Sama Mota aur Roohon ka duniya me wapas aane par Tehqiq


Momineen ki Rooh ka duniya(Jism) me wapas aana aur Kalaam karna, sunna aur logon ki madad karna ALLAH ki mansha se mumkin hai:
.
Hadees: Abu Naeem ne Rubai se riwayat kiya ki wo kehte hain ki hum 4 bhai the. Aur mera bhai Rabi humse zaaed paband-e-som wa salaat tha. Uska inteqal ho gaya hum log iske ird-gird the ki achanak usne kapda uthakar kaha “Assalamo Alaikum”
Humne kaha “Wa Alaikum Assalam”
Kya maut ke baad bhi usne kaha JI haan, usne kaha ki maine tumhare baad apne Raazi aur khush ALLAH se mulaqat ki, to usne mujhko apni rehmat ata ki aur istabraq ka libas zeb tan karaya. Suno! Abul Qasim(Muhammad Sallallaho alaihe wasallam) Namaz ke liye mera intezar kar rahe hain. Jaldi karo, phir wo ye kehkar hasb-e-ma’mool khamosh ho gaya.ye baat Hazrat Ayesha Siddiqa RadiALLAHO Anha tak pahunchi to unhone farmaya ki maine RasoolALLAH Sallallaho alaihe wasallam se suna hai ki aap farmate the ki meri Ummat me eke k shaks marne ke baad  bhi kalaam karega. Abu Naeem kehte hain ki ye Hadees mash’hur hai, Baihaqi ne is Hadees ko Dalailun Nabuwwa me naqal kiya aur kaha ki ye Hadees Saheeh hai iski sehat me kuch shak nahi.
(Sharahus Sudur lil Imam Suyuti, Pg.70)
Scan Page:

Hadees#2: Juwebar ne apni tafseer me Abaan bin Abi Ayyash see riwayat kiya ki Moriq Ajli ki wafat ke waqt hum maujud the. Jab unko kafan pehna diya gaya to humne dekha ki unke sar se ek noor nikla jo chhat ko cheerkar upar nikal gaya, phir humne dekha ki aisa hi ek Noor unke pair ki taraf se nikla, phir ek darmiyan se nikla,. To hum thodi der theher gaye, phir unhone apne chehre se kapda hatakar kaha “ kya tumne kuch dekha?”
Hume kaha Haan,
Aur jo dekha tha bata diya.
Unhone kaha ki ye Sureh Sajdah hai jo mai har raat padhta tha. Aur jo Noor tumne mere sar se nikalta hua dekha ye uski shuru ki 14 ayaten hain, aur jop tumne mere qadmo se nikalta dekha wo akhir ki 14 ayaten hain. Aur jo darmiyan se niklata dekha ye khud Sureh Sajdah hai. Ye upar shafa’at karne ke liye gayi, aur Sureh Tabark meri shafa’at wa hifazat ko pahunch rahi. Ye kehkar phir khamosh ho gaye.
(Sharahus Sudoor lil Imam Suyuti, Pg.70-71)
Note: Is riwayat ko Ibn Abi Duniya ne Kitab “Man Aash ba’adal maut” me isey Hazrat Ajli se riwayat kiya.
scan page:



Proof#3: Mugheerah bin Khalaf se marwi hai ki Roobah beti be-jaan ki mar gayi, logon ne usey ghusl diya aur kafan pehna diya, phir unhone dekha ki wo harkat kar rahi hai,  aur keh rahi hai ki khush ho jaao, jaisa tum samajhte the maine mamla usse asan paaya,sss aur maine malum kiya ki Jannat me Qatay rehmi karne wala aur sharab pine wala aur mushrik dakhil na hoga,
(Sharahus Sudoor Pg. 72)
scan page:



Sahaba ko Bura kehne walo ke liye Waeed:
.
Proof#4: Khalaf bin Hoshib  se marwi hai ki ek shaks Inteqal kar gaya, aur usko kafan pehna diya gaya.sss thodi der ke baad usme harkat hui, aur usne kaha ki kuch log rangi hui daarhiyon  wale hain aur masjidon me H.Abu Bakr RadiALLAHO Anhu wa H.Umar Farooq RadiALLAHO Anhu ko lanat karte hain, aur unse tabarra karte hain,aur jo meri rooh qabz karne aaye hain, wo unse bezaari karte hain aur unpar lanat karte hain,, ye kehkar phir wo mar gaye, yehi riwayat dusre alfaz se bhi bayan hui hai.
(Sharahus Sudoor Pg. 72)



Proof#5: Abu Naeem ne Lais bin Sa’ad se riwayat kiya ki ek shaks Shaam walo me se Shaheed ho gaya, to wo har Juma ki raat ko khwab me apne baap se milne aata, aur unse Guftgu karta lekin ek Juma ki raat ko na aaya aur fir Dusre Juma aaya, Baap ne usse shikayat kiya ki kyun na aye?
Usne kaha ki Waja ye hui ki Tamam Shuhada ko hukm hua tha ki wo Umar bin Abdul Azeez ke Janaze me shirkat Karen,
Ye waqeya theek Umar bin Abdul Azeez ki wafat ke waqt waaqe hua.
(Sharahus Sudoor Pg. 93 )


Proof#6: Suhaili ne Dalailun Nabuwwa me baaz baaz Sahaba se riwayat kiya ki ek Shaks ne Qabr khodi, usme ek roshan daan dusri qabr ki taraf khul gaya, ab jo unhopne dekha to ek Buzurg takht pe baithe hue hain aur unke samne Quran-e-Kareem rakha hua hai, aur uske samne Hi Sabz rang rauza hai. Ye Sarzameen-e-Uhud ka waqeya hai, aur ye shaks Shaheed tha kyunki iske chehre par zakhm the. Abu Hayan aur Yaafayi ne bhi is qism ka waqeya naqal kiya.
(Sharahus Sudoor Pg. 205-206)
scan page: 



Proof#7: Sheikh Najmuddin Asbahani ne kaha ki mai ek shaks ki tadfeen ke waqt hazir tha, Mayyat ko Kalima talqeen ke liye ek shaks baitha aur isey talqeen karne laga to mayyat kehne laga: Aye logon! Tajjub hai ki ek murdah Zindah ko talqeen kar raha hai”
(Sharahus Sudoor Pg. 206 )


















Proof#8: Ibn Rajab ne apni sanad se Mu’aani bin Imran ke bare me naqal kiya ki ek shaks unki Qabr par talqeen ke liye Kalima padhne laga to Qabr se bhi Kalime ki awaz aane lagi.

(Sharahus Sudoor Pg. 206) 
         



Proof#9: Yaafayi ne Muhib Tabri (Shawae ke Aimma me se hain) se riwayat kiya ki mai Sheikh Ismaeel Hazrami ke sath tha to mujhse sheikh ne kaha ki Aye Muhib! Murdon ke kalaam karne par eiman rakhte ho?
Maine kaha ki Haan., to unhone kaha ki ye Qabr wala kehta hai ki mai Ahlejannat me se hu.

(Sharahus Sudoor Pg. 206 )

.
Proof#10: Yaafayi ne hikayat kiya ki Abdur Rehman Nuwaidi farmate hain ki jab wo Mansurah me the, aur dushmano ne Musalmano ko giraftar kar liya, to Abdur rehman ne ek roz ye ayat padhi “La Tahsabannal Lazeena Qutilu” phir aap Shaheed ho gaye, jab Shaheed ho gaye to ek angrez aaya aur uske paas ek Chhota nezah thaw o isne apke jism par maara aur kaha ki Aye Musalmano ke Alam tu kehta tha ki Shohada zinda hain aur unhe rizq diya jata hai to Abdur Rehman ne apna sar uthakar kaha ki Haan Kaaba ke rab ki qasam Shohada zinda hain. To aangrez apne ghode se utra aur Sheikh ka muh chuma aur apne sathi se kaha ki inki mayyat ko watan le chalo.
(Sharahus Sudoor Pg. 207 )

Proof#11: Risala Qusheri me unki sanad se Sheikh Abu Saeed al-Khiraz  se marwi hai ki maine Baab-e-Bani Shaiba me ek nau-jawan ko murdah halat me paya.  Jab main euse dekha to wo meri taraf dekhkar muskurane laga aur kehne laga ki Aye Abu Saeed! Shohada zinda hain aur wo to ek jaga se dusri jaga muntaqil hote hain.
(Sharahus Sudoor Pg. 207-208 )


Proof#12: Isi Risala me Sheikh Ali Roodbari se marwi hai ki unhone ek Faqeer ko dafn kiya to unhone iske sar se kafan hataya aut iska sar mitti par rakha taki  ALLAH iski gurbat pe rehem kare to usne ankhe kholkar mujhko dekha  aur kaha ki Janab mujhko iske zamne zalil na kijiye jisne mujhko raah dikhayi hai, to maine kah aki Aye mere Sardar! Kya marne ke baad zindagi hai?
To usne kah aki main bhi zinda hu aur ALLAH ka har muhib zinda hai.
(Sharahus Sudoor Pg. 208)





Proof#13:  Isi risala qusheri me hai ki ek kafan chor tha, ek aurat ke inteqal ho gaya, weo iske janaze ki namaz me shamil hua taki sath jaakar iski qabr ka pata lagaye, jab raat ho gayi to isne budhiya ki qabr khodna shuru ki, to wo aurat bol uthi ki SubhanALLAH!
 Ek maghfur shaks maghfur aurat ka kafan churata hia?
 Kyunki ALLAH ne meri bhi marghfirat kar di aur jinhone mere janaze ki namaz padhi un sabki bhi maghfirat kar di. Aur tu bhi unme sharik tha. Ye sunkar usne qabr par fauran mitti daal di aur sacche dil se taaib ho gaya.
(Sharahus Sudoor Pg. 208 )


Proof#14: Isi risala me hai isi rawi se marwi hai ki mera ek mureed Makka se aaya,  aur mujhse kaha ki Aye Ustad! Mai kal zohar ke waqt mar jaaunga to ye deenar lo aur aadhe me qabr aur adhe me kafan ka intezam kar dena, jab dusre roz zohar ka waqt aaya to usne aakar tawaf kiya aur phir door khada ho gaya aur fir mar gaya, jab maine usey Qabr me rakh diya to usne ankhen khol di, to main isse kaha ki marne ke baad bhi zindagi hoti hai?
To usne kaha ki mai ALLAH ka muhib hu, aur ALLAH ka har Muhibn hamesha ke liye zinda hai.
(Sharahus Sudoor Pg. 208)


Proof#15: Yaafayi ne Kiafyatul Mo’taqid mer likha ki ek nek shaks ne mujhe bataya ki jab mai apne walid ki qabr pe jata hu to unse guftgu karta hu.
(Sharahus Sudoor Pg. 209)

Proof#16: Yaafayi ne kaha ki ye bahot mash’hur baat hai ki Faqiya Ahmad bin Musa bin Ajeel ko unke baaz shagirdo ne Qabr me Sureh Noor padhte hue suna.
(Sharahus Sudoor Pg. 209)


Proof#17: Ibn Abi Duniya ne Kitabul Quboor me apni sanad se Umar RadiALLAHO Anhu se riwayat kiya ki ek Qabristan par se guzre to kaha ki “Assalamo Alaikum Ya Ahlal-Quboor” nayi khabren ye hain ki tumhari Aurton ne nayi shadiyan racha li hain, tumhare gharonb me dusre log bas chuke hain, tumhare maal taqseem ho chuke hian to ek haatif ne awaz di Aye Umar! Hamari nayi khabar ye hia k ihumne jo nek amal kiye unke badla yahan mila aur jo Khuda ki raah me kharch kar diya uska nafa mila aur jo chhod aaye usme nuqsan uthaya.
(Sharahus Sudoor Pg. 209)

Proof#18: Ibn Asakir na apni sanad se riwayat kiya ki unhone  farmaya ki mai aur mere 8 sathiyon ko Banu Umaiyya ke zamane me roomiyon ne qaid kar liya tha , Badshah-e-Room ne mere 8 sathiyon ke sar qalam kara diye the , mujhe qatl kiye jane ke liye pesh kiya gaya to ek roomi sardar utha aur usne Badshah ke hath par chum kar mujhe maaf kara diya,  aur mujhe apne ghar le gaya, wahan usne mujhse apni Haseen-o-Jameela ladki dikhayi aur apna behtarin makaan dikhaya aur kaha kit um jante ho ki badshah ke yahan meri kya qadr hai?
.
Agar tum mere deen me dakhil ho jaao to mai apni ladki ki shadi tumse kar dunga aur ye sab nematen tumhare liye ho ajyengi,  maine kah aki mai apna Deen, Biwi is duniya ke waste nahi chhod sakta, wo shaks kayi roz tak mujhe apna deen pesh karta raha, ek raat uski beti ne mujhe tanhai me apne baagh bulaya aur dariyaft kiya ki kya waja hai ki tum  mere Baap ki pesh kardah sharait ko qubul nahi karte?
Maine wohi jawab diya ki ek aurat ki khatir mai apna deen ahi chhod sakta.
 To usne pucha ki ab tum kya chahte ho?  hamare paas theherna chahte ho ya apne watan wapas jana chahte ho?
.
Maine kaha apne  watan wapas jana chahta hu.
Usne mujhe asman ki taraf ek sitarah dikha kar kaha kit um is sitare ko dekhkar raat ko chalet raho, aur din ko chhupte raho,  apne mulk mahunch jaaoge,
Phir usne mujhe zaad-e-dirah diya, aur mai chal diya. 3 raaten iski hasb-e-hidayat chalta raha. Chauthe roz mai chhupa baitha tha ki ghodon ke aane ki awaz malum hui.
 Bas maine samajh liya ki ab to pakda gaya.
 Ab jo dekha to mere shaheed sathi aur unke hamraah safed ghodon par kuch aur log bhi the, unhone paas aakar kaha Kya tum Umair ho?
 .
Maine kaha ki haan mai to Umair hu,
 Tum batao ki tum to qatal ho chuke the ?
Unhone kah aki beshak hum qatl ho chuke the lekin ALLAH TA’ALA ne shohada ko uthaya aur hukm diya ki Umar bin Abdul Azeez ke janaze me shirkat Karen.  Unme se ek shaks ne kaha ki Aye Umair! Zara apna hath mujhe pakdao,
 Maine apna hath uske hath me diya aur usne mujhe apne piche bitha liya thodi der chalkar usne mujhe phenk diya, mere chot na lagi ab jo dekha to mera ghar bilkul qareeb tha.
(Sharahus Sudoor Pg. 215-216)

Proof#19: Ibn Jauzi ne Uyunul Hikayat me apni sanad se Abu Ali Dareer se riwayat kiya ki 3 Shaami bhai roomiyon se jihad karte the, ek martaba Roomi badshah unhe giraftat5 karne me kamiyab ho gaya. Badshah ne kaha ki mai apni hukumat me tumko hissa-daar karunga aur  apni ladkiyan tumhare nikah me dunga lekin shart ye hai ki tum Eisayi ban jaao. Magar in teeno ne inkar kar diya.phir badshah ne teen degen tel ki teen roz tak aag par chadhaye rakhin. Aur unko Darane keliye rozana wo degen dikhlayi jati lekin wo apni baat par date rahe, bil-Akhir bade ko is tel me daal diya gaya. Phir dusre ko bhi isi tarah, ab teesre ki baari thi, badshah badshah ne is waqt bhi wargalane ki puri koshish ki.lekin iske paaye sibaat me laghzish na aayi ek roomi sardar khada hua aur kaha ki Aye Badshah mai isko iske deen se tauba kara sakta hu.
.
Ye Arab wale aurton ko bahot pasand karte hain. Mai apni beti ko iske supurd kar dunga, wo khud isko behka legi. Chunanche badshah ne isko Sardar ke hawale kar diya. Sardar sab muamla beti ko batakar is mujahid ko beti ke supurd kar gaya.  Kayi din ke baad baap ne beti se dariyaft kiya ki kyat u apne iradah me kamiyab hui.?
.
Usne kaha ki nahi mera khayal hai ki chunki iske dono bhaui is sheher me qatl kiye gaye hain isliye ye yahan iska dil nahi lagta isliye hum dono ko kisi dusre sheher me muntaqil kiya jaye. Chunanche in dono ko dusre sheher me muntaqil kar diya gaya. Lekin wo jawan din bhar rozze rakhta aur raat bhar namazo me mashghul rehta aur iski tawajjo qat’at ladki ki taraf na hoti. Ladki ne jab uski is dayanat ko dekha to wo musharraf ba-islam ho gayi. Chunanche wo dono ek ghode pe baithkar wahan se bhag khade hue. Din me chhupte aur raat me chalte,.
.
Ek din in don one achanak ghodon ke taapon ki awazen suni. Ab jo ghaur se dekha to mujahid ke dono shaheed bhai malaaika ki jamat ke sath ja rahe the. Is shaks ne salam karke unse haal dariyaft kiya, unhone kaha ki bas thodi der ki taklif hui jo tumne dekhi. Uske baad phir humko firdaus me bhej diya gaya. Aur ab hume isliye bheja gaya hai ki tumhari shadi is ladki se kara den.  Chunanche wo log shadi kara ke chale gaye aur ye nau-jawan shaam pahuncha aur unke sath ye waqeya mash’hur tha. Chunanche isi silsile me baaz sho’ara ne likha hai ki
“Sayu’ta as-Saadiqeen ba-Fazlis Sidiq
Najaatun Hayaate wa fil Mamaat”
(Sharahus Sudoor Pg. 215-216)
Proof#20: Abu Naeem aur Ibn Asakir ne Salma se riwayat kiya ki Khalid bin Ma’daan har din 40,000 martaba tasbeeh padhte the. Aur tilawt-e-Quran, aur iske alawa jab unko takhte par nehlane ke liye rakha gaya to wo apni ungli isi tarah hilane lage jaise tasbeeh me hilai  jati hai.

(Sharahus Sudoor Pg. 219)


Proof#21: Baihaqi ne Dalailun Nabuwwa Saeed bin Musayyib se riwayat kiy aki Zaid bin Kharja ka Hazrat Usman Ghani RadiALLAHO Anhu ke zamane me wisal ho gaya. Chunanche unko kafan pehna diya gaya. Phir unke seene me kuch awaz suni gayi. Wo keh rahe the ki “Ahmad Ahmad. Pehli kitabon me likha hai, Siddiq ne sach kah awo apni nafs ke lihaz se kamzor hain, lekin ALLAH ke muamle me qawi hain ye bhi pehli kitabon me hai, Umar bin Khattab ne sach kaha wo pehli kitabon me quwwat aur amanat ke sath mutassif hain, Usman bin Affan ne sach kaha, ye pehle logon ke naqsh-e-qadam par chale, chaar saal guzar gaye aur do baaqi hain, fitne barpa ho gaye, taqatwar ne kamzor ko kha liya,  aur qayamat aa gyai, tumhare lashkar se arees ke kuwen ki khabar ayegi aur ber-arees kya hai?”
Saeed bin Musayyib kehte hain ki phir khatma ka ek shaks mar gaya aur  isse bhi aisi awaz sunne me aayin, aur usne kaha ki Banu Haris bin Khazraj ke bhai ne sach kaha. Baihaqi ne kaha ki ye Isnaad sahi hai, aur iske deegar shawahid bhi hain,
(Sharahus Sudoor Pg. 219)
.

Proof#22: Ibn Abi Duniya aur Baihaqi ne aur Ibn Asakir ne apni sanad se riwayat kiya jinko Musailma kazzab ne qatl kiya unme se ek shaks Maqtool hone ke baad kehne laga ki “Muhammad ALLAH ke Rasool hain, Abu Bakr Siddiq, Umar Shaheed, Usman Raheem” fir khamosh ho gaya.
(Sharahus Sudoor Pg. 209)


Proof#23: Bukhari ne apni tarikh me aur Ibn Mundah ne apni sanad se Abdullah bin Ubaidullah se riwayat kiya ki wo farmate hain  ki H Sabit bin Qais Shamas Jang-e-Yamama me Shaheed ho gaye,  dafn karne walo me ek shaks mai bhi sharik tha.  Jab humne unko unki qabr me dakhil kiya to farmane lage ki “Muhammad RasoolALLAH hain, Abu Bakr Siddiq hain, Umar Shaheed hain Usman Ameen aur Raheem hain” to humne unko ghaur se dekha lekin wo mar chuke the.
(Sharahus Sudoor Pg. 221)


Proof#24: Ibn Abi Duniya ne apni sanad se Abu Abdullah Shaami se riwayat kiya ki unhone kaha ki hum Roomiyon se jung ke liye nikle to hamari jamaat ke log dushman ke ta’aqqub me chal diye ittefaqan do admi jamat se bichhad gaye. Unme se ek ne bataya ki humko roomiyon ka sardar mila, aur usne humko dawat-e-jung di, thodi der hum lade to ek sathi qatl ho gaya aur mai bhag khada hua aur apni jamat kil talash shuru ki. Raste me mere nafs ne mujhko malamat shuru kar di ki tera sathi tujhse pehle  hi jannat me chala gaya aur tu bhagta firta hai?
 Chunanche mai wapas aaya aur us shaks se dobara ladna shuru kiya.
Usne mujhko aisi chot maari ki mai gir gaya. Wo seene par chadhkar baith gaya aur koi chiz lekar mujhko qatl karne laga. Itne me mera sathi shaheed aa gaya aur usne isey baalon se lakadkar ghaseet liya aur iske qatl par meri ei’aanat ki. Aur humne ,milkar usey qatl kar diya. Phir wo mere sath darakht tak chalta raha. Aur wahan pahunchkar gir pada aur hasb-e-ma’mool maqtool ho gaya. Phir mai apne sathiyon me wapas aaya aur unko itlaa di.
(Sharahus Sudoor Pg. 222)              

Proof#25: Ibn Abi Duniya ne Abdur Rehman bin Yazeed  bin Aslam se riwayat ki ki kuch log roomiyon se jung karte rehte the.
 Ittefaqan qo giraftar kar liye gaye.  Unka badshah aya aur usne hukm diya ki wo eisaiyat qubul Karen, magar unhone inkar kar diya,. Badshah ne unko qatl kar dene ka hukm diya Badshah ek teele par neher ke kinare par bath gaya aur ek shaks ko Qatl kara diya aur uska sar neher me dalwa diya.  Lekin iska sar neher me khada ho gaya aur unki taraf mutawajja hokar kehne laga “Ya Ayyohan Nafsul Mutmainnatu Jiei il Rabbika raadiyatam mardiyya fadkhuli fi ibaadi wadkhuli Jannati”
(Sharahus Sudoor Pg. 222-223)

Proof#26: Ibn Abi Duniya ne Saeed Ami se riwayat kiya ki kuch log samundar me jihad ke liye nikle to ek nau-jawan aaya aur usne darkhwast kiya ki isko bhi sawar kar liya jaye lekin unhone mana kar diya, jab isne bahot israr kiya to unhone isko bitha liya, ab jab dushman se muthbhed hui to isne apni jawan-mardi dikhai aur shaheed ho gaya, shaheed hone ke baad iska sar utha aur khada ho gaya aur kashti walo ki taraf mutawajja hokar kehne laga ki “Tilkad Daarul Aakhirato Naj’aluha lil-lazeena la Yuridoona Uluwwan fil-arde wala fasaadan wal aaqibato lil-muttaqeen” phir wo sar doob kar ghayab ho gaya.
(Sharahus Sudoor Pg. 223)

Proof#27: Hafiz Abu Muhammad Khilal ne kitab Karamatul Auliya me apni sanad se riwayat kiya ki  Abu Yusuf Ghsuli Rehmatullah Ta'aala Alaihe ne kaha ki ek roz Ibrahim bin Ad’ham Rehmatullah Ta'aala Alaihe shaam me mere paas aaye, aur kaha ki aaj main eek ajib tar chiz dekhi, unhone kaha ki mai ek qabr ke paas kahda hua tha ki achanak wo phat gayi aur usme se khizab lagaye hue ek buzurg baraamad hue, aur mujhse kaha ki mangon kyunki mai tumhare liye hi nikla hu.
Maine kaha ki batao Khuda ne tumhare sath kya muamla farmaya?
Unhone kaha ki mai Khuda ki bargah me bure amal ke sath gaya tha, lekin ALLAH ne 3 kaamon se sabab mujhe bakhsh diya,, ek to ye ki Jo Khuda se muhabbat rakhta tha maine usse muhabbat rakhi, dusra ye kin a-jaz chiz kabhi na pi.
Teesra ye kiALLAH ne farmaya ki tu mere paas is haal me aaya ki teri dadhi me khizab tha, aur mujhe khizab wale se haya aati hai ki mai isko jahannam me dakhil karu,  raawi kehte hain ki phir Qabr hasb-e-ma’mool abnd ho gayi.
(Sharahus Sudoor Pg.223)


Proof#28: Muhamli ne apni “Amaali” me Abdul Azeez bin Abdullah se riwyaat kiya ki ek shaks apni biwi ke hamraah shaam me tha,  unka ek ladka shaheed ho chuka tha, ek din is shaks ne achanak ek sawar ko aate dekha to aakar apni Biwi se kaha ki Aye Fulaan “Mera aur tera beta” to usne kaha kit u apne se shaitan ko door rakh, mera beta to ek arsa hua Shaheed ho chukka, tere dimagh me kuch kharabi hai chal apna kaam kar,.
Wo shaks istighfar karte hue apne kaam me mashghul ho gaya,
Lekin thodi der baad sawar qarib aa chuka tha, ab jo ghaur se dekha to shubah door ho gaya wo waqai unka shaheed beta tha.
Baap ne kaha ki Aye bete! Tu Shaheed nahi hua tha?
Usne kaha ki ji Haan, magar Umar bin Abdul Azeez RadiALLAHO Anhu ka wisal ho gaya hai, Shohada ne ALLAH TA’ALA se ijaazat chahi hai ki wo unke janaze me shirkat Karen, maine apne Rab se apko salam karne ki ijazat hasil kar li hai, phir wo unko dua dekar chala gaya.
 Baad me malum hua ki waqai Umar bin Abdul Azeez RadiALLAHO Anhu ka wisal usi waqt hua tha.
(Sharahus Sudoor Pg. 224)
 


Iske aage Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah Ta'aala Alaihe farmate hain;
“Ye wo riwayat hain jo Aimma-e-Hadees ne apni kutub me naqal farmayi hain, maine unko yahan isliye likha hai taaki Allama Yaafayi ne apni kitab me jo farmaya hai uski taeed ho jaye.”
(Sharahus Sudoor Pg. 224)


.
Proof#29: Abu Naeem ne Yusuf se unhone Atiya se riwayat ki unhone kaha ki maine Sabit ko Humaid Taweel se kehte hue suna ki Aye Humaid! Kya tumhe koi aisi Hadees malum hai jisse pata chalta ho ki Ambiya ke alawah deegar log bhi apni Qabron me namaz padhte hain?
Unhone kaha ki nahi.
Unhone kaha ki phir Sabit ne dua mangi “Aye ALLAH! Agar tu kisi ko Qabr me namaz padhne ki ijazat de to Sabit ko zarur dena” Juber kehte hain ki Mai Khuda-e-Wahdahu La-Sharik ki qasam khakar kehta hu ki maine Sabit Binani ko Qabr me utara, mere sath Humaid bhi the, jab hum eent rakh chuke to ek eent gir padi aur maine sabit ko dekha ki wo apni qabr me namaz padh rahe the, Khuda ne inki dua ko radd na kiya.
(Sharahus Sudoor Pg. 188)



Proof#30: Ibn Jareer ne Tehzibul Asar me aur Abu Naeem ne Ibrahim bin Sama Mehelbi se riwayat ki unhone kaha ki mujhe subah kwe waqt qila ke qarib se guarne walo ne bataya ki jab hum Sabit binani ki qabr se guzarte hain to Quran padhne ki awaz aati hai.

(Sharahus Sudoor Pg. 188)





Proof#31: Ibn Mundah ne apni sanad se riwayat kiya ki Abu Hammad jo ek Mutaqi gor kun the, unhone bataya ki Juma ke roz dopeher ko mai Qabristan gaya to is qabr se guzra Quran padhne ki awaz suni.
(Sharahus Sudoor Pg. 188)



















Proof#32: Tirmizi aur Baihaqi ne Ibn Abbas se riwayt kiya ki ek Sahabi ne kisi Qabr par apna khema laga liya, unhe na pata tha ki yahan Qabr hai.
To unhone suna ki andar koi shaks Sureh Mulk padh raha hai , jab wo puri Sureh Mulk padh chukka to wo Sahabi Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki khidmat me aaye aur waqeya bayan kiya,.  To aapne farmaya ki ye azab-e-Qabr se najaat dilane wali aur azab ko rokne wali Sureh hai..
Abu Qasim Sa’adi kehte hain ki isse malum hua ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne is par Mohar-e-tasdeeq sabit farma di ki mayyat qabr me Quran padhti hai,   kyunki aapne is Sahabi ki tardeed na farmayi hai.
(Sharahus Sudoor Pg. 189)                                                   




SubhanALLAH, aur bhi be-shumar dalail hamare paas is mauzu par maujud hain, lekin  samajhne walo ke liye itne kafi hain.
Roohen duniya me wapas aa sakti hain aur Kalaam kar sakti hain logon ki madad bhi kar sakti hain, ye baat Hadees-e-Mutawaatirah se sabit ho chuki hai,
To ab agar koi shaks koshish bhi kare ki inme se kisi riwayat ko zaeef sabit kar de to uski koshish fizul hai. Kyunki koi Zaeef riwayat bhi agar kisi masle ko bayan karti hain aur us masle par alag alag isnaad se kayi aur bhi riwayaat mil  jayen to wo Hadees qawi maani jati hai.  Aur yahan har ek Riwayat dusre ki taeed kar rahi hai, Khud Imam Jalaluddin Suyuti ne is baat ka iqrar karke apna aqeeda zahir kiya hai.

.

Created by: Irfan Barkaati

1 Comments

Previous Post Next Post