Ghair-Muqallid Maulana Dawood Ghaznawi farmate hain ke, “Ek Ajeeb baat hai ke AHL-E-HADEES Umooman MUTSHADDID hote hain, Thhori si baat per Sakht se Sakht Nuktah Cheeni karte hain.” [Dawood Ghaznavi Page 18]
(2). A’imma-e-Kiraam ka In (MOULANA DAWOOD GAZNAVI) ke Dil me IMAAM ABU HANIFAH (RAHMATULLAHI ALAIH) ke liye Intihayi Ahteram tha. HAZRAT IMAM-E-AAZAM ABU HANIFA ka Naam Be-Had Izzat se lete hain. Ek din MOULANA IS’HAQ unki khidmat me hazir tha, Jamat Ahle Hadith Tanzeem ke muta’lliq guftugu shuroo’ hui bade Dard-Naak lehjah me farmaya “MOULVI IS’HAQ! JAMAAT AHLE HADITH KO IMAM AAZAM ABU HANIFAH KI ROOHAANI BAD-DUA’ LE KE BAITH GAYI HAI. HAR SHAKHS ABU HANIFA, ABU HANIFA KEH RAHA HAI, KOI IZZAT KARTA HAI TO IMAM ABU HANIFA KEH DETA HAI, PHIR UNKE BAARE ME USKI TEHQEEQ YE HAI KE WO 3 HADEESO’N KA ILM GIRDAANTA HAI, JO LOG ITNE JALEEL AL-QADR IMAAM KE BAARE ME YE NUKHTA-E-NAZAR RAKHTE HO’N UNME ITTIHAAD YAKJEHTI KYONKAR HO SAKTI HAI.? [Dawood Ghaznavi Page 127]
(3). HAZRAT MOULANA MUFTI MOHAMMED HASAN ne Ek martabah MOULANA ABDUL JABBAR GHAZNAVI ki wilaayat ka waqea sunaaya. Wo waqea yu’n tha ke Amritsar me Ek Mohalla Titliya’n tha Jisme Ahle-hadis hazraat ki Aksariyat thi, Wahan Abdul Ali naami Ek Maulvi Imamat wa Khitabat ke Faraai’z Sar Anjaam deta the. Wo Madarsah Ghaznawiyah me MOULANA ABDUL JABBAR GHAZNAVI se padha krte the, Ek baar MOLVI ABDUL ALI ne kaha: “IMAM ABU HANIFA SE TO MAI ACHHA HOON KYONKE UNHEY SIRF 17 HADEESEI’N YAAD THI’N AUR MUJHE UNSEY KAHI’N ZYADAH YAAD HAIN”. Is baat ki Itla’ MOLANA ABDUL JABBAR GHAZNAVI ko pohnchi, Wo Buzrugo’n ka Nihayat Adab wa Ahteram karte the Unhone Ye baat suni to Unka Chehrah Surkh (Ghusse se laal) ho gaya, Unhone hukm diya ke, “US NA-LAYEQ KO MADARSAH SE NIKAAL DO.” Wo Talib-e-Ilm madarsah se nikala gaya to Molana ne farmaya: “Mujhe aisa lagta hai ke ye Shakhs ANQAREEB MURTAD HO JAYGA.” Mufti Mohammad Hasan raavi hain ke EK HAFTAH BHI NA GUZRA THA KE WO SHAKHS MIRZAYI HO GAYA AUR LOGO’N NE USEY ZALEEL KAR KE MASJID SE NIKAAL DIYA. Is waqeah ke ba’d kisi ne Moulana Abdul Jabbar Ghaznavi se poocha ke, “Hazrat.! Aap ko kaise ilm ho gaya tha ke wo Anqareeb Kaafir ho jayega.?” Farmaane lage ke, Jis waqt mujhe uski Gustakhi ki itlaa’ mili Us waqt [Bukhari Shareef] ki Ye Hadees Mere saamne aa gayi “JIS SHAKHS NE MERE DOST SE DUSHMANI KI MAIN USKE KHILAF AILAAN-E-JUNG KRTA HOON.”
MERI NAZAR ME IMAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) ALLAH K WALI THE. JAB ALLAH KI TARAF SE AILAAN-E-JUNG HO GAYA TO JUNG ME HAR FAREEQ DOOSRE KI AALA CHEEZ KO CHHEENTA HAI IS LIYE AISE SHAKHS KE PAAS EIMAAN KAISE REH SAKTA HAI..??” [Dawood Ghaznavi Page 191, 192]
(4). NOTE: Isi tarah Amritsar me sab se pehle Amal bil Hadees shuru’ karne waale HAFIZ MOHAMMAD YUSUF SAHAB DEPUTY COLLECTOR PENSIONER MIRZA GHULAM AHMED QADYANI KE MO’YAD WA HAAMI BAN GAYE. [ISHA’TUS SUNNAH V21/P114]
(5). Molana Mehboob Ahmed sahab Amritsari likhte hain: “JAHA’N TAK MUJHE ILM HAI WO YE HAI K AMRITSAR WA GIRDONWAAH ME JIS QADAR MURTAD ESAAYI (CHRISTIANS) HAIN YE
PEHLE GHAIR MUQALLID HI THE. [AL-KITABUL MAJEED Page 8]
(6). Molana Ibrahim Mohammad Siyaal Koti ke Dil me bhi Ek martabah IMAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) ke baare me kuch Ghubaar aa gaya tha, khud likhte hain: “Maine Hazrat IMAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) ke muta’lliq Tehqeeqat shuru’ ki to mukhtalif Kutub ke warq girdani se mere dil per kuch ghubaar aa gaya jiska beeroni (outside) asar ye hua k din dopahar ke waqt jab sooraj poori tarah Roshan tha yakayak Mere saamne Andheira Chhaa gaya goya (ظلمات بعضها فوق بعض) ka Nazaarah ho gaya. Maa an Khuda ta’la ne Mere Dil me daala ke ye IMAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) se bad-zani ka Natijah hai, Is se Astaghfaar karo, Maine Kalmaat dohraana shuru’ kar diya, wo Andheira fauran Kaafoor ho gaya aur iske bajaaye Ek aisa Noor chamka ke usne dopaher ki roshni ko maat kar diya. Us waqt se meri IMAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) se Aqeedat or zyadah barh gayi aur un Shakhso’n se Jin ko IMAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) se Husn-e-Aqeedat nahi hai Kaha karta hoon Meri aur Aap ki misaal is aayat ki masal hai ke Haqq ta’la ne Munkareen mu’arij Qudsiyah Huzoor (sallallahu alayhi wa sallam) se khitaab kar ke farmate hain (افتما رونه على مايرىٰ) Maine ne jo kuch halat-e-beidari aur Hoshyari me dekh liya hai Usme Mujhse Jhagda karna be-sood hai. (ھذا واللہ ولی الھدایة خاتمته الكلام) Ab Is mazmoon ko Main In Kalmaat per Khatm karta hoon aur Apne Naazireen se Umeed rakhta hoon ke Wo Buzrugaan-e-Deen Khusoosan A’imma-e-Matbu’een se Husn-e-Zan rakhei’n aur Gustakhi aur Be-Adabi se Perhaiz karei’n Kyonke Iska Nateejah har Do Jaha’n me Mo’Jab-e-Khiraasaan wa Nuqsan hai. [TAREEKH AHLE-HADITH Page 79]
(7). GHAIR-MUQALLID MOLANA IBRAHIM SIYALKOTI ne farmaya: MOLANA SANAULLAH MARHOOM AMRITSARI ne mujhe bayan kiya k Jin ayyam me, Main Kanpur me MOLANA AHMED HASAN KANPURI se Ilm-e-mantiq ki tahseel karta tha Ikhtilaf Mazaq wa Musharrab ke sabab se Ahnaf se Meri Guftugu rehti thi, Un logo’n ne mujh par Ye ilzam thhopa ke “TUM AHLE HADITH LOG AIMMA-E-DEEN K HAQQ ME BE-ADABI KARTE HO.” Maine iske muta’lliq Miyan Sahab Marhoom Dehalvi ya’ni SHEIKHUL KUL SAYYED NAZEER HUSSAIN sahib se daryaft kiya to Aap ne jawab me kaha ke “HUM AISE SHAKHS KO JO A’IMMAH KE HAQQ ME BE-ADABI KAREY USEY CHHOTA RAAFZI JANTE HAIN” alawah barei’n Miyan sahib Marhoom “Mi’yarul Haqq” me Imam sahib ka zikr in Alfaaz me karte hain (امامنا وسيدنا ابوحنيفة افاض الله عليه شابيب العفو والغفران) Neiz farmate hain: (IMAM SAHIB) KA MUJTAHID HONA, MUTTAQI AUR PARHEIZGAAR HONA KAAFI HAI, UNKE FAZAIL ME AYAT-E-KAREEMAH (ان اكرمكم عندالله اتقكم) Zeenat bakhsh Maraatib un ke liye hain. [HAASHYAH TAREEKH AHLE HADITH Page 80]
(8). MOLANA MOHAMMAD IBRAHIM SIYALKOTI farmate hain ke, “Har-chand ke Main Sakht Gunahgaar hoon, Lekin Ye Eiman rakhta hoon aur Apne Saaleh Asaatizah (Teachers) MOLANA ABU ABDULLAH GHULAM HASAN SAHIB MARHOOM SIYALKOTI AUR JANAB HAFIZ ABDUL MANNAN SAHIB MARHOOM MOHADDIS WAZEERABADI ki Sohbat wa Talqeen se ye baat yaqeen ke rutbay tak pohanch gayi hai ke Buzurgan-e-Deen Khusoosan Aimma-e-Matbo’een se Husn-e-Aqeedat Nazool Barkaat ka zariyah hai. [TAREEKH AHLE HADITH Page 79]
(9). MOLANA MOHAMMAD IBRAHIM, HAFIZ ABDUL MANNAN SAHIB WAZEERABADI ke baare me likhte hain: “AAP AIMMA-E-DEEN KA BOHAT ADAB KARTE THE CHUNANCHA AAP FARMAYA KRTE THE KE JO SHAKS AIMMA-E-DEEN KHUSOOSAN IMAM ABU HANIFAH (REHMATULLAH ALAIH) KI BE-ADABI KARTA HAI USKA KHAATMAH ACHHA NAHI HOTA.” [TARIKH AHLE HADITH Page 428]
(10). NAEEM BIN HAMMAD KHAZAI, IMAM BUKHARI (REHMATULLAHI ALAIH) Ke Asatizah me se hain (وضع كتبا فى الرد على الحنفيه) jis ne Hanfiyo’n ki Radd me kayi Kitabei’n Tasneef ki, Ayb goi me Jhooti hikayatei’n bhi ghar leta tha jo sab ki sab Jhoot hain. [MEEZANUL AETEDAAL V1 P536, BA-HAWALA TAREEKH AHLE HADITH Page 70, DAWOOD GHAZNAVI Page 378]
MOLANA SIYALKOTI ne mukammal bahes ke ba’d likha: “Khulasatul Kalaam ye hai ke Naeem ki Shakhsiyat aisi nahi ke iski rivayat ki bina par IMAM AZAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) Jaise buzrug IMAM barhaqq me badgoi karei’n, Jinko HAFIZ SHAMSUDDIN ZAHBI (REHMATULLAHI ALAIH) Jaise naqadur rijaal (asma rijaal k janne wale) “IMAM AAZAM” ke mo’azziz Laqab se yaad karte hain, HAFIZ IBN-E-KASEER, [AL-BIDAYAH] me Aapki nihayat Ta’reef karte hain, Aap ke haqq me likhte hain (احد الائمة الاسلام والسادة الاعلام واحد اركان العلماء واحد الائمة الاربعة اصحاب المذهب المتبوعة…..الى اخرهز) Neiz Imam Yahya bin Mu’een (rah.) Naqal karte hain ke, Unhone Kaha Aap (Abu Hanifah) Siqah the Ahle Sadaq se the Kazab Muttahim Na the Neiz ABDULLAH BIN DAWOOD AL KHREBI (REHMATULLAHI ALAIH) se naqal karte hain: “UNHONE KAHA LOGO’N KE LIYE MUNASIB HAI KE WO APNI NAMAZO’N ME IMAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) KE LIYE DUA’ KREI’N KYONKI UNHONE UNPAR FIQH AUR SUNAN-E-NABVIYAH KO MEHFOOZ RAKHA.” [AL-BIDAYAH P107/AHLE HADITH]
YE SHAKHS NAEEM BIN HAMMAD GIRAFTAAR HUA AUR WAHI’N FAUT HUA HATHKADIYO’N SAMEIT (فالقى فى حفرة ولم يكفن ولم يصل عليه فعل ذالك به صاحب ابن ابى داؤد). [TAREEKH BAGHDAD Page 314]
DEKHIYE GUSTAKH-E-IMAMو NAMAZ-E-JANAZAH AUR KAFAN AUR QABAR TAK SE MEHROOM RAHA.
(11). AALIM BA-AMAL FAZIL AKMAL HAZRAT MOLANA SAYYED TAJAMMUL HUSSAIN BUKHARI LIKHTE HAIN: “EK GHAIR MUQALLID MOLVI MOHAMMAD IBRAHIM AARVI SAHIB MAKKAH MUKARRAMAH gaye aur HAZRAT QIBLAH MOLANA SAYYED SHAH MOHAMMAD ALI SAHAB (RAHIMAHULLAH) MONGEIRI BHI WAHI’N THE, MOLANA IBRAIM SAHIB NE KAHA KE JANAB RASOOLULLAH (SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM) KI MAJLIS-E-KHWAB ME MERI HAAZRI HUI AUR MAJLIS MUBARAK ME IMAM AZAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) BHI TASHREEF FARMA THE. JANAB RISALAT-E-MAAB NE MUJHE FARMAYA KE TUM IN YA’NI IMAM AZAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) SE BAD-ZAN HO, QASOOR MU’AF KRAAO, MAINE IMAM AZAM ABU HANIFA (REHMATULLAHI ALAIH) KE QADMO’N ME GIR KAR MAAF KRWAYA. [KAMALAAT Page 17]
(12). Ek Gair muqallid Talib-e-ilm MADARSAH DEOBAND me parhta tha usne HAZRAT IMAM MOHAMMAD (REHMATULLAHI ALAIH) ki Shaan me gustakhi ki to is per aor Talib Ilmo’n ne peet daala. Is waqiah ki MOLANA NAZEER HUSSAIN se shikayt bhi ki, Hazrat ne farmaya Usne HAZRAT IMAM MOHAMMAD (REHMATULLAHI ALAIH) ki Shaan me Gustakhanah Kalimaat isti’maal kiye the Is per Tulba’ ko ghussa aa gaya Molvi sahib ne ye sun kar farmaya ke waqayi Ye uski badi be-jaa Harkat thi. [Dawood Ghaznavi Page 380]
(13). Aara me bethe hue Ek Ghair Muqallid ne dauran-e-guftugu HAZRAT IBN-E-HUMAAM (REHMATULLAHI ALAIH) ki Kuch tanqees ki, MOLANA NAZEER HUSSAIN NE usey daanta, Ye bade buzurg the Hamara munh nahi ke Unki Shaan me kuch keh sakei’n. [Dawood Ghaznavi Page 380]
(الناس فى ابى حنيفه حاسد او جاهل) YA’NI IMAM ABU HANIFA )REHMATULLAHI ALAIH) KE BAARE ME BURI RAA’I RAKHNE WALE KUCH LOG TO HAASID HAIN OR KUCH JAAHIL HAIN YA’NI UNKE MAQAM SE BE KHABAR HAIN.
[MAULANA AMEEN SAFDAR OKARWI (RAHMATULLAHI ALAIH) BA-HAWALA QAFLA-E-HAQQ 19; PAGE NO. 10 to 14]