Furooi Masail me Ikhtilaf wa ittehad ho sakte hain, Ibn Taymiyya ka iqrar

Biraadraan-e-Islam! Jaisa ke Hazraate Ghair Muqallideen saada loh Musalmaano me ye baawar karaate hain ke unka Mazhab wahi hai jo SALAFUS SWALIHEEN bil’khusoos SHAIKHUL ISLAM IBN TAYMIYYAH (RAH.) ka tha. Haalaan’ke chand furoo’ee Masaayel me TASHADDUD ikhteyaar karna aur ek Fariq ko HAQ aur dusre fariq ko BAATIL qaraar dena is Firqe ka Turra-e-Imtiyaz hai. Lehaaza RAFAUL YADAYN, AAMIN BIL JAHAR AUR QARA’T KHALFUL IMAM waghaira jaise chand Masaayel, jinme sadiyon se Ikhtelaaf hote chale aa rahe hain, in Masaa’yel ko HAQ wa BAATIL ka Me’yaar banaa kar logon ko war’ghalaana inka Shewah hai. Jabke Hazraate A’imma wa Aslaaf ka nazarya iske bilkul bar’aks tha ke Ikhtelaafi Masaayil me TASHADDUD na ikhteyaar kiya jaye, khaas taur par jin Masaayil me ek se zaay’ed Mauqaf ho sakte hain, un me kisi ek ko muta’ayyan taur par HAQ aur dusre ko Hatmi taur par BAATIL qaraar na diya jaye. Iss ke saboot me Muta’qaddimeen wa Mutaa’khireen ki bahot si Ibaara’ten pesh ki ja sakti hain, lekin Ikhtesaar ke Pesh-e-Nazar hum yahan sirf SHAIKHUL ISLAM ALLAMA IBN TAYMIYYAH (RAH.) ki ibaarat pesh karne par iktefaa’ karte hain, ALLAMA RAFA’UL YADAYN aur A’imma ki Itteba’ ke muta’alliq farmaate hain:

“Har Banda-e-Mo’min par, aam Ahle Imaan aur Ulama’ se Muhabbat karna Waajib hai aur HAQ jahaan bhi ho uska Qasad aur Itteba’ Waajib hai aur ye jaanna bhi Waajib hai ke Mujtahid Musaib ke liye Do Ajr ka wa’da kiya gaya hai aur agar Mujtahid se Ijtehaad me Khata ho jaye to usko Ijtehaad karne par Ajr milta hai aur uski khata Maaf kar di jaati hai, aur agar Imam wo amal kar raha ho jiski Shar’an Gunjaayish hai to Ahle Imaan par Imaam ka Itteba’ zaruri hai, isliye ke Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ‘INNAMAA JU’ILAL IMAAMU LI’YUTAMMA BIHI’ irshaad farmaaya hai, isliye Imaam RAFA’ YADAYN kare ya na kare Namaaziyon ki Namaaz me koi Nuqsaan nahi, unki Namaaz na Imaam Abu Hanifa (Rah.) ke yahan BAATIL hain; na Imaam Shafa’ee(Rah.) ke yahan, na Imaam Maalik(Rah.) ke yahan aur na Imaam Ahmed (Rah.) ke yahan. Isi tarha agar Imaam RAFA’ YADAYN kare, Muqtadi na kare ya iske bar’aks ho, to ye unme se kisi ki Namaaz me kami ya kotaahi ka sabab nahi hoga, aur agar baa’z auqaat RAFA’ YADAYN kiya jaye aur baa’z auqaat na kiya jaye to isse kisi ki Namaaz me koi Nuqsaan nahi hoga aur ye kisi ke liye Jaa’yez na hoga ke wo baa’z Ulama ke Qaul ko aisa She’aar banaa le ke isi ke Itteba’ ko WAAJIB qaraar de aur Sunnat se saabit dusre pahlu se logon ko mana’ kare. Balke wo tamaam sura’ten jo Sunnat se Saabit hain un sab ki Gunjaa’yish hai, jaise AZAAN wa AQAAMAT ke bare me, ke BUKHARI wa MUSLIM me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam se saabit hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallamne Hazrat Bilaal Radiallahu Anhu ko Kalimaate AZAAN me Shaf’a aur Kalimaate AQAAMAT me itaar ka hukm diya aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam hi se Bukhari wa Muslim me ye bhi saabit hai ke Aap ne Hazrat Abu Mahzoora Radiallahu Anhu ko Kalimaate Aqaamat me AZAAN ki tarha Shaf’a  ki taa’leem di. Isliye jo AQAAMAT me Shaf’a ikhteyaar karta hai wo bhi Durust hai aur jo Ifraad ki surat ikhteyaar karta hai to wo bhi durust hai, aur jo shakhs in Suraton me se ek ko WAAJIB qaraar de aur dusri surat ki ijaazat na de to wo KHATAA-KAAR aur GUMRAAH hai aur jo in me se ek amal karne waale se muhabbat rakhhe aur dusre se mahaz isi bunyaad par muhabbat na kare to wo KHATAA-KAAR aur GUMRAAH hai.”
[FATAAWA IBN TAYMIYYAH, JILD-22, SAFHA-253-254]

MASHA ALLAH! ALLAMA ki ibaarat se saaf pata chalta hai ke A’imma Arba’a ki nisbat se jo Bughz o Adaawat Ghair Muqallideen ko hai wo SHAIKHUL ISLAM ke andar bilkul bhi nahi milta balke ALLAMA ne teenon IMAAM ke Ilm ki Qadr o manzilat karte hue unke Qaul o Amal ko bhi apne Fatawa ki Taa’yeed me pesh kiya hai jo ke Ghair Muqallideen k man maa’ni Mazhab k billkul Manaafi hai.
ALHAMDULILLAH! Ham Hanafi hazraat jin Masaa’yel me baqya teen A’imma ke bar’khilaaf amal karte hain un Masaa’yil me na to ham TASHADDUD se kaam lete hain aur na hi khud ko HAQ aur dusre FARIQAYN ko BAATIL qaraar dete hain balke hamaare nazdeek un Masaa’yel me ham apne amal ko AFZAL qaraar dete hain jaisa ke dusre FARIQAYN ko pura haq hai ke wo Furoo’ee Masaa’yel me apne Imaam ke amal ko AFZAL qaraar den aur is tarha ham dekhte hain ke Ittefaq-o-Ittehaad ki pur aman fiza ham chaaron Mazaahab ke Muqallideen ke darmiyaan qaayem hai. ALLAH Rabbul Izzat ham tamaam Musalmaanon ko apne In’aam kurdah ASLAAF ke NAQSH-E-QADAM par chalne ki taufiq ata farmaaye. Aameen Summa Aameen.

Post a Comment

Previous Post Next Post