Debate: Irfan Barkaati (Ahlesunnat Barelwi) Vs Engineer Muhammad Ali Mirza

Debate: Irfan Barkaati (Ahlesunnat Barelwi) Vs Engineer Muhammad Ali Mirza

Maujuda Gumrah kun Logon me se Engr Ali Mirza bhi ek Speaker hai jo apne Ulte sidhe bayan dekar aur Quran wa Hadees ki manmani tarjumani karke Jo muh me aaye wo bol deta hai. Aur Bholi Bhali Awam samajhti hai ki Sach bol raha hai kyunki Awam to kuch janti nahi, wo Zyada se zyada bas Hadees ke numbers kisi App me check kar leti hai aur itni hi baat ko aisi kamiyabi samajhti hai jaise koi bahot badi research mukammal kar li ho. Aur ye Jhuta Mirza Jis Hadees ko chahe Sahih aur jisko chahe Zaeef aur jisko chahe mangharat bol deta hai. Lekin Awam ko iska bilkul ehsas nahi hota kyunki ye Ilm Awam ke paas hota hi nahi.

Aur iski Duniya bas iske room ke andar aur YouTube tak hai. Room me bas un logon ke samne bolta hai jinhe koi Ilm nahi hota wo ankh band karke iski baat mante hain. Kabhi bhi ye kisi Ilm wale Insan se baat nahi kar sakta. Kyunki sirf ek hi bar isne aisi Ghalti ki thi to wahin isko benaqab kar diya gaya. Aur wo Ghalti isne mere sath email par ki thi.

Baat ye thi ki isne apni Adat ke Mutabiq ek Hadees ko Zaeef kaha tha. Wo Hadees kya hai Isharatan bata deta hun yahan
Imam Bukhari ke Dada ustad Imam Abu Bakr bin Abi Shayba apni Kitab Musannaf Ibne Abi Shayba me Hadees Naqal karte hain ki ek Martaba Hazrat Umar radiAllaho Ahu ked aur me qehet pad gaya. To ek Shakhs Nabi Kareem
ï·º ki qabr pe Hazir hua aur Qabr par Fariyad ki Ya RasoolALLAH ummat halak ho rahi hai ALLAH se barish ke liye dua karen. Phir jab wo Shakhs chala gay to Khwab me RasoolULLAH ï·º tashrif laye aur usse kaha ki Umar ke paas jaao aur kehna ki Narmi Ikhtiyar karen, ALLAH anqarib Barish dega.
Aur us shakhs ne ye Khwab Hazrat Umar ko bata diya to wo roye.

(Musannaf Ibne Abi Shayba)

Ye Bilkul Wazeh Hadees thi Qabr par Hazir hokar fariyad karne ki aur Wisal ke baad waseela lene ki. Magar Engr Mirza ko ye baat Hazam nahi hui isliye isne apni ek Video me is Hadees ko zaeef keh diya taki isse Jaan chhute.

Jab uski wo clip meri Nazar se guzri to maine usko email kiya aur maine challenge kiya ki ye Hadees sahih hai aur phir isne mere mails ka jawab dena shuru kiya aur debate ko taalne ki bahot koshish ki lekin maine aisa nahi hone diya aur akhri me jab mere diye hue dalail ka isse Jawab nahi bana do Jawab dene ki jagah bas apni Video pe video ke links mujhe bhejne laga aur yunhi baat ko adhuri chhod kar bhag gaya. Yani Jis Hadees ko isne Zaeef kaha tha maine iske muh par hi uske Sahih hone ke dalail de diya aur ye mera Jawab dene ki Jagah Dalail dekh kar bhag gaya.

Ye Debate 21 March 2015 se 10 April 2015 ke beech mails par hui thi. Jiske screen shots ko maine resize karke phir JPGS bana kar aap logon ke samne yahan pesh kar raha hun. Aap usko Achhhi tarah padhen aur iski Jihalat dekhen ki ye jo bada Ilm wala bana phirta hai ye kaise debate se bhaga hua insan hai jo apni baat ko sabit bhi nahi kar saka.

atOptions = { 'key' : '117e9cb12a9eab042d977989dce2ab0c', 'format' : 'iframe', 'height' : 60, 'width' : 468, 'params' : {} }; document.write(''); style="margin-left: 1em; margin-right: 1em; text-align: center;">

atOptions = { 'key' : '117e9cb12a9eab042d977989dce2ab0c', 'format' : 'iframe', 'height' : 60, 'width' : 468, 'params' : {} }; document.write(''); style="margin-left: 1em; margin-right: 1em; text-align: center;">

Aaj bhi Ham Challenge karte hain ki ye Mirza ya is Jaisa koi bhi Batil Insan jab chahe hamse Sunniyon ke kisi bhi Aqeede par Debate kar sakta hai. Aur Hamesha ki tarah usko muh ki khani padegi. In sha ALLAH

Meri ye Post Engr Ali Mirza ke sabhi Blind Followers ko dikha den aur unse kahen ki Mirza se kaho mere Dalail ka Jawab de ya apne Jhut se tauba kare.




Post a Comment

Previous Post Next Post