Naalain Paak par ALLAH ka naam likhne ka masla

Naalain Paak par ALLAH ka naam likhne ka Masla
.
Aalahazrat ne ek risaala likha jiska naam hai “Badrul Anwaar fi Aadaabul Aasaar” isme ek jaga Naqsh-e-Naalain Paak par Bismillahir Rehmaanir Raheem likhne ke mutalliq farmate hain ki isme koi Harj nahi. Agar ye khayal rahe ki Naalain Paak Qat’an Taaj farq Ahle-Eiman hai. 
.


Is Ibarat me Wahabiyon ko bahot aitraz hai ki Aalahazrat ne ALLAH ki shan me gustakhi kiya hai.

Al-Jawab:
Kanzul Ummal sharif me hai :
عن سایب بن یزید قال: رایت خیلا عند عمربن الخطاب موسومۃ فی افخازھا حبیس فی سبیل اللہ"

Saaib bin Yazeed kehte hain ki Maine dekha ghode jo Umar bin Khattab ke paas jinki raanon par likha tha “Habees fi Sabeelillah”
(Kanzul Ummmal Juzz 12 H.no.35774)
Scan Page: 



Isi tarah Tabqaat ibn Sa’ad me hai:
عن سایب بن یزید قال: رایت خیلا عند عمربن الخطاب موسومۃ فی افخازھا حبیس فی سبیل اللہ"”

Saaib bin Yazeed kehte hain ki Maine dekha ghode jo Umar bin Khattab ke paas jinki raanon par likha tha “Habees fi Sabeelillah”
(Tabqaatul Kabeer Matbooa Maktaba Khaanji Qaahirah Misr, Pg.285)
Scan Page: 


Isi tarah Tarikh-e-Tabri me hai:

عن سایب بن یزید قال: رایت خیلا عند عمربن الخطاب موسومۃ فی افخازھا حبیس فی سبیل اللہ"”


Saaib bin Yazeed kehte hain ki Maine dekha ghode jo Umar bin Khattab ke paas jinki raanon par likha tha “Habees fi Sabeelillah”
(Tarikh-e-Tabri juzz raabe matbooa Darul Muaarif Misr Pg.211 )
Scan Page: 




Al-Mabsoot sarkhi me hai”
“روی انہ اجتمع فی خلافۃ عمر رضی اللہ عنہ ثلثما یہ فرس مکتوب علی افخازھا حبیس فی اللہ تعالی”

Beshak marwi hai ki Khilafat-e-Umar r.a me 300 ghode jama kiye gaye jinki raanon par likha tha “Habees fi Sabeelillah”
(Al-Mabsoot Sarkhi Juzz 12 matbooa Darul Maarfa Beiroot Pg.45)
Scan Page: 

Durre Mukhtar jild 3 Pg.156 me hai:

Imam Safaar rehmatullah Ta'aala alaihe me zikr farmaya: 
Agar maiyyat ki peshani ya amama ya kafan par Ahed Naama likh diya jaaye to Ummid hai ki ALLAH Ta’ala Use bakhsh dega. Aur azab-e-Qabr se ma’moon farmayega.
Durre Mukhtar me hai ki Maiyayt ki peshani amama ya kafan par Bismillah likhne se bakhshish ki Ummid hai.
Kisi Sahab ne wasiyyat ki thi ki unki peshani aur seena par Bismillahir rehmanir raheem likh diya jaaye, wisal ke baad likh di gayi phir khwab me nazar aaye to haal puchne par farmaya ki jab mai Qabr me rakha gaya to azab ke farishte aaye aur meri peshani par Bismillahir rehmanri raheem likhi hui dekhi to kaha tujhe ALLAH ke azab se amaan hai.
(Durre Mukhtar Pg. 156)
Scan Page: 



Darmi Sharif Pg.438-439 me hai”
عن سعید بن جبیر قال: کنت اکتب عند ابن اباس رضی اللہ عنھما فی صحیفۃ و اکتب فی نعلی

Saeed bin Juber se marwi hai unhone kaha ki mai Hazrat Ibn Abbas radiAllaho Ta'aala anhu ke paas baithta aur Saheefa mai likhta yahan tak ki wo bhar jata phir mai apne joote nikalta aur unke Baalaayi hisse par likhta. 
اسنادہ حسن
(Musnad Darmi Pg.438)
Scan Page: 


See also (Taqyeedul Ilm Pg.131)
Scan Page: 


Ek aur hawala Mulahiza ho:
Sharah Siyarul Kabeer me hai:
روی عن عمر رضی اللہ تعالی عنہ انہ وسم بیدہ حتی روی انہ ھبس ثلاثین الف بعیر و ثلاثمایہ فرس موسوما فی افغازھن حبیس فی سبیل اللہ

Aur marwi hai Hazrat Umar radiAllaho Ta'aala anhu se ki aapne apne hathon se kundah kiya yahan tak ki 30,000 Oont aur 300 Ghodon ki raan par likha “Habees fi Sabeelillah”
(Sharah Saiyaral Kabeer Pg.255) 
scan page: 



Jab Janwaron ki raan par ALLAH ka naam likhna jaez hua to fir wo Naalain Paak jo Tamam sahaba ke bhi sar ka taaj hai, Bhala uspe ALLAH ka naam likhna kis tarah Na-Jaez hua??
.ALLAH samajhne ki taufiq de.
Aameen.

Posted by: Irfan Barkaati

2 Comments

  1. Mashallah behtareen andaz me samjha diya Hazrath apne Alhamdulillah 😇.
    Ameen 🤲🏻

    ReplyDelete
  2. masha Allah
    ameen
    jazakallahu khairan Hazrath
    Alhumdulillah

    ReplyDelete
Previous Post Next Post