20 Rakat Taraweeh ka Suboot | Sahih Hadees aur Scan Pages ke sath

Wahabi aur Engr Ali Mirza Jaise be padhe likhe log kehte hain ki taraweeh ka lafz Hadeeson me kahin maujud nahi hai isko baad me Muhaddiseen ne ijad kiya hai. To Sabse pehle hamara in se sawal hai ki Muhaddiseen ne akhir isey kyun ijad kiya? Iska matlab unke hisab se is lafz ki Zarurat hai. Warna bewajah kyun wo naya naam lekar aayenge.

Aur in Wahabiyon ne ye baat kyun boli wo bhi ham apko ham dalil se batate hain:

Taraweeh ki definition kya hoti hai dalil se sunen. Imam Badruddin Ayni likhte hain: Taraweeh Tarveeha ki Jama yani Plural hai, aur Tarviha 4 rakat ke baad baithne ko kehte hain.[Umdatul Qari J-11 Pg.176]

Scan Page:


 

Aapne dekha hoga ki Imam Jab tarawih padhata hai to har 4 rakat ke baad baithkar thoda sa waqfa leta hai. Is waqfe ko hi ek tarwiha kehte hain. To agar 1 Tarveeha 4 rakat par hota hai is hisab se 8 rakat ko Tarvihaan kaha jayega, Aur use Zyada jab hoga tab isko tarawih kaha jayega. kyunki Arbi me Singular ke baad direct Plural nahi hota balki dual yani tasniya hota hai. Isliye Arabic me grammatically bhi 8 rakat ko Tarawih kehna bhi durust nahi hai. Jaise 1 ladko ko English me boys kehna galat hai. 1 qalam ko pens kehna galat hai. Usi tarah 8 rakat ko arbi me tarawih kehna bhi galat hai. Aur jab is baat ka Ali Mirza k paas koi jawab nahi bana to keh diya ki ham tarawih kehte hi nahi, ham to Qiyamul Lail kehte hain. Taki tarawih ka lafz piche jaye isko Muhaddiseen ne ijad kiya hai. Arey Bhai Agar apko Muhaddiseen se itni hi chidh hai to Hadeesen kahan se laaoge? Ajib Jahalat ki baat hai.  Chalen ab Hamari taraf se Lafz taraweeh ke sath 20 rakat ki pehli dalil pesh hai.

 

Proof#1: Hazrat Abi Al-Bakhtari se riwayat hai ki wo logon ko ramzan me 5 tarvihaat aur 3 witr padhate the. [Musannaf Ibn Abi Shaybah J-5, P.224, H.7768]

Scan Page:


 

Proof#2: Yazeed bin Khusaifa se riwayat hai ki Sahabi Hazrat Saeed bin Yazeed kehte hain ki Hazrat Umar farooq radiAllaho ta'ala anhu ke zamane me log 20 rakat aur Witr padhte the. [Marifatus Sunan wal Asar Imam Bayhaqi, J-4 P.42, H.N.5409]

Scan page:


Iski Sanad bilkul Sahih hai.

Imam Baihaqi ne bhi is riwayat ko dusri sanad se naqal kiya hai:


وقد أخبرنا أبو عبد الله الحسين بن محمد بن الحسين بن فنجويه الدينوري بالدامغان ثنا أحمد بن محمد بن إسحاق السني أنبأ عبد الله بن محمد بن عبد العزيز البغوي ثنا علي بن الجعد أنبأ بن أبي ذئب عن يزيد بن خصيفة عن السائب بن يزيد قال كانوا يقومون على عهد عمر بن الخطاب رضي الله عنه في شهر رمضان بعشرين ركعة قال وكانوا يقرؤون بالمئين وكانوا يتوكؤن على عصيهم في عهد عثمان بن عفان رضي الله عنه من شده القيام

Saeed bin Yazeed kehte hain ki Hazrat Umar farooq radiAllaho ta'ala anhu ke zamane me log Ramzan me 20 rakat padhte the. Fir farmate hain ki wo sau-sau rakat wali ayaten padhte aur log Hazrat Usman bin Affan radiAllaho ta'ala anhu ke waqt me apni laathiyon ke sahare khade hote ki unhe khade hone me dushwari hoti thi

[Bayhaqi Sunan al-Kubra Volume 002, Page No. 698-9, Hadith Number 4617]

Scan Page:

 



Imam Nawawi farmate hain (بإسناد صحيح) Iski sanad sahih hai.

[Al-Khulasa al-Ahkam, Hadith Number 1961].

Scan Page:


Imam Badrud din Ayni ne bhi is Hadees ki Sanad ko Sahih kaha hai; 

رواه البيهقي بإسناد صحيح عن السائب بن يزيد الصحابي، قال: كانوا يقومون على عهد عمر ، رضي الله تعالى عنه، بعشرين ركعة، وعلى عهد عثمان وعلي، رضي الله تعالى عنهما، مثله

Imam Baihaqi ne Sahih Sanad ke sath Saaib bin Yazeed se naqal kiya hai ki log Hazrat Umar Farooq radiAllaho ta'ala anhu ke daur-e-khilafat me 20 rakat ke liye qiyam karte the aur aisa hi Hazrat Usman Ghani radiAllaho ta'ala anhu ke waqt me hota tha.

[Umdat ul Qari, Sharh Sahih ul Bukhari, Volume No. 7, Page No. 178, Published by Dar ul Fikr, Beirut, Lebanon]

Scan Page: 


 

Salafiyon ke ek mash’hur scholar Al-Mubarakpuri ne bhi is Hadees ki sanad ko Sahih kaha hai. Aur unhone iski tas’heeh ke liye Imam Nawawi ka fatwa bi naqal kiya hai.

[Tuhfa Tul Ahwadhi, Volume No. 3, Page No. 453, Published by Dar ul Fikr, Beirut, Lebanon]

Imam Nimawi al Hanafi farmate hain:

رجال هذا الاسناد كلهم ثقات

Is Isnaad ke sare rijaa siqah hain.

[Athaar al-Sunnan (2/54)]

 

Ism ek rawi hain Yazeed bin Khusaifa, jinko Zaeef sabit karne ke liye Ahlehadees ne nakaam koshish ki hai. Apko Bata du ki Rawi jamhur ke nazdik Siqah hain aur kayi Sahaba ke shagird bhi hain. Lekin phir bhi ham Jawab me ek Mutabeat pesh karte hain.

 

Proof#3: yehi Riwayat Imam Badruddin Ayni ne Ibn Abdul Bar Maliki ke hawale se likhi jisme Yazeed bin Khsusaifa nahi hain unki jagah Haris bin Abdur Rahman hain. Aur yahan bhi 20 rakat ka subut hai. (Umdatul Qari J-11 Pg.179)

Scan Page:

 

Proof#4: Hazrat Ubai bin Kaab se Marwi hai ki Hazrat Umar ne unhe hukm diya ki wo ramzan me logon ko namaz padhayen to Hazrat Ubai bin Kaab ne 20 rakat padhayi.

(Al Mukhtara J-3 Pg.367 H.N.1161)

Scan Page :



Iski sanad bhi bilkul Sahi hai.

 

Proof#5: Yazeed bin Ruman se riwayat kiya ki wo farmate hain “Log Hazrat Umar Farooq radiAllaho ta'ala anhu ke zamane me 23 rakat ke liye qiyam karte the” [Moatta Imam Malik J-1 P.159 H.N.380]

Scan Page:


 

Is Hadees ke bare me Engr Ali Mirza ne ye aitraz kiya ki ye riwayat munqatay hai. Yazeed bin Ruman ne Hazrat Umar ka zamana hi nahi paaya hai. To Jawab hai. Pehle thoda Usool padh kar aao. Munqatay ke alfaz tum tab kehte jab Yazeed bin Ruman ne ye kaha hota ki maine riwayat Hazrat Umar se suni hai. Jab ye baat sabit hai ki Yazeed bin Ruman bade bade sahaba ke shagird hain aur Siqah hain to unki gawahi Qubul ki jayegi. Agar aisa nahi hai to batayen Imam Bukhari Hasan Basri ka qaul kyun Qubul karke bukhari me likhte hain? Imam Bukhari ne Hazrat Abu Huraira ke bare me Hasan Basri ki riwayat kyun li jabki Hazrat Abu Huraira se Hasan Basri ka sima sabit nahi hai? Lehaza is sanad par Mirza ka aitraz batil hy.

 

Proof#6: Abdul Aziz bin Rufi se marwi hai ki Ubay bin Ka’ab logo Ramzan me Madina Munawwara me 20 rakat padhate the aur 3 witr. [Musannaf Ibn Abi Shaybah J-5. P.224, H.7766]

Scan Page:


Proof#7: Hazrat Hasan Basri radiAllaho ta'ala anhu farmate hain ki Hazrat Umar farooq radiAllaho ta'ala anhu ne Ubay bin Ka’ab ke piche logon ko Jama kiya aur 20 rakat padhi. [Siyar al Alam al Nublah J-1, Pg.400]

Scan Page:

Proof#8: Abul Hasna kehte hain ki Hazrat Ali radiAllaho ta'ala anhu ne ek shaks ko ramzan me 20 rakat padhne ka hukm diya. [Musannaf Ibn Abi Shaybah J-5, P. 223, H.7763]

Scan Page:   

 

Proof#10: Hazrat Ali RadiALLAHO Anhu ka Amal ek aur Sanad se sabit hai:

أخبرنا أبو الحسن بن الفضل القطان ببغداد أنبأ محمد بن أحمد بن عيسى بن عبدك الرازي ثنا أبو عامر عمرو بن تميم ثنا أحمد بن عبد الله بن يونس ثنا حماد بن شعيب عن عطاء بن السائب عن أبي عبد الرحمن السلمي عن على رضي الله عنه قال دعا القراء في رمضان فأمر منهم رجلا يصلي بالناس عشرين ركعة قال وكان علي رضي الله عنه يوتر بهم وروى ذلك من وجه آخر عن علي

Abdul rehman Sulami farmate hain ki Hazrat Ali radiAllaho ta'ala anhu ne Quran ke qari’een ko bulaya aur unme se ek ko 20 rakat padhane ka hukm diya. Jabki Hazrat Ali radiAllaho ta'ala anhu khud bhi 20 rakat padhte the.

[Bayhaqi Sunan al-Kubra Volume 002, Page No. 699, Hadith Number 4618]

Scan Page: 



 

Proof#11:

أنبأ أَبُو سَعْدٍ الْمَالِينِيُّ ، ثنا أَبُو أَحْمَدَ بْنُ عَدِيٍّ الْحَافِظُ ، ثنا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ عَبْدِ الْعَزِيزِ ، ثنا مَنْصُورُ بْنُ أَبِي مُزَاحِمٍ ، ثنا أَبُو شَيْبَةَ ، عَنِ الْحَكَمِ ، عَنْ مِقْسَمٍ ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ : كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي فِي شَهْرِ رَمَضَانَ فِي غَيْرِ جَمَاعَةٍ بِعِشْرِينَ رَكْعَةٍ ، وَالْوِتْرِ تَفَرَّدَ بِهِ أَبُو شَيْبَةَ إِبْرَاهِيمُ بْنُ عُثْمَانَ الْعَبْسِيُّ الْكُوفِيُّ وَهُوَ ضَعِيفٌ 

Ibn Abbas radiAllaho ta'ala anhu se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe wasallam ramzan me 20 rakat aur 3 witr padhte the. [Sunan Al-Kubra Kitabus Salaat, Jama Abwabus Salaat Baab: Ma Ruwai fi adad Rakat]

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ الرَّازِيُّ قَالَ : ثَنَا عَلِيُّ بْنُ الْجَعْدِ قَالَ : ثَنَا أَبُو شَيْبَةَ ، عَنِ الْحَكَمِ ، عَنْ مُقْسَمٍ ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ : كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَالْوِتْرَ لَمْ يَرْوِ هَذِهِ الْأَحَادِيثَ عَنِ الْحَكَمِ إِلَّا أَبُو شَيْبَةَ

[Moajjam al-Awsat Baab: Alif, Min Ismohu Ahmad, Ahmad bin Yahya Halwani, Sunan Al Kubra -Baihaqi, Hadith Number 12102]

Scan Page:



 


حدثنا يزيد بن هارون ، قال : أنا إبراهيم بن عثمان ، عن الحكم ، عن مقسم ، عن ابن عباس ، أن رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلي في رمضان عشرين ركعة والوتر

[Musannaf Ibn Abi Shaibah, J-3, P.395, H. 7766]

Scan Page:

Iske Dusre Shawahid bhi maujud hain.

Proof#12:

حديث أنه صلى الله عليه وسلم صلى بالناس عشرين ركعة ليلتين فلما كان في الليلة الثالثة اجتمع الناس فلم يخرج إليهم ثم قال من الغد خشيت أن تفرض عليكم

 

Hazrat Ayesha Siddiqa radiAllaho ta'ala anhu se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe wasallam ne ramzan ki 2 raaton ne 20 rakat logon ke sath padhi lekin wo teesri raat bahar na aaye aur farmaya ki mujhe is baat ka khauf hai ki kahin ye tumpe farz nakar di jaye.

[Ibn Hajr, al-Talkhees al-Habeer, Volume 002, Pg.45 Hadith Number 540]

.

Note: Is Hadees ke baad Ibn Hajar Asqalani kehte hain ki

متفق على صحته من حديث عائشة دون عدد الركعات

Hazrat Ayesha Siddiqa radiAllaho ta'ala anha se Is Hadees ki sehat Muttafiq alaih hai Rakato ki tadaad ke baghair.

Scan Page:



 

Naam Nihad Ahlehadees khush ho jate hain ki Imam Ibn Hajar Asqalani ne is hadees ko sahih maan liya lekin rakat ki tadaad ke baghair

.

Al-Jawab: Sabse pehli baat to Ibn hajar Asqalani ka ye qaul khud wahabiyon ke khilaf ja raha hai hamare khilaf nahi, kyunki hamare paas ALHAMDULILLAH aur bhi bahot sare dalail 20 rakat par hain lekin wahabiyo ke paas to sirf 2 dalil hain wo bhi zaeeful Isnaad jisse ki wo tarawih ko 8 rakat kehne ki koshish karte hain.

.

Jaisa ki humne dikhaya Ibn Abbas RadiALLAHO Anhu ki Hadees se ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam se 20 rakat padhna sabit hai. Aur dono Hadees me ek raawi Abu Shayba hain (Jo ki mash’hur Muhaddis Ibn Abi Shayba ke dada hain) unki tausiq par mukhtalif raaye hain,

Kuch Muhaddiseen ne unhe zaeef bhi qarar diya hai, ab ye Wahabi khush ho jayenge aur kahenge ki Abu Shayba zaeef hai. Isliye 20 rakat ki dalil mazbut nahi hai.

Al-Jawab: Jab kisi Hadees ke kisi ek rawi ke bare me Jirah-o-Tadeel me Muhaddiseen ki raaye me ikhtilaf ho jaye to us Hadees ki sanad Hasan darje ki hoti hai.

[Qawaid fi Uloomil Hadees Pg.75]

Scan Page:

 

 Lehaza Usooli taur se bhi ye riwayat Hasan hai.

 

Agar ye maan bhi liya jaye ki Ibn Abbas RadiALLAHO Anhu ki Hadees Zaeef hai to Usoole Hadees ke mutabiq jo Imam Abu Dawood ne bayan farmaya hai wo sun len, wo Likhte hain:

اذا تنازع الخبران عن النبي صلى الله عليه وسلم ينظر بما اخذ به اصحابه

“Agar Nabi sallallaho alaihe wasallam ki 2 riwayaton me tazaad aa jaaye to Hum uspar amal karenge jo Sahaba se sabit hai.” [Sunan Abu Dawud J-2 Pg.171 Hadith No. 1851]

Scan Page:

 



 

Proof#13:


حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ نَافِعِ بْنِ عُمَرَ ، قَالَ كَانَ ابْنُ أَبِي مُلَيْكَةَ يُصَلِّي بِنَا فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً، وَيَقْرَأُ بِحَمْدِ الْمَلاَئِكَةِ فِي رَكْعَةٍ
Waki se marwi hai unhone Naafe bin Umar radiAllaho ta'ala anhu se riwayat kiya wo farmate hain ki Ibn Abi Mulaika hume ramzan me 20 rakat padhate the.

[Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005, Page No. 223, Hadith Number 7765]

Scan Page: 


 

Proof#14:

 

Hamare paas 20 rakat ki Itni Mazbut aur wazeh dalil hone ke bawajud Engr Ali Mirza kehta hai.

Ye kehta hai ki Inke paas mainstream book yani Sihah Sitta se koi dalil nahi hai.

Ab Is be padhe likhe insane se ham puchna chahte hain ki Kya in Kitabon ko Mainstream kehna sahaba se sabit hai? Agar Muhaddiseen se sabit hai lekin abhi to tum Tarawif ke naam par Muhaddiseen ki baat manne ko taiyar nahi the ab kya ho gaya? matlab jab Ji chahega maan loge aur jab Ji chahega chhod doge? Aur Engr Sb ko Ilm nahi hai shayad ye jo Kitaben maine pesh ki hain Khususan Musannaf ibn Abi Shaiba aur Musannaf Abdul Razzaq, ye Imam Bukhari ke bhi ustad ki books hain. Lekin phir bhi Ham Engr sb ko Aaina dikhane ke liye unke mutabiq Mainstream Book se bhi ek dalil pesh kar dete hain.

 

Proof#15: Imam Tirmizi Likhte hain: Ahle-Ilm ki ek Jamat 20 rakat padhne par muttafiq hai, jaisa ki ye Hazrat Usman radiAllaho ta'ala anhu Hazrat Ali radiAllaho ta'ala anhu aur RasoolALLAH sallallaho alaihe wasallam ke dusre sahaba se marwi hai. Sufiyan Sawri, Abdullah ibn Mubarak aur Imam shafaii ne bhi yehi kaha hai. Imam Shafaii farmate hain ki Unhone Makka ke logon ko 20 rakat padhte hue dekha hai. [Sunan Tirmizi J-3 P. 197 H.No. 806]

Scan Page:



Lijiye hamne Mainstream yani Sihah Sitta ki Book se bhi dikha diya. Aur Akhir me ek Hawala Imam Bukhari ka bhi mulahiza ho.

 

Proof#16: Imam Bukhari likhte hain: Abul Khaseeb kehte hain ki Suwaid bin Ghafla hamen ramzan me 20 rakat paadhate the. (Kitabul Kuna by Imam Bukhari Pg.28)

Scan Page:

 



Hazrat Suwaid bin Ghafla ke bare me bata du ki ye Kibar Tabaeen me se hain. Lekin Nabi sallallaho alaihe wasallam ki ziyarat na kar sake, kyunki ye jis din Madina Sharif pahunche the usi din Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ki tadfeen ho chuki thi. Isliye inhe Sahabiyat ka sharf na mil saka. Ye Hazrat Abdullah bin Masood aur Hazrat Ali ke sath rehne wale the

 

Ye 16 Dalil Hamne Pesh ki Jisme hamne Hazrat Saaib bin Yazid, Hazrat Umar, Hazrat Ubai bin Kaab, Hazrat Tameem Dari, Hazrat Ali aur Hazrat Ibn Abbas jaise bade bade Sahaba se 20 rakat taraweeh ka hona sabit kiya hai. ridwanullahe taala alaihim ajmaeen. Aur Sath hi Engr Ali Mirza aur tamam Ahlehadees ko ye challenge hai ki aap sirf 2 dalil aisi le aao jahan Taraweeh ka lafz bhi maujud ho aur sath ye bhi likha ho ki tarawih 8 rakat hai.  Sirf 2 Dalil le aao. Challenge hai aap kabhi nahi laa sakte.


By: Irfan Barkaati

 

Post a Comment

Previous Post Next Post