MOMIN AUR MUSLIM ME FARQ

MOMIN AUR MUSLIM ME FARQ:
.
HADEES: Kabhi Islam ke zaahiri maayne murad nahi hote, balki isse murad mahez zaahiri tabe'daari ya Jaan ke khauf se maan liya, Jis tarah Ishad-e-Rabbani hai, Baddu kehte hain, 'HUM EIMAN LAYE'
Aap unse kahiye ki tum EIMAN NAHI LAYE BALKI KAHO ISLAM LAYE,
Lekin agar koi Haqiqi taur pe Islam qubul kar le,
to Wo Momin hai. Jaisa ki ALLAH TA'ALA farmata hai.
'INNAD DEENA INDAL LAAHIL ISLAM'
ALLAH ke Nazdeek Saheeh Deen, Islam hi hai.
(Bukhari, J-1, Kitabul Eiman, Baab-19, H.no.25)
.
Hadees*2: Saad Bin Abi Waqas farmate hain kiRasoolallah alaihis salam ne kuch logo ko maal diya,
Saad bhi baithe hue the. Aapne ek shaks ko chhod diya. Yani kuch na diya.
Wo mujhe sab logo se zyada pasand tha. Maine arz kiya, Ya Rasoolallah! Aapne falaan shaks se e'raaz kyu farmaya?
Halanki Khuda ki qasam mai usey momin samajhta hu.
To aapne farmaya, MUSLIM YA MOMIN??
Mai kuch der chup raha, baad azaan jo kuch mai iske mutalliq janta tha, usne majbur kiya aur fir wohi baat kahi, Rasoolallah alaihis salam ne fir wohi farmaya,
Teesri bar arz kiya to Huzur ne wohi farmaya, Bil-Akhir aapne farmaya, Aye Saad, mai kisi shaks ko maal is dar se kuch deta hu aur Khuda usey aag me ruswa karke na daal de, halanki dusra shaks mujhe isse kahin zyada azi hota hai.
(Bukhari, j-1, Kitabul Eiman, H.no.26)
.
Scan Page: https://m.facebook.com/photo.php?fbid=401561426625829&id=100003159244374&set=a.101857189929589.2470.100003159244374&comment_id=1056817&offset=0&total_comments=4&refid=48

Post a Comment

Previous Post Next Post