MURDE SUNTE, BOLTE, DEKHTE AUR MEHSUS BHI KARTE HAIN:

MURDE SUNTE, DEKHTE, BOLTE AUR MEHSUS KARTE HAIN:
HADEES KI ROSHNI ME:
,
HADEE#1: Azwah bdar sharif me musalmano ne kuffar ki laashen jama karke ek kuwen me paat di,
Huzur ki adat karima ti ki jab kisi muqam ko fateh karte to wahan 3 din qeyam farmate,
yahan se tashrif le jate waqt is kuwen par tashrif laye, jisme kafiro ki lashen padi thi, aurunhe naam banaam awaz dekar farmaya,
,
'Humne to paa liya jo humse hamare Rab ne saccha waada(Nusrat ka) farmaya tha, kyun tumne bhi paya jo sacch wada(Naar ka) tumse tumhare Rab ne kiya tha.'
,
Ameerul MomineenFaruq Azam r.a ne arz ki, Ya RASOOLALLAH,
,
'Ajsadun La Arwaha Feeha'
tarjuma: Ya Rasoolallah Kya Huzur be-jaan jismo se kalaam farmate hain?
,
Farmaya, 'Ma Antum be asma'a Minhum.'
tarjuma: Tum kuch unse zyada nahi sunte, magar unhe taqat nahi ki mujhe laut kar jawab dein.
(Bukhari, J2, S-566, Baab-Qatl Abi Jehel)
,
is Hadees se pata chala ki Kafir bhi marne ke baad sunte hain,
to fir Momin kyu na sune?
Aur fir AULIYA Ki shan to raafe Aala hai.
Beshak wo bahut behtar sunte hain.
,
fir farmaya,
,
HADEES#2: Rooh ek parind hai, aur Jism Pinjrah,
Parind jis waqt tak pinjrah me rehta hai, iski parazi isi qadr hai, Jab Pinjrah se nikal jaye, is waqt iski quwwat-e-parwaz dekhiye.
(Sharahus Sudur, S-210,Baab-Al Arwahe Mafhoomam)
,
is Hadees se pata chala ki Jism se Rooh nikalne ke baad iski sunne aur dekhne aur tamam ikhtiyarat ki quwwt aur zyada badh jati hai.
,
SAMAA MOTI KA MASLA:
WAHABIYO KI MAKKARI,
,
Wahabi log Sunniyo ko Quran ki ye ayat pesh karte hain,
'Beshak tumhare sunaye nahi sunte Murde,'
(Sureh Naml 80)
ek aur ayat pesh karte hain,
'Aur tum nahi sunane wale unhe, jo Qabro mepade hain,'
(Sureh Fatir 22)
,
JAWAB MIN HADEES: Moti kaun hai, Ijsam.
Qabro me kaun hai, wohi Ijsam,
to Fir sirf Ijsam hi ke sunne se inkar kiya gaya hai,
na ki Arwaah ke,
(Bukhari,J2,S-5 67, Baab-Qatl Abi Jehel)
,
So Ye Ayat Ijsam per dalalat karti hai,
Arwaah par nahi, aur ALLAH ke tama nek bande apni quwwate Arwah se sunte, dekhte aur madad karte hain.
,
Khud H.Ayesha Siddiqa r.a ka tarz-e-amal SamaMoti ko sabit kar raha hai, farmati hain,
,
HADEES#4: jab Huzur Aqdas sallallaho alaihe wasallam mere Hjre me dafn hue, Mai Baghair Chadar odhe, be-Hijabana Hazir hoti aur kehti,
'Innama Hua Zauji'
Mere Shauhar hi to hain.
,
fir H.Abu Bakr Siddiq r.a wahan Dafn hue, jab bhi mai baghair Ehtiyat ke chali jati aur kehti,
'Innama Hua zauji wa abi'
Mere Shauhar aur mere Baap hi to hain.
,
fir jab H.Umar Faruq r.a wahan Dafn hue to mai nihayat ehtiyat ke sath chadar lipti hui jati, is tarah ki koi uzu khula na rahe, kehti,
'Haya an Min Amara raziallahu ta'ala anhu'
Umar se sharm karti.
(Mishkaat, J1,S-154, Baab-Ziyarate Qubur)
,
to agar Arwah ka Sama Basar na manti to fir 'Haya Min Umar' ke kya mayne hain?
,
HADEES#5: "Jab koi aisi Qabr se Guzre jisey Duniya me jaanta tha aur uspar Salaam karey to wo Murda isey Pehchaanta hai aur iske Salaam ka Jawaab deta hai".
[ Taarikh Baghdaad , Jild : 6 , Page No : 135, Hadees No : 3175 ]
,
HADEES#6: Tafseer Ibn-e-Kaseer me hai k Mayyat apni ziyart krne wale ko pehchanti b hai or khushb hoti hai.
,
HADEES#7: Hazrt Anus (Radi Allah ho Anhu) se mrvi hai
Huzoor (Sllallaho Aalaehi Wasllm) ne frmaya
jb bnde ko us ki Qabr me rakha jata hai or us k Dost dafan krne k bad waps lot'te hain to wo un k juton ki Awaz sunta hai
(Mishkat page 24)
,
HADEES#8: H.A.bu Saeed Khaudri r.a se riwayt hai ki Nabi alaihesalam farmate hain, jab bande janaze ko lekar chalte hai to agar wo nek hai to kehta hai, mujhe jaldi le chalo, aur agr wo bura hai to kehta hai, mujhe kahan liye jate ho?
(Bukhari, J-1, Kitabul Janaiz, Baab-Qaulil Mayyit)
,
is Hadees se pata chala ki Murda Quwwat-e-Arwah se bolta b hy,
,
BOOK#9: AhleHadeeso ke Imam Ibn-e-qayyim likhta hai
Mayyat ki ziyart k liye koi shaks aata hai to mayyat ko us ki aamd ka ilm hota hai or wo khush b hoti hai
(Kitab-ur-Rooh Page 05)
,
BOOK#10: Isi tarah Anwar Shah Kashmiri Deobandi b likhta hai k jb koi shaks mayyat kosalam kehta hai to wo usse salam ka jawab deta hai or agar dunya me wo us ko pehchanta tha to us waqt b pehchan leta hai
(Faiz-ul-Bari jild 2 page 467)
,
,
NEK BANDO KI QABRO KI BARKAT SE GUNAHGAR LOGO KO FAIDA:
,
HADEES#11: Nabi sallallaho alaihe wasallam neFarmaya, tum apne Murdo ko, Buzurgo ke pasdafn karo, ke unki Barkat se in par azab nahi hota.
(Muslim, J2, S-344, Baab-Fazlul Majalisul Zikr),
,
HADEES#12: Wo Log hain ki unke sabab unka hamnasheen bhi bad bakht nahi hota, wa lehaza Hadees me farmaya,
'Adfenu Mautaakum Wasta Qaumin Saaleheen'
Apne murdo ko Neko ke darmiyan Dafn karo.
(Kanzul Ummal,20, S-122)
,
,
:
in tamam Ahadeese Saheeha se ye khoob achhi tarah wazeh ho gaya ki MURDE APNI QUWWATE ARWAH SE, SUNTE, DEKHTE AUR MADAD BHI KARTE HAIN, AUR UNKE ZARIYE DUSRO KO FAIDA BHI MILTA HAI,
,
Ab jo Wahabi log Quran ki Sureh Naml80 aur Sureh Fatir22 Ayato se apni marzi se hi matlab nikalte hain, aur Sunniyo ko Mushrik kehte hain,
wo Batayen kya Itni sari Hadeesen, Jhoot farmayi Gayi hain?

4 Comments

  1. Pahli baat quran aur hadith me farq samjhe ,
    Quran Allah ka qalaam hai aur Hadith hamare pyare nabi ( S.A.W )ka farmaan hai
    Rab ki quran pe shak karne wala kafir.
    Tum b itna ilm haasil karo k tumhari mazar pe bhi urs lage.
    Tumne khud itna kyo na padha k log tumhare paas bhi dua karwane aate.
    Tumhi se waseela karwaane ki tamanna rakhte. (Nauzbillah )
    Gaur se socho kyoki insaan ko uske kiye hue har gunaah ki saza qabr me milegi,qabr hi pahli seedhi hai, tum kya jaano qabro me kaun kis halat me hai.
    Aise logo se Allah sakht naraaz hota hai jo shirk karte hain, Allah ko bhoolkar gairo k aage haath phailate hain. Apni tabahi apne haath se likhte hain , Allah har cheez pe qadir hai, beshak Allah hi raham karne wala hai basinsaan usse saachchi touba kare,kyoki dil ki baato ko jaanne wala hi Allah hai.
    Tum jo karte ho ya karne wale hote ho Allah ko sab pata hota hai lekin gunaah karte waqt b ye nahi sochta k Allah dekh raha hai. Tauba nahi karta balki dua karwane ki minnat karta hai.
    Kya tumko Allah ka khauf nahi jo dusro k paas jaate ho.
    Agar allah ka khauf hota toh Allah ki quran se tum kisi kitab ki similarity aur differentiate na karte.
    Bhai mere aap arbi k Aalim ban jao taki translation karke khud se padh lo. Quran sachcha hai. Jis k dil me quran ko samjho. Khud se apni likhi hui baato ko padho tumne Quran aur hadith me farq nahi jana shayad kuch samajh me aaye.

    ReplyDelete
  2. Pahli baat quran aur hadith me farq samjhe ,

Previous Post Next Post