Fazaile Hazrat Ameer Muawiya Hadees ki roshni me

Fazaile Hazrat Ameer Muawiya radiALLAHO Anhu:

 

Ahlesunnat ka ye Muttafaq Alaihe Mauqif hai ki Nabi Kareem ke  Tamam Sahaba Jannati  hain aur Duniya ka koi bade se bada wali Hatta ki Ghaus, Qutub Abdaal bhi kisi Sahabi ke qadmo ke barabar nahi darja nahi paa sakta. Agar kabhi 2 sahaba me apas me koi ladai hui hai to ye Sahaba ka hi mamla hai. Hame ye hargiz ijazat nahi hai ki ham Sahaba ke beech khud ko Judge banayen aur ek ko sahih dusre ko ghalat batayen. Kyunki Faisla hamesha bade log chhoton ka karte hain, chhote log badon ka faisla nahi karte. Aur ham to yaqinan bahot chhote hain phir ham kaise Sahaba ke kisi apas ke mamle me faisla kar sakte hain.

 

Isliye Hame chahiye ki Sukut ikhtiyar karen aur Har Sahabi se dil se mohabbat karen aur kisi ki gustakhi to qatai na karen. Aaj kuch log aise bhi paida ho gaye hain jo Khud ko Sunni bhi kehte hain aur Hazrat Ameer Muawiya ki Gustakhi bhi karte hain ya unki fazilat ka inkar karte hain. Sahaba ki Gustakhi karne wala ya unki fazilaton ka inkar karne wala gumrah bad-mazhab hai. Usse apna talluq tod den. Aur jo kuch log ye kehte hain ki Hazrat Ameer Muawiya ki fazilat me koi bhi Sahih Hadees maujud nahi hai, aisa kehne wale Ilme Usoole Hadees se na-waqif Jahil log hain.

 

Awwal to ye ki Sahih Hadees bhi maujud hai dusra ye ki Muhaddiseen ke Usool me ye baat hai kin ahi ki Fazilat ke mamle me Sahih Hadees ko talab kiya jaye balki bil Ittefaqe Muhaddiseen Fazilat me Zaeef Hadees bila Shubah Qubul-o-Maqbul hai. Yahan Ham Hazrat Ameer Muawiya RadiALLAHO Anhu ki shan me kuch Hadeesen pesh kar rahe hain mulahiza hon.

 

1.     Imam Bukhari apni Kitab Sahih Bukhari me H.no.3765 par likhte hain:

حدثنا ابن ابي مريم، حدثنا نافع بن عمر، حدثني ابن ابي مليكة، قيل لابن عباس:" هل لك في امير المؤمنين معاوية فإنه ما اوتر إلا بواحدة، قال: إنه فقيه

Ibn Abbas RadiALLAHO Anhu se kaha gaya ki Ameerul Mumineen Muawiya radiALLAHO Anhu ke mtualliq aap kya farmate hain ki unhone witr ki namaz sirf ek rakat hi padhi hai? To Aap ne jawab diya ki wo khud ek Faqih hain.  

Scan Pg.

 

Yani Ibn Abbas RadiALLAHO Anhu Hazrat Ameer Muawiya RadiALLAHO Anhu ke Ilm aur Fiqh ki tarif farma rahe hain.

 

2.     Imam Tirmizi Jaame Tirmizi likhte me H.no. 3842 par Hadees hain:

حدثنا محمد بن يحيى، حدثنا ابو مسهر عبد الاعلى بن مسهر، عن سعيد بن عبد العزيز، عن ربيعة بن يزيد، عن عبد الرحمن بن ابي عميرة، وكان من اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم، عن النبي صلى الله عليه وسلم انه قال لمعاوية: " اللهم اجعله هاديا مهديا واهد به ". قال ابو عيسى: هذا حديث حسن غريب

Nabi Kareem ne Hazrat Ameer Muawiya ke bare me farmaya: Aye ALLAH! Tu inhe Hidayat dene wala aur Hidayat yafta bana de. Aur inke zaiye logon ko Hidayat de.

Sabit hua ki Hazrat Ameer Muawiya khud Hidayat par the aur logon ke liye bhi Hidayat hain. Kyunki Nabi ki dua kabhi khali nahi jati. Scan Pg.


  

 

3.     Imam Tirmizi aage H.no.3843 par Hadees likhte hain:

حدثنا محمد بن يحيى، حدثنا عبد الله بن محمد النفيلي، حدثنا عمرو بن واقد، عن يونس بن حلبس، عن ابي إدريس الخولاني، قال: لما عزل عمر بن الخطاب عمير بن سعد، عن حمص ولى معاوية، فقال الناس: عزل عميرا وولى معاوية، فقال عمير: لا تذكروا معاوية إلا بخير , سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول: " اللهم اهد به ". قال ابو عيسى: هذا حديث غريب، قال: وعمرو بن واقد يضعف.

Jab Hazrat Umar ne Hazrat Umair bin Saad ko Hams se maazul kiya aur Hazrat Ameer Muawiya ko governor banaya to logon ne kaha: unhone Umair ko Mazul kar diya aur Muawiya ko governor bana diya. To ispar Hazrat Umair ne farmaya: Tum log Muawiya ka zikr ache tariqe se kiya karo kyunki maine Nabi Kareem ko farmate hue suna hai “Ya ALLAH inke zariye hidayat de”

Scan Pg.


 

Yani Nabi Kareem ne Hazrat Ameer Muawiya RadiALLAHO Anhu ko logon ke liye Hidayat ka zariya banaya hai. Kuch log is Hadees ke ek rawi ke bare me kehte hain ki iska rawi Amr bin Waqid zaeef hai to Jawab ye hai ki Pichli Hadees se is Hadees ki taeed hoti hai isliye ye Hadees Hasan hai.

 

4.     Imam Tabrani apni Kitab Moajjamul Awsat me H.no.3902 par Hadees likhte hain:

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ سَعِيدٍ الرَّازِيُّ قَالَ: نا مُحَمَّدُ بْنُ قَطَنٍ الرَّمْلِيُّ قَالَ: نا مَرْوَانُ بْنُ مُعَاوِيَةَ الْفَزَارِيُّ، عَنْ عَبْدِ الْمَلِكِ بْنِ أَبِي سُلَيْمَانَ، عَنْ عَطَاءٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ: «جَاءَ جِبْرِيلُ إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: §يَا مُحَمَّدُ اسْتَوْصِ مُعَاوِيَةَ، فَإِنَّهُ أَمِينٌ عَلَى كِتَابِ اللَّهِ، وَنِعْمَ الْأَمِينُ هُوَ

Hazrat Ibn Abbas RadiALLAHO Anhu se Riwayat hai ki Jibreel alaihis salam Nabi ke paas aaye aur kaha ki Ya Muhammad Hazrat Muawiya ke talluq se wasiyat farma den ki beshak wo ALLAH ki Kitab yani Quran par Ameen hain aur wo bahot ache ameen hain.

Scan Page.

 


 

SubhanALLAH! Jibreel alaihis salam kabhi bhi ALLAH ke Hukm ke baghair na Nabi ke paas aate the na hi koi baat apni janib se farmate the, Yani Jibreel alaihis salam ne jo kuch kaha wo ALLAH ke Hukm se kaha hai. So jiski tarif ALLAH khud farmaye uski tarif ka Haq ham kya ada karenge.

 

5.     Imam Ibn Asakir apni Kitab Tarikh Damishq me J-59 Pg.89 par Hadees likhte hain:

أنبأنا أبو علي الحداد أنا محمد بن عبد الله بن أحمد بن ريذة أنا سليمان بن أحمد الطبراني نا محمد بن يحيى بن مندة نا بشر بن بشار (1) ح وأخبرنا أبو البركات الأنماطي أنا محمد بن المظفر الشامي أنا أبو الحسن العتيقي أنا يوسف بن أحمد أنا أبو جعفر العقيلي (2) حدثني عبيد الملقب (3) نا بشر بن بشار (4) السمسار نا عبد الله بن بكار المقرئ من ولد أبي موسى الأشعري عن أبيه عن جده (5) أبي موسى الأشعري قال دخل النبي (صلى الله عليه وسلم) على أم حبيبة ورأس معاوية في حجرها تفليه (6) فقال لها أتحبينه قالت وما لي لا أحب أخي فقال النبي (صلى الله عليه وسلم) فإن الله ورسوله يحبانه رواه محمد بن إسحاق السراج عن بشر بن بشار

Ek Martaba Nabi Kareem ne apni zauja Hazrat Umme Habiba se pucha ki kya tum Muawiya se Mohabbat karti ho? To Unhone jawab diya: Apne Bhai se kyun na Mohabbat karun? To Aaqa Kareem ne Irshad farmaya: ALLAH aur uska Rasool bhi inse mohabbat karte hain. Scan Pg. 


 


 

6.     Imam Ahmad bin Hanbal apni Kitab Fazaile Sahaba J-1 Pg.914 par Hadees naqal karte hain:

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ قَالَ: حَدَّثَنِي أَبِي، قثنا عَبْدُ الرَّحْمَنِ، عَنْ مُعَاوِيَةَ، عَنْ يُونُسَ بْنِ سَيْفٍ، عَنِ الْحَارِثِ بْنِ زِيَادٍ، عَنْ أَبِي رُهْمٍ، عَنِ الْعِرْبَاضِ بْنِ سَارِيَةَ السُّلَمِيِّ قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَهُوَ يَدْعُونَا إِلَى السَّحُورِ فِي شَهْرِ رَمَضَانَ قَالَ: «هَلُمُّوا إِلَى الْغَدَاءِ الْمُبَارَكِ» ثُمَّ سَمِعْتُهُ يَقُولُ: «اللَّهُمَّ عَلِّمْ مُعَاوِيَةَ الْكِتَابَ وَالْحِسَابَ، وَقِهِ الْعَذَابَ»

Nabi ne Hazrat Ameer Muawiya RadiALLAHO Anhu ke liye farmaya: Ya ALLAH inhe Kitab aur Hisab ka Ilm ataa farma aur inhe Qabr ke Azab se mehfuz rakhna. Scan Pg.

 


Ye Yaqini baat hai ki Aaqa-e-do Jahan kisi ke liye kuch bhi dua farmate hain wo zarur qubul hoti hai. Balki Aaqa khud jiske haq me dua farmayen wo shakhs bahot badi fazilat ka hamil hoga.

 

7.    Imam Abu Bakr Bazzar apni Kitab Musnad Bazar me J-8 Pg.433 H.no.3508 par Hadees likhte hain:

وَحَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ السِّجِسْتَانِيُّ، قَالَ: نا نُعَيْمُ بْنُ حَمَّادٍ، قَالَ: نا مُحَمَّدُ بْنُ شُعَيْبِ بْنِ شَابُورَ، عَنْ مَرْوَانَ بْنِ جُنَاحٍ، عَنْ يُونُسَ بْنِ مَيْسَرَةَ بْنِ حَلْبَسٍ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُسْرٍ، قَالَ: اسْتَشَارَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَبَا بَكْرٍ وَعُمَرَ فِي أَمْرٍ أَرَادَهُ، فَقَالَا: اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ، فَقَالَ: «ادْعُوا لِي مُعَاوِيَةَ» ، فَلَمَّا وَقَفَ عَلَيْهِ قَالَ: «أَشْهِدُوهُ أَمَرَكُمْ، أَحْضِرُوهُ أَمَرَكُمْ، فَإِنَّهُ قَوِيُّ أَمِينٌ

Nabi Kareem ne farmaya: Apne mamlo me Muawiya ko gawah banao ki beshak wo taqat wale aur Amanat daar hain. Scan Pg.

 


 

8.    Imam Abu Bakr Khilal apni Kitab As-Sunnah me Pg.440 par likhte hain:

أَخْبَرَنِي عَبْدُ الْمَلِكِ الْمَيْمُونِيُّ، قَالَ: ثَنَا أَبُو سَلَمَةَ، قَالَ: ثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الْمُبَارَكِ، عَنْ مَعْمَرٍ، عَنْ هَمَّامِ بْنِ مُنَبِّهٍ، قَالَ: سَمِعْتُ ابْنَ عَبَّاسٍ، يَقُولُ: «مَا رَأَيْتُ رَجُلًا كَانَ أَخْلَقَ لِلْمُلْكِ مِنْ مُعَاوِيَةَ، إِنْ كَانَ النَّاسُ لَيَرِدُونَ مِنْهُ عَلَى وَادِي الرَّحْبِ وَلَمْ يَكُنْ كَالضَّيِّقِ الْحَصِيصِ، الضَّجِرِ الْمُتَغَضِّبِ» . سَأَلْتُ أَحْمَدَ بْنَ يَحْيَى ثَعْلَبَ عَنْ حَدِيثِ ابْنِ عَبَّاسٍ: «لَمْ يَكُنْ مُعَاوِيَةُ كَالضَّيِّقِ الْحَصِيصِ» ، فَقَالَ: يَضْبِطُ الْأُمُورَ، قُلْتُ لِثَعْلَبٍ: يَكُونُ -[441]- أَنَّهُ يَعْنِي لَمْ يَكُنْ ضَيِّقَ الْخُلُقِ؟ قَالَ: يَكُونُ فِي الْخُلُقِ وَغَيْرِهِ إِلَّا أَنَّهُ فِي الْمَالِ أَكْثَرُ، وَرَأَيْتُ مَا يَغْلِبَ عَلَى ثَعْلَبٍ فِي قَوْلِهِ: إِنَّهُ يَضْبِطُ الْأُمُورَ

Hazrat Ibn Abbas farmate hain ki: Maine Muawiya se zyada achi hukumat karne wala nahi dekha. Scan Pg.

 


9.     Isi ke aage Pg.441 par dusri Riwayat me likhte hain:

أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ أَحْمَدَ، قَالَ: سَمِعْتُ أَبِي يَقُولُ فِي حَدِيثِ ابْنِ عُمَرَ: «§مَا رَأَيْتُ أَحَدًا بَعْدَ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ أَسْوَدَ مِنْ مُعَاوِيَةَ» . قَالَ: " تَفْسِيرُهُ: أَسْخَى مِنْهُ

Hazrat Ibn Umar farmate hain ki Maine Nabi ke baad Hazrat Muawiya se zyada sakhi kisi ko nahi dekha. Scan Pg.

 


 

10.Isi ke aage Pg.443 par likhte hain:

Hazrat Ibn Umar farmate hain ki:

أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ مَخْلَدٍ، قَالَ: حَدَّثَنِي نَصْرُ بْنُ دَاوُدَ، قَالَ: ثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الْمَلِكِ، قَالَ: حَدَّثَنِي أَبُو عَاصِمٍ الْعَبَّادُ أَبِي، عَنْ هِشَامٍ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ سِيرِينَ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: " كَانَ مُعَاوِيَةُ أَحْلَمَ النَّاسِ. قَالُوا: يَا أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ، أَبُو بَكْرٍ؟ قَالَ: أَبُو بَكْرٍ رَحِمَهُ اللَّهُ خَيْرٌ مِنْ مُعَاوِيَةَ، وَمُعَاوِيَةُ مِنْ أَحْلَمِ النَّاسِ، قَالُوا: يَا أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ، عُمَرُ؟ قَالَ: عُمَرُ خَيْرٌ مِنْ مُعَاوِيَةَ، وَمُعَاوِيَةُ مِنْ أَحْلَمِ النَّاسِ

Muawiya logon me sabse zyada Hilm wale the. Ye sunkar Ibn Sireen ne kaha ki aur Abu Bakr? Yani unke bare me kya khayal hai? To Jawab diya ki ALLAH unpar rehem farmaye. Abu Bakr Muawiya se behtar hain, Muawiya, logon se zyada Hilm wale hain. Phir Ibn Sireen ne pucha ki aur Hazrat Umar? To Jawab diya: Hazrat Umar Muawiya se behtar hain, Muawiya Logon se zyada Hilm wale hain. Scan Pg.

 

 

 

Hilm kehte hain burdbari ko, Jab kisi ko Hilm wala kaha jaye to yani wo logon me zyada aql wala hai, ya Door-andesh hai aur Zabt wa tahammul wala hai. To Hazrat Ameer Muawiya ko Logon me sabse zyada Hilm wala kaha gaya hai. 

 

Aur phir ek Sahabi-e-Rasool ke liye sabse badi yehi Fazilat kafi hai ki wo Nabi Kareem sallallaho alaihe wasallam ka Sahabi hai.  Unhone Nabi sallallaho alaihe wasallam ke piche namazen padhi hain apke sath Jung ladi hain. Is fazilat se badi aur koi Fazilat ho hi nahi sakti. Jab Ghause Azam Jaise Syedul Awliya unka adab ehtiram karte hain to unse bada aur kaun Syed hai aaj jo unke khilaf apni zuban ko daraz kare?ALLAH hame samajhne ki taufiq ataa farmaye. Aameen.

Post a Comment

Previous Post Next Post