HAYAT AL AMBIYA



AMBIYA ZINDA HAIN
.
Tamam Ahlesunnat Wal Jamaat ka ye Aqeedah hai ki  Ambiya Alaihimus salam apni qabro me zinda hain
jo ki beshumar motabar Riwayaat se sabit hai.
 
Hadeeso ke behtarin Master Imam Bayhaqi ne is masle par ek mukammal kitab bhi likhi hai.
Imam Suyuti ne bhi Ambiya ki Hayat par ek kitab likhi hai.
ALLAH Ta’aala apni rehmat se in kutub kok qubul farmaye.

Imam Ibn Hajar Asqalani farmate hain:
“Imam Bayhaqi ne Qabro me Hayat-al Ambiya par ek behtarin kitab likhi, jisme wo H.Anas radiAllaho Ta'aala anhu ki Hadees ko naqal karte hain ki Ambiya apni Qabro me namaz padhte hain, jise woYahya Ibn Abu Kaseer ke turq se bayan karte hain jo ki Sahih Hadeeson ke raawi hain. inhone Mustalim bin Saeed se riwayat kiya hai aur Imam Ahmad bin Hanbal ne inhe Siqah rawi likha hai. Aur Imam Ibn Hibban ne ye Hadees Hajjaj Aswad se liya hai aur wo Ibn Abi Ziyad Basri hain aur Imam Ahmad bin Hanbal ne inhe siqah kaha hai. Aur Ibn Moeen ne ye Hadees H.Sabit se riwayt kiya hai aur Abu Ya’ala ne bhi is Hadees ko apni Musnad me darj kiya hai aur Imam Bazar ne isko sahih kaha aur Imam Baihaqi ne bhi ise sahi kaha hai.

Scan Page: 
Isi Silsile se Abu Ya’ala apni Musnad me naqal kiya, Al-Bazzar ne naqal kiya Al-Bazzar ne naqal kiya.
”Al-Quran: ولا تحسبن الذين قتلوا في سبيل الله أمواتا بل أحياء عند ربهم يرزقون
(Sureh Al-Imran 169)
Tarjuma: Aur jo log Allah ki raah me qatl kiye jayen unhe hargiz murda guman mat karo, Balki wo zinda hain aur rizq diye jate hain.
.
TAFSIR#1: Is ayat ki tafsir me Qazi Sanaullah Panipati likhte hain:
Mufasserin ki ek jamat is ayat ke tehet Shahido ki zindagi ka bayan karte hain, lekin ye ayat tamam Ambiya, Siddiqin, Salehin ki hayat par dalalat karti hai.
Kyunki Shahido se bada maqam Siddiqin ka hai, aur unse bada maqam Ambiya ka hai,
isiliye Ambiya ki wafaat ke baad unki zauja ko dusra nikah karna jaez nahi,
[Tafsir Mazhari, Vol 1, Page 151]
.
.
Isi Ayat ki Tafsir me Wahabiyo ke dil aziz Imam Qazi Shawkani likhte hain:


TAFSIR#2: Quran Paak me ek ayat hai jo Shahido ki zindagi per istedlal karti hain, aur unki zindagi duniya ke jaisi hi hai,
to fir Ambiya ki Hayat ka aalam kya hoga?
Aur Imam Munziri ki Hadees kehti hai ki Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur iski Sanad ko Imam Baihaqi ne Sahi likha hai.
[Nayl al-Awtar, Vol 3, Page 282]
.
Imam Jalaluddin Suyuti likhte hain:
TAFSIR#3: Ambiya apni Qabro me zinda hai,
ye is Ayat ke Zahiri mayno par bhi sabit hai,
ya Jo Mayne Muhaddesin is se nikalte hain usse bhi.
[Al-Hawi lil Fatawa, Vol 2, Page 149]
.

ek aur jaga Imam Suyuti farmate hain:
"ALLAH ne farmaya ki Shaheed jo ALLAH ki raah me qatl hon unhe Murda ghuman bhi mat karo. balki wo Rab ke nazdik zinda hain aur rizq paate hain. aur har Nabi unse Awla wa Ajal hai." 
(Ambaul Azkiya Pg.5)
Scan page:

yani jab Shaheed zinda hain to Ambiya unse Aala Darje ki Hayat me hain. 
 
AMBIYA KI HAYAT PAR HADEES:

HADEES#1: H. Abu darda r.a farmate hain,
Rasoolullah alaihis salam ne farmaya:
إن الله حرم على الأرض أن تأكل أجساد الأنبياء فنبي الله حي يرزق

Allah ne Zameen par Haram kar diya hai ki wo Ambiya ke jismo ko khaye,
so Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur apna Rizq paate hain.
(Sunan Ibn Maja, Vol 5, Page 207, Hadith 1706)
(Mishkat al-Masabih, Vol 1, Page 304, Hadith 1366)
.
Is Hadees ki Sharah me H. Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Bukhari r.a likhte hain,
Ambiya apni Qabro me zinda hain, jaise ki wo Duniya me Hayat rehte hain.
[Ashi’at ull-Lam’at – Vol. 1 Pg. 576]
.
Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali Qari likhte hain:
Ambiya ki Hayat-e-Duniya aur Baad-e-Wafat ki Hayat me koi farq nahi hai,
isliye kaha jata hai ki Allah ke wali marte nahi, sirf ek jaga se dusri jaga ka safar karte hain.
[Mirqat – Vol. 2 Pg. 212]
.
HADEES#2: H.Aws Ibn Aws farmate hain,
Nabi sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:
إن الله حرم على الأرض أجساد الأنبياء
Allah ne Zameen par Ambiya ke jismo ko haram kar diya hai.
(Sunan Abi Dawood, Vol 3, Page 404, Hadith1049)
(Sunan Nisa’ee, Vol 5, Page 238, Hadith 1385)
(Sunan Ibn Maja, Vol 3, Page 447, Hadith 1138)
(Mishkat al-Masabih, Vol 1, Page 304, Hadith 1361)
.
Is Hadees me H.Aws Ibn Aws ki is riwayat ko Imam Ahmed ne Musnad me, Ibne Abi Shayba ne Musannaf me, Imam Tirmizi ne Sunan me, Imam Ibne Maja ne Sunan me, Imam Abu Dawood ne Sunan me, Imam Nasai ne Sunan me, Imam Darmi ne Musnad me, Imam Ibne Khuzayma ne Sahih me, Imam Hibban ne Sahih me, Imam Hakim ne Mustadrak me, Imam Tibrani ne Kabir me, Baihaqi ne Hayat-al-Ambiya me, Imam Suyuti ne Amba-Al-Azkiya me, Imam Zahabi ne Hakim ki Sanad ko aur Imam Nawawi ne Azkar me Sahih likha hai.
.
Is Hadees ki Sharah me Mulla Ali Qari likhte hain:
Beshak Ambiya apni Qabro me zinda hain.
[Mirqat – Vol. 2 Pg. 209]
.
Iski Sharah me Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi likhte hain:
Beshak Ambiya zinda hain, aur isme koi shak nahi ki unki Zindagi dniya ki hi tarah Jismani hai, Shahido ki tarah Roohani nahi.
[Ashi’ah al-Lam’at – Vol. 1 Pg.
574]
.
HADEES#4: H.Anas Bin Malik farmate hain:
Nabi sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:

الأنبياء أحياء في قبورهم يصلون
Ambiya apni Qabro me zinda hain aur apne Rab ke liye Namaz padhte hain.
.
H.Anas ki is riwayat ko Al-Bazzar ne Musnad me, Abu Ya'ala ne Musnad me, Ibn `Adi ne al-Kamil fi al-du`afa’ me, Tammam al-Razi ne al-Fawa’id me, al-Bayhaqi ne Hayat al-anbiya’ fi quburihim me, Abu Nu`aym ne Akhbar Asbahan me, Ibn `Asakir ne Târeekh Dimashq me, al-Haythami ne Majma` al-zawa’id (8:144) me, Al-Suyuti ne Anbâ’ al-azkiya’ bi-hayat al-anbiya me’, aur al-Albani ne Silsilat al-ahadith al-sahihah me Sahih sanad qarar diya..
.
Imam Suyuti farmate hain,
Qabro me Hayat-e-Ambiya par hamara Eiman-e-Qatiyaan hai.
.
.
HADEES#5: H.Anas Bin Malik r.a bayan karte hain ki Rasoolullah alaihesalam ne farmaya:
Meraj ki raat mai Musa alaihesalam ke paas aaya,
Ek Riwayat me hai,
Mera Kaseeb Ahmer ke paas se guzar hua, Daraan Halaanki Musa alaihesalam apni Qabr me khade hue namaz padh rahe the.
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no. 6107)
(Nasai, H.no. 1631, 1632, 1633, 1634)
.
.
HADEES#6: H.Anas r.a bayan karte hain ki Rasoolullah alaihesalam ne farmaya:
Mera H.Musa alaihesalam ke paas se guzar hua to wo apni Qabr me namaz padh rahe the.
Ek Riwayat me hai, Meraj ki shab mera guzar hua.
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no. 6108)
.
.
Kya Namaz murde log padhte hain?
Hargiz nahi,
Namaz zinda logo ke liye hai,
aur Musa alaihesalam apni Qabr me namaz padh rahe hain to ye unki Zindagi ka suboot hai.
.
Jab H.Musa alaihesalam zinda hain,  to fir Mehbub-e-Khuda sallallaho alaihewasallam kyun na zinda ho?


Musa alaihis salam ke bare me is Hadees se Ambiya ke zinda hone ka istedlal sirf hum Ahlesunnat ka hi nahi balki  Muhaddiseen ka bhi hai. mulahiza ho. Imam Jalaluddin Suyuti ne bhi apni Kitab Ambaul Azkiya fi Hayatul Ambiya me is Hadees se wohi istidlal kiya hai.
Scan page:



HADEES#7: H.Abu Hurairah r.a se riwayat hai ki
Nabi alaihe salam ne farmaya,
ﻣﺎ ﻣﻦ ﺃﺣﺪ ﻳﺴﻠﻢ ﻋﻠﻰ ﺇﻻ ﺭﺩ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻰ ﺭﻭﺣﻰ ﺣﺘﻯﺄﺭﺩ
ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ

Jab koi mujh per salam bhejta hai, to ALLAH
TA'ALA meri rooh lauta deta hai yahan ak ki
mai uska jawab deta hu.
Sanad Saheeh ( Abu Dawood 6:214)
.
Is Hadees se wazeh ho gaya ki Apmbiya ki
Qabro ki ziyarat aur unpar salam bhejna
durust hai.
.
Imam Jalaluddin Suyuti r.a farmate hain:
Hadees me ''Radda'' ke lafz maujud hain, aur
''radda'' ka maayna hai ''àlà-àl-dàwam'' yani
permanently.
To yahan ye matlab nahi hua ki ALLAH TA'ALA
bar bar apne Mehbub ki Rùh lautata hai, aur
fir bar bar wapas leta hai,
balki ye matlab hai ki ALLAH ne apne Mehbub
ki Rùh ko lauta diya hai, aur ab wo zinda hain.

(Ambaul Azkiya Pg.11)
Sacn Page:
.
HADEES*8: Nabi alaihe salam ne farmaya, Mai masjid-e-Aqsa me dakhil hua to mere sath tamam Ambiya Kiram ko ikattha kiya gaya tha, Hazrat Jibreel alaihe salam ne mujhe unke aage khada kar diya. Maine sab Ambiya Kiram ko namaz padhai.
(Dalailun Nabuwwa, by Imam Baihaqi, J-2, Pg.401)
.
HADEES*9: Meraj ki raat aap alaihis salaam ne Hazrat Aadam, Hazrat Ibrahim, Hazrat Eisa, H.Yahya, H.Musa, H.Idrees, H.Haroon alaihe salam ko mukhtalif asmano par dekha.
(Bukhari, J-1, 549)
.
Zara ghaur kijiye, ki Muslim ki ek riwayat me Nabi alaihe salam ne farmaya ki ''Mai Musa alaihis salam ki qabr ke paas se guzra to wo apni qabr me namaz padh rahe the.
Aur jab aap asman par pahuche tab Musa alaihis salam bhi wahan par pehle se maujud the??
Kya isse sabit nahi hota ki Ambiya jahan chahe ja sakte hain?
.
Ambiya ko maut to ek baar aati hai, magar bas maut ka zaaeqa chakhne ke baad wo fir zinda kar diye jate hain. Aur jahan chahe ja sakte hain, koi chiz unse chhupi hui nahi hai.
.
HADEES*10: Tamam Ambiya apni qabro me zinda hain.
(Hayat-al-Ambiya lil Baihaqi)
.
HADEES*11: Nabi alaihe salam ne farmaya ki mere ghar aur mere member ka darmiyani hissa Jannati bagh hai.
(Muslim, Kitabul Hajj)
.
Kya Jannat me koi murda rehta hai??
.
HADEES*12: Agar Eisa alaihis salaam meri qabr par khade hokar kahen, 'Ya Muhammad' to mai zarur unko jawab dunga.
(Musnad Abi Ya'la, J-6, S-108)


HADEES#13: H.Abdullah Ibn Mas’ood radiAllaho Ta'aala anhu se riwayat hai ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya, حياتى خير لكم تحدثون ويحدث لكم فإذا أنا مت كانت وفاتى خيرًا لكم تعرض على أعمالكم فإذا رأيت خيرًا حمدت الله وإن رأيت شرًّا استغفرت لكم
Meri zindagi tumhare liye baa’ise
khair hai, aur meri maut bhi tumhare liye baa;ise khair hai. Tumhare a’maal qabr me mujh par pesh kiye jate hain, agar mai isme bhalai dekhta hhu to mai ALLAH ki hamd karta hu aur agar mai isme burai dekhta hu to mai tumhare liye ALLAH se istighfar karta hu.
Qazi Ayaz Shifa Sharif (1:56 of the Amman edition) me likhte hain aur Imam Suyuti “Manahil al-Safa fi Takhrij Ahadith al-Shifa” (Page 31 – Beirut 1988/1408). Me likhte hain, Ibn Abi Usama apni Musnad me Bakr ibn `Abd Allah al-Mazni  aur Bazzar ne Ibn Mas’ood ki Hadees se Saheehh sanad ke sath likha.
Shifa-us-Siqa Fii Ziyarate Khairul Anaam me Imam Subki rehmatullah Ta'aala alaihe ne likha, jahan wo Bakr ibn Abd Allah al-Mazini se naqal kiya hai,  aur Ibn-Al Jawzi ne Bakr ke zariye se aur fir Hazrat Bin Malik ki Hadees Al-Wafa me likhte hain. Ye kaise ho sakta hai ki  ye dono ustad bagair sanad ke hi likh den, jabki Ibn-Al Jawzi api Kitab Al-Wafa me sirf Saheeh isnaad ko hi naqal karte hain. Isme wo Aws Ibn Aw ski Hadees ko bhi naqal karte hain, ki “Mujhpar tumhare a’maal har Juma aur iski raat, (Jumeraat) ko pesh kiye jate hain”
(Fath al-Bâri 10:415, al-Mundhiri’s Targheeb wa al-Tarheeb 3:343, and Ahmad 4:484.)

HADEES#14: H.Anas radiAllaho Ta'aala anhu farmate hain ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya, “Ambiya apni Qabro me zinda han aur Namazen padhte hain”
(Musnad-e-Abu Ya’la. Pg.658, H.no.3425)

Scan Page: 
Scan Page: 

Imam Abu Bakr Haismi r.a ne is Hadees ke rijaal ko sahi kaha hai.
(Majmauz Zawaid)

Scan Page: 
.
Imam Baihaqi ne is Hadees ko Sahih Sanad se bayan kiya hai:

Imam Suyuti r.a ne Jamius Saghir me kaha aur Abu Ya'la ne Anas Bin Malik se Marfu Hadees riwayat kiya, aur Muhaddesin ne iski sanad ke sath bayan kiya hai
Scan Page: 

Is Hadees ke raawi itne qawi hain ki bahot dhundne ke baad ek bhi zaeef raawi na milne par Ahlehadeeso ke Guru Albani ne bhi iski Sanad Saheeh likhna pada.
Scan Page: 


HADEES#15: HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ radiAllaho ta'ala anhu KA AQEEDAH, NABI ALAIHIS SALAM ZINDA BHI HAIN AUR HAMAARI AWAZ BHI SUN SAKTE HAIN AUR JAWAB BHI DE SAKTE HAIN:
.
Hazrat Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta"aala-Anhu Ne Apne Visaal-A-Mubarak Se Pehle Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ko Farma Diya Tha Ki Mere Janaze Ko Taiyyar Karke Hujra Sharif Jisme Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Mazaar-A-Anwar Hain, Ke Saamne Rakhker Arz Karna-Assalamu Alaikum Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM) Yeh Abu-Bakr Aapke Darwaze Per Haazir Hain,Fir Jaisa Hukm Ho Wahi Karna!
Chunanche, Aapki Wasiyat Ke Mutabik Aapke Janaze Ko Hujre Ke Saamne Rakhker Arz Kiya Gaya, Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM) Yeh Aapke Yaar-A-Gaar Abu-Bakr Aapke Darwaze Per Haazir Hain! Inki Tamanna Aapke Hujre Sharif May Dafn Hone Ki Hain! Agar Ijazat Ho To Hujra Sharif May Dafn Kiya Jaye?
Yeh Sunker Hujra Sharif Ka Darwaza Jo Pehle Bandh Tha Khud-Ba-Khud Khul Gaya Aur Awaaz Aayi- "Habib Ko Habib Se Mila Do, Kyonki Habib Ko Habib Se Milne Ka Ishtiyaak Hain!" Jab Hujra Sharif May Hazrat Abu-Bakr Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ke Dafn Karne Ki Ijazat Hui To Janaza-A-Mubarak Ko Ander Legaye Aur Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Kandhe Mubarak Ke Karib Aapko Dafn Kerdiya Gaya!
(Siratus Saliheen Pg-92)
[ Tafseere Kabeer Jild:5, Safa:685 ]
[ Khasasi'ul Qubra Jild:2, Safa:282 ]
(Tarikh-e-Damishq. Pg.747)
*********************************
Scan Page: 

.
Isse pata chalta hai ki h.Abu Bakr Siddiq r.a ka Aqeeda tha ki Nabi alaihe salam hume sun bhi sakte hain aur jawab bhi de sakte hain, isiliye aisi wasiyat farmayi thi.

.
HADEES#16: Shifa Sharif me  Qazi Iyaz, Hazrat.Ibn Abbas r.a ka qaul naqal karte hue likhte hain ki jab Ghar me dakhil ho aur ghar me koi maujud na ho to is tarah Salam karna chahiye.
Assalamo Alaika Ayyohan Nabiyyo Wa Rehmatullahe wa barakaatuhu
Imam Ali Qari Shifa Sharif ki tafseer farmate hue likhte hain:
.
Jab ghar me koi maujud na ho aur andar dakhil ho to is tarah Salam kahe
"Assalamo Alaika Ayyohan Nabiyyo Wa Rehmatullahe Wa Barakaatuhu"
iske Aage likhte hain, Is tarah Salam kehne ki waja ye hai ki Nabi alaihis salam ki rooh har momin ke ghar me jalwahgar hoti hai.
[Mullah Ali Qari, Sharah ush-Shifah, Volume 002, Page No. 117]
.
Scan Page: 

.
Hai koi Wahabi?
To Bataye Imam Ali Qari par shariat me kya hukm lagega?
Aur unhone Shifa Sharif ki tafseer farmayi aur Qazi Ayaaz Maliki se naqal kiya to unpar kya hukm lagega?
Aur Qazi Ayaz Maaliki ne H.Ibn Abbas r.a ke hawale se Salam ka ye tariqa likha hai
batao H.Ibn Abbas r.a par shariat me kya hukm lagayenge??


Proof#19:
Imam Sakhawi r.a farmate hain ki Abu Zar aur Malik ki Meraj wali Hadees se ye sabit hota hai ki Nabi alaihis salam ne asmano par Ambiya se mulaqat kiya, Unse baat kiya aur unhone apse Baat kiya, iski sanad bilkul saheeh hai aur isme kahin bhi koi ikhtilaf nahi hai.
Nabi alaihis salam ne Musa alaihis salam ko qabr ne namaz padhte hue dekha aur fir Baytul Maqdis me bhi tamam Ambiya ko dekha. Fir Nabi alaihis salam asmano par gaye aur wahan bhi Ambiya se mulaqat kiya to ye mulaqat bilkul haqiqi hai.
(Imam Sakhawi's 'al-Qawl al-Badi' - (Kalmi Nuskha) Jamiyah al-Riyad
Scan Page:
Second Scan Page:
http://i462.photobucket.com/albums/qq349/Riz1112/scan4.jpg
.
.
SubhanALLAH, kuch log kehte hain ki Nabi sirf asmano me zinda hain, qabr me nahi,
Kuch ko ye aitraz hai ki sirf Qabr me barzakh me zinda hain, aur kahin ja nahi sakte,
to ab zara bataiye agar Ja nahi sakte to asmano par kaise pahunche?
Aur agar Qabr me nahi hain to fir Namaz padhte kaise dekha??
18: Imam Ibne Hajar Asqalani ke shagird Imam
Sakhawi farmate hain ki Hamare liye, ye
aqeeda hai ki Ambiya apni Qabro me zinda
hain, aur unhe ne'matein ata ki jati hain.
(Al-Qàùl-al-Badi, Pg.161)
.
19: Ibn-al-Qayyim farmate hain,
ye jaan lena zaruri hai ki Ambiya ke jism apni
Qabro me isi tarah hain, jaise wo duniya me
the,
tabhi to jab Sahaba ne pucha ki 'Aap par
Darud kaise pesh kiya jayega, jab apka Jism
mitti me hoga?'
to Nabi alaihe salam ne farmaya: Allah ne
Ambiya ke jismo par mitti ko haram kar diya
hai ki wo inke jismo ko khaye, aur agar unke
Jism salamat na hote, to Nabi alaihe salam ne
aisa jawab na diya hota,
[al-RûH Page 58]
.


Imam Jalaluddin Suyuti farmate hain ki
“Nabi sallallaho alaihe wasallam aur tamam Ambiya-e-Kiram ki zindagi hume Qatayi taur pe malum hai. Kyunki Hayat-e-Ambiya ke silsile me bahot sari Dalilen aur Mutawatir Hadeesen maujud hain.”
(Ambaul Azkiya Pg.2)

Scan Page: 


20: Imam Ibn Hajar al-Haitami apni Jawhar al-
Munazzam me likhte hain:
''Is baat ke beshumar dalail aut aqwal-e-
aimma saheeh sanad ke sath maujud hain ki
Ambiya apni Qabro me zinda hain, aur wo
Roae rakhte hain, Har saal Hajj bhi karte hain,
aur apne jism ko us Barish se paak bhi karte
hain, jo unpe barasti h
ai.''
.
.
21: AHLEHADEESO KE NAZDEEK BAHOT MOTABAR IMAM IBN HAJAR ASQALANI KA AQEEDA, AMBIYA ALAIHESALAM ZINDA HAIN, AUR JAHAN CHAHE JAA SAKTE HAIN:
.
Fath-Ul-Bari Sharah Saheeh Bukhari, Vol2, Page 765 me likhte hain,
.
NABI sallallaho alaihe wasallam ne dekha, H.Moosa alaihesalam Hajj karne aa rahe hain, aur Talbiya(Allahum ma Labbaik) padh rahe hain..
(BUKHARI, Book26, H.no626 )
.
Is Hadees ki sharah me Imam Ibn Hajar Asqalani likhte hain,
Ho Sakta hai ki Moosa alaihesalam khud hi Hajj karne aaye ho, Kyunki Ambiya zinda hain, aur jahan chahe jaa sakte hain, aur unhe koi bhi Hajj karne se nahi rok sakta.
.
Is Hadees ke tehet Imam Ibne Hajar Asqalani ka Aqeeda bhi pata chalta hai, aur Hadees se istedlal bhi kiya jata hai ki Ambiya alaihimus salam zinda hain,
Scan Page: 


Ab aaiye Nabi alaihis salam ki Hayat-e-Barzakhi par Jalilul Qadr Ulama aur Muhaddesin ke aqaid aur ifkaar roshan aaina me pesh karte hain..


AALAM-E-BARZAKH ME HAYAT KAISI HAI:

1# H.Sayeed Bin Musayyib r.a farmate hain. Mai Ayyame Hirah me akele Masjid Nabwi me hua karta tha to jab Namaz ka waqt hota, mujhe Rauza-e-Mustafa se azan ki awaz sunai deti. Mai aage badhkar iqamat kehta aur Namaz padh leta.
(Dalailun Nabuwwa, Ibne Naeem, J-2, S-567)
.
2* H.Imam Abdul Wahab Shorani r.a farmate hain, Huzur Anwar alaihis salam apni qabr mubarak me zinda hain. Aur azan wa iqamat ke sath namaz ada farmate hain. Aise hi deegar ambiya namaz ada farmate hain.
(Kashaful Ghama, J-1, S.67)
.
3* H.Imam Ibrahim bin Bishar r.a farmate hain, mai ek saal Madina Sharif gaya, Rauza Aqdas pe hazir hokar salam arz ki to maine wahan se 'WA ALAIKAS SALAAM' ki awaz suni.
(Subulil Huda J.12, Pg.357)
.
4* H.Imam Abdul Wahidal Kubra ji r.a farmate hain, mere samne Sheikh Abu Bakr Dayar-e-Bakri alaih rehma ne Mawajeha Sharif pe salam arz ki to andar se awaz aayi 'WA ALAIKAS SALAAM YA ABA BAKR' is awaz ko sab haazireen ne suna.
(Zeel Tarikh-e-Baghdad J.16, S.255)
.
5* H.Imam Baiqahi r.a farmate hain. Hazraat Ambiya Ikram ki arwaah qabz karne ke baad inke ijsaam Mubaarak me wapas lauta di gayi hain. Ab wo apne Rab Ta'ala ke wahan Shaheed ki tarah zinda hain.
(Al-Etiqad S-198)
.
6* H.Imam Hakim Tirmizi quddisa Sirruhu farmate hain, Siddiq Nabi se kam darja hai, aur Shaheed in dono se kam darja hai, lehaaza Siddiq se iski hayaat bhi kam darja hai, aur Siddiq ki Hayaat Nabi ki Hayaat se kam darja hai. Aur Wali ki Hayaat Shaheed ki hayaat se kam darja hai.
(Nawadirul Usool S-429)
.
7* H.Imam Haqqi r.a farmate hain. Baaz Ulamae Ikram ne apki qabr ke paas awaz buland karne ko na-pasand kiya hai, kyunki aap qabr anwar me zinda hain.
(T.Ruhul Bayan, J-9,S-66)
.
8* H.Imam Subki r.a farmate hain. Ulamae Kiram ne farmaya ki Huzur alaihis salam ko Nabuwwat ke sath Shahadat ka martaba bhi diya gaya hai. Aur beshak Shuhada ke liye hayat sabit hai.
(Shifaus Siqam, S-190)
.
9* H.Imam Ibn Kaseer alaih rehma farmate hain. Qabr anwar ke paas awaz buland karna aise hi na-jaez hai jaise apki hayat zaahiri me na-jaez tha. Kyunki aap mohtaram hai. Aur qabr anwar me hamesha zinda hai.
(Tafseer Ibn Kaseer)
.
10* H.Imam Saalihi Shaami r.a farmate hain.
Beshak hamare Nabi Mohtaram alaihis salam zinda hain, Jaisa ki ye amr apni jaga bilkul sabit hai. Aur apki ummat ke amaal apki bargah me pesh kiye jate hain. Ye bhi apni jaga bilkul sabit hai.
(Subulil huda 12/380)
.
11* H.Imam Abul Qasim Qushairi r.a farmate hain. Hum Ahlesunnat ke nazdeek Nabi Akram alaihis salaam zinda hain. Apko ha aur Ilm hasil hai. Aap par ummat ke amaal pesh kiye jate hain.
(Shakliyate Ahlesunnat 27)
.
12* H.Imam Saawi Maaliki r.a farmate hain.
Amibya Ikram Alaihimus salaam ki hayaat, Shuhada ki hayaat se Ajal aur aala hai.
(Tafseer-e-Saawi alal Jalalain 1/128)
.
13* H.Imam Mohammad Shobari r.a farmate hain. Ambiya Kiram alaihis salaam apni qabro me zinda hain. Namaz aur Hajj ada karte hain. Jaisa ki Ahaadees me aaya hai, aur unka Imdaad farmana unka mojizah hai.
(Shawahidul Haq 118)
.
14* H.Imam Khafaji r.a farmate hain.
Apke jasad-e-kareem ko zameen par haram kar diya gaya hai. Aap deegar ambiya ki tarah apni qabr me zinda hain.
(Naseemur Riyaz 1/312)
.
15* H.Sheikh Abdul Qadir Makki r.a farmate hain Huzur Nabi Kareem alaihis salam tamam ambiya ki tarah apni qabr me zinda hain aur mushahidah farma rahe hain. Apka ehteram apki hayat-e-zaahiri ki tarah har musalman par wajib hai.
(Husn-e-Tawassul 101)
.
16* H.Imam Hasan Shorunbulani r.a farmate hain Muhaqqeqin Islam ke nazdik ye Aqeeda sabit ho chuka hai ki Aap alaihis salam zinda hain aur apko rizq faraham kiya jata hai. Aap ibadat ki lazzat uthate hain.
(Noorul Izaah 189)
.
17* H.Imam Barzi r.a farmate hain. Huzur alaihis salam wisal ke baad zinda hai.
(Al-Hawi Lil-Fatawa 2/149)
.
18* H.Imam Abu Abdullah Qurtubi r.a farmate hain. Maut Adm mehez ka naam nahi hai. Ye to ek haal se dusre haal me jane ka naam hai.
Ambiya Kiram to Shuhada ki nisbat zyada haqdaar hain ki wo zinda hon.
Unki maut sirf ye hai ki wo humse ghaib hain. Hum unka idraak nahi kar sakte. Halanki wo zinda aur maujud hote hain. Lekin koi insan unko nahi dekhta.
(Al-Tazkirah 169)
.
19* H.Imam Samhoodi r.a farmate hain. Huzur Aqdas alaihis salaam ki hayaat baad-al-wafaat me koi shak nahi. Aur isi tarah deegarambiya kiram bhi apni qabro me zinda hain.
(Wafa-ul-Wafa 4)
.
20* H.Imam Zurqani r.a farmate hain. Huzur Akram alaihis salam qabr anwar me zinda hai aur azan wa iqamat ke sath namaz padhte hain.
(Zurqani Alal Mawahib 6/129)
.
21* H.Imam Dawood r.a farmate hain. Al-Haasil Hayat-e-Ambiya Ikram alaihimus salam to Ijma se sabit hai.
(Al-Makhtal Wahabiyat S-6)
.
22* H.Imam Suyuti r.a farmate hain, Nabi Kareem alaihis salam aur deegar ambiya ki hayat hamare yahan qatayi Ilm se sabit hai.
(Al-Hawi Lil-Fatawa 2/147)
.
23* H.Imam Yusuf Nabhani r.a farmate hain ki Hadees Saheeh ke sath istedlal kiya gaya hai ki Ambiya Kiram apni qabro me zinda hain.
(Sa'aadatud Darain 180)
.
24* H.Imam Ibn Hajar Makki r.a farmate hain "AL-AMBIYAAE AHYAAUN FI QUBOORIHIM" ye Hadees Mubarika Saheeh hai.
(Al-Jauharil Muazzam S-22)
.
25* H.Imam Ali Qari farmate hain. Huzur alaihis salam Apni Qabr me zinda hain. Unko buland darjaat me rizq faraham kiya jata hai.
(Sharah Shifa 3/396).

Scan Page: 

26* H.Shaikh Fakehaani farte hain.
Is Hadees se sabit hai ki Huzur Aqdas alaihe salam hamesha ainda hain.
(Al-Hawi Lil-Fatawa J-2, S.151)
.
27* H.Imam Abu Bakr Bin Arbi r.a farmate hain. Tamam Ambiya-e-Kiram alaihimus salaam apni qabro me zinda hain aur unki arwah ko qabz karne ke baad unke jisme me lauta diya jata hai.
(Al-Hawi lil Fatawa 2/363)
.
28* H.Imam Jameel Aafindi r.a farmate hain. Tamam Ambiya apni Qabro me zinda hain.
( Al-Fajr Al-Saadi 61)
.
29* H.Allama Sayyedul Ameen Misri a.r farmate hain.
Hum sab musalman is aqeede par muttafiq hain ki Huzur Aqdas alaihis salam apni qabr anwar me zinda hain aur ziyarat karne walo ko jante hain.
(Kashful Irtiyab 261)
.
30* H.Sheikh Ghause Azam Jilani r.a farmate hain. Ambiya-e-Kiram aur Auliya-e-Kiram apni qabro me isi tarah namaz padhte hain jis tarah apne gharo me padha karte the.
(Sirrul Asraar 104)
.
31* H.Sheikh Ahmed Mujaddid Alif Saani r.a farmate hain. Ambiya Kiram apni qabro me namaz padhte hain ye tumne suna hi hoga.
(Maktoob 16, Daftar 2)
.
32* H.Imam Muhammad Ghazali r.a farmate hain.
Nabi alaihis salaam ki ko Sahaba ki arwah ke sath tamam Aalam ka tawaaf karne aur Aalam me tasarruf karne ka ikhtiyar hasil hai. Aur beshumar Auliya-e-Kiram ne apko dekha bhi hai.
(Tafseer Ruhul Bayan 10/99)
.
33* H.Imam Nooruddin Halbi a.r farmate hain. Ambiya duniya ki sair karte hain. Apni arwah ke sath Hajj-o-Umrah karte hain Jab unko ALLAH ka hukm hota hai. Nabi akram sallallaho alaihe wasallam tamam Alvi aur Ardi jahan sarshaar hain.
(Sa'aadatud Darain 459)
.
34* H.Imam Muhammad Alusi a.r farmate hain, ek hi waqt me Huzur Anwar alaihis salaam ko kayi muqaamaat par dekha gaya hai. Halanki aap apni qabr anwar me namaz bhi padhte hain.
(Roohul Muaani 12/14)
.
35* H.Allama Sanaullah Paani Pati a.r farmate hain.
Allah Ta'ala ambiya aur Auliya ki arwah ke jismo ki quwwat ata farma deta hai. Lehaaza woh zamin-o-Asman aur Jannat me jahan chahte hain, tashrif le jate hain. Apne dosto ki imdad farmate hain aur dushmano ko halaak karte hain.
(Tafseer Mazhari 1/152)

. 36* H.Sheikh Noorul Haq Dehelvi farmate hain.
Jamhoor ke nazdeek ye tay shuda aur Mukhtar Haqiqat hai ki Hazraat Ambiya Kiram zaaeqa maut ke baad Zinda hain.
(Taisirul Qari 3/252)
.
37* H.Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi r.a farmate hain. Jaanna chahiye ki Hazraat Ambiya-e-Kiram ki hayat Ulama ke nazdeek muttafiq alaih hai. Aur isme kisi ka koi ikhtilaf nahi. Aapki hayat Shuhada ki hayat se Kaamil tar aur qawi tar hai.
(Madarijun Nabuwwa 2/447)
.
38* H.Badruddin Ayni r.a farmate hain, Imam Dawoodi r.a ne farmaya ki Huzur Aqdas alaihis salam ke liye qabr-e-anwar me dusri maut nahi hai.
(Umdatul Qari, 18/72)
.
39* H.Imam Muhammad Bin Hasan bin Faurik farmate hain, Bila shubah Hamare Nabi Akram alaihis salam Apne Qabr-e-Anwar me zindah hain. Wo ALLAH ke Rasool hain, Abad-al-Abaad tak zinda hain Haqiqi taur par, Na ki Majaazi taur par.
(Al-Tabqaat-e-Shaafiya 3/54)
.
40* H.Imam Manawi r.a farmate hain. Ambiya Kiram apni Qabro me zinda hain aur Namaz ada farmate hain.
(Fuyooz-ul-Qaeer 3/400)
.
41* H.Imam Ibn Hajar Asqalani r.a farmate hain, Aap alaihis salam ki hayat-e-barzakhi aisi hai jaise aap par maut waaqe nahi hui, pas aap Hamesha zinda hain.
(Fathul Bari 7/21)
.
42* H.Imam Fakhruddin Razi r.a farmate hain. Ye is baat ki dalil hai ki Insan maut ke baad nahi marte isi tarah Irshad-e-Mustafa alaihis salam hai ki ALLAH ke Nabi marte nahi, ek ghar se dusre ghar muntaqil ho jate hain.
(Tafseer Kabeer 21/41)
.
43* H.Sheikh Abdul Wahab Bukhari r.a farmate hain, Sabse afzal nemat Wujud-e-Mustafa alaihis salam hai, jo ta-hayat-e-Naama ke sath Madina Munawwarah me maujud hai.
(Akhbarul Akhyar 215)
.
44* H.Maulana Abdul Hayi Lakhnowi r.a farmate hain, Risalat maut ke sath hi munqate nahi hoti, balki isi tarah wilayat bhi, to Nabuwwat kaise munqate ho jayegi?
Kyunki Ambiya Kiram apni qabro me zinda hain.
(Umdatul Riaaya 2/307)
.
45* H.Allama Kirmani r.a farmate hain, Aur ye ehtemal hai ki H.Abu Bakr r.a ne iradah kiya ho ki Huzur Aqdas alaihis salam ki Hayat-e-barzakhi aisi hai, maut jiska ta'aqqub nahi kar sakti, aur aap alaihis salam 2 martaba maut ka zaaeqa nahi chakhenge.
(Kawakibul Darari 14/31)
.
46* H.Imam Ahmed Qastalani r.a farmate hain, Beshak Ambiya Kiram ki Hayat-e-Qabr sabit hai. Malum hai aur Daaymi hai. Chunki hamare Nabi un sabse afzal hain, Isliye chahiye ki apki Hayat-e-Qabr bhi sabse zyada akmal aur atam ho.
(Mawahibul Laduniya 4/587)
.
47* H.Imam Taqiuddin Sheherzori r.a farmate hain, Ambiya Kiram akhirat ki taraf tashrif le jane ke baad zinda hain. Lehaza insan ko apki risalat aur hayat ka inkar karte hue darna chahiye. Kyunki ye bahot badi khata hai.
(Fatawa Ibnus Salaah 1/132)
.
48* H.Imam Abul Faaj Bin Rajab Hanbali r.a farmate hain. Ambiya ki hayat, Shuhada ki hayat se akmal hai. Isliye bila shubah wo zinda jawed hain.
(Ahwalil Qubur 135)
.
49* H.Khwaja Fariduddin Ganj Shakar r.a farmate hain,
Ambiya Kiram apni Qabro me zinda hain.
(Sayerul Auliya 185)
.
50* Mufti Mazharullah Dehelvi r.a farmate hain, Huzur alaihis salam hayat hain aur unki rehmat ka silsila kabhi Munqate nahi hua.
(Mazharul Aqaid 49)
.
51* Imam Ahmed Raza Khan r.a farmate hain, Rasoolallah aur tamam Ambiya kiram ki hayate Haqiqi, Dunyavi, Ruhani wa Jismani se zinda hain. Zameen wa asman ki saltanat me tasarruf farmate hain.
(Fatawae Razviya 2/152)
.
52* H.Maulana Qutubuddin Khan a.r farmate hain, Zinda hain Ambiyae Kiram alaihimus salam qabro me, ye masla muttafiq alaih hai. Kisi ko isme khilaf nahi ki unki wahan haqiqi jismani duniya ki si hai.
(Mazahire Haq 1/445)
.
53* H.Khwaja Faqirullah Hanfi a.r farmate hain Beshumar Hadeeso me warid hai ki Ambiya apni qabro me zinda hain, Apne Rab ki ibadato me mashghul hain, Namaz, roza, Hajj ada karte hain.
(Qutubul Irshad276)
.
54* H.Shah Waliullah Muhaddis Dehelvi r.a farmate hain. Ambiya Kiram marte nahi hain balki apni Qabro me zinda hain. Namaz padhte aur Hajj karte hain.
(Fuyuzul Harmain 80)
.
55* H.Sultan Baahu a.r farmate hain, yaad rahe ki jo Ambiya Kiram ko murda jane uspar Eiman ke salab ho jane ka khauf hai.
(Ainul Faqr 82)
.
56* H.Sheikh Ahmed Saeed Dehelvi r.a farmate hain, Ulama ka ispar ittefaq hai ki Huzur Aqdas apni Qabr Munawwar me zinda hain.
(Tehqiqul Haqqul Mubeen 40)
.
57* H.Allama Zahid Kausari r.a farmate hain. Hazrat Ambiya Kiram apni qabro me zinda hain.
(Maqalate Kausari 387)
.
58* H.Allama Ahmed Dahlaan Makki r.a farmate hain, Ahlesunnat ke haan Ambiyae Kiram ki Hayate Qabr bilkul sabit hai. Iske bahot dalail hain.
(Dararus saniya 13)
.
59*. H.Imam Ibn Abedin Shaami r.a farmate hain, Ambiyae Kiram apni qabro me zinda hain.
(Raddul Muhtar 4/151)
.
Iske alawa aur bhi bahot se Ulamae Islam ne maslae hayatun Nabi ko dalail ke sath sabit karne ke baad apna aqeeda raqam farmaya hai ki Huzur Aqdas zinda hain Hazaro waqeyat ispar dalalat kar rahe hain.
Ab tamam hujjat ke liye Ghair Muqallido aur Deobandiyo hazraat ke Musallama Akaabir ki ibarato se sabit kiya jayega jisme Unhone khulkar Nabi alaihis salam ko Zinda tasleem kiya hai.
.
60* Bukhari Sharif me hai ki aapne Khaibar wale zeher ki waja se wisal farmaya, Is Hadees ko Imam Ahmed, Imam Hakim, aur Imam Baihaqi ne bhi riwayat kiya hai.
H.Ibn Abbas r.a aur H.Absullah Ibn Mas'ood r.a ka farman hai ki Huzur alaihis salam ne shahadat ka martaba bhi Hasil kiya.
(Tabqaat-e-Kubra, 2/203)
(Musnad-e-Abu Ya'la, 9/132)
(Musnad Ahmed, 1/408)
.
DEOBANDI KITABE, JIN ME NABI ALAIHIS SALAM KO DUNIYA KE MISAL ZINDA TASLEEM KIYA:
.
1: Ala-Mehndi alal Find
By Khaleel Ahmed Ambethvi, Pg.28
2: Maktoobaat-e-Sheikhul Islam, 1/153
by Husain Ahmed Madni,
3: Hayat-e-Nabwi, Pg.2
by Idrees Ahmed Kaandhalvi
4: Fath-ul-Mulhim Sharah Muslim, 3/419
by Shabir Ahmed Usmani.
5: Fatawa Darul Uloom Mudlil, 5/271
by Mufti Azeezur Rehman
6: Malfoozat-e-Muhaddis-e-Kashmir Pg.131
by Ahmed Raza Bijnori
7: Jamaal-e-Qasmi Pg.16
by Qasim Nanotvi
8: Aab-e-Hayat Pg.73
by Qasim Nanotvi
.
AHLEHADEES KITABO SE, JIN ME NABI ALAIHIS SALAM KO ZINDA DUNIYA KI MISAL TASLEEM KIYA HAI:
.
1: Neel-ul-Awtar, 3/248
by Qazi Shawkani
2: Sirajul Wahaj, 1/504
by Siddiq Hasan Bhopali
3: Shamaamatul Ambarya Pg.52
by Siddiq Hasan Bhopali
4: Aunul Ma'bood Sharah Abu Dawood, 1/405
by Shamsul Haq Azeemabadi
5: Fatawae Nazeeriya, 1/52
by Sheikhul Kul Sayyed Nazeer Hasan Dehelvi
6: Majmooa Rasaile Najdiyya, 4/652
by Ahmed Bin Nasir Najdi
7: Kitabur Rooh
by Allama Ibnal Qayyim
8: Fatawa Ulamae Ahlehadees, 9/125
9: At-Talimaat-e-Salafiyya, 1/237
by Ataullah Haneef Ahlehades.
.
SubhanALLAH,
Yani Deobandi aur Ahlehadeeso ke bade bade Ulama bhi mante hain ki Ambiya aaj bhi duniya ki misal zinda hai, unhe maut sirf ek baar zaaeqa chakhne ko aati hai,
aur fir wo zinda kar diye jate hain.
.
Ab in Wahabiyo ke paas sirf raste hain,
Ya to apne in tamam Akabireen par kufr ka fatwa lagayen, aur khud ko sahi sabit karen,
.



Post a Comment

Previous Post Next Post