Daura-e-Bukhari | Sahih Bukhari Vs Naam Nihad AhleHadees

Imam Bukhari aur Taqleed:

Imam Bukhari bhi apne Bade Imamo ke Aqwal ko masail me dalil banate hain. Puri Bukhari me aisi misalen bhari hui hain jahan aksar jagah unhone Imam Shafayi ke qaul ko dalil banaya hai aur kahin Imam Malik ke qaul se Hadees ka mafhum liya hai. Yahan Sahih Bukhari se uski kuch Misalen pesh hain:

 

1.     Sahaba ke daur me bhi Ahle Madina ne Hazrat Ibn Abbas ke fatwe ko manne se inkar kar diya kyunki wo Hazrat Zaid bin Sabit ke fatwon par amal karte the.
(Sahih Bukhari H.no.1639)

Halaki har Sahabi Hidayat par hai. Lekin kisi ek ke hi Fatwe par chalna ye Taqleed ka subut hai aur ye Bukhari se sabit hai.
Jaise ham kehte hain charon Imam Haq par hain lekin ham baqi 3 ke fatwon par amal nahi karte.

Scan Page:

 

2.     Ek sawal man me aa raha tha socha ki Ahlehadees (Ghair Muqallideen) se puch lu. Imam Bukhari, Imam Malik ki tashrih kyun le rahe hain?
(Bukhari Baab 1359)
Kisi Hadees ko kisi Imam ke fehem se samajhna kya Taqleed nahi hai?

Scan Page:

 

3.     Imam Bukhari Aksar Masail me Hasan Basri ka Qaul dekhte hain. Taqleed ko shirk kehne walon, Himmat hai to Lagao Fatwa
(Bukhari Kitabul Hiba Baab Iza Wahaba Hibatan Baab no.18/1624)

Scan Page:

 

4.     Imam Bukhari aur Aimma ke Aqwal se dalil, Hasan Basri ka Qaul lena.
(Bukhari Kitabush Shahadat Baab Shahadatul Mukhtabi Baab no.1646)

Scan Page:

 

5.     Imam Bukhari ka sahih Bukhari me Aimma ke Aqwal jama karna.
(Bukhari Kitabush Shahadat Baab Shahadatul Qazif Baab no.1651)
.
Taqleed ko Shirk kehne walon Ankhen kholkar padho aur Jawab do Itne Imamo ke Qaul Imam Bukhari kyun dikha rahe hain? Wo kya sabit karna chahte hain?
Imam ke qaul par chalna agar bidat hai to Sahi Bukhari bidat ki taleem kyun de rahi hai?

Scan Page:

 

6.     Sahih Bukhari me Aimma ke Aqwal naqal karna.
(Sahih Bukhari Kitabush Shuroot Baab Shuroot fit Talaq Baab No.1699)
Kya waqayi Imamo ki Taqleed shirk hai?

Scan Page:

 

 

7.     Ahlehadees plz Jawab den:

Imam Bukhari aksar Masail me Hasan Basri ka Maslak kyun ikhtiyar karte hain?
(Bukhari Baab 1426)

Kya wo bhi Taqleed karte the

Ham Imame Azam ka qaul len to Taqleed shirk? aur Imam Bukhari Hasan Basri ka qaul len to Jaiz?

Scan Page:

 

8.     Sahih Bukhari aur Imam ka Qaul.
(Sahih Bukhari Jild 2 Baab 164)

Scan Page:

9.     Sahih Bukhari aur Imam ka Qaul.
(Sahih Bukhari J.2 Pg.225)

Scan Page:

  

10.Sahih Bukhari aur Imam ka Qaul

(Sahih Bukhari J-2 Kitabut Tafseer Baab Qaulihi Ayyaman, Raqam 583) 

Scan Page:

 

11.Sahih Bukhari aur Imam ka Qaul
(Sahih Bukhari J-3 Kitabut Talaq Baab Man Qaala)

Scan Page:

  

 

12.Sahih Bukhari aur Imam ka Qaul

(Sahih Bukhari Kitabun Nikah H.no.5105) 

Scan Page:

 

13.Sahih Bukhari aur Imam ka Qaul
(Sahih Bukhari Kitabut Talaq Baab Mahril Baghiyye) 

Scan Page:

 

14.Sahih Bukhari aur Imam ka qaul
(Kitabul Ehkam Baab Mataa Yastujibo) 

Scan Page:

15.Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne apne Baad Ummat ko Hazrat Abu Bakr Siddiq radiAllaho Anhu ka rasta dikhaya hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Ehkam Babul Istikhlaf H.no.2083)
.
Isse pata chalta hai ki Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ke baad Hazrat Abu Bakr radiAllaho Anhu hi sabse pehle Khilafat ke mustahiq the.
ALLAH unke sadqe hame Deen-e-Islam par sabit qadmi ataa farmaye. 

Scan Page:

 

 

 

 

16.Kisi Jaiz kaam ke liye din Muqarrar karna aur Imam Bukhari ki gawahi.

 

 

To Sabit hua ki Islam me kisi Jaiz kaam ke liye din fix karna jaiz hai. To is tarah jab Eisale Sawab Jaiz hai o uske liye din fix karna yani teeja, chaliswa, 11wi, Urs sab kuch Jaiz hai.

17.Wahabiyon ka kehna hai ki Qabr (Mazar) ke paas Masjid banana jaiz nahi, Jabki Bukhari ki Hadees me bhi Qabr ke paas Masjid ka hona sabit hai jahan Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne khud Namaz padhi aur apke baad apke sahaba ne bhi padhi hai.
(Sahih Bukhari H.No.465)

Scan Page:

 

 

 

18.Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ka wisal bhi peer (Monday) ke din hua hai. (Sahih Bukhari, Kitabul Azan, Baab Ahlul Ilm H.No.644)

Scan Page:

 

19.Imam Bukhari ki Gawahi:
Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ki Umr ke akhri amal ko follow kiya Jayega.
(Bukhari Kitabul Azan H.No.652)

Scan Page:

20.Ghair Muqallideen se ek sawal hai
Yahan Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ek shaks ko Namaz sikha rahe hain, (Sahih Bukhari H.No.754)
Lekin puri Namaz me kahin bhi usey Rafayadain kyun nahi sikhaya ????
Kya ye zaruri nahi tha ya is waqt tak mansukh ho gaya tha?

Scan Page:

 

 

 

 

Sahih Bukhari me Zaeef Hadees:

21.Imam Bukhari khud Sahih Bukhari me riwayat naqal karte hain aur phir khud ye kehte hain ki ye riwayat Sahih nahi.
(Sahih Bukhari, Kitabus Salat Baab 547)

Ghair Muqallideen se mera sawal hai ki jab ye riwayat Sahih nahi to usko *Sahih Bukhari* me likhne ka matlab kya hai?

Ya phir aap ye mante ho ki Sahih Bukhari me bhi Zaeef riwayat hoti hain?
Ya phir ye mante ho ki لا صحيح ya لم يصح se Hadees zaeef nahi hoti? Beherhal apke Jawab dono me se koi b hon, hame to ab apse sunna hai.

Note: ye dusri aisi Riwayat Maine Sahih Bukhari se pesh ki hai jisko Khud Imam Bukhari ne sahih na hona likha hai.

Scan Page:

 

22.Imam Bukhari ne Sahih Bukhari me ek riwayat naqal ki phir khud hi likh diya ki is riwayat ke sahi hone me logon ka Ikhtilaf hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Faraiz Baab Iza Aslama)
.
Ab Sawal ye hai ki Imam Bukhari ne "Sahih Bukhari" me aisi riwayat kyun naqal ki jiske sahi hone ka Yaqin khud Imam Bukhari ko bhi nahi hai? 

Scan Page:

 

23.Sahih Bukhari aur Zaeef Hadees

Imam Bukhari ne Sahih me ek Hadees Baab ke tehet yun zikr ki
وَيُذْكَرُ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَضَى بِالدَّيْنِ قَبْلَ الْوَصِيَّةِ، وَقَوْلُهُ : { إِنَّ اللَّهَ يَأْمُرُكُمْ أَنْ تُؤَدُّوا الْأَمَانَاتِ إِلَى أَهْلِهَا }. فَأَدَاءُ الْأَمَانَةِ أَحَقُّ مِنْ تَطَوُّعِ الْوَصِيَّةِ. وَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " لَا صَدَقَةَ إِلَّا عَنْ ظَهْرِ غِنًى ". وَقَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ : لَا يُوصِي الْعَبْدُ إِلَّا بِإِذْنِ أَهْلِهِ. وَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " الْعَبْدُ رَاعٍ فِي مَالِ سَيِّدِهِ ".
Tarjama: Aur Mazkur hai ki Beshak Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne hukm diya hai ki Wasiyat par amal karne se pehle Qarz ada karo"
"Sadqa maaldar hone ki Halat me hai"
(Sahih Bukhari Kitabul Wasaya Baab Taaweel)

Koi Ghair Muqallid zara is Hadees ko Sahih sanad ke sath sabit kar dega plz?
Kyunki unka daawa hai ki Sahih Bukhari me koi Hadees Zaeef nahi hai. 

Scan Page:

 

24.Imam Bukhari ne Sahih Bukhari me aisi sanad bhi Naqal ki hai jisme Rawi ka Sima hi Sahabi se sabit nahi hai aur ye Jirah khud Imam Bukhari ne lagayi hai.
(Sahih Bukhari Kitabun Nikah H.no.5105)
.
Koi Ghair Muqallid hai kya Jawab dene wala jo Bukhari ki har sanad par ankh band karke yaqin rakhne ka daawa karte hain.

Scan Page:

 

25.Imam Bukhari ne Sahih Bukhari me aise Rawiyon se bhi Sahaba ke Aqwal liye hain jinko Khud Imam Bukhari Ghair Maroof (Majhul) kehte hain.
(Sahih Bukhari Kitabun Nikah H.no.5105)
.
Lo Bhai Bukhari ko ankh band karke manne walon. Jawab do ki Imam Bukhari ne aise rawi se Qaul kyun naqal kiya?

Ab koi ye na kahe ki Imam Bukhari ke paas iski dusri Sanad bhi hogi kyunki Imam Bukhari ne khud aage likh diya hai ki kisi ne bhi iski Mutabeat nahi ki. 

Scan Page:

 

 

26.Imam Bukhari ek Qaul naqal karte hain phir kehte hain "Ye Sahih nahi"
(Bukhari Baab 1631)
.
Jab Sahih nahi to Imam Bukhari usko Sahih Bukhari me shamil hi kyun karte hain?
.
Koi Ahlehadees iska Jawab de.

Scan Page:

 

 

27.   Jab Maa Awaz de aur Ladka Nafil Ibadaton me laga ho to usey pehle Maa ki baat sunni chahiye.
Aur ALLAH apne Waliyon ko karamat bhi ata farmata hai.
(Bukhari Baab 763 H.no.1127)

Scan Page:

 

28.   Murde wazeh taur pe (clearly) zindon ki awazen sunte hain. Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ki gawahi.
(Sahih Bukhari H.no.1279)
Jo kehte hain Murde sun nahi sakte wo apni Islah karen.

Scan Page:

 

29.Imam Bukhari ka bhi Aqida hai ki Murde bhi sunte hain. Iske liye unhone baqaida ek Baab likha hai. Aur phie Bukhari me iski Hadees bhi naqal ki hai.
(Sahih Bukhari H.no.1251)

Phir bhi Naam Nihad Ahlehadees kehte hain ki murde sun nahi sakte.

Scan Page:

 

30.Qabr ko Unchi Banane ki Dalil Bukhari se,
Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ki Qabr Kohan jaisi thi.
(Bukhari Kitabul Janaiz H.no.1301)

Scan Page:

 

Note: Kohan Oont ki peeth ko kehte hain jo ki unchi uthi hui hoti hai.

 

31.Ahlehadees kehte hain ki Najd Iraq ko kehte hain, Riyadh ko nahi. Ab unse mera sawal hai ki agar Najd Iraq ko hi kehte hain to Bukhari me Ahle Najd ka Meeqat alag (H.No.1430) aur Ahle Iraq ka Meeqat alag (H.No.1433) kyun likha hua hai? Aur Dono ke Meeqat mukhtalif hain.
(Sahih Bukhari)

Scan Page:  


 Agar Najd hi Iraq hota to Iraq aur Najd ke miqat alag alag na hote.

32.Ambiya Haqiqi Hayat ke sath zinda hain:

Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne farmaya: Goya main Musa ko dekh raha hun wo Waadi me utarte hain to Labbaik keh rahe hain.
(Sahih Bukhari H.no.1454)
.
Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ka Musa alaihis salam ko Hajj ke liye aate dekhna unke zinda chalne phirne ki dalil hai. Phir is Hadees ki Sharah me Ibn Hajar Asqalani likhte hain.
كأني أنظر " على أوجه : الأول : هو على الحقيقة والأنبياء أحياء عند ربهم يرزقون فلا مانع أن يحجوا في هذا الحال كما ثبت [ ص: 485 ] في صحيح مسلم من حديث أنس : أنه صلى الله عليه وسلم رأى موسى قائما في قبره يصلي
Ye Haqiqat ho sakta hai kyunki Ambiya apne Rab ke nazdik zinda hain aur Rizq diye jate hain. Aur unhe koi chiz Hajj karne aane se nahi rokti. Jaisa ki Muslim ki Hadees se sabit hai Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne Musa alaihis salam ko unki qabr me Namaz padhte hue dekha.
(Fathul Bari Sharah Sahih Bukhari Pg.485)
.
Yani Muhaddiseen ka bhi ye Aqida hai ki Ambiya haqiqi Hayat ke sath zinda hain aur jahan chahen ja sakte hain isliye Musa alaihis salam ka Hajj karne aana ye Haqiqat par bhi mabni ho sakta hai.

Scan Page:

 

 

33.Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam apne mimber pe khade hokar hi Jung ka maujuda (live) haal bayan farma rahe the ki kab kiske hath me Jhanda hai phir kisne liya aur phir kiske zariye fateh hasil hui.
(Bukhari Kitabul Jihad H.no.65)
Kya ye Ilme Ghaib nahi hai?

Scan Page:

34.Hazrat Umme Kulsum binte Hazrat Ali ka Hazrat Umar Farooq radiAllaho Anhu se Nikah
(Bukhari J-2 Kitabul Jihad Hamalin Nisa H.no.144)

Scan Page:

 

Imam Bukhari aur Ghayeb ka Waseela lena:

35.Ghair Hazir (Ghaib ka waseela) Bukhari se sabit hai.
.
Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne farmaya: Yaad rakho tumhare kamzor logon ke sabab tumhari madad ki jati hai aur tumhe rozi di jati hai.
(Bukhari J-2 Kitabul Jihad, Baab Manis Ta'aan H.no.157)
.
Ghair Muqallideen ke liye Ghair Hazir aur Murda dono ek hukm me aate hain.

Ab sawal ye hy ki Kamzor logon ke sabab (waseele se) rozi di jati hai, aur rozi ek din ka mamla nahi har din ka mamla hai. Aur har din koi kamzor apke pas Hazir nahi hota.

To sabit hua ki Ghair Hazir ka Waseela bhi jaiz hy.

Scan Page:

 

36.Is Hadees me Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne ek Jamat ka zikr farmaya hai ki wo Logon ko Jahannam ki taraf bulayegi (yani Gumrah karegi) aur farmaya wo hamari hi qaum me se honge (yani bazahir Musalman honge) Hamari hi boli me Guftgu karenge (Yani Quran wa Hadees ki baat karenge)
(Sahih Bukhari Kitabul Ambiya J-2 H.no.812)

Ye Nishani Puri Puri Wahabiyon par sadiq aati hain. Isliye yaad rakhen Achha nazar aane wala har shakhs acha nahi hota. Wo apko Jahannam ki taraf bulane wala bhi ho sakta hai.

Scan Page:

 

37.Wahabiyon ki Clear Nishani Hadees me maujud hain.
(Sahih Bukhari Kitabul Ambiya J-2 H.no.815) 

Scan Page:

 

38.Hazrat Usman Ghani radiAllaho Anhu ke hath par bait karne wale 2nd Shakhs hi hain Mawla Ali radiAllaho Anhu.
(Sahih Bukhari Kitabul Manaqib J-2 Bab Qissatul Baiy H.no.897)

to phir Shiyon ko Problem kya hai jab Mawla Ali ne khud shuruat me hi bait karke Haq ko sabit kiya hai? Kya Mawla Ali kisi galat hath me ya Haq ke khilaf bait kar sakte hain? 

Scan Page:

39.Itna Asan nahi tha Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam se sunkar Hadeesen mehfuz karna aur ham Ummatiyon tak pahunchana.
Hazrat Abu Huraira radiAllaho Anhu ka dil dehlane wala bayan sunen. 
(Bukhari Kitabul Manaqib J-2 BaabManaqib Jafar H.no.905)

Aaj Hame to bas Aram se Kitabon me aur Software me likhi Hadees mil jati hai wo bhi hamse nahi Yaad ki jati.

Scan Page:

 

 

40.Jinnaton ne apne Rizq ki chiz Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam se Talab ki. Aur Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne usey pura farma diya, Qayamat tak unke khane ka intezam farma diya.
(Sahih Bukhari J-2 Kitabul Manaqib H.o.1042 Baab Zikril Jinn)
.
Agar Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam se kuch mangna shirk hai to shirk yahan kyun nahi hua?
Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne unse kyun nahi kaha ki mujhse kyun mang rahe ho, ALLAH se mango etc..??

Note: Jinnaton ne koi ek waqt ki roti nahi mangi thi jo dekar mamla khatm kar diya Jaye. Ye rizq ka intezam Qayamat tak ki Khurak hai jo mere Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam se mangne par mili hai.

Scan Page:

 

 

Sahih Bukhari aur Bidat:

41.Jo chiz Faida dene wali (achhi) ho aur Shariat ne usse mana na kiya ho to wo Jaiz hai.
(Sahih Bukhari Kitabut Tibb Baab Hal Yastakhrij)
.
Baat baat me Bidat ka fatwa lagane walon Ye Bukhari me likhi hui hai isliye ab ye mat kehna ki ye Usool Barelviyon ne banaya hai. Ya phir ye maan lo ki Sahih Bukhari bhi Barelviyon ke maslak ko Haq sabit karti hai.

Scan Page:

42.Wahabiyon se ek sawal

Hazrat Khubaib radiAllaho Anhu ne ye Tariqa raaij kiya tha ki jo Musalman bebas karke qatl kiya jaye wo pehle 2 rakat Namaz padh le.
(Sahih Bukhari J-2 Kitabul Maghazi H.no.1166)
.
Kya ye Tariqa Ijad karna bidat hai?
Agar nahi to kyun nahi?
Agar hai to tumhare nazdik Har bidat Gumrahi hai aur Jahannam me le jane wali hai?
.
Jawab ka Muntazir. 

Scan Page:

43.Dam karna aur Bidat... Ghair Muqallideen se ek Sawal

Ek Qabeele ke sardar ko saanp ne das liya to Hazrat Abu Saeed Khudri radiAllaho Anhu ne Sureh Fatiha padhkar uspar dam kiya aur wo theek ho gaya. Lekin ye dam karne ki Ijazat kabhi Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam se nahi mili thi.
(Sahih Bukhari J-3 Kitab Fazaile Quran Baab Fazle Faatihatil Kitab H.no.2)
.
Ab Sawal ye hai ki Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne to aisa koi dam karne ka tariqa bataya tha phr kya aisa karke Hazrat Abu Saeed Khudri ne bidat kiya hai?

Jawab GM denge. 

Scan Page:

 

44.Imam Bukhari bhi Mukhtalif sanad se Marwi Matan ko ek sanad me mix karte hain.
(Sahih Bukhari J-2 Kitabul Maghazi Baab Hadeesil Ifk H.no.1305) 

Scan Page:

 

45.Hazrat Ali radiAllaho Anhu ki Gawahi

Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne Mutah karne se mana farmaya hai.
(Sahih Bukhari Kitabul Maghazi J-2 H.no.1370)
.
Lo bhai Shiyon ko Naiyya doob gayi. Maula Ali khud Shiyon ke Aqaid ke khilaf gawahi de rahe hain. 

Scan Page:

46.Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ka Kitabat karna (likhna) sabit hai.
(Bukhari Kitabul Maghazi J-2 Baab Umratil Qaza H.no.1395) 

Scan Page:

47.Imam Bukhari ne Sahih Bukhari me Imam Abu Dawood se bhi sanad pesh ki hai. Jabki Imam Abu Dawood Imam Bukhari ke shagird hain.
(Sahih Bukhari Kitabul Maghazi J-2 Baab Ghazwate Tabook H.no.1542)

Scan Page:

 

48.Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam agar kisi ko awaz den aur wo Namaz padh raha ho to usko chahiye ki Namaz chhod kar pehle Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ki bargah me hazir ho.
(Sahih Bukhari Kitabut Tafseer Baab Maa Jaa fi Fatiha H.No.1591)
.
Isse pata chalta hai ki Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ki pukar sunna aur manna tamam farzon se badhkar farz hai.
Isiliye to Hazrat Ali radiAllaho Anhu ne Aaqa Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ki neend ke liye apni Asar ki Namaz Qurban kar di thi 
.
2. Is Hadees me niche ke hisse se ye bhi sabit hota hai ki Sureh Fatiha Qur'an ka hi hissa hai. Jabki Ghair Muqallideen ke kuch log Sureh Fatiha ko Quran nahi mante.

Scan Page:

 

49.Shabe Qadr 27th raat hai
(Bukhari Kitabul Maghazi J-2 Baab 555)

Click on next page to see rest of Hadees 

Scan Page:

 

50.Shabe Qadr 27th raat hai
(Bukhari Kitabul Maghazi J-2 Baab 555) 

Scan Page:

 

51.Sufiyan ne Ibn Juraij ka naam nahi liya ki unhone Ibn Juraij se suna hai. Lekin phir bhi Sanad me Ibn Uyaina an Ibne Juraij likha hua hai.
(Sahih Bukhari Kitabut Tafseer Baab Qaulihi Saaiyas Naine H.no.1775)
.
Koi Ghair Muqallid mujhe batayega ki jab Sufiyan ne Ibn Juraij ka naam liya nahi to sanad me Imam Bukhari ne kahan se likha? Ya phir Ibn Uyaina ne An se bayan karke Tadlees ki hai?

Ghair Muqallideen se Jawab ka Muntazir. 

Scan Page:

 

52.Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne apni Tamam Azwaje Mutahharat (Holy Wives) ko bhi *Ahlebait* kaha hai.
(Sahih Bukhari J-2 Kitabut Tafseer Baab Qaulihi la Tadkhulu H.no.1903)
.
Yani jo Shia ye kehte hain ki Ahlebait se murad sirf Hazrat Ali ki hi family hai to unka Daawa ghalat hai. Aur Shia jo Ummul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa radiAllaho Anha ko bura bhala kehte hain wo tauba kar len. 

Scan Page:

 

53.Quran Paak me ek Ayat hai
الیہ یرد : سورۃ الشورى : آیت 23

ؕ قُلۡ لَّاۤ اَسۡـَٔلُکُمۡ عَلَیۡہِ اَجۡرًا اِلَّا الۡمَوَدَّۃَ فِی الۡقُرۡبٰی ؕ﴿۲۳

ترجمہ کنز الایمان :

، تم فرماؤ میں اس (ف ٦٨) پر تم سے کچھ اجرت نہیں مانگتا (ف ٦٩) مگر قرابت کی محبت

Yahan fil Qurba se kaun murad hain?
.
Hadees: Ibn Abbas radiAllaho Anhu se is bare me pucha gaya to Saeed bin Jubair ne jaldi se kaha ki isse Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ki Aal murad hai.
Ye sunkar Ibn Abbas radiAllaho Anhu ne farmaya ki tumne Jaldbazi ki hai. Beshak Quraish ki koi shaakh aisi na thi jiske sath Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ki qurabat na ho. Phir Ibn Abbas radiAllaho Anhu ne unse kaha ki kam se kam tumhe mere aur apne darmiyan is rishtedari ka lehaz to rakhna chahiye.
(Sahih Bukhari J-2 Kitabut Tafseer Baab Illal Mawaddata H.no.1929/4818)
.
To Jo log ye kehte hain ki is Ayat me bhi Fil Qurba ka misdaq sirf Maula Ali ka Gharane hai wo apni Islah kar len ki isse murad Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ki har qism ki Qurabat dari hai, khwah wo apke sahaba hon to phir Shia Jo Sahaba par tanz karte hain Khususan un Sahabi par jo Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam se rishte me bhi jude hain, unhe is ayat ka Hukm samajh lena chahiye. 

Scan Page:

 

 

 

54.Izhare Mohabbat ke Alfaz aur Aadaab
(Sahih Bukhari J-3 Kitabun Nikah Baab Qaulilaahe H.no.111)
.
Ye Islam ki Taleem ki Khubsurti hai ki usne Logon ke dilo ki Khushi ka khayal bhi rakha hai aur har ek nuqte par Logon ki rehnumai ki hai. 

 Scan Page:

55.Baat baat me Shirk ka fatwa lagane wale Jawab den:
.
Hazrat Ayesha Siddiqa radiAllaho Anha ALLAH aur uske Rasool Sallallaho Alaihe Wasallam dono ki Janib Tauba karti hain.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabun Nikah Baab Hal Yarjeu h.no.167)
.
Ek aam Insan se Gunah ho jata hai to wo ALLAH ki Bargah ne Tauba karta hai. Magar Ummul Momineen to RasoolULLAH ki bargah me bhi tauba kar rahi hain.
.
Ab Is bare me apka kya Khayal hai? 

Scan Page:

 

 

 

56.Imam Bukhari ne ek puri Hadees Hazrat Abu Huraira se Marfuan riwayat ki aur Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam tak pahunchaya.
Phir last me naqal kiya ki unhone ye sab Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam se nahi suna tha balki apni Janib se bola hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabun Nafqat Baab Wujubun Nafqa H.no.323)

Scan Page:

 

57.Animal Teachings bhi Islam ne hi shuru ki hain.

Kutte ko Training dena Ye Islam ne bataya hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabuz Zabaih Baab Saidil Qaus H.no.442)

Baad ke kuch Western logon ne Animal Teaching ko apni kamyabi samajh liya.

Scan Page:

 

58.Hadees ka Martaba aur Sahaba ka Aqida:

Jab Kisi ko Hadees sunayi Jaye aur wo ignore kar de.
To Sahabi usse dobara baat nahi karte.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabuz Zabaih Baabul Khazfe H.no.443)

Scan Page:

 

59.Khade hokar Paani Peena bhi Hadees me maujud hai.
(Sahih Bukhari Kitabul Ashribah Shurbe Qaaiman H.no.576)

Scan Page:

 

 

 

60.Bagair Takabbur ke Kapda takhno se niche latkana

(Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Scan Page:

 

Ek Musht Darhi ka Suboot:

61.Ek Musht(mutthi) darhi ka subut.

Hazrat Ibne Umar apni Darhi ko mutthi me pakadke aur jitni usse zyada badhi hui hoti usko kaat dete the.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Libas Baab Taqleem H.no.834)
.
Naam Nihad Ahlehadees jo baat baat me Bukhari ka naam lete hain wo Darhi ko itna bada karte hain ki unke pet tak ya kabhi usse bhi niche chali jati hai.
Wo Ankhen kholkar Bukhari padhen.

Scan Page:

 

62.ALLAH ki rehmat ke 100 hisse hain. Usne sirf 1 hissa zamin par nazil kiya hai jisse makhluq ek dusre par rehem karti hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Adab Baab Ja'ala ALLAH H.no.938)
.
SubhanALLAH, ghaur karne ki baat ye hai ki sirf ek Hissa jo Rehmat duniya me nazil kiya hai usi me Maa ko mamta mili, Baap ko Shafqat mili, Bhai behen ka pyar, aur Nabiyon ki apni Ummat ke liye Mohabbat bhi isi ka hissa hai. Aur hamare Aaqa Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam apne Ummatiyon ko kitni Mohabbat farmate hain ye baat bemisal hai.
Aur ye sari Mohabbat ALLAH ki rehmat ka sirf ek hissa hai. Zara andaza lagayen jab wo Rabbe Kareem Akhirat me apni rehmat ke 99 Hisse apne bandon par nazil karega to kaisa manzar hoga. Wo kis qadar maaf karne wala hai. 

Scan Page:

 

63.Planting and Islam...
.
Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne farmaya: Jab koi Musalman darakht lagaye phir usse koi Insan ya Janwar khaye to lagane wale ki taraf se wo sadqa shumar hota hai.
(Sahih Bukhari Kitabul Adab H.no.951)
.
Aaj puri duniya me Global Warming se tahaffuz ke liye ped (Trees) lagane par zor diya aur Animal rights par baat ho rahi hai. Magar Islam ne hame 1400 saal pehle hi iski taleem de di hai. Isme Ped lagane ki bhi targheeb hai aur Janwar ke khane se bhi Insan ko sawab milta hai yani animal Rights bhi bataye gaye hain. Isiliye ham kehte hain ki Islam is a complete religion. It guides us in all the aspects of our personal and social life.

Scan Page:

 

64.Momin ek hi surakh me do bar nahi dasa Jata. (Yani ek hi Shakhs se do bar dhoka nahi khata, ek hi patthar se 2 bar thokar nahi khata)
(Sahih Bukhari Kitabul Adab Baab La Yuldagh H.no.1065) 

Scan Page:

 

65.Sarahat se baat na karna Jhut me dakhil nahi hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Adab Baabul Ma'aareez) 

Scan Page:

 

Dono hath se Musafha karne ka Suboot:

66.Dono hath se Musafha karna bhi Sahih Bukhari se sabit hai, Jabki Ghair Muqallideen ke yahan musafha ek hath se karne ka daawa hai.

Hammad bin Zaid ne Abdullah bin Mubarak ke sath dono Hathon se Musafha kiya.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Istezan Baabul Akhze bil yadain Raqam 712)

Ab agar Ghair Muqallideen ye kahen ko ye sirf Abdullah bin Mubarak ka amal hai Hadees nahi. To Jawab hai ki han ye Hadees nahi lekin Imam Bukhari ne is Amal ko bataur dalil naqal kiya hai yani Imam Bukhari khud dono hath se Musafha karne ke qaail hain.
.
Phir niche Hazrat Abdullah bin Masood aur Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ke apas me dono hath se Musafha karne ki dalil bhi khud Imam Bukhari ne is Baab ke tehet likhi hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Istezan Baabul Akhze bil yadain H.no.1194)
.
Ab agar Ghair Muqallideen ye kahen ki wo Musafha nahi balki sirf dono hathon me hath pakadna hai.
To Jawab hai ki Imam Bukhari ne to isko Musafhe ki dalil banayi hai. Aur apke Yahan Imam Bukhari ka istidlal bhi Hujjat hota hai. 

Scan Page:

 

67.Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ke paseene ko Tabarrukan istemal karna

Jab Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam so jate to Hazrat Anas bin Malik apka Pasina aur Mu-e-Mubarak (holy hair) Jama kar lete aur unhe ek shishi (bottle) me dalkar khushbu me mila liya karte aur Jab Hazrat Anas radiAllaho Anhu ke wisal ka waqt qarib aaya to farmaya wohi khushbu unke kafan par lagayi Jaye, phir unke kafan pe wohi Khushbu lagayi gayi.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Istezan Man zara qauman H.no.1211)
.
Kafan par tabarrukan kuch istemal karne ka hukm Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne nahi diya magar Sahaba ka ye Aqida hai ki Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ke paseene ko agar Kafan me laga lenge to Qabr me bhi iski Barkaten hasil hongi.
.
Ab Sare Munkireen se mera sawal hai ki batao kya Imam Bukhari bhi barelvi the jo aisi Hadeesen naqal ki hain? 

Scan Page:

 

 

68.Islam me Fasad karne walon ke liye Sakhti bhi bahot hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Muharibeen Baab Lam Yusqa H.no.1709) 

Scan Page:

 

69.4 logon par se Qalam (Sharai Hukm) Uth gaya hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Muharibeen Baab La Yurjamul Majnun)

Yani inke liye koi saza nahi hai.

Scan Page:

 

70.Ibn Umar radiAllaho Anhu ka Farman:
Kafiron ke bare me nazil hone wali Ayaton ko Musalmano par fit karne wale log badtareen makhluq hain.
(Sahih Bukhari J-3 Kitab Istitabatil Murtadeen Baab Qatlul khawarij Raqam No.1033)
.
Jaise aaj Wahabi karte hain ki Buton ke bare me Quran ne kaha ki wo tumko faida nahi pahuncha sakte to Wahabiyon ne usko Musalmano par fit kar diya ki koi Wali bhi faida nahi pahuncha sakta.

Quran ne Kafiron ke liye kaha ki koi sifarishi (Waseela) unke kaam na aayega to Wahabiyon ne un Ayaton se Musalman Buzurgon ke waseele ka hi inkar kar diya.
.
To sun lijiye ki ek sahabi Hazrat Ibn Umar ne faisla kar diya hy ki Kafiron ke bare me jo Hukm hain unko Musalmano par fit karne wale (wahabi) log badtareen makhluq hain. 

Scan Page:

 

71.Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne farmaya: Main Musalmano ka unki Jaan se bhi zyada malik hu. Jo shakhs Mar Jaye aur uske upar kisi ka qarz ho aur ada karne ke liye kuch (daulat/ maal) na chhoda ho to uska ada karna mere zimme hai. Aur jisne Maal chhoda ho to wo uske warison ka hai.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabul Faraiz Baab H.no.1635)
.
SubhanALLAH
Zara andaza lagayen ki Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam me yahan duniya ke tamam Musalmano ke qarz ki zimmedari apne upar le li hai ki agar wo kisi se qarz lekar ada karne se pehle mar jaye to uski taraf se Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ada karenge.
Ab Kisi ke man me agar sawal aaye ki ye Hukm to zahiri hayat tak raha hoga baad me kaise ada karenge. To suniye Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam tamam Musalmano ki Jaan se zyada unke Malik hain yani ye hukm ham aur aap sabke liye hai. So agar duniya me nahi to akhirat me zarur Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam us qarz ke badle me itna ataa karenge ki wo shakhs raazi ho Jayega jisse qarz liya gaya tha. Phir mere Aaqa chahen to badle me raazi karne ke liye Jannat bhi ata kar den.
Isme Musalmano ke liye kitni badi khush Khabri hai. Aur andaza lagayen hamare Aaqa Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam hamse kitni Mohabbat karte hain ki Puri duniya ke Musalmano ke qarz ki zimmedari khud le li hai. 

Scan Page:

 

 

 

72.Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne farmaya ki main so raha tha aur Zamin ke Khazano ki Kunjiyan mere hath me rakh di gayin.
Sahabi-e-Rasool Hazrat Abu Huraira radiAllaho Anhu ka Aqida hai ki ham sab Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ke hi Khazano se sab kuch Hasil kar rahe hain.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabuk Etisam H.no.2135)
.
SubhanALLAH, ab Koi ye na kahe ki unhone us waqt ke hi kisi chhode hue Khazane ki baat ki hy puri duniya ke logon ki nahi.
Kyunki Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ne Zamin ke Khazano ki Kunjiyon ka zikr farmaya hai. Yani sari duniya me jo bhi nematen hain wo RasoolULLAH Sallallaho Alaihe Wasallam ke Ikhtiyar me hain. Isliye sari duniya me jisko bhi jo kuch mil raha hai wo Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam se hi mil raha hai. Aur ye Istidlal Sahabi ka hai.
Ye jo Munkireen subah sham agar 2 roti bhi khate hain na, to wo bhi mere Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ke Khazane se hi aa rahi hai.

Tera khayen tere Ghulamon se Uljhen,
Hain Munkir ajab Khane Gurrane wale.

Scan Page:

 

 

73.Tamam Ambiya ko ye Khususiyat Hasil hai ki unki ankhen soti hain dil nahi sota.
(Sahih Bukhari J-3 Kitabut Tauheed Baab Qaulihi wa Kallama H.no.2364) 

Scan Page:

 

74.ALLAH aur Uska Rasool Tumhare Amaal ko dekhte hain.
(Sahih Bukhari J-3, Kitabut Tauheed Baab Qaulilaahe Ta'ala Raqam 1277)

*Nigah-e-Mustafa Sallallaho Alaihe Wasallam ko ALLAH ne aisa Kamaal Bakhsha hai* ki wo Musalmano ke Amaal ko bhi dekh rahe hain, lekin aaj ek Jahil Qaum aisi bhi hai jo kehti hai ki Nabi ko diwar ke piche ka Ilm nahi.
maazALLAH
.
Ab koi Munkir ye Aitraz kar sakta hai ki riwayat me aage dusri Jagah ye bhi likha hai ki Musalman bhi tumhare amal ko dekhte hain to kya Musalmano ki Nigah me bhi wo Kamaal hai?
.
Jawab: Musalman kisi ek Insan ko nahi kaha Jata balki ye puri Qaum hai. So Zahir hai apke Amal ko dekhne wala koi na koi Musalman to hota hi hai. Isliye yahan Kisi Musalman ka kisi maujud ko dekhna koi Kamaal nahi.
Lekin ALLAH ek, uske Rasool Muhammad Sallallaho Alaihe Wasallam ek. To phir Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam ka Musalmano ke amal ko dekhna kamaal hai.
Scan Page:

 

Post a Comment

Previous Post Next Post