AYAT-E-MUTASHABEHAT AUR AYAT-E-MOHKAM ME IMTIYAZ KAISE KIYA JAYE?

Jis aayat ko iske zaahiri maayne par hamal karne se koi aqli istehala lazim aata ho, wo Mutashabe hai, . Ex: Yadullahe Fauqa Aidihim, Tarjuma: Unke hatho par Allah ka hath hai, (Sureh Fateh 10) . Agar is ayat ke zahir maane liye jayen to to Allah ka hath maana, aur jab Hath ho to Jism bhi hua, aur har Jism murakkab, aur Murakkab apne wajud me apne un ijza ka mohtaj hai jinse wo Murakkab hai, jab tak wo maujud na ho le, ye maujud nahi ho sakta, . To is tarah is ayatke zahir matlab se Khuda ka mohtaj hona maanna padega, aur Har mohtaj Haadis, aur koi Haadis Qadeem nahi, aur jo Qadeem na ho, Khuda nahi ho sakta, to sire se Aluhiyat ka hi inkar ho gaya, Isliye sabit hua ki is ye ayat Mohakm nahi Mutashabeh hai. . Isi tarah ye ayat 'La Ya'lamo man fis samawate wal ardil gaibe illAllah' Tarjuma: tum farmao, Allah ke siva zameeno asman ke gaibkoi nahi janta, (Sureh Naml 65) . Agar is ayat ko iske zahir mayne par rakha jaye to ye mayne honge ki kisi tarah ka Ilme Gaib kisi ko nahi, Siva Rab ke, jabki Ambiya kiram alaihesalam ne khoob Ilme Gaib, Jannat Naar Malaika wa Jinn Hisab Sawab Eqab Mizan Sirat A'raf ke mutalliq bayan farmaye hain, to MaazAllah Kazb-e-Ilahi maanna padega, to malum hua ki ye ayat apne zahir mayne par nahi li jayegi, balki ye Mutashabe hai. Ayat musabta ne Ilme Ataai ki takhsees kar di hai aur Jab is Ayat me Bil-Ataa wa Biz-Zaat dono ko aam thehra liya to mayne ye ho jayenge ki Zaati Ilme Gaib bhi Khuda ke siva kisi ko nahi, aur Ataai Ilme Gaib bhi Khuda kesiva kisiko nahi, MaazALLAH, kaisa bada istehala ho jayega ki Khuda ko kisi dusre ne Ilm ata kiya to aisa Jahil hua aur Jehel Nuqsan hai, aur jisme Nuqsan ho,Wo Khuda nahi ho sakta to Aluhiyat se hath dho baithna hua to ye Ayat apne Umum zahiri par mohkam nahi ho sakti, haan apne Mayne me mohkamho sakti hai. . Isi tarah 'Wama Zalamnahum Walaakin Kaanu Anfosahum Yazlemun' (Sureh Nahl 118) . Tarjuma: aur humne unpar zulm na kiya, haan wohi apne jaano par zulm karte the, . Is Aayat ko agar iske zahir pe rakho to ye mayne honge ki Bande khud apni zaat se un amal ka khalq karte hain, to Quran Azim me jo sawal farmaya gaya hai, 'Hal Min Khalqin Gairillah' (Sureh Fatir 3) . Tarjuma: Kya Khuda ke siva aur koi Khaliq hai? . Har Aaqil ke nazdik iska jawab nafi me hoga, aur iska jawab esbaat me hoga ki Haan hazaro se zyada Khaliq Khuda ke siva maujud hain jo apne amal ke khud khaliq hain MaazALLAH, . To zahir hua ki ye bhi mohkam nahi hai, Bas ye mohkam hai, , ''La Yus'alo Amma Yuf'alo Wahum Yus'alun'' (Sureh Ambiya 23) . Tarjuma: Usse nahi pucha jata jo wo kare, aur un sab se sawal hoga. . ''Wama Tashaoona Illa An YashaALLAH'' (Sureh Dehar 30) . Tarjuma: Aur tum kya chaho magar ye ki Allah Chahe, . Bande kuch irada bhi nahi kar sakte, jab tak ki Mashiyat-e-Ilahi na ho fir bhi Khuda jo kuch chahe kare, koi Isse sawal nahi karne wala, ki tune aisa kyu kiya? Wo Faael Mukhtar hai. 'Yaf alo Ma Yashaao' (Sureh Al Imran 40) Jo chahta hai karta hai, 'Wa Yahkumo Ma Yurido' (Sureh Maida 1) . Aur Bande jo kuch bhi karen, unse sawal hoga, Ba-wajud iske 'Wama Rabboka Be Zallaamil Lil Abeed' (Sureh Fuslat 46) tumhara Rab bando par zulm karne wala nahi, . 'La Yazlemo Misqaala Zarratin' (Sureh Nisa 40) Zarra barabar zulm nahi karta. Jo chahta hai hukm farmata hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post