BANDE KO YA GHAUS KEHKAR PUKARNE KA SUBOOT







Ya
Ghaus Kehne ka suboot:


 Sabse pehle to mai aap logon ko ye bata du ki Ghaus ke laghvi maayne fariyad ko pahuchna hota hai, aur isme koi shirk ya biddat nahi hota kyunki aksar banda dusre bande ko apni fariyad ke liye pukarta hai aur uske paas jaakar bhi apni fariyad pesh karta hai. lekin in Wahabiyon ke wahan to jaise shirk aur bidat ke fatwon ki factory khuli hui hai aur din raat fatwon ki barsaat hoti hai. aaiye fir bhi hum is talluq se ek Hadees pesh kar dete hain jisse sabit ho jaye ki bande ko bhi Ya Ghaus kehkar pukarna jayez hai. usse apni fariyad karna jaez hai. 
 

Hadees: Khilafat-e-Faaroqui
me ek bar Madeena Tayyeba me qehet-e-Azeem pada,
Us saal ka naam
halakat, tabahi jaan-o-maal ka saal rakha gaya. Ameerul Mumineen ne Amru bin
Aaz radiAllaho Ta'aala Anhu ko Misr me farman bheja. Bandah-e-Khuda Umar
Ameerul Mumineen ki taraf se Ibn Aaz ke naam:
“Salaam ke baad wazeh ho, mujhe apni jaan ki
qasam, Aye Amru jab tum aur tumhare mulkk wale sair hon tab tumhen kuch parwah
nahin ki mai aur mere mulk wale halaak ho jayen, “Ya Ghaus Ya Ghaus””

Amru bin Aas
radiAllaho Ta'aala Anhu ne jawab hazir kiya:
ye Arzi
Bandahe-Khuda Ameerul Mumineen ko Amr bin Aas ki taraf se hai.
Baad salaam ke ma’rooz, Huzur meai bar bar
khidmat ko hazir humaine Huzur me wo kaarwan rawana kiya hai jiska awwal huzur
ke paas hoga aur akhir mere paas aur Huzur par salam ho aur ALLAH Azzuwaal ki
rehmaten aur barkaten ho.”

Amru bin Aas
radiAllaho Ta'aala Anhu ne aisa hi kaarwan hazir kiya ki Madeena Tayyeba se
Misr tak tamam manzil door daraz oonton se bhari hui thi.
Yahan se wahan tak ek Qatar bani hui
thi jiska pehla Oont Madeena Tayyeba me tha aur pichla Misr me.
Sab par anaaj tha. Ameerul Mumineen ne wo
tamam oont taqseem farma diye. Har ghar ko ek ek oont ata hua ki Anaaj khao aur
is oot ko zibah karke iska gosht khao. Khaal ke joote banao. Jis kapde me anaaj
bandha hua tha, uska lihaaf waghairah banao.
Ye riwayat Mukhtalif matan aur sanad ke
sath maujud hai.
.
(Mustadrak al-Hakim jild 1 Pg.563)


Scan Page: Click
here








Imam Hakim ne is riwayat ko Saheeh Bukhari
aur Saheeh Muslim ki shart par Saheeh qarar diya.

(Saheeh Ibn Khuzaima jild 4 Pg.68)
Scan Page: Click
here
 


(Kanzul Ummal jild 12,Pg.610, 614, 615)
Scan Page: Click
here


(Tabqaat-e-Kubra Jild 3 pg.289)
Scan Page: Click
here
     







(Sunan Qubra jild 3 Pg.577)
Scan Page: Click
here
 


.
.
ab kya ye Wahabi H.Umar Farooq Azam r.a par bhi shirk aur Kufr ka fatwa lagayenge ki unhone ek dusre Sahabi ko "ya Ghaus pukara aur apni hajat talabi ki"?

Post a Comment

Previous Post Next Post