WAHDATUL WUJOOD KA MASLA AUR MAZHAR-E-AWWAL

Q: Wahdatul Wajud ke kya maayne hain?
.
Ans: Wajud hasti Bizzaat wajib Allat Ta'ala ke liye hai,
uske siva jitni maujudaat hain, Sab iski zil parto hain to haqiqatan wajud ek hi thehra.
.
Wahdatul Wajud ko samajhne ki ek misal:
.
Maslan roshni bizzaat aftab wa charagh me hai, zameen wa makan apni zaat me be-noor hain magar bil-arz aftab ki waja se tamam duniya munavvar aur charagh se sara ghar roshan hota hai. Unki roshni unhi ki roshni hai, unki roshni unse utha li jaye to wo abhi tareek mehez reh jayenge.
.
ALLAH HI ALLAH:
.
Q: Ye kaise hota hai ki Saheb-e-Martaba ko har jaga Allah hi Alla nazar aata hai?
.
Ans: Iski misal yun samajhiye ki jo Shaks Aaina Khana me aye wo har tarah apne aap ko hi dekhega,
Isliye ki yehi asal hai,
aur jitni suratein hain sab iske zill hain,
magar ye suraten inki sifaat zaat ke sath mutassif na hongi,
Maslan: Sunne wali, Dekhne wali waghairah na hongi, isliye ki ye suratein sirf uski satah zahiri ki zill hain, zaat ki nahi.
Aur Sama wa Basar zaat ki sifatein hain, Satahzahir ki nahi.
Lehaza jo asar zaat ka hai wo un zelal me paida na hoga, Ba-khilaf Hazrat insan ki ye Zill zaat Baari Ta'ala hai lehaza Izlal sifaat se bhi hasb-e-Istedaad behrahwar hain.
.
Zilal wa Ukoos Mira'at ke mulahiza hain, Mira'at ka mirai mutahid hona kya zarur,,
Ilm-bil-waja me wajah Mira'at mulahiza hoti hai, halaki zul-wajah se mutahid nahi.
Bila-Shubah aainah me jo apni surat dekhte ho, kya usme koi surat hai?
Nahi, Balki shoaa basri aaina par padkar wapas aati hai aur is ruju me apne aap ko dekhti hai,
lehaza dahni janib baayin, aur baayin janib dahni malum hoti hai,
to aaina tumhara ain nahi, magar dikhaya isne tumhi ko.
Zilal apni zaat me ma'doom hain ki kisi ki zaat muqtazi nahi.
.
Al-Quran: Kullo shai'in haalikun illa wajahuh,
Tarjuma: Har chiz faani hai siva uski zaat ke.
(Al-Qisas,88)
.
Magar wujood ataai se zarur maujud hain.
Islam ka pehla aqida hai ki
''Haqaiqul Ashyaae Saabitah''
Tarjuma: Ashya ke haqaiq sabit hain.
(Sharah-ul-Aqaid, S-8)
.
Nazar se saqit hona waqeye se adm nahi ki na naazir rahe na nazar,
Fil waaqe is mushahidah me khud apni zaat bhi unki nigah me nahi hoti.
.
Ahlesunnat wal Jamaat ka Eiman hai ki Qayamat wa Jannat me musalmano ko Deedar-e-Ilahi Be-Kaif wa Be-jihat wa Be-Muhazat hoga.
.
Al-Quran: Qaalallaho Ta'ala wujuhuin Yaumaizin naaziratun ila Rabbaha Naazirah,
Tarjuma: Kuch muh tarotaza honge apne Rab ko dekhte hue.
(Qiyamah,23)
.
Kuffar ke haq me farmata hai.
.
Kalla innahum an Rabbehim Yaumaizin Lamahjuboon.
Tarjuma: Beshak wo is din apne Rab se hijab me rahenge.
(Mutafefin, 15)
.
Ye kafiro par Azab bayan farmaya gaya hai to zarur musalman usse mehfuz rahenge.
Basar ahaata mirai nahi chahti,
.
Aayah Karima: 'La Tadrikahul Absaara wahua yadrikul absar'
Tarjuma: Aankhe use ahaata nahi karti, aur sab ankhe uske ahaata me hain.
(An'aam, 103)
is aayat ka yehi mufad hai ki wo absar wa jumla ashya ka muheet hai, use ahaata lazim nahi. Na ye ki wahan bhi adm Ahaata maazALLAH isi tarah ka hai wahan bama'ne adm wa idraak haqiqat wa kuna hi raha ye ki 'Rooyat kyunkar' ye kaif se sawal hai.
Wo aur iski rooyat kaif se paak hain. Fir Kyunkar ko kya dakhil.
.
.
MAZHAR-E-AWWAL:
.
Zaat Baari Ta'ala ke parto to sirf Huzur Syed Aalam sallallaho alaihe waallam hain.
Chunanche Sheikh Muhaddis Dehelvi r.a Madarijun Nabuwwa ki Jild saani ke khatme me farmate hain:
ki Ambiya alaihimus salato wassalam Mazhar-e-Sifaat-e-Ilaahiya hain, aur Aama makhlooq, Mazhar-e-Asma-e-Ilaahiya hain.
''Wa Syed Kul Mazhar Zaat Haq sat
Wa Zahur-e-Haq Darwe Bizzaat Sat''
(Madarijun Nabuwwa, J-2, S-609)
.
Huzur Syed Aalam sallallaho alaihe wasallam Zaat-e-Haq ke mazhar hain aur Huzur me Haq ka Zuhur bizzaat hai.
.
To tamam Makhlooq Zilal zaat kis tarah hogi.
.
Asma Mazhar sifaat hain,
aur Sifaat mazhar zaat,
aur Mazhar ka mazhar Mazhar hai,
to sab Khalq Mazhar zaat hai, agarche bawaasat ya bosaait,
Sheikh ka kalaam Mazhar zaat bila wasta me hai woh nahi magar Huzur mazhar-e-awwal sallallaho alaihe wasallam.
Unke lafz dekhiye ke ''Zuhur-e-Haq Darve Bizzaat sat''
.
.

Post a Comment

Previous Post Next Post