Hazrat Ibn Masood ki Tark-e-Rafaydain ki Hadees ki taqwiyat

CHAND TA’REEFAAT

MURSAL HADEES: Jis Hadees ki Sanad (Chain) ke Akheer se Raavi ko Saaqit kar diya Jaaye.
Maslan: Taaba’ee, Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) se rivayat (Narrate) kare aur Sahabi (raz.) ko Chhor de Ya Phir Sahabi (raz.) se rivayat kare aur darmyan me Kisi doosre Taaba’ee ko chhor de.

MUTTASIL HADEES: Jis Hadees ki Sanad me Poore Raavi Mazkoor ho.

MUSNAD HADEES: Jis Hadees ki Sanad Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) tak Muttasil (Continuous) ho.

1. Imam Tirmizi (rah.) likhte hain: Al-Aa’mash (rah.) ne Ibraheem Naqa’i (rah.) se Hazrat Abdullah bin Mas’ood (raz.) tak Sanad ka Poocha to Ibraheem Naqa’i (rah.) ne farmaya: “Jab Main Kisi Shaqs ka darmyan me Zikr karoon to Is se muraad Ye hai ke Wo Rivayat maine sirf Usi se Suni hoti hai aur Agar Main Hazrat Abdullah bin Mas’ood (raz.) ka Naam loon to Wo Hadees Maine Kayi Ashqaas se suni hoti hai.” [Illal Tirmizi Sagheer Minal Jaami' 5/755]

2. Hafiz Ibne Abdul Barr (rah.), Ibraheem Naqa’i (rah.) ki Mursal ko Unki Musnad se zyadah Saheeh maante hue likhte hain: Suleiman Al-A’mash ne Ibrahim Naqa’i (rah.) se kaha ke Jab Hadees bayan karein to Uski Sanad bhi bata diya karein to Ibrahim Naqa’i (rah.) ne kaha ke, “Jab main AN Abdullah bin Masood (raz.) se bayan karoon to Ye maine Kayi Ashqaas se suni hoti hai aur Jab maine Kisi Ek se suni hoti hai to Phir Usi se suni hoti hai.” [At-Tamheed 1/34]

3. Imam Tahavi (rah.) farmate hain: Agar Wo kahein ke Jo kuch Tumne ba-waastah Ibraheem (rah.), Ibne Mas’ood (raz.) se rivayat kiya hai wo Ghair Muttasil hai to Unse Kaha Jaayega ke Ibraheem (rah.) sirf Ibne Mas’ood (raz.) se Us waqt Irsaal karte hain Jab wo rivayat Unke Nazdeek SAHIH hoti hai aur Ibne Mas’ood (raz.) se TAWAATUR ke sath marwi hoti hai. Hazrat Aa’mash (rah.) ne Unse kaha, Mujhse Hadees bayan karte waqt SANAD Zikr kiya karein. Unhone farmaya: “Jab main Tumse Kahoon ke Abdullah bin Mas’ood (raz.) ne farmaya to, Main Ye baat Us Waqt kehta hoon Jab Ibne Mas’ood (raz.) se Ek Jama’t bayan karti hai aur Jab Main Ye kehta hoon  fala’n ne Ibne Mas’ood (raz.) se rivayat karte hue Mujhse bayan kaha to Ye Usi se hogi, Jisne Mujhse bayan Kiya.” [Sharah Mu'anil Aasaar 1/464]

To sabit hua ke Ibraheem Naqa’i (rah.) ki rivayat to Lughvi taur par to Mursal hoti hai magar Istilaahi taur par Mursal Ya Munqata’ hargiz Nahi ho sakti hai Kyonke Unhone Khud Waazeh Ailaan kar diya ke Agar Main Rivayat me Ibne Mas’ood (raz.) ka Zikr Karoon to Ye Rivayat maine Ek Jama’t se Suni hoti hai.
To maloom hua ke Hazrat Ibraheem Naqa’i (rah.) ki Mursal rivayat Musnad se bhi Zyadah QAWI TAR hoti hai Ghair-Waahid hone ki wajah se.
Ab rahi baat ke Wo Jama’t Kounsi hai Jin se Ibraheem Naqa’i (rah.) rivayat karte the..
Imam Ali bin Madeeni (rah.) likhte hain: “Ibraheem Naqa’i (rah.) Mere Nazdeek As’haab Abdullah bin Mas’ood (raz.) ka Sab se Zyadah Ilm rakhte the.”

Aur mazeid likha ke, “Ibraheem Naqa’i ki Aswad, Alqamah, Masrooq aur Ubaidullah (rah.) se Liqaa sabit hai.” [Al-Illal Ibne Madeeni (rah.) 1/43]

To As’haab-e-Ibne Mas’ood (raz.) me se Aswad aur Alqamah (rah.) hain Jo Ibraheem Naqa’i (rah.) ke Khaandaan me se hain. To Ibne Mas’ood (raz.) ke Fatwo’n ko As’haab-e-Ibne Mas’ood (raz.) se behtar aur Kaun Jaan sakta hai.

Hafiz Ibne Rajab (rah.) likhte hain: As’haab Ibne Mas’ood (raz.) Jo Abdullah bin Masood (raz.) ki Qiraat aur Unke Qoul par Fatwe aur Unke Mazhab ki taraf gaye wo Al Aswad bin Yazeed Masrooq wa Ubaidah As-Salmani, Amr bin Sharjeel aur Al-Haaris bin Qais hain, aur Ibraheem Naqa’i aur Shu’ba Tamam Ahle Koofah se zyadah As’haab Abdullah ke Tareeqah aur Mazhab ko Jaanne waale the magar Imam Shu’ba, Masrooq ke Mazhab ki taraf maa’el hue aur Masrooq ne Ye Ilm Hazrat Ali (raz.) aur Ahle Madinah se haasil kiya Jabke Ibrahim Naqa’i (rah.) ne Apne Shuyookh aur As’haab Abdullah bin Ma’sood (raz.) ke Mazhab ki taraf maa’el hue.” [Al-Illal Ibne Rajab (rah.) 1/60]

To sabit hua ke, Jinse Ibrahim Naqa’i rivayat karte hain wo As’haab Ibne Masood hain. Jinme Unke Maamoo aur deegar Shuyookh (Aswad, Alqamah, Amr bin Sharjeel wagherahum) hain Jo ke Aala darjah ke Siqah Raavi hain. Inhone hi Hazrat Abdullah bin Mas’ood (raz.) ke Fatwo’n ko Unke Mazhab ko Mehfooz kiya tha.

HADEES# 1: Wakee’ – Mis’ar – Abi Ma’shar – Ibraheem Naqa’i (rah.) farmate hain, “Abdullah bin Masood (raz.) Jab Namaz shuroo karte to RafaulYadain karte the Phir dobarah RafaulYadain Nahi karte the.” [Musannaf Ibne Abi Shaibah 1/236, Mursal Mauqoof]

حدثنا وكيع عن مسعر عن أبي معشر عن إبراهيم عن عبد الله أنه كان يرفع يديه في أول ما يستفتح ثم لا يرفعهما.

HADEES# 2: Is’haaq bin Ibraheem – Abdur Razzaq – Hussain – Ibraheem (rah.) rivayat karte hain, “Ibne Mas’ood (raz.) Namaz ki Ibtida’ me Rafaulyadain karte Phir dobarah RafaulYadain na karte.” [Mu'ajjam Al Kabeer 8/264, Sahih Mursal Mauqoof]
حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ بن إِبْرَاهِيمَ، عَنْ عَبْدِ الرَّزَّاقِ، عَنْ حُصَيْنٍ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ،”أَنَّ ابْنَ مَسْعُودٍ كَانَ يَرْفَعُ يَدَيْهِ فِي أَوَّلِ شَيْءٍ، ثُمَّ لا يَرْفَعُ بَعْدُ”.

HADEES# 3: Ali bin Abdul Azeez – Hajjaaj bin Al-Minhaal – Hammaad bin Salamah – Hammaad – Ibraheem (rah.)………. [Mu'ajjam Al Kabeer 8/264, Sahih Mursal Mauqoof]

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بن عَبْدِ الْعَزِيزِ، حَدَّثَنَا حَجَّاجُ بن الْمِنْهَالِ، حَدَّثَنَا حَمَّادُ بن سَلَمَةَ، عَنْ حَمَّادٍ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بن مَسْعُودٍ،”أَنَّهُ كَانَ إِذَا دَخَلَ يَدَيْهِ، ثُمَّ لا يَرْفَعُ بَعْدَ ذَلِكَ”.

HADEES# 4: Abdur Razzaq – Sauri – Hussain – Ibraheem (rah.) se rivayat hai, “Ibne Mas’ood (raz.) Pehli martabah RafaulYadain karte Phir Iske ba’d Na karte.” [Musannaf Abdur Razzaq 2/71, Saheeh Mursal Mauqoof]
عبد الرزاق عن الثوري عن حصين عن إبراهيم عن ابن مسعود كان يرفع يديه في أول شئ ثم لا يرفع بعد.

HADEES# 5: Abdur Razzaq – Abi Uyaynah – Hussain – Ibraheem (rah.) se rivayat hai oopar ki Misl hi. [Musannaf Abdur Razzaq 2/71, Mursal Mauqoof]

عبد الرزاق عن ابن عيينة عن حصين عن إبراهيم عن ابن مسعود مثله.

HADEES# 6: Abdur Razzaq – Sauri – Hammaad –  wo(Hammaad) kehte hai ke Maine Ibrahim (Naqai) se uske (yani rafa yadain k) bare me poocha to unho ne farmaya Wo Apne hath Pehli martaba uthate the. [Musannaf Abdur Razzaq 2/71, Saheeh Mursal Mauqoof]

عبد الرزاق عن الثوري عن حماد قال : سألت إبراهيم عن ذلك فقال : يرفع يديه أول مرة.

HADEES# 7: Sufyan Sauri – Hussain – Ibrahim (rah.) se rivayat hai wo Abdullah Bin Masood Razi Allahu anhu se ke Woh Sirf Namaz ke iftetaah(TAKBEER E TEHREEMA KE WAQT) me RAFA YADAIN karte the. [Kitabul Hujjah 1/97, Mursal Muqoof]

اخبرنا سفيان الثورى قال حدثنا حصين عن ابراهيم عن عبدالله ابن مسعود انه كان يرفع يديه إذا افتتح الصلوة۔

HADEES# 8: Ibne Abi Dawood – Ahmad bin Yunus – Abul Ahwas – Hussain – Ibraheem (rah.) se rivayat hai unho ne kaha ke Abdullah Bin Masood razi Allahu anhu NAMAZ me kabhi rafa yadain nahi karte the magar sirf IFTETAAH me[yani wo sirf TAKBEER E TEHREEMA KE WAQT me RAFA YADAIN karte the ].
[Sharah Ma’aaniul Aasaar 1/133]

حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي دَاوُد ، قَالَ : ثنا أَحْمَدُ بْنُ يُونُسَ ، قَالَ : ثنا أَبُو الْأَحْوَصِ ، عَنْ حُصَيْنٍ ، عَنْ إبْرَاهِيمَ ، قَالَ : كَانَ عَبْدُ اللَّهِ لَا يَرْفَعُ يَدَيْهِ فِي شَيْءٍ مِنْ الصَّلَاةِ إلَّا فِي الِافْتِتَاحِ .

HADEES # 9: Muhammad bin Jabir – Hammaad – Ibraheem – Alqamah – Abdullah bin Mas’ood (raz.) se rivayat karte hai Unho ne farmaya Mai Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam , Abu Bakr aur Omer Razi Allahu anhum ke sath NAMAZ padha wo LOG RAFA YADAIN nahi karte the magar TAKBEER E TEHREEMA ke waqt Namaz ke Ifeteaah me.[Sunan DarQutni 1/295]

حَدَّثَنَا أَبُو عُثْمَانَ سَعِيدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ أَحْمَدَ الْحَنَّاطُ وَعَبْدُ الْوَهَّابِ بْنُ عِيسَى بْنِ أَبِى حَيَّةَ قَالاَ حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ بْنُ أَبِى إِسْرَائِيلَ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَابِرٍ عَنْ حَمَّادٍ عَنْ إِبْرَاهِيمَ عَنْ عَلْقَمَةَ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ صَلَّيْتُ مَعَ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- وَمَعَ أَبِى بَكْرٍ وَمَعَ عُمَرَ رضى الله عنهما فَلَمْ يَرْفَعُوا أَيْدِيَهُمْ إِلاَّ عِنْدَ التَّكْبِيرَةِ الأُولَى فِى افْتِتَاحِ الصَّلاَةِ.

HADEES # 10: Abu Bakrah – Mo’mal – Sufyan – Mughairah ne Kaha ke Maine Ibraheem Naqa’i (rah.) se Hazrat Wa’il wali Hadees bayan ki ke Wa’il (raz.) ne dekha ke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) Jab Namaz shuroo karte aur Jab Rukoo karte aur Rukoo se Sar uthaate to Aap Rafaulyadain karte to Ibrahim Naqa’i (rah.) ne farmaya ke Agar Hazrat Wa’il (raz.) ne 1 martabah aisa dekha hai to Ibne Masood (raz.) ne 50 martabah dekha hai ke Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) aisa Nahi karte the. [Sharah Muanil Aasaar 1/154, aur dekhiye Muwatta Muhammad Raqam# 117]

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرَةَ ، قَالَ : ثنا مُؤَمَّلٌ ، قَالَ : ثنا سُفْيَانُ ، عَنْ الْمُغِيرَةِ قَالَ : قُلْت لِإِبْرَاهِيمَ ( حَدِيثُ وَائِلٍ أَنَّهُ رَأَى النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، يَرْفَعُ يَدَيْهِ إذَا افْتَتَحَ الصَّلَاةَ ، وَإِذَا رَكَعَ ، وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنْ الرُّكُوعِ ؟ ) .
فَقَالَ إنْ كَانَ وَائِلٌ رَآهُ مَرَّةً يَفْعَلُ ذَلِكَ ، فَقَدْ رَآهُ عَبْدُ اللَّهِ خَمْسِينَ مَرَّةً ، لَا يَفْعَلُ ذَلِكَ

Post a Comment

Previous Post Next Post