Aaqa Sallallahu Alaihe Wasallam ke walidain Momin the





Walidain-e-Mustafa Sallallaho alaihe wasallam


Alhamdulillah!
Nahmaduhu wa nastaeenuhu wa nastaghfiruhu wa nu’minu bihi wa natawakkalao
alaihe. Wa Nusalli ala Rasoolihil Kareem, Was Salaato was Salaamo Ala Sayyedil
Mursaleen. Amma Ba’ad. Faoozu Billahe Minash Shaitanir Rajeemi Bismillahir
Rehmanir Raheem.

ALLAH TABARAK WA TA’ALA ka
behadd ehsan hai ki usne shume Musalman kiya aur khas ehsan ki Apne Pyare
Mehbub Sallallaho alaihe wasallam ki Ummat me paida farmaya ki is Ummat me hone
ko to khud Ambiya alaihimus salato salam ne duayen mangi hain. Isi ummat me
kuch aise log bhi paida ho gaye hain jo ki khud ko Musalman hone ka daawa karte
hain Kalima bhi padhte hain, Namazen bhi padhte hain. Par apne hi Nabi
Sallallaho alaihe wasallam par tarah tarah ke ilzamaat lagate hain, unhi ilzam
me se ek ilzam ye bhi hai ki wo hamare pyare Aaqa Sallallaho alaihe wasallam ke
Walidain ko (maazALLAH) kafir kehte hain. Halanki hum is masle par Hadeeson ki
dalil pesh karenge ki wo Kafir nahi balki Momin the. Lekin use pehle bhi hum
puchna chahte hain ki akhir tumhe apne hi Nabi Sallallaho alaihe wasallam ke
walidain ke khilaf zuban daraz karne me zara bhi dil ko takleef nahi hui? Agar
tum momin na keh sake fir bhi kafir kehte zara bhi haya nahi aayi?

Deobandiyo ke peshwa Rasheed Ahmed Gangohi ne bhi
apni Fatawae Rasheediya me likha hai ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam ke
walidain ka inteqal Halat-e-Kufr me hua.
(maazALLAH)

Beshak Musalman Ghulam behtar hain Mushrik
se:
(Sureh Baqrah 221)

1: Rasoollah Sallallaho alaihe wasallam
farmate hain:
Har Qarn-o-Tabqa me Tamam Quroon Bani Aadam
ke behtar se mai bheja gaya,
yahan tak ki us qarn me hua jisme paida hua.
(Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Baab
Sifatun Nabi Sallallaho alaihe wasallam Jild 1 pg.503.)
                                                                                
2# Hazrat
Ameerul Mumineen Syyeduna Ali Murtaza r.a ki Saheeh Hadees me hai:
Ru-e-Zameen par
har zamane mekam se kam 7 Musalman zarur rahe hain.
Aisa na hota to zameen-o-Ahle-Zameen sab halaak ho
jate.
Isko Abdur Razzaq aur ibn Munzir ne shaikheen ki
shart par Saheeh Sanad ke sath riwayat kiya.
(Sharah Zarqani
alal Mawahib Ladunya, Ba-hawala Abdur Razzaq wa Ibn Munzir jild 1 Pg.174)

3# Imamul
Mufassereen Syyeduna Ibn Abbas r.a ki Hadees me hai:
Nooh alaihis
salam ke baad zameen kabhi 7  Musalman.
Bandgan-e-Khuda se khali nahi hui, jinki
waja se ALLAH Ahle zameen se azab dafa farmata hai.
(Sharah Zarqani alal Mawahib Ladunya ba-hawala Ahmed fiz-Zohad Jild 1
Pg.174)

Jab Saheeh Hadeeson se sabit ki har qarn-o-tabqe me ru-e-zameen par la aqal
7 musalman bandgan-e-maqbool zarur rahe hain. Aur khud Saheeh Bukhari ki Hadees
se sabit hai ki Huzur Akram
Sallallaho alaihe wasallam jinse paida hue wo log har zamane me, har
qarn me kheyar-e-qarn se, aur ayat-e-quraniya naatiq ki koi kafir agarche kaisa
hi shariful qaum, baala nasb ho, kisi Ghulam Musalman se bhi khair-o-behtar
nahi ho sakta to wajib hua ki Mustafa sallallaho alaihe wasallam ke Aaba, wa
Ummahaat-e-Qarn aur tabqa me unhe bandgan-e-Saaleh wa maqbool se hu, warna
maazALLAH Saheeh Bukhari me Irshad-e-Mustafa sallallaho alaihe wasallam wa
Quran-e-Azeem me irshad-e-Haq ke mukhalif hoga.

Mai kehta hu ki Kafir shar’an is baat ka mustaiq nahi ki isko Khairul Qarn
kaha ja sake, bilkhusus jabki Musalman Saaleh maujud hon, agarche khairiayt
Nasab hi ke lihaz se kyu na ho.
Ye Dalil Imam Jalaluddin Suyuti ne ifaadah farmayi.

Dusri Dalil ALLAH TA’ALA ne farmaya, Kafir to na-paak hi hai.
(Sureh Baqrah 221)

Aur Hadees me
hai Huzur Sayyedul Mursaleen Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:

4# Hamesha ALLAH
ne mujhko Paak, suthri pushton me naqal farmata raha, saaf suthra araasta, jab
2 shakhen paida huin, unme behtar shaakh me tha.
(Al-Hawi Lil
Fatawa ba hawala Abu Naeem Masaalikul Hanfa fi Waalidil Mustafa Jild 2 Pg.211)
(Dalailun
Nabuwwa,Abi Naeem , Fasl Saani Pg.11-12)
Isko Naeem ne Dalailun Nabuwwa me Ibn Abbas ra se riwayat kiya.

Aur ek Hadees
hai Nabi Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:

5# Mai hamesha
Paak mardon ki pushton se, Paak Beebiyon ke peton me muntaqil hota raha.
(Sharah Zarqani
Alal Mawahib Ladunya ba-Hawala Abi Naeem an-Ibn Abbas Jild 1 Pg.174)

Dusri Hadees me
Nabi Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:

6# Hamesha ALLAH
ne mujhe Karam wali pushton aur taharat wale shikamo me naqal fermata raha,
yahan tak ki mujhe mere Maa Baap se paida kiya.
Isko Ibn Abi Amru al-Adi r.a se riwayat kiya.
(Shifa
Ba-Ta’reef Huqooqul Mustafa jild 1 Pg..63)

To zarur hai ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam ke Aaba-e-Kiram Taahireen
wa Ummahaat-e-Kiram sab Ahle Eiman-o-Tauheed hon ki Quran Azeem kisi Kafir-o-Kaafirah
ke liye karam-o-taharat ke liye hissa nahi.
Ye Dalil Imam-e-Ajal Fakhrul Mutakallimeen Allama
ul Wara Fahruddin Raazi r.a ne Ifaadah farmayi aur Imam Jalaluddin Suyuti aur
Allama Mohaqqiq Sanusi aur Allama Tilimsani Shaareh Shifa wa Imam Ibn Hajar
Makki wa Allama Mohammad ZarqaniShaareh Mawahib wagairah Akaabir ne iski taaeed
wa Tasweeb ki.

Teesri Dalil
ALLAH TA’ALA ne farmaya :
Bharosa kar zabardast  meherban par
jo tujhe dekhta hai jab tu khada ho aur tera karwaten badalna sajdah karne
walon me.
(Quran 26:217-219)

Imam Raazi
farmate hain ki Huzur Aqdas sallallaho alaihe wasallam ka Noor Paak Saajidon se
Saajidon ki taraf Muntaqil hota raha.
(Mafaatihul
Ghaib tehet ayat 26:219, 24:149))


 To ayat is par dalil hai ki sab Aabaae Kiram
Musalman the.

Imam Suyuti wa
Imam Ibn Hajar wa Allama Zarqani
(Sharah zarqani
Alal mawahib Baab Wafat-e-Umma Sallallaho alaihe wasallam jild 1 pg.174)
wagairham
Akaabir ne iski Taqreer wa Taaeed wa Taakeed wa tash’heed farmayi

Aur Ibn Abbas
r.a se iski muaiyyid riwayat Abu Naeem ke yahan aay
(Sharah zarqani
Alal mawahib Baab Wafat-e-Umma Sallallaho alaihe wasallam jild 1 pg.174)
(Dalailun
Nabuwwa Abi Naeem Fasl Saani Zikr-e-Fazeelate Sallallaho alaihe wasallam
Be-Tayyib-e-Maulidah Juz-ul Awwal pg.11-12)

 Allama ne tasreeh ki hai ki Quran paak ki har
waja se istedlal kiya jayega aur koi ek ta’weel dusri ta’weel ki naïf nahi
karti, iske liye Ulama ka amal gawah hai ki wo purane aur naye zamane me
Aayat-e-Mubaaraka ki kayi Taaweelaat me se ek se istedlal karte rahe hain.

Chauthi Dalil:
ALLAH ne farmaya
anqarib ALLAH tujhe utna dega kit u raazi ho jayega.
(Quran 5:93)

Qarib hai ki tuje teri Ummat ke baab me raazi kar denge aur tera dil bura
na karenge.
(Saheeh Muslim Kitabul Eiman Baab Duaaun Nabi Sallallaho alaihe wasallam jild
1 Pg.113)

Magar is ata wa raza ka matlab yahan tak pahuncha ki Saheeh hadees me Huzur
Syed Aalam Sallallaho alaihe wasallam ne Abu Talib ki nisbat farmaya:
maineusey
saraapa Aag me duba paaya to kheench kar takhno tak ki aag me kar diya.
(Saheeh Bukhari
Kitabul Manaqib, Qissa Abi Talib, jild 1 Pg.548)
(Saheeh Bukhari
Kitabul Adab, Kaifiyatul Mushrik, jild 2 pg.917)
(Saheeh Muslim
Baab Shafaatun Nabi Sallallaho alaihe wasallam le Abi Talib jild 1 pg.115)
(Musnad Ahmed An
ibn Abbas jild 1 Pg.206)

Ek aur Saheeh
riwayat me farmaya:
Agar main na
hota to Abu Talib jahannam ke sabse neeche tabqe me hota
(Saheeh Muslim
Kitabul eiman Baab Shafaatun nabi Sallallaho alaihe wasallam jild 1 pg.115)
(Saheeh Bukhari
Kitabul Manaqib, Qissa Abi Talib, jild 1 Pg.548)
(Saheeh Bukhari
Kitabul Adab, Kaifiyatul Mushrik, jild 2 pg.917)


Ek aur Saheeh
Hadees me Nabi Sallallaho alaihe wasallam :
Dozakhiyon me
sabse halka azab Abu Talib par hai.
(Saheeh Muslim
Kitabul eiman Baab Ahoon Ahlin Naar Azaaba jild 2 pg.115)
(Mishkaatul
Masabeeh ba Hawala Bukhari Kitabul Fitan baab- Sifatun Naar wa ahleha jild 2
Pg.502)

Aur Zaahir hai
ki Huzur Aqdas Sallallaho alaihe wasallam se jo qurab Waalidain ko hai Abu
talib ko isse kya nisbat?
Phir iska uzr
bhi waazeh kin a unhe dawat pahunhi na unhone zamana-e-Islam paaya, to agar
maazALLAH wo AhleJanant nahote to zarur tha ki unpar Abu Talib se bhi kam azab
hota. Aur wohi sabse halke azab me hote. Ye Hadees Saheeh ke khilaf hai to
wajib hua ki Waalidain Kareemain AhleJannat hain. Wa ALLAHO A’Lam
Is Daleel ki
Taraf bhi Imam Khaatimul Huffaz Jalaaluddin Suyuti r.a ne farmaya:
Taufeeq ALLAH ki
taraf se hai Taqreer Dalil ye hai ki Saadiq wa Masdooq Sallallaho alaihe
wasallam ne khabar di ki Ahle Naar me sabse halka azab Abu Talib par hai.  Ab hum puchte hian ki Abu Tali par ye
takhfeef kis waja se hai ?
Huzur Aqdas
Sallallaho alaihe wasallam ki yaari wa paas daari wa khidmat Guzari ke baais ya
isliye ki Sayyedul Mehbubeen Sallallaho alaihe wasallam ko unse Mohabbat Tabayi
thi ? Huzur ko unki riaayat manzur thi, Huzur Aqdas Sallallaho alaihe wasallam
farmate hain:

Aadmi ka chacha
uske Baap ke bajaye hota hai, isko Imam Tirmizi ne sanad-e-Hasan ke sath hazrat
Abu Hurairah r.a aur Hazrat Ali r.a se se jabki Tibrani Kabeer ne Ibn Abbas r.a
se riwayat kiya hai .
(Jaame Tirmizi
abwaabul Manaqib, Manaaqib-e-Abi Fasl-e-Am Nabi Sallallaho alaihe wasallam jlld
2 pg.217)
(Moajjam
Al-Kabeer H.no.10698 jild 10 pg.383)

Aur jo kuch
unhone Kaam kiye the humne qasd farmakar unhe baareek baareek Ghubar ke bikhre
hue zarre kar diye ki rozan kid hoop me nazar aate hain.
(Quran 25:23)

Saaf irshad hota
hai ki Kafir ke sab amal barbad mehez hain. Aur yehi un Ahadees-e-Saheeha
Mazkurah se mustafad, AbuTalib kea mal ki haqiqat to yahan tak thi ki Huzur
Aqdas Sallallaho alaihe wasallam ne sarapa aag me gharq paaya, amal ne nafa
diya hota to pehle hi kaam ata, phir Huzur ka irshad ki maine usey takhno tak
ki aag me khinch liya main a hota to wo jahannam ke tabqa-e-zereen me hota.




(Saheeh Bukhari
Kitabul Manaqib, Qissa Abi Talib, jild 1 Pg.548)
(Saheeh Muslim
Kitabul eiman Baab Ahoon Ahlin Naar Azaaba jild 1 pg.115)
(Musnad Ahmed
bin Hanbal jild 1 Pg.207, 210)
.
Bila Shubah ye
Takhfeef sirf Mehbub Sallallaho alaihe wasallam ka Paas Khatir  ur Huzur ka Ikram Zaahir hai aur Waazeh hua
ki Mehbub Sallallaho alaihe wasallam ki khatir Iqdas par Abu Talib ka azab
hargiz itna giraan nahi ho sakta maazALLAH jis qadar Waalidain Kareemain ka
muamla. Na unse takhfeef me Huzur ki ankho ki wo thandak jo Hazraat Waalidain
Karimain ke bare me, na unki riaayat me Huzur ka wo e’zaaz wa Ikraam jo Hazraat
Walidain ke chhutkare me,  to agar farz
kijiye ki ye Abu Talib ke Haq-e-parwarish wa khidmat hi ka muaawza hai to phir
kaunsi parwarish juziyat ke barabar ho sakti hai?
Kaunsi Khidmat
Hamal wa Waza’ ka Muqabla kar sakti hai? Kya kabhi kisi parwarish kunindah ya
khidmat guzaar ka haq Haq-e-Walidain ke barabar ho sakta hai? Jise Rab-ul-Izzat
ne apne Haq-e-Azeem ke sath irshd farmaya:
“Haq maan mera
aur apne Walidain ka”
(Quran 31:14)

Phir Abu Talib
ne jahan barson khidmat ki, chalet waqt tanj bhi wo diya jiska jawab nahi, har
chand Huzur Aqdas Sallallaho alaihe wasallam ne Kalima padhne ko farmaya na
padhna tha na padha. Jurm wo kiya jiski maghfirat nahi. Umr bhar mojizaat
dekhna, Ahwaal par Ilm Taam rakhna aur zyadah Hujjatullah Qayem hone ka moajjib
hua ba khilaf Abueen Karimain ken a unhe dawat digayi. Na inkar kiya. To har
waja, har lehaz, hae haisiyat se yaqinan unhi ka palla badha hua hai. To Abu
Talib ka azab sabse halka hona yunhi mutasawwur ki Abueen Karimain AhleNaar hi
se na hon.

Paanchvi Dalil:
ALLAH ne farmaya:
barabar nahi dozakh wale aur Jannat wale, aur
Jannat wale hi murad ko pahunche.
(Quran 59:20)

Hadees me hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam
ne Aulad-e-Amjaad-e-Hazrat Abdul Muttalib se ek paak Tayyaba Khatoon r.a ko
aate dekha.
Jab paas aayin farmaya:
“Apne ghar se kahan gayin thi?”
Arz ki “ye jo ek Mayyat ho gayi thi mai unke yahan dua-e-rehmat aur
ta’ziyat karne gayi thi,”
Farmaya:
“Shayad tu inke sath Qabristan tak gayi”
Arz ki:
“Khuda ki panah ki mai wahan jati halanki Huzur se sun chuki thi jo
kuch is Baab me irshad kiya”
Syed Aalam Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya:
“agar tu inke sath wahan jati to jannat na dekhti jab tak Abdul
Muttablib na dekh len”
Isko Abu Dawood aur Nasai ne riwayat kiya hai,
(Nasai Kitabul Janaiz, Baabun Nayi jild 1 Pg.265)
(Abu Dawood Kitabul Janaiz, baab ta’ziyah jild 2 Pg.89)
aur Lafz Nasai ke hain. Syeduna Abdullah bin Amru al-Aas r.a Anhuma
se, Imam Abu Dawood ne az-raahe adab bataur Kuna ye isme tashdeed ka zikr kiya
lekin Imam Abdul Rehman Nasai ne Khulkar ilm ko pahunchaya aur Hadees ka Haq
ada kiya. Har ek  ke liye tawajjoh ki ek
simt hai jiski taraf wo muh karta hai

ye to Hadees ka irshad hai ab zara Aqaid-e-AhleSunnat pesh-e-nazar
rakhte hue Nigah-e-Insaaf darkaar, Aurton ka Qabristan jana ghayat darja agar
hai to ma’siyat hai.
(Quran 63:8)
 Aur Hargiz koi ma’siyat
msalmna ko jannat se mehroom aur Kafir ke barabar nahi kar sakti. AhleSunna tke
nazdeek Muslaman ka Jannat me jana waajib-e-sharai hai agarche maazALLAH
muaakhize ke baad
 Aur Kafir ka Jannat me jana
muhaal-e-sharai hai ki abadul abaad tak kabhi mumkin hi nahi aur Nusoos ko
Hattal Imkan zaahir par Mehmool karna wajib aur be zarurat ta’weel na-jaez aur
ismat nau-e-bashar me khaasa Ambiya laihimus salam hain. Inkeghair se agarche
kaisa hi azeemud darjaat ho. Wuqu-e-gunah mumkin wa mutasawiir  ye chaaron baaten aqaid AhleSunnat me sabit wa
muqarrar, ab agar ba-hukm-e-Muqaddama raabe maqabir tak balugh-e-farz kijiye.
To ba-hukm-e-Muqaddama Saalisa Jazaakaar tibb wajib  aur is taqreer par ki Hazrat Abdul Muttalib
ko MaazALLAH Ghair Muslim kahiye, Ba-Hukm-e-muqaddemeen Awwaleen wa neez ba
hukm Aayat-e-kareema Muhaal wa baatil, to wajib hua ki Hazrat Abdul Muttalib wa
AhlreJannat hon. Agarche Misl-e-Siddiq wa Farooq wa Usman wa Ali wa
Zehra-o-Siddiqa waghairaham Saabiqeen Awwaleen me nahon. Ab Ma’ana Hadees bila
takalluf  aur be haajat ta’weel wa
Tasarruf-o-Aqaid AhleSunnat se mutabiq hain. Yani agar ye amr tumse waaqe hota
to Sabiqeen Awwaleen ke sath Jannat me jana na milta balki is waqt jabki Abdul
Muttalib Dakhil-e-behesht honge,

Chhathi Daleel:
Hamare Parwardgaar, ALLAH Azzuwajal ne farmaya:
Izzat to ALLAH aur Rasool aur musalmano hi ke liye
hai magar munafiqon ko ilm nahi.
(Quran 63:8)

Aur irshad farmaya:
Aye logon, humne banaya tumhe e knar wa maadah seau rkiya tumhe qu
me3 aur Qabeeke ke apas me ek dusre ko pehchano, beshak ALLAH ke nazdeek
tumhara zyadah izzat wala wo hai jot um me zyada Parhezgar ho.
(Quran 49:13)

In Aayaat me ALLAH ne izzat ko musalmano me bayan
farmaya. Aur kafir ko kitna hi qaumdaar ho, laeem-o-zaleel thehraya aur kisi
laeem wa zaleel ki aulad se hona kisi Azeez-o-kareem ke liye baais-e-madah nahi
wa lehaaza kafir Baap Daadon ke intesab se fakhr karna haram hua.
Saheeh Hadees me hai Rasool Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:

Jo Shaks izzat wa karaamat chahne ko apni topusht kafir ka zikr kare
ki mai fulan inb fulan ibn fulan ka beta hu, unka Daswaan jahannam me ye shaks
ho. Isko Imam Ahmed ne Abu Raihaana r.a sse riwayat kia.
(Musnad Ahmed Bin Hanbal, Hadees Abi Raihaana r.a Jild 4 pg..134)

Aur Ahaadees-e-Kaseerah mash’hur se sabit ki Huzur Aqdas Sallallaho
alaihe wasallam ne apne fazail-e-Kareema ke bayan aur maqam-e-rajzah wa madah
me bahot martaba apne Aabaae Kiram ka zikr farmaya.
Roz-e-Hunain jab iradah-e-ilaahiya se thodi der ke liye  kuffar ne ghalba paaya, ma’dood bande
rikaab-e-risalat me baaqi rahe, ALLAH Ghalib keRasool ghalib par Shaan-e-Jalaal
taari thi.
“Mai Nabi hu kuch jhut nahi, mai hu beta Abdul Muttalib ka.”
isko Ahmed, Bukhari, Muslim aur Nasai ne Sayyeduna Bar’aa bin Aazib
r.a se riwayat kiya.
(Saheeh Bukhari Kitaul Jihad, Baab Man Qaad, jild 1 pg.401)
(Saheeh Muslim Kitabul Jihad, Baab Ghawah Hunain, jild 2 Pg.100)

Huzur qasd farma rahe hain ki tanha in hazaron ke majme par hamla
farmayen.  Hazrat Abbas bin Abdul
Muttalib wa Hazrat Abu Sufain bin Haris bin Abdul Muttalib r.a Baghla Sharif ke
lagam mazbut khinche huehain ki badh na jayen aur Huzur farma rahe hain:
 Mai saccha Nabi hu, ALLAH ka
pyara, Abdul Muttalib ki ankh ka taara, Sallallaho alaihe wasallam.
(Musannaf In Abi Shaiba, Kitabus Sair, H.no.33573 jild 6 pg.535)
(Kanzul Ummal ba Hawala Abi Naeem H.no.30207 jild 10 pg.540)
Isko Abu Bakr bin Abi Shaiba aur Abu Naeem ne Bara bin Aazib se
riwayat kiya hai.

Ameerul Mumineen Umar r.a lagam roke hue hainaur Hazrat Abbas dumchi
thaame aur Huzur farma rahe hain:
Usey badhne do, mai hu Nabi sareeh Haq par, mai hu Abdul Muttalib ka
pisar Sallallaho alaihe wasallam.
(Tarikh Damishqul Kabeer tarjuma 2858 Shaibato bin Usman jild 25,
Pg.173)
Isko Ibn Asakir ne Mus’ab bin SHaiba se riwayat kiya.

Jab Kafir nihayat Qarib aa gaye, Baghla Tayyaba se Nuzul-e-Ijlaal
farmaya, us waqt bhi yehi farmate the.:
Mai hu Nabi bar haq saccha, Mai hu Abdul Muttalib
ka beta, Ilahi apni madad nazil farma.
(Kanzul Ummal ba hawala Ibn jareer, H.no.30206, jild 10, Pg.541)

Phir ek musht khaak dast-e-paak me lekar kafiron ki taraf phenki aur
farmaya:
Bigad gaye chehre.
(Kanzul Ummal H.no.30213 jild 10 Pg.541)
(Jaameul Bayan, tehet-e-ayat nasarokumullah jild 10 Pg.118)
Wo Khak un hazaron Kafiron par ek ek ki ankh me pahunchi aur sabke
muh phir gaye, unme jo Musharraf ba-islam hue wo bayan farmate hain jis waqt
Huzur Aqdas Sallallaho alaihe wasallam new o kankariyan hamari taraf phenki
hume ye nazar aaya ki asman se zamin tak taambe ki diwar qayem kar di gayi hai
aur ispar se pahaad hamari taraf ludhkaye gaye hain, siva e bhagne ke kuch ban
na aayi.

“Mai bani Sulaim se un chand khatoono ka beta hu
jinka naam Aatika tha”
(Kanzul Ummal H.no.31874 jild 11 Pg.402)
(Moajjam al-Kabeer H.no.6724 jild 7 Pg.169)
Isko Saeed bin Mansoor ne apni Sunan me aur Tibrani Moajjam Kabeer
me Subar bin Aasim r.a se riwayat kiya.

Ek Hadees me hai baaz Ghazwaat me farmaya:
Mai Nabi hu kuch jhut nahi, mai hu Abdul Muttalib ka beta, mai hu Un
Beebiyon ka beta jinka naam Aatika tha.
(Tarikh Damishqul Kabeer, Baa-Ma’arfato uma wajdaatehi jild 3 Pg.60)

Allama Manawi Saib-e-Taiseer wa Imam Mujaddedeen Firozabadi
Sahib-e-Qamoos wa Jehri Sahib-e-Sihaah wa San’aani Waghairham ne kaha Nabi
Sallallaho alaihe wasallam ke Jaddaat me 9 Beebiyon ka naam Aatika tha.
(Taiseer Sharah Jaameus Sagheer tehet-e-Hadees Ana Ibnul Awaatik
jild 1 Pg.275)
(Sihaah Baabul Kaaf Faslul Ain Tehet-e-Lafz-e-Aatika jild 4 Pg.1311)

Ibn Bari ne kaha:
Wo 12 Beebiyan Aatika thin, 3 Sulaimaat yani Qabeela Bani Sulaim se
aur 2 Qureshiyaat se, 2 Adwaaniyaat, aur ek ek Kunaniya, Asadiya, Hazaliya,
Qazaaiya, Azdiya.
(Taj-ul-Uroos, Baabul Kaaf Faslul Ain jild 7 Pg.159)

Abu Abdullah Adoosi ne kaha wo Beebiyan 14 thin, 3 Qureshiyaat, 4
Sulaimiyaat, 2 Adwaaniyaat, aur ek-ek Hazaliya, Qehtaniya, Qazaaiya, Saqfiya,
Asadiya, Bani Asad Khuzaima se.
Imam Suyuti ne Jaameul Kabeer me Naqal kiya,
Aur zahir hai Qaleel Naafi Kaseer nahi.

Hadees me aata hai ki Huzur Aqdas Sallallaho alaihe wasallam  ne apne Maqam-e-Madah wa
bayan-e-fazail-e-Kareema me 21 pusht tak apna Nasab Naama irshad karke farmaya:
Mai sabse nasab me afzal, Baap me afzal,
Sallallaho alaihe wasallam. Toh Ba—hukm-e-Nuzoos-e-Mazkoorah zarur hai ki Huzur
ke Aabaa wa Ummahaat Muslimeen wa Muslimaat hon.

Saatwi Daleel:
ALLAH ne farmaya:
Aye Nooh! Ye Kun’aan tere Ahel se nahin, ye to naar asti ke kaam wala hai.
(Quran 11: 46)

Ayat-e-Kareema ne Muslim wa Kafir ka nasab Qatay farmaya wa lehaza
ek ka tarka dusre ko nahin pahuchta.
Aur Hadees me hai Rasool Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:

Hum Nasr bin Kunana ke bete hain. Hum apne Baap se apna Nasab Juda nahi karte.
(Kanzul Ummal H.no.35513, Jild 12 Pg.442)
(Ibn Majah, ABwaabul Hudood, Baab-Man Nafi Rujla min Qabeela, Pg.19)
(Musnad Ahmed, Hadeesul Ash’at bin Qais, jild 5 Pg.211-212)
(Moajjam al-Kabeer, H.no.219 and 2191 jild 2 Pg.286)
(Musnad Abi Dawood Tayalsi, Hadees Ash’at bin Qais H.no.1049 juz
Raabe Pg.141)
(Tabqaat al-Kubra, al-Ibn Saad, Zikr man Antama jild 1 pg.23)
(Dalailun Nabuwwa lil Baihaqi, Baab-Zikr Sharaf Asal Rasoolullah
Sallallaho alaihe wasallam jild 1 Pg.173)
Isko Abu Dawood Tayasi, Ibn Saad, Imam Ahmed, Ibn Maja, Haris
Maawradi, Samuya, Ibn Qaane, Tibrani Kabeer, Abu Naeem, aur Ziya Maqdasi ne
Saheeh Mukhtarah me Ash’at bin Qais-ul-Qundi r.a se riwayat kiya.

Kuffar Nasab Ba Hukm-e-Ahkamul Haakimeen Muqatay hai. Phir maazALLAH
juda na karne ka kya muhal hota?

Aathvi aur Nawi Daleel:
Mai kehta hu ALLAH TABARAK WA TA’ALA ne farmaya:
Beshak sab Kafir Kasabi Mushrik, Jahannam ki Aag me hain. Hamesha
isme rahenge, wo sare Jahan se badtareen hain. Beshak wo jo Eiman laye aur ache
Kaam kiye wo sare jahan se behtar hain.
(Quran 98:6)

Aur Hadees me hai Rasool Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:
ALLAH AZZUWAJAL ne Zaid Bin Amru ko bakhshish diya aur unpar rehem
farmaya ki wo Deen-e-Ibrahin alaihis salato was salam par the.
(Tabqaatul Kubra Ibn Sa’ad Tarjuma Saeed bin Zaid jild 3 Pg.381)
Isko Bazar aur Tabrani ne Sayyeduna Saeed bin Zaid bin Amru bin
Nafeel r.a se riwayat kiya.

Ar ek aur Hadees me hai Rasoolullah Sallallaho alaihe wasallam ne
unki nisbat farmaya:
Maine usey Jannat me Naaz ke sath aman kushaan dekha.
(Fathul Bari ba Hawala Ibn saad wal Faak’hi Kitabul Manaqib Hadees
Zaid bin Amru bin Nufeel jild 8 Pg.147)
Isko Ibn Sa’ad aur Faak’hi ne Hazrat Amir bin Rabiya r.a se riwayat
kiya.

Aur Baihaqi wa Ibn Asakir ki Hadees me Ba-tareeqa-e-Malik an-Zuhri
an-Anas r.a hai.:
Rasoolullah Sallallaho alaihe wasallam irshad farmate hain:
Mai hu Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abdul
Munaaf bin Quzi bin Qilaab bin Marrah bin Ka’ab bin Lui bin Ghalib bin Feher
bin Malik bin Nazreen Kunana bin Khuzaima bin Madarka bin Iliyas bin Muzar bin Tazaar
bin Ma’ad bin Adnaan. Kabhi log 2 giroh na hue magar ALLAH ne mujhe behtar
giroha me kiya to mai apne Maa Baap se aisa paida hua ki zamana-e-Jaahiliyat ki
koi baat mujh tak na pahunchi aur mai Khalis Nikah-e-Saheeh se paida hua, Aadam
se lekar apne Waalidain tak. To mera Nafs-e-Kareem tum sabse afzal aur mere
Baap tum sabke Aaba se behtar.
(Dalailun Nabuwwa Baab-Zikr Asal Rasoolullah Sallallaho alaihe
wasallam jild 1 Pg.174-179)
(Tarikh Damishqul Kabeer Baab-Ma’arfate Nisbah jild 3 Pg.29 and 38)
Ye lafz “Mera nasab  tum sabse
afzal aur mere Aaba tum sabse afzal hain”
(Tarikh Damishqul Kabeer Baab-Ma’arfate Nasbah jild 3 Pg.30)

Is Hadees me awwal to nafi aam farmayi ki Ahed-e-Jaahliyat ki kisi
Baat ne Nasab-e-Aqdas me kabhi koi raah na paayi. Ye khud dalil kafi hai aur
amr-e-Jaahiliyat ko khusoos zina par hamal karna ek to takhisis bila mukhtasis
dusre laghu ki nafi-e-zina saraahatan iske mutassil mazkoor.

Saaniyan Irshad hota hai ki tum sabke aaba se behtar, in sab me
Hazrat Saeed bin Zaid bin Amru r.a bhi qat’an dakhil hain to laazim hua ki
Hazrat Walid-e-Majid Hazrat Zaid se afzal hon. Aur ye Ba-hukm-e-ayat be-islam
na-mumkin.

Agar maazALLAH Aaqa Sallallaho alaihe wasallam ke walidain ko ab
ghair ,momin maane to ye kaise mumkin hoga ki wo ek Eiman wale H.Zaid se afzal
hain?
Kyunki koi kafir to Momin se afzal nahi ho sakta
na.

Daswi Daleel:
mai kehta hu ALLAH ne farmaya:  Khuda khub janta hai jahan rakhe apni
paighambari.
(Quran Kareem 6:124)

Ye Aayat gawah hai ki ALLAH sabse zyada moazziz wa
mohtaram mauze waze risalat ke liye intekhkab farmata hai. Wa lehaza kabhi kam
qamon razeelon me risalat na rakhi.  Fir
kufr-o-shirk se zyadah razeel kya shai hogi?
 Wo kaise is qabil ki ALLOAH
Azzuwajal Noor-e-Risalat isme wadiyat rakhe. Kufar mohal-e-ghazab wa lanat hain
aur Noor-e-Risalat ke waze ko Mohal-e-Raza wa rehmat darkaar.

Hazrat Ummul Mumineen Siddiqa r.a par ek bar khauf wa khashiyat ka
ghalba tha.
Girya-o-zaari
farma rahin thi.  Hazrat Ibn Abbas r.a ne
arz ki: Ya Ummul Mumineen kya aap ye ghuman rakhti hain  ki Rabbul Izzat ne jahannam ki ek chingari ko
Muhammad Mustafa Sallallaho alaihe wasallam ka joda banaya?
Ummul Mumineen ne farmaya:
Tumne mera gham door kiya. ALLAH TA’ALA tumhare gham door kare.

Khud Hadees me hai Huzur Sayyed Aalam Sallallaho alaihe wasallam
farmate hain:
Beshak ALLAH Azzuwajal ne mere liye na maana ki
mai Nikah me lane ya Nikah me dene ka Muamla karu. Magar AhleJannat se.
(Tarikh Damishqul Kabeer, Ramlah bint-e-Abi Sufiyan 73:110)
Isko Ibn Asakir ne Hind bin Abi Haala r.a se riwayat kiya.

Jab ALLAH ne apne Habib Sallallaho alaihe wasallam ke liye pasand na
farmaya (ke Ghair muslim apke Nikah me aaye) Khud Habib Sallallaho alaihe
wasallam ka Noor Paak maazALLAH Mahal-e-Kufr me rakhne ya Habib Sallallaho
alaihe wasallam ka Jism-e-Paak Iyaaz-Billaah Khoon-e-Kufr se banane ko pasand
farmana kaise muwaqe hoga
.

ALLAH ki Taareef hain, ye 10 Daleel Jaleel hain. Pehli 4
Irshad-e-Aimma Kubaar aur 6 Akhir Faiz-e-Qadeer Musda Faqeer. (ye 10 Kaamil hui
aur pehli aur pichhli me sab tariff ALLAH Ta’Ala ke liye hain)



ALLAH se dua hai Apne Mehbub Sallallaho
alaihe wasallam ke sadqe hamari si choti si koshish ko qubul farmaye.
Dua ki Guzarish: Irfan Barkaati

Post a Comment

Previous Post Next Post