DEOBANDI AQEEDAH, BUZURGO KO BHI ILM-E-GHAIB HOTA HAI

DEOBAND AQEEDAH, Buzurgo ko bhi Ilm-e-Ghaib hota hai:

1# Ashraf Ali Tanvi aur Rasheed Ahmed Gangohi ke Peer-o-Murshid, Haji Imdadullah Muhajir Maki r.a farmate hain;
“Log kehte hain ki Ilm-e-Ghaib Ambiya aur Auliya ko nahi hota, mai kehta hu ki Ahlehaq jis taraf bhi nazar karte hain daryaft-o-idraak-e-ghaibaat inko hota hai, asal me ye Ilm-e-Haq hai. Hazrat sallallaho alaihe wasallam ko Hudaibiya wa Hazrat Ayesha ke muamlaat se khabar na thi ko dalil apne daawe ki samajhte hain ye ghalat hai, kyunki Ilm ke waste tawajjoh zaruri hai”
(Shamaaim Imdadiya, S-62, Imdadul Mushtaq, S-79-80)

2# Maulana Nanotvi  farmate the ki Shah Abdur Raheem Sahab wilayati k ek mureed the jinka naam Abdullah Khan tha. Aur qaum ke raajpoot  the, aur ye Hazrat ke khas mureedo me the. Unki haalat ye thi ki agar kisi r me hamal ke ghar me hamal hota aur wo ta’weez le aata to aap farma diya karte the ki tere ghar me ladki hogi ya ladka. Aur jo aap batla dete the wohi hota tha.
(Arwahe Sala pg.139. Hikayat no.145)

3# Farmaya, ki Maulana Shah Abdur Raheem sahib ka qalb bada noorani tha, mai unke paas baithne se darta tha ki kahin mere uyoob unpar munkashif na ho jayen.
(Arwahe Salasa Pg.319, Hikayat 435)

4# Gangohi sahib farmate hain ek martaba Shah Waliullah sahib marzul maut me mubtala ho gaye, tauba muqtazaye bashariyat baccho ki sughar suni ka taraddud tha isi waqt janab Rasoolullah sallallaaho alaihe wasallam ko dekha ki aap tashrif laaye aur  farmate hain ki (Tu kaahe ka fikr kari hai, jjaisi teri aulad waisi hi meri) fir apko itminan ho itminan ho gaya. Maulana ne farmaya ki Shah sahib ki aulad aalim hui aur bade martabon par pahunchi. Jaise bhi sahab fazl-o-kamaal hue zahir hai.
5# ke bar irshad farmaya ki H.Shah Waliullah sahib Dehelvi jab marzul maut me mubtila hue aur zindagi se yaas hui tauba muqtazaye bashariyat baccho ki sughar suni ka taraddud tha. tha isi waqt janab Rasoolullah sallallaaho alaihe wasallam ko dekha ki aap tashrif laaye aur  farmate hain ki (Tu kaahe ka fikr kari hai, jjaisi teri aulad waisi hi meri) fir apko itminan ho itminan ho gaya. Maulana ne farmaya ki Shah sahib ki aulad aalim hui aur bade martabon par pahunchi. Jaise bhi sahab fazl-o-kamaal hue zahir hai. Apke 4 sahab zaade the ALLAH! Beginning with the name of the most beneficent and merciful unki aulad me bajuz Abdus salam ghair taleem yafta aur koi bhi nahi (Manqool az tazkiratur rasheed)
(Arwahe salasa pg.22, Hikayat no 5 and 6)

3 Comments

  1. https://ulamaehaqulamaedeoband.files.wordpress.com/2013/11/hifz-ul-imaan.png

    see this link Molana Ashraf Thanvi ka akeeda kia hay??????

    ReplyDelete
  2. https://ulamaehaqulamaedeoband.files.wordpress.com/2013/11/hifz-ul-imaan.png

    see this link Molana Ashraf Thanvi ka akeeda kia hay??????

    ReplyDelete
  3. Hamne dikha diya na scan page ke sath aap deobandiyo ka aqeeda. Uske bare me kya khayal hai ?

    ReplyDelete
Previous Post Next Post