Agar mere Baad koi Nabi hota to Umar hote | Hadees par Aitraz ka Jawab aur Radde Shia

 Imam Tirmizi apni Jaame me likhte hain: 

حَدَّثَنَا سَلَمَةُ بْنُ شَبِيبٍ قَالَ: حَدَّثَنَا المُقْرِئُ، عَنْ حَيْوَةَ بْنِ شُرَيْحٍ، عَنْ بَكْرِ بْنِ عَمْرٍو، عَنْ مِشْرَحِ بْنِ هَاعَانَ، عَنْ عُقْبَةَ بْنِ عَامِرٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَوْ كَانَ نَبِيٌّ بَعْدِي لَكَانَ عُمَرَ بْنَ الخَطَّابِ» قَالَ. «هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ لَا نَعْرِفُهُ إِلَّا مِنْ حَدِيثِ مِشْرَحِ بْنِ هَاعَانَ»
(Jaame Tirmizi Abwabul Manaqib H.no.3686)

Scan Page:


Imam Tabarani ne apni Moajjamul Kabeer me bhi isko Naqal kiya hai:

Scan Page:


is Hadees par ek Shia Alim jo aitraz kiye hain Aaiye unka Jaiza lete hain.  

Ispar Rafzi Alim ke jo buniyadi aitraz hain wo ye hain ki 

1. وَقَالَ إِبْرَاهِيمُ بْنُ الْحَارِثِ: إِنَّ أَبَا عَبْدِ اللَّه سُئِلَ عَنْ حَدِيثِ عُقْبَةَ بْنِ الْحَارِثِ: "لَوْ كَانَ بَعْدِي نَبِيٌّ لَكَانَ عُمَرُ"؟
فقال: اضرب عليه؛ فإنه عندي منكر

    Imam Ahmad se is Hadees ke bare me sawal hua to unhone kaha ki is Riwayat ko kaat do ye mere nazdik munkir hai. 

 (Al-Muntakhab min Ilalil Khilal J-1 Pg.191 No.106)

Scan Page: 

Scan Page:
 

2.     مشرح بن هاعان كنيته أَبُو مُصعب عداده فِي أهل مصر يروي عَن عقبَة بن عَامر أَحَادِيث مَنَاكِير لَا يُتَابع عَلَيْهَا روى عَنهُ بن لَهِيعَة وَاللَّيْث وَأهل مصر وَالصَّوَاب فِي أمره ترك مَا انْفَرد من الرِّوَايَات وَالِاعْتِبَار بِمَا وَافق الثِّقَات  

     Ibn Hibban ne kaha ki Mishrah bin Ha’aan Hazrat Uqba se munkir riwayaten bayan karta hai. So jis Riwayat me ye rawi akela ho usey chhod do. Aur jinme Siqah ki mutabiqat kare usey qubul kar lo.   

(Al-Majruheen J-3 Pg.28 No.1068)


Point 1 ka Jawab sun len. Abu Bakr Al Khilal ne Imam Ahmad ki ye Jirah Ibrahim bin Haris Ibadi ke hawale se bila sanad naqal ki hai.  

Aur Haqiqat me Imam Abu Bakr Khilal ka sima Ibrahim bin Haris se sabit hi nahi hai. Abu Bakr Khilal ne apni kisi Kitab me kahin bhi koi sanad direct Ibrahim bin Haris se nahi li balki kahin par ek aur kahin 2 waaston e li hai. Iski Kuch Misalen apke samne pesh hain. 


Scan Page :

(Amr bil Maroof wa nahi Anil Munkar Pg.74) 

Yahan 1 waste se sanad li. 

Dusra Hawala Scan Page:

 

 

(As-Sunnah Pg.178) 

yahan bhi ek waste se sanad li. Apke samne hai. 

Isi Kitab ke Pg.561 par 

Scan Page:

yahan 2 waston se sanad li hai. scan page apke samne hai.

 

Iski bahot sari Misalen maujud hain. In Tasrihat ke baad ye baat sabit ho gayi ki Al-Muntakhab me jahan Imam Ahmad ki Jirah naqal ki gayi hai uski sanad mukammal nahi hai is wajah se wo Jirah qabil-e-Qubul nahi hai.

Aur phir Yahan zikr tha ki Imam Ahmad ne is Hadees ko kaatne ka hukm diya hai jabki Imam Ahmad  ne to khud apni hi Kitab me is Hadees ko naqal kiya hai (Musnad Ahmad J-28 Pg.624) 

Scan Page :

 

Aur Musnad Ahmad ke Muhaqqiq Shoaib Al Anaut ne iski Sanad ko Hasan Qarar diya hai. To agar Imam Ahmad is Hadees ko kaatne ka Hukm dete to khud isko apni Kitab me kyun likhte. Isse bhi pata chalta hai ki Imam Ahmad se mansub ki gayi Kaatne ki Jirah ghalat hai. Ab Raha sawal ye ki Imam Ahmad ne isko Munkir bhi kaha hai. To Jawab hai ki Imam Ahmad aur kayi Muhaddiseen Munkir un riwayaton ko bhi kehte hain jisme koi rawi akela ho. Aur is wajah se Riwayat zaeef nahi hoti. (Jaameul Uloom J-14 Pg.20) 

Scan Page: 

 

Lehaza Imam Ahmad se manqul ek Jirah to sabit hi nahi aur dusri se Riwayat zaeef nahi hoti. Hamne dono ke Jawab de diye. Ab Raha Ibn Hibban ki Jirah jo unhone Mishrah bin Ha’aan rawi par lagayi hai ki uski Riwayat Uqba bin Amir se durust nahi. 

Jawab: Ibn Hibban ne Apni Kitab Al-Majruheen me jo jirah naqal ki thi Jisme kaha tha ki Mishrah bin Ha’aan Uqba bin Amir se Munkir Hadeesen Riwayat karte hain, lekin isi rawi ko jab Unhone Kitabus Siqat me darj kiya aur us Jirah ko hazaf kar diya.  

(Kitabus Siqat J-5 Pg.452) 

Scan Page:


 

Dusra Subut ye hai ki Mishrah bin Ha’aan ki Uqba bin Amir se riwayaton ko Khud Ibn Hibban sahih mante hain  

(Sahih Ibn Hibban H.no.6086) 

Scan Page:


Lehaza Ibn Hibban ki Jirah Saqit ho gayi. iske Alawa Ibn Jawzi ne Mishrah par jo jirah lagayi hai uska Ta’aqqub karte hue Imam Suyuti apni Kitab (Al-Aali al-Masnuaa J-1 Pg.277) par likhte hain: 

ذكره ابْن حبَان فِي الثِّقَات وَابْن وَاقد هُوَ أَبُو قَتَادَة الْحَرَّانِي وَثَّقَهُ ابْن معِين وَأَحْمَد وَغَيرهمَا ومشرح ثِقَة صَدُوق روى لَهُ أَبُو دَاوُد وَالتِّرْمِذِيّ وَابْن مَاجَه 

Mishrah ko Ibn Hibban ne Siqat me zikr kiya aur Abu Waqid jo ki Qatada HArrani hain unhone isko Siqah kaha aur Ibn Moeen aur Ahmad wagairan ne Siqah kaha. Mishrah Siqah Suduq hai isse Abu Dawood, Tirmizi aur Ibn Majah Riwayat karte hain.  

Scan Page:




Iske alawa ye Rawi yani Mishrah bin Ha’aan Muhaddiseen ke nazdik Maqbul rawi hai. 

Imam Zahbi ne Siqah Qarar diya:

(Al-Kashif J-2 Pg.265)

Scan Page: 







Scan Page: 

Imam Ahmad ne Maroof kaha, Ibn Moeen ne Siqah kaha aur Ibn Abi Hatim ne isko Naqal kiya:

(Al-Jarah wa Tadeel J-2 Pg.431-432)

Scan Page:  


Imam Ajli ke nazdik bhi Siqah hai:

(Marifatus Siqat Pg.279) 

Scan Page: 


Phir is Hadees ko Imam Tirmizi ne Hasan Gharib diya hai Scan Page upar guzar chuka.

Is Hadees ko Imam Hakim ne bhi sahih qarar diya hai:

Imam Zahbi bhi Talkhees me isey Sahih Qarar diya:

(Mustadrak lil Hakim J-3 Pg.92 H.no.4495)

Scan Page:



Lehaza is Hadees par kiye gaye tamam aitraz rafa hue. ALHAMDULILLAH sabit hua ki ye Hadees bikul Sahih hai ki Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam ne farmaya: Agar mere Baad koi Nabi hota to Umar hote.  

 

Dua ki Guzarish: Irfan Barkaati


















Post a Comment

Previous Post Next Post