KAUNSE SAHABI SE KITNI HADEESE RIWAYAT KI GAYI HAIN?

KAUN SE SAHABI SE KITNI HADEESE RIWAYAT KI GAYIN HAIN:
.
Huzur sallallaho alaihewasallam ke wisal ke baad daur-e-Sahaba me Taabaeen ne Sahaba ki marwiyaat ko likhkar Mehfuz karna shuru kiya.
.
1: H.Abu Hurairah r.a se 5374 Ahadees marwi hain, Unhone beshumar Shagird paida kiye aur un logo ne un Ahadees ko likhkar Mehfuz kiya aur ye silsila-e-riwayat aage badhaya, chunanche Musnad Darmi me hai ki aapke shagirdo me se Basheer Bin Nheek ne apki riwayat ko likhkar mehfuz kar liya tha.
(Musnad Daarmi)
.
2. H.Abdullah Ibne Abbas r.a se 2660 Ahadees marwi hain, unki riwayat ko dusre shagirdo ke alawa kareb ne mehfuz kar liya tha.
(Tabqaat Ibne Sa'dij, J-5,S-216)
By: Mohammed Bin Sa'ad Kaatib Waaqdi.
.
3: H.Anas r.a se 2286 Ahadees marwi hain. Unki Marwiyat ko Ubaan ne mehfuz kar liya tha.
(Musnad Daarmi)
.
4: Ummul Momineen H.Ayesha Siddiqa r.a se 2210 Ahadees marwi hain. Unki Ahadees ko Arwah Bin Zubair r.a ne likhkar mehfuz kar liya tha.
(Al-Kifaya, S-229)
.
5: H.Abdullah Ibne Umar r.a se 1630 Ahadees riwayat hain, Unki riwayato ko Naafe ne likhkar mehfuz kar liya tha.
(Musnad Daarmi, Tabqaat Ibne Sa'ad)
.
6: H.Jabir r.a se 1540 Ahadees marwi hain. Unki Marwiyaat ko Qatadah Bin Doaamah Sarosi ne likhkar mehfuz kar liya tha.
(Tabqaat Ibne Saad, J-7, S-72)
By: Mohammed Bin Saad Kaatib Waaqdi.
.
.
Mazkooratus Sadarus Sutoor me chand Misalein pesh ki hain warna Sahaba-e-Kiram se Ahadees ka sama' aur riwayat karne wale tamam Hazraat Ahadees ko zabt tehreer me leaaye the.
Pehli sadi Hijri ke akhir tak isi tarah mutafarriq taur par kitabat ke sahare tadween Hadees ka kaam aage badhta raha,
Ahadees ke ye Sahaif aur Noshte kisi nuqta par Mushtarik aur kisi jehet se majma na the,
Bagair kisi tarteeb ke taabaeen kiram ne apni apni mawiyat ko apne seeno aur saheefo me mehfuz kar rakha tha,
yahan tak ki H.Umar Bin Abdul Azeez ka zamana-e-khilafat aaya aur unhone Ahadees ko yakja karne ka irada kiya.
Chunanche is Kaam ke liye unhone mo'tamad aur mustanad Ulama ki ek kameti muqarrar ki, jinme Abu Bakr Bin Mohammed Bin Umar Bin Hazam, Qasim Bin Mohammed Bin Abi Bakr aur Abu Bakr Mohammed BinMuslim Bin Ubaidullah Bin Abdullah Bin Shahab Zehri ke asmaa-e-Khas taur par qabil-e-zikr hain.
Umar Bin Abdul Aziz ne mukhtalif ilaqo se Ahadees ka likha hua zakheerah jama kiya aurIbne Shahab Zehri ne un Ahadees ko tarteeb diya, tehzeeb se munazzam aur manzabt kiya.
(Tadreebul Rawi, S-73)
By: Hafiz Jalaluddin Suyuti, Matoofi 911 Hijri.
.
Ahadees ko jama aur munazzam karne ke sahsath Hadees ko sanad ke sath bayan karne ki ibteda bhi Ibne Shahab Zehri ne ki hai.
(Tuqaddamatul Ma'rfatul Kitabul Jarah wa Ta'deel, S-20)
.
Isi waja se inko Ilm-e-Isnaad ka Waazeh kaha jata hai.
Ahadees ki tarteeb aur tehzeeb ka jo kaam Ibne Shahab Zehri ne shuru kiya tha.
Is kaam ko unke maapeh naaz tilamezah barabar aage badhate rahe, yahan tak ki Dusrisadi ke akhir me unke ek Naamoor Shagird Imam Malik Bin Anas Sub'hi ne Ahadees ko Baab Waar tarteeb dekar pehla majmua Hadees Moatta ke naam se pesh kiya.

Post a Comment

Previous Post Next Post