ALLAH Ta'ala ki tamam sifat qadeema wa har nuqs se paak hain


ALLAH Ta'ala ki sifat e zaatiya ki tadaad 7 hain. Aur wo zaati sifat ye hain.
1: Hayat
2: Qudrat
3: Ilm
4: Kalaam
5: Sama
6: Basar
7: Iradah
(Aqaid e Nizamiya Farsi, Maktaba Turkey)
.
Imam Fakhruddin Razi ne Ek aur izafa bataya jo ki "Baqa" hai.
Aap farmate hain:

اعلم ان المتكلمين حصروا الصفات في هذه الثمانية و هي كونه حيا، عالما، قادرا، مريدا، سميعا، بصيرا، متكلما، باقيا
(Matalib al Aaliya 1/141, Kutub Ilmiya Beiroot)
.
Imam Shamsuddin Abu Abdullah Muhammad bin Qurtubi farmate hain:
لا خلاف بين اهل الحق ان الصفات الذاتية
ليست الغيره، فان التغاير ينافي الوحدة الحقيقية
Tarjama: Ahlesunnat wa Jamat ke darmiyan is baat me kii ikhtilaf bahi ki sifaat e zatiya Ain zaat hain. Iska ghair nahi. Kyunki Taghayur Wahdat ke manafi hai.
(Al Asna fi Sharh Asmaul Husna Pg. 45 Maktaba Asriya Beiroot)


أن الله -سبحانه وتعالى- لم يزل متصفا بصفات الكمال، صفات الذات، وصفات الفعل
(Sharah Aqeeda Tahaviya 1/96)

ALLAH Ta'ala ki tamam sifaat e kamaaliya zaatiya wa faeliya Azli yani Qadeem hain.

Shah Abdul Azeez Muhaddis Dehelvi Tohfa Isna Ashariya me likhte hain:
"صفاته تعالي الذاتيه قديمه لم يزل موصوفا بها"
(Tohfa Isna Ashariya Arbi Pg.80)

Tarjama: ALLAH Ta'ala ki sifaat e zaatiya qadeem hain. Aur wo ub sifaat ke sath hamesha se muttasif hai.
.
Sharah Fiqh Akbar me hai:
و صفاته في الازل غير محدثة ولا مخلوقة
(SharahFiqh Akbar Pg.47 Kutub Ilmiya Beiroot)

Tarjama: ALLAH ki sifaat Azli Qadeem, Ghair Makhlooq wa Ghair Haadis hain.
.
قصيده بدءالأمالي me hai:
صفات الذات و الأفعال طرا قديمات مصونات الزوال
Tarjama: ALLAH Ta'ala ki sifaat-e-zaatiya maslan (Iradah, Sama, Basar, Qudrat, waghairah) Aur sifaat-e-feliya maslan (tarzeeq, Inshaa wa Takhleeq waghairah) Qadeem hain aur zawaal wa fana se mehfuz hain.
.
Hazrat Mulla Aki Qari ne ALLAH Tabarak wa Ta'ala ki tamam sifaat ko Azli, Abadi, Qadeem, Ghair Haadis aur Ghair Makhlooq batate hue akhir me ye faisla sadir farmaya hai:
"فمن قال انها مخلوقة او محدثة أو وقف أو شك فيهما فهوا كافر بالله تعلي"
(Sharah Fiqh Akbar Pg.47 Darul Kutub ilmiya Beiroot)
.
Tarjama: To jo shaks ALLAH ki sifaat ko Haadis(Ghair Qadeem) aur makhluq bataye ya ALLAH Ta'ala ki sifaat ko azali wa qadeem manne me tauqif ya shak kare wo kafir hai.
.
Ayat e Kareema hai
ومن اصدق من الله حديثا
(سورة نساء آيت 87)
ALLAH se zyada kiski baat sacchi.
.
Is ayat ke tehet Tafseer Kabeer me hai:
فاذا كان امكان الصدق قائما كان امتناع الكذب حاصلا لا محالة "
(Tafseer Kabeer 5/173 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
.
Tarjama: Jab ALLAH Ta'ala ke liye sidq qayem wa sabit ho gaya to ab la muhaala kizb iske haq me muhaal wa mumtana thehra.
.
Tafseer Abi Saood me hai:
والكذب محال عليه سبحانه
(Tafseer Abi Saood 4/411 Beiroot)
.
Kizb ALLAH Subhanuhu ke haq me muhaal hai.
.
Sharah Fiqh Akbar me hai:
والكذب عليه محال
(Sharah Fiqh Akbar Pg.87 Darul Bashair Islamiya Beiroot)
.
Tafseer Baizawi me hai:
الكذب نقص وهوا علي الله تعلي محال
(Tafseer Baizawi 4/449 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
.
Tarjama: Kizb nuqs hai aur nuqs wa aib ALLAH ke haq me muhaal bizzaat hain.
.
Sheikh Salim bin Saleh Hazrat Shafaiee likhte hain:
يجب علينا ان نعتقد ام كل نقص مستحيل عليه تعالي
(Al Durral Sameen Pg.36 Maktaba Ahlesunnat wa jamat Hyderabad)
.
Tarjama: Har aib wa nuqs ALLAH Shaana ke haq me Muhaal hai. Ye aqeeda rakhna humpar wajib wa zaruri hai.

Sharah Mawaqif me hai:
ولا یصح علیہ الحرکۃ و السکون ولا الانتقال ولا الجھل ولا الکزب ولا شیٔ من صفات النقص عند اھل السنۃ و الجماعۃ
(Sharah Mawaqif J-3 Pg.718 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
Tarjama: ALLAH TA’ALA par harkat, sukun, Inteqal, Jehel, Kizb aur koi bhi sifat-e-nuqs w aaib saheeh nahi.

Fatawa-e-Aalamgiri me hai;
“یکفر اذا نسبہ الی الجھل او العجز او النقص”
(Fatawa-e-Aalamgiri 4/485 Zakariya Book Depo Deoband)
Tarjama: Yani ALLAH Ta’ala ki taraf Jehel , Ajz, ya Nuqs ki nisbat karna kufr hai.

Bahrur Raeeq me bhi aisa hi likha hai Mulahiza Karen Bahrur Raeeq 5/404 Darul Kutub Ilmiya Beiroot۔

Al-Durr-Al-Sameen me hai
“من الصفات المستحیلۃ علیہ تعالی الجھل”


Tarjama: ALLAH Ta’ALA ke liye jehel muhaal wa mumtana hai.
(الدر الثمین فی اصول الشریعۃ و الدین ۳۴ مکتبۃ اھل السنۃ و الجماعۃ)

Tafseer Baizawi me hai:
“االکذب نقص و ھو علیہ محال”
(Tafseer Baizawi 4/449 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
Tarjama: Kizb ye Nuqs hai aur Nuqs ALLAH TA’ALA ke haq me Muhaal hai.

Aur jo chizen Muhaal hain wo ALLAH ki qudrat me shamil nahi.

Tafseer Kabeer me hai:
“انہ تعالی قادر علی کل الممکنات”
(Tafseer Kabeer 7/454 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
Tarjama: ALLAH TA’ALA tamam Mumkinaat par Qadir hai. (muhaalaat par nahi)
.
Imam Baihaqi Shoabul Eiman me likhte hain:
“ولا یجوز علیہ شیٔ مما جاز علی المحدثات فدل علی حدوثھا”
(Shoabul Eiman 1/113 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
Tarjama: Jo chiz makhluq ke liye jaez hai aur wo makhluq ke haadiws hone par dalalat karti hai wo ALLAH TA’ALA ke haq me jaez nahi.

Dua ki Guzarish: Irfanbarkaati

Post a Comment

Previous Post Next Post