA-E-KIRAM KA ILM-E-GAIB:

Hadees: Huzur Aqdas sallallaho alaihe wasallam ne ek Sahabi se daryaft kiya,
,
Kaifa Asbahto?
,
tarjuma: Tumne Subah kaise ki?
,
Arz ki, Asbahto Mominan Haqqan,
,
tarjum: Maine Subah ki, is haal me ki mai saccha momin tha,
,
Irshad farmaya: Har Daawe ki ek dalil hoti hai, jisse us daawe ki sacchai sabit hoti hai, tumhare daawe ki kya dalil hai?
,
Arz ki, Maine Subah ki is haal me ki, Mai Arsh se Tehetussura tak tamam maujudaat aalam meri pesh-e-nazar hain,
Jannatiyo ko Jannat me aish karte dekh raha hu,
Jahannamiyo ko jahannam me Cheekhte chillate azab paate dekh raha hu,
,
Irshad farmaya: Pahunch liye ho itminan rakho,
(Moajjam Kabeer Tibrani, J-3, S-266, H.no 336)
,
Jab Sahabi ka ye haal hai ki Jannat me Jannatiyo ko,
Jahannam me Jahannamiyo ko yahan se dekh sakte hain,
to Aaqa-e-Qainat ke Ilm-e-Gaib ka kaun andaza lagaye?

Post a Comment

Previous Post Next Post